Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Body changes during puberty. Baloghat mein bachon kai haerat angaez jismani tabdeeliyan ru numa hoti hain. Qadd, wazen aur aazaa mein tezi sey izafa hota hai.
   
Home | Sex Education in Urdu for All | Body Changes During Puberty - Baloghat Mein Jismani Tabdeeliyan  
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3
 

Total views since 15 October 2009:
74705
 
Body Changes During Puberty

 Baloghat  (puberty) mein bachon kay jism mein haerat angaez tabdeeliyan ru numa hoti hain. Qadd, wazen aur a'aza mein tezi sey izafa hota hai. Yeh izafa larkon mein 13 sey 15 saal ki umer kay darmiyan hota hai. Iss daur mein inn kay qadd mein kam o baesh 8 inch ka izafa ho jata hai aur wazen 40 pound tak barh jata hai. Larkiyon kay qadd mein 11 sey 13 saal ki umer kay darmiyan 5, 6 inch ka izafa ho jata hai. Iss kay ba'ad qadd aur wazen barhney ki raftaar sust ho jati hai. Haddiyon mein phelao aa jata hai, kandhey khuley ho jatey hain.

    Iss daur kay aaghaz sey hi bachon kay jism mein aisi tabdeeliyan honay lagti hain jin sey mard aur aurat mein farq wazeh ho jata hai. Larkon kay gaal per baal aaney shuru ho jatey hain, larkiyon ki chaatiyan ubharney lagti hain, baghlon kay elawa donon kay zer e naaf baal ugg aatey hain. Donon kay liye zer e naaf baal saaf karna sunnat hai. Larkiyon ko mahwaari (menses) ka khoon aana shuru ho jata hai aur larkon ko ehtelam (nocturnal ejaculation) honay lagta hai. Iss daur mein larkiyan, larkon ki nisbat zyada dilkash nazar aati hain. Ab donon jinsi aur azdawaji faraez ada karney kay qabil ho jatey hain.

    Taaza tareen research kay mutabiq America mein larkiyon mein baloghat ka aaghaz 8 ta 13 saal ki umer kay doran chatiyon kay ubharney sey hota hai. Iss doran unn kay hips aur buttocks bhi barhney lagtey hain. Chaatiyon kay ubharney kay kuch arsa ba'ad zer e naaf baal aa jatey hain. 2 saal ba'ad baghlon mein baal aaney lagtey hain. Taqreeban 13 saal ki umr mein larkiyon ko pehli mahwari aati hai magar larki uss waqt tak hamla nahin hoti jab tak

 

 
Body Changes During  Puberty - Baloghat Mein Jismani Tabdeeliyan
 
<< Next       Prev >>
910111213141516171819
 
Tell a Friend
 
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012