Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Sex education children (bachon) ko ghar sey milni chahiyie maan apni beti ko aur baap betey ko yeh talim dey.
   
Home | Sex Education in Urdu for All | Sex Education For Children - Jinsi Talim 3  
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3
 

Total views since 15 October 2009:
84233
 
Sex Education And Islam - Islami Jinsi Talim

 Aur yeh bhi haqeeqat hai kay bachey ko agar sahi zaryey sey malumat na milein to phir woh galat aur tabah kun zaryey sey gumraah kun malumat hasil karta hai aur inhi malumat ka asar hai kay naujawan tabqa jinsi aur akhlaqi tor per tabahi kay kinarey per khara hai.  

    Humarey khayal mein jinsi talim bachon ko ghar hi sey miley. 9/10 saal ki umer mein maan beti ko aur baap betey ko yeh ta'aleem deni shuru kardey. Research sey sabit ho chuka hai kay bachey walaedaen sey jinsi malumat hasil karney ko tarjeeh detey hain. Iss liye yeh baat bey hudd zaroori hai kay walaedaen khud Quran o sunnah aur jadeed tehqeeq ki roshni mein taza aur sahi ma'aloomat hasil karein ta'kay woh agli nasal ko yeh ma'aloomat muntaqil kar kay ek pursukoon aur behter mua'ashirey ki bunyaad rakhein. Walaedaen kay elawa teachers ko bhi yeh malumat hasil karni chahiyien ta'kay woh hasb e zaroorat bachon ki rehnumaee kar sakein.

    Yeh talim bachon ko ek dum nahin bul kay marhala waar milni chahiyie ta hum shaadi sey pehley jinsi talim ki takmeel ho jani chahiyie. Iss talim mein bachon ko apney jismani a'aza (anatomy) aur unn kay functions (physiology) kay hawaley sey malumat fraham ki jaein. Iss kay elawa mubashrat, halal, haram, hamal, paeda'esh aur jinsi beemariyon waghaera kay hawaley sey malumat dii jaein. Khusoosan jins kay hawaley sey jitney mughalitey hain unn ki haqeeqat sey bachon ko aagah kya jaey.

    Iss kay elawa bachon ko yeh talim o tarbiyat bhi dii jaey kay unhoney apney aap ko jinsi tashaddud (sexual abuse) sey kis tarah bachana hai.

 

 
Sex Education And Islam - Islami Jinsi Talim
 
<< Next       Prev >>
678910111213141516
 
Tell a Friend
 
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012