Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Quran o sunnah ki roshni mein islami jinsi taleem walaedaen khud bachon ko marhalawaar jinsi taaleem dein. Bacha jinsi taaleem apney ibtedaee saalon mein hi shuru kar deta hai.
   
Home | Sex Education in Urdu for All | Sex Education For Children - Jinsi Talim 2  
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3
Read Health Articles

Total views since 15 October 2009:
81692
 
Sex Education For Children

 Hum jinsiyat (homosexuality) na sirf gunah hai bul kay khatarnak jinsi bemariyon khusoosan AIDS waghaera kay phaelney ka mu'asser zarya hai. Kya naujawan nasal ko iss baat ka ilm nahin hona chahiyie kay mian biwi kay jinsi ta'alluqaat per sharmindagi ki koi baat nahin, yeh koi buri cheez nahin. Allah kay nabi ney biwi kay sath mubaashirat ko naeki aur sadqa qaraar diya hai. Iss tarah kyalarkiyon ko yeh ilm nahin hona chahiyie kayhaez koi bemari nahin bul kay ek fitri cheez hai jo inn ki baloghat aur takmeel ki alamat hai. Kya bachiyon ko yeh ilm nahin hona chahiyie kay leucorrhea koi beemari nahin.

    Agar aap bachon ko Quran o sunnah aur jadeed ilm ki roshni mein khud jinsi ta'aleem nahin deingey to bachey yeh ma'aloomat apney doston, deewaro'n per ishtehaaraat aur ghaer meyari kutub sey hasil kareingey jo taqreeban 100% ghalat aur gumrahkun hoti hain. Ek research kay mutabiq bachey taqreeban 50% jinsi ma'aloomat doston aur 21% kutub sey hasil kartey hain(Hyde). Budqismati sey bacho'n kay doston ki ma'aloomaat durust hoti hain na hi humarey haan iss mozou per meyaru kutub mojood hain.

    Iss hawaley sey ek sawal yeh paeda hota hai kay bachon ko jinsi taleem kab dii jaey. Iss silsiley mein Quran majeed sey rehnumaee milti hai. Who bachey jinki madri zuban urdu hai woh ju'nhi Quran Majeed parhna shuru kartey hain unn ki sex education bhi shuru ho jati hai. Amooman bachey 9 ya 10 saal ki umer mein Quran majeed parhna shuru kar detey hain. Mashhoor huftroza Time kay ek survey kay mutabiq awam ki aksaryat ka khayal hai kay jinsi ta'aleem 12 saal ki umer sey shuru ho jab kay walaedaen ka khayal hai kay bachon ki jinsi ta'aleem baloghat sey pehley shuru  nahin honi chahiyie magar haqeeqat yeh hai kay bacha apni jinsi ta'aleem apney ibtedaee saalon mein shuru kar deta hai

 

 
Sex Education For Children - Jinsi Talim
 
<< Next       Prev >>
56789101112131415
 
Tell a Friend
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012