Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Bad Effects Of Nocturnal Ejaculation: Ehtelam kay farzi burey asrat; Ehtelam ek normal amal hai. Ehtelam koi nuqsandeh cheez nahin.
   
Home | Sex Education in Urdu for All | Bad Effects Of Nocturnal Ejaculation - Ehtelam Kay Farzi Burey Asraat  
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3
 

Total views since 15 October 2009:
160005
 
Bad Effects Of Nocturnal Ejaculation

Ehtelam Kay Farzi Burey Asraat

Albatta agar yeh 6, 7 saal ki umer mein shuru ho jaey to phir kisi mahir urologist sey mashwara kar liye jaey.

    Ehtelam  (Nocturnal Ejaculation) waley khush qismat hain kyun kay woh iss tarah mani  kay ikhraj ki wajah sey khud lazzati aur zina sey bach jatey hain. Yeh rozana ho sakta hai bul kay ek raat mein do teen baar bhi ho sakta hai. Ek mashhoor muhaqqiq Kinsey kay survey kay mutabiq yeh ek haftey mein 12 dafa bhi ho sakta hai. Yeh na sirf naujawanon ko hota hai bul kay 70 saala boorhey, jis ko mubashrat ka moqa nahin milta, ko bhi ho sakta hai. Ta'hum yeh chahey kitni hi martaba kyun na ho ek normal amal hai, kyun kay mani ka ikhraj ek sehat mand amal hai. Insan ki sehat per iss kay koi burey asraat nahin partey. Saarey doctors, reasearchers, mahireen e nafsiyat aur jadeed ilm sey aagaah hakeem iss baat sey poori tarah ba khabar hain kay Ehtelam koi nuqsan deh cheez nahin. Chuna'ncha yeh baat poorey daawey sey kahi ja sakti hai kay Ehtelam  kay kisi bhi tarah kay burey asraat nahin. 

    Allbatta neem hakeem naujawano ko Ehtelam kay farzi burey asraat aur tabahkaariyon sey khauf zada kar detey hain, jin mein sey chund yeh hain_

    Ehtelam sey dimagh aur hafiza kamzor ho jata hai._parhney ko dil nahin karta (parhney ko kis talib ilm ka dil karta hai) yaad kya hua yaad nahin rehta_beenaee kamzor ho jati hai_a'asaab kamzor parr jatey hain_fard khauf aur ghabraahat ka shikar ho jata hai_uss kay dil ki dharkan taez ho jati hai_aankhon kay aagey andhera cha jata hai_chusti, chalaki khatam ho jati hai_chehra bey ronaq ho jata hai_badan susu aur kamzor parr jata hai_fard zara si mehnat sey thak jata hai_kisi kaam mein dil nahin lagta.

 

 
Bad Effects Of Nocturnal Ejaculation
 
<< Next       Prev >>
1516171819202122232425
 
Tell a Friend
 
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012