Boriyat (Boredom)
Baaz auqat namardi ki wajah bari dilchasp hoti hai. Baaz log ek lamba arsa ek hi tareeqey (sex positon) sey azdawaji faraiz ada kartey hain. Wohi room, wohi sathi aur wohi tareeqa jiski wajah sey insan boriyat mehsoos karta hai aur iski sex mein dilchaspi kam hojati hai. Dilchaspi kam honay sey tanau (erection) bhi mutaassir hota hai.
Jinsi Amal Sey Perhaez
Agar arsa daraz tak jinsi amal sey perhaiz kya jaey ya insan ko jinsi amal ka moqa na miley to bhi insan ki jinsi karkardaqi mein kami aa jati hai. Kyun kay insan apna jin aaza ko istimal nahi karta unki karkardigi kam hojati hai.
Thakawat (Tiredness, Fatigue)
Aaj ka daur mehnat ka aur muqabley ka daur hai. Kamyabi aur zinda rehney kay liye har insan sakht mehnat karta hai. Sakht mehnat kay baad raat ko jab woh ghar aata hai to thakawat sey choor ho chuka hota hai. Ab woh mukammal aaram chahta hai. Iss thakawat ki wajah sey aksar logon ki jinsi khwahish (libido) khatam ho jati hai. Jinsi khwahish kay na honay ki wajah sey tanau (erection) hasil karna mushkil ho jata hai. Aisi surat mein biwi ki khwahish per yeh apni marzi sey mubashrat (Intercourse) ki koshish karta hai to nakam ho jata hai. Doosri baar nakami kay khauf ki wajah sey nakam ho kar mustaqil mardana kamzori ka mareez ban jata hai. Aisai afrad ko aam halat mein tanau (erection) hota hai magar mubashrat (Intercourse) kay waqt nahi hota ya dakhool (penetration) kay waqt khatam ho jata hai.
|