Doosrey din iss ko khuaf hota hai kay shayad aaj phir woh nakam hojaey aur iss tashweesh aur khauf ki wajah sey woh phir nakam ho jata hai. Iss tarhan 1 ya 2 bar nakam honay per usko yaqeen ho jata hai kay woh namard ho chuka hai.
Depression:
Depression ek fazool nafsiyati beemari hai jismai insan shadeed udaasi, afsurdigi aur tanhai mehsoos karta hai. Kuch karney ko dil nahi chahta, kuch acha nahi lagta. Iss marz mein aksar mareezon ki jeeney ki aur jinsi khwahish (libido) khatam ho jati hai. Jinsi khwahish kay khatmey ki wajah sey woh tanau mehsoos nahi karta aur namardi (jinsi kamzori) ka shikar ho jata hai. Chunancha jinsi kamzori (erectile dysfunction) ki ek ahem wajah depression hai. Depression ki medicines bhi mardana kamzori ka reason hoti hai. Depression ki baaz adviyat (medicine) maslan Desyrel ka asar ulta hota hai yani yeh namardi ko khatam karti hai.
Ehsaas e Gunah (Guilt):
Naujawan wakeel ki jald shadi honay wali thee magar iss ko puri tarhan tanau nahi hota tha. Iss naujawan ka ta'alluq ek mazhabi gharaney sey tha. Ab isko khauf tha kay woh shadi mein kamiyab na hoga. Mubashrat na kar sakey ga. Nafsiyati tajziya sey maloom hua kay kuch saal pehley usko kam sey kam 3 dafa zina karney ka moqa mila aur iss ney zina ki koshish bhi kari magar lashaouri ehsaas e gunah ki wajah sey isko tanau nahi hua aur woh nakam ho gaya. Uskay baad usko yaqeen hogaya kay woh mardana kamzori ka shikar hai.
|