jiski wajah sey jinsi khwahish (libido) aur tanau (erection) kam ho jata hai aur woh mubashrat mein nakam ho jata hai. Jab Zehni dabao ki wajah sey insan ek ya do baar mubashrat mein nakam rehta hai to phir sharmindigi ki wajah sey biwi kay pass nahi jata hai jis ki wajah sey na sirf ghar ka mahol bohut tense ho jata hai bul kay insan mustaqil tor per mardana jinsi kamzori ka shikar ho jata hai. Halan kay jis tarhan ek ya do bar khansi aaney sey insan ko TB nahi ho jati issi tarhan ek ya do baar tanau (erection) na honay sey insan namard nahi ho jata hai. Baaz log mubashrat kay zariye apna zehni dabao khatam kar letey hain.
Nakami Ka Khauf (Fear Of Failure)
Namardi (erectile dysfunction) ki ek ahem wajah nakami ka khauf hota hai. Insan yeh samajhta hai kay bachpan kay ghalat kamon ki wajah sey woh jinsi tor per kamzor hai aur mubashrat nahi kar sakta. Isey shadeed khauf hota hai kay woh shaadi ki pehli raat nakam ho jaey ga. Phir woh jaisa sochta hai waisa hi ho jata hai. Aksar naujawano ko khauf hota hai ka inn sey mubashrat (Intercourse) nahi hogi aur woh kamiyab nahi hongey. Chunancha woh nakam ho jatey hain. Bohut sey student exam kay khauf ki wajah sey bharpoor tayyari kay bawajood nakam ho jatey hain.
Tashweesh (Anxiety):
Aaj ki duniya tashweesh ki duniya hai. Har shakhs kisi na kisi tashweesh ya khatrat mein mubtila hai. Iss tashweesh ki wajah sey baaz auqat insan ko tanau (erection) nahi hota aur tanau na honay ki wajah sey insan khaufzada ho jata hai.
|