Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Erection problems ko hal karney kay liye Eric Aid system ko use kya ja sakta hai. Viagra sey bhi madad li ja sakti hai.
   
Home | Sex Education in Urdu for Men | Erection Problems - Tanau Ka Masla  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
Read Health Articles

Total views since 15 October 2009:
52456
 
Erection Problems - Tanau Ka Masla

 Darmiyani umar mein kuch minute mein tanau (erection) hasil ho jata hai jab kay burhapey mein zyada der lagti hai. Baaz auqat to biwi ko hath sey zakar ko mushta'el karna parta hai. Chunancha burhapey mein mard ko bhi taweel foreplay ki zaroorat hoti hai aur inzal kay baad sara tanau foran khatam ho jata hai. Dubara tanau hasil karney mein zyada waqt ki zaroorat hoti hai. Burhapey mein mani (semen) ki miqdar kam ho jati hai aur iss ka ikhraj bhi zyada force sey nahi hota. Yani mani (semen) kam tezi sey nikalti hai. Mani (semen) ka rung white kay bajaey kuch yellow sa ho jata hai aur ya nisbatan patli hoti hai yeh sab kuch normal hai.

 

    Burhapey mein bohut sey mardon ko (Erection problems) tanau ka masla hota hai. Iss ki wajah burhapa nahi bul kay koi beemari hoti hai, maslan dil ki beemari, blood pressure ki beemari, sugar ki beemari, prostrate allergy, Depression aur ulcer ki adviyat. Iss kay elawa sukoon aawar aur bhook ko khatam karney wali adviyat, cigarette noshi aur sharab noshi bhi ahem wajah hai. Erection problems ko hal karney kay liye Eric Aid system ko use kya ja sakta hai.  Viagra sey bhi madad li ja sakti hai. Magar dil kay amraz waley afraad kay liye Viagra mohlik hoti hai. Bohut sey mard iss tarhan bhi munasib tanau (erection) hasil kar letey hain kay woh kam erect zakar ko chiknaa kar kay faraj mein dal detey hain phir achanak strokes laganay sey inn ko maqool tanau (erection) hasil ho jata hai umar kay zyada honay kay sath baaz afraad kay zakar ki lachak mein kami aa jati hai jis ki wajah sey zakar poori tarhan nahi phaelta aur lambaee aur choraee mein chota ho jata hai. Yeh tabdeeli bhi  erection problems (tanau ka masla) paeda kar deti hai. Tahem sex sey lutf andoz honay kay liye mubashrat (intercourse)  zaroori hai aur na hi inzal. Iss sorat mein foreplay sey lutf uthaya ja sakta hai.

 

 
Erection Problems - Tanau Ka Masla
 
<< Next       Prev >>
196197198199200201202203204205206
 
Tell a Friend
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012