Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1793 Age:
27
|
|
Posted on:19th Apr 2010, 12:19pm |
|
|
Namaz Ka Tareeqa In Urdu
iss thread mai namaz ka tareeka bataya jaaye ga. aise member jo sahi islami knowledge rakhte hai on se request hai keh woh yaha per Namaz ka tareeqa in urdu mai likhe aur agar ho sake tu english mai bhi likhe takeh dunia bhar ke log jo urdu nahi jaante hai woh bhi mustafeez ho sake.
Namaz ka tareeqa for Sunni, Shia and other firqa
agar ho sake tu sunni firqa ke ilawaw doosre firqa ke namaz ka bhi tareeqa bayan kia jaaye.
Note: yeh informative thread hai, lehaza mukhtalif maslak aur firqa ke namaz ka tareeka batai. koi bhi kisi ke namaz per tanqeed nahi kare ga. agar tanqeed kerna hai tu alag se thread start kare.
|
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 184 Post: 6297 Age:
34
|
|
Posted on:19th Apr 2010, 10:42pm |
|
|
Namaz Ka Tareeqa In Urdu
Tottal rukaat of Numaz ( Fiqa hunfi) Fajur prayer 1-First 2 rakat Sunnat Muakkadah 2- Two rakat Farz Zohar prayer 1- Four rakat Sunnat Muakkadah 2 - Four rakat Fard 3- Two rakat sunnat Muakkadah 4-) Two rakat Nafl Assur prayer 1-Four rakat sunnat ghair Muakkadah 2-four rukat Furaz Maghrib prayer 1- Three rakat Farz 2- Two rakat Sunnat Muakkadah 3- Two rakat nafl Isha prayer 1- Four rakat sunnat e Ghair Muakkadah 2- Four rukat numaz furz 3- Two Rakat Sunnat Muakkadah 4- Two rakat Nafil 5- Three rakat Wajib 6- Two rakat Nafil Jommah tul mobarik -Friday Prayer 1- Four rakat Sunnat Muakkadah 2- Two rakat Fard 3- Four rakat Sunnat Muakkadah 4- Two rakat Sunnat Muakkadah 5- Two rakat Nafal
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6333 Age:
53
|
|
Posted on:19th Apr 2010, 11:37pm |
|
|
Fiqah hanfi ki namaaz 1. sab say pahlay (kissi bhi zubaan maiN) namaaz ki niyyat ki jati hai...jaisay maiN fajir 2 rekaat naamaaz farz adaa karta houN, peechai iss imaam k (agar baa.jamaa'at ho to), mounH mera ka'abah shareef ki taraaf..... Allaho Akbar kahtay howay dounoun haath kanoun ki lau tak othatay howay naaf k ooper left hatheli k ooper right hatheli rakh kar haath baandh lenaa.
2. niyyat aur haath baandhnay k baad ... sanaa paRhna
3. agar baa.jamaa't namaaz adaa ki jarahi ho to sirf imaam ...aur agar tanha namaaz parhi jarahi ho to namaazi... pahlay soorat faateha paRhegaa + kam az kam koi aik soorat yaa baRi soorat ka kam az kam teen ayat ki telawat karega
4. phir Allah o Akbar kahtay howay rakoo maiN jhuk jayegaa.... rakoo maiN 3 yaa 5 yaa 7 martabah "subhan rabbi alazeem" parhegaa aur phir "same Allah holeman hamedah" kahtaa howaa khara hojaayegaa bilkul seeddhaa.... jamaa't ki soorat maiN imaam "same Allah holeman hamedah" aur muqtadi ... rabbana lakal hamd... kahega
5. phir Allaho Akbar kahtaa howaa sajday maiN chalaa jayegaa.... sajday maiN 3 yaa 5 yaa 7 baar "Subhaana rabbe al Aa'laa" kahegaa aur Allah o Akbar kahta howaa baiTh jayegaa........ phir issi tarah doosra sajdah karegaa
6. doosray sajday k baad dobarah khara hogaa.... aik rekaat poori hogayee ab issi tarah doosri rekaat mokammal karegaa.... magar qirat ka aghaaz soorat faatehaa say karegaa...... sanaa sirf pahli rekat main paRhee jati hai... yaani niyyat + sanaa sirf pahli rekaat main hogi baqyah rekaat sooorat faatehaa say start hogi.
7. doosri rekaat main dounouN sajday k baad baiTh jayegaa aur At.tahiyaat+darooday ibrahimi paRhegaa
8. right side ki taraf mouNh phertay howay Assalam o Alaikum kahega..... phir right side say saamnay ki tarf mouNh pheregaa. ab saamnay say left side ki taraf Assalam o Alaikum kahta howaa salaam pheray gaa....phir saamnay ki taraf mouNh pher legaa..... 2 rekaat namaaz mokammal hogayee... ab chaahay to dua bhi karlay ... beghar dua k bhi namaaz mokammal hogi
9. 4 rekaat ki soorat main doosri rekaat maiN At-tahiyaat parhnay k baad (darood shareef parhay beghair) qayaam ki taraf lauT jayegaa aur seedha khaRaa hokaar haath bandh legaa aur baqyah 2 rekaat issi tarah soorat fatehaa say aghaaz karta howaa parhegaa aur 4 rekaat ki takmeel par salaam pher legaa.
10. 4 rekaat farz ki soorat main teesri aur chauthee rekaat main qiraat main sirf soorat fatehaa paRhegaa... saath main koi soorat nahi milayegaa (as done in 1st & 2nd rekaat)
11. 4 rekaat sunnat ghair mo'akkedah ki soorat main doosri rekaat k baad at-tahiyaat k baad darood shareef bhi parhegaa coz sunnat ghair mo'akkedah nafil namaaz ki tarah hoti hai jo 2 rekaat pay mokammal hojati hai
PS: agar above statement main koi mistake nazar aa.ay to please correct kardaiN.
ahlay tash'ee hazraat, bohri, agha khani, ahmadi aur deger tamaam masaalak say wabistah khawateen o hazraat bhi apni apni namaazoun ka tareeqah yahaan zaroor likhaiN. as KZ said, yeh aik maloomaati thread hai. iss main koi bahas /tanqeed allowed nahi. sab apni apni namaaz k tareeqay likhaiN dat's all. |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:20th Apr 2010, 12:00am |
|
|
aurton ka tareeqa with mardon ka tareeqa nimaz
aurtain bhi isi tarah nimaz parhain jaise uper bayan kiya gaya lekin chand cheezon main auraton aur mardon ki nimaz main farq hae :
1_ Takbeer e Threema k waqt mard (chadar waghera agar ki ui hae se) haath nikal kar kaanon tak uthayen jab k aurton ko har haal main haath nikalay bahair sirf kandhon takuthanay chahiye..
2_ Takbeer e tehema k baad mard naaf k neechay haath bandhain
khawateen seenay pe .
3_mard dayen haath ki choti ungli aur angoothay ka halqa bana kar bayen haath ki kalai ko pakrain aur baqi 3 ungliyon ko bayen kalai par bicha dain .
aurton ko dahni hatheli bayen hatheli ki pusht pe rakhni chahiye.
4_mard ruku main ais jukhain k sar aur pusht barabar hojaye.
aurton ko sir itna jhukna chahiye jis se haath ghutnon tak pohanch jayen .
5_mard ruku mai ungliyan kushada kar k ghutnon ko pakrain
aurton ko baghair kushada kiye haath milaye huwe ghutnay pe rakhnay chahiye.
6_ mard halate ruku main kohniyan pehloo se alag rakhain
aurton ko mili hui rakhni chahiye.
7_sajday main mardon ko pait ko ranon se aur baghal ko bazoo se juda rakhna chahiye
aur aurton ko mila kar rakhna chahiye
8- sajday main mardon ki kohniyan zameen se uthi hon
aurton ki kohniyan zameen par bichi hon .
9_mardon k paon sajday main ungliyon k bal kharay hon
magar aurtain dono paon dahni taraf ko nikal dain .
10_ mardon ko baithnay ki halat main bayen paon par baithna chahiye aur dahnay paon ko ungliyon k bal khara rakhna chahiye .
aurton ko dono paon dahni taraf nikal kar baithna chahiye.
11_aurton ko kisi bhi waqt buland awaz se qirat nahi karni chahiye balkay har waqt ahista awaz main parhain
jab k mardon k liye baaz halaat main buland awaz se qiraat parhna wajib aur baaz halaat main jaiz hae .
aurton ko nimaz main bhi simaT kar rehnay ka hukum hae .
|
info1234 |
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
29
|
|
Posted on:20th Apr 2010, 4:33am |
|
|
Namaz ki logic.....
fiqah e hanfi k tareeka e nmaz bian karnay ma, myrizwi bhai nay apni post ma koi step bhi omit nahi kia..... (MASHALLAH)
Ma nmaz k tamam arkan ki logic bhi bian karna chahta hun..
nmaz asal ma Allah ki tareef, izzat aur insan ki ajzi, farmanbardari k izhar ka symbol hai..
jab koi insan azan ki awaz sun kar sab kaam chore kar nmaz ki taraf ata hai tau woh "moat ki yaad" ka izhar hai, jesay insan ki moat achanak a sakti hai jabkeh woh apnay kaam ma masroof ho tau usay aik lamhay ki mohlat nahi di jati.... isi tarhan insan duniawi kaam chore kar jab Allah o Akbar keh kar hath kaan tak lgata hai tau yeh "dunia se beraghbati" ka symbol hai, yani insan Allah k samnay izhar karta hai k ai rab duniawi zindgi nay mera dil teri yaad se ghafil nahi kia aur tu nay pukara ma dunia chore kar teray samnay hazir.
is k bad insan hath bandh kar khara hota hai jo hath bandhay ghulam ka symbol hai, qiyam ma insan Allah ki hamd k bad Allah se apni ajizi k izhar ma seedhay rastay par chalnay ki taufeeq mangta hai...... us k bad qurani ayat ki tilawat is cheez ka symbol hai k ham nay Allah k kalam ko mazbooti se pakar lia...
is k bad rukoo Allah ki izzat aur hebat k izhar ka symbol hai
us k bad sajda is baat ka symbol hai "ai Allah ma teray har hukam par farmanbardar hon, aur tu nay jis haal ma rakha us par razi hun"
2 sajdon ka matlab hai k insan pehlay matti ma tha, phir zinda hua, phir matti ma jaey ga, aur uski zindgi sirf itni hai jitni 2 sajdon ka darmiani waqfa...
us k bad atttahiat ma bethna Allah k deen ko mazboti se qabol karnay ka symbol hai, aur us ma Allah k bhejay huway peghambar ki risalat ki gawahi di jati hai, aur apnay aur apnay walidain aur tamam naik logon ki maghfirat mangi jati hai...
aur asal ma "practical namaz shuru hoti hai salam phernay k bad"
yani insan jo qol o qarar nmaz ma karta hai uska amli saboot nmaz k bad pesh karay, Allah k ahkamat k mutabik zindgi guzaray..
bajamaat nmaaz parhnay ka sab se bara sabak "unity, faith and discipline" hai, jo logon ko apni amli zindgi ma pesh karna chahiaey.. |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:20th Apr 2010, 2:50pm |
|
|
Namaz ke knowledge k leye enn threads ko study kejea... |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6333 Age:
53
|
|
Posted on:20th Apr 2010, 11:05pm |
|
|
jazak Allah paroot bhai aik hi maktabah e fikar ki namaaz par to bahoot see replies aa gayee........ kia deger maktabah e fikar ki namaaz par bhi koi kuch likhna pasanda karegaa?? |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6333 Age:
53
|
|
Posted on:22nd Apr 2010, 10:42pm |
|
|
namaaz ki thread aur hum yeh aik seedhi saadi informative thread haiN jo islam ki basic ibadat namaaz say motalliq hai. aik hadees ka mafhoom hai k namaaz hi aik muslim aur non-muslim k darmayaan wajah e faraq hai..... islam say related har maslak maiN namaaz aik basic ibadat hai....... magar ........ hamari namaaz say bay.tawaj.jahi ka yeh aalam hai k hum namaaz k thread tak ko qaabilay tawajjah nahi samajhtay........ taa haal yahaan sirf janfi maslak ki namaaz ka procedure likha gaya hai....... kai baaqi maslakouN maiN bhi issi tarah namaaz adaa ki jati hai??? yaa baqi masalkouN ki namaaz ka tareeqah kissi ko maloom hi nahi??? yaa log issay share karnaa hi nahi chaahtay???
wajah kuch bhi ho, iss say aik baat to maloom ho hi gayee k hum sirf aur sirf firqawaranah ikhtelaafaat ki sirf nazri baatoun maiN "dilchaspi" rakhtay hain.... amalyaat /ibaadaat builkhasoos namaaz maiN hamari dilchaspi shayad kam hai.... agar aisaa nahi hai to ahbaab iss thread ko agay kiyoun nahi baRhanay main dilchaspi dikha rahay? kia laRay jhagray beghair khalisatan ilmi /informative posts maiN hissah lena logouN ko pasand nahi ??????? |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:25th Apr 2010, 1:59am |
|
|
Specially myrizvi !!!! Iam Hanafi so mujhe hanafi mazhab ke he thodi bahut maloomat hai baqi baqi mazhab aur unn k imam ka tareeqa nahi pata knowledge nahi hai tu kese lekh dooo?????????
ess k leye jo dosre imam ko follow karte hai unn ulama se ruju karee unn ke books parhe jes mein dosre mazhab ke imamoo ke namaz ka tareeqe lekha hai...
aur yaha forum per bhi aksariyat hanafi mazhab ke he hogee !!!
jes ko pata ho wo bata dee ....
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:22nd May 2011, 10:08pm |
|
|
namaz aur parda Asslam o alikum.
is topic me namaz parhne ka tariqa likha gya h jo k bilkul theik h lekin ye nahi :-
"
aurton ki kohniyan zameen par bichi hon ."
Sahih Bukhari ki hadees hai:
باب : سجدوں میں اپنی کہنیاں (زمین پر) نہ بچھائے۔
حدیث نمبر : 466
سیدنا انس بن مالک رضی اللہ عنہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے روایت کرتے ہیں کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: “ سجدوں میں اعتدال کرو اور تم میں سے کوئی شخص اپنی دونوں کہنیاں (زمین پر)، جس طرح کہ کتا بچھا لیتا ہے، نہ بچھائے۔
koi bhi shakhas yani mard ho ya aurat.wallahu allam
aur mera aik sawal ye
hai k hum aksar bahir jate hain to zahir hai full parda kr k jate
hain.aur isi trha Haram Sharif jate hain tab bhi.aur wahan pr aurton
& mardon k bethne ki jga alag hai.lekin jab hum kabhi late pohnchte
hain yani namaz ho rahi hoti h to hum bahir hi namaz me shamil ho jate
hain jahan aurton ki saf lagi ho.aur thora hi pas mardon ki bhi,aur
baz-ouqat kuch mard namaz nahi parh rahe hote ya abhi aa rahe hote hain
to onki nazar aurton pr bhi par jati h.
to ab sawal ye hai k kia kisi hadees se sabit hoa hai k aurat namaz me niqab kia ho?
kiu k kuch log kehte hain k namaz k time aurat ka niqab krna sahi nahi
os ki namaz nahi hoti,aur kuch log kehte hain k parda hr surat kia jana
chahiye.agar kahin se be-pardagi na ho to phir aap ese parhein warna
karein.
mojhe is k bare me detial jan'ni h.
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6333 Age:
53
|
|
Posted on:22nd May 2011, 11:12pm |
|
|
niqaab ya chehray ka pardah meri info k motaabiq niqaab ya chehray ka pardah aurat k 'satar' maiN daakhil nahi hai. yani chehray ka chopanaa farz nahi hai. nah namaaz maiN nah namaaz say bahar. it's optional... yeh khatoon k apni choice /taqwa par mabni hai k woh naa.mahram say /bahar jaatay howay chehray ka pardah karay yaa nah karay......yehi haal masjidouN maiN namaaz ki adaigi ka hai. kuch khawateen during namaaz chehray ka pardah karti haiN, kuch nahi karti...namaaz k liyeh chehray ka pardah laazim nahi...... balkay haj o omrah k dauraan ahraam ki halat maiN to aurat k chehray par kapra touch bhi nahi hona chaahiyeh. |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6333 Age:
53
|
|
Posted on:22nd May 2011, 11:57pm |
|
|
mard o zan ki namaaz maiN faraq
عورت اور مرد کی نماز میں فرق
مرد وعورت کی نماز میں تفریق اور امتیاز اگرچہ ہمارے نزدیک عورت کے امتیازی مسائل میں شامل نہیں- کیونکہ اس تفریق و امتیاز کی کوئی صحیح دلیل نہیں- لیکن چونکہ برادران احناف نے مرد اور عورت کی نماز میں تفریق کررکھی ہے، بنابریں اس کی اصل حیثیت کی وضاحت ہمارے نزدیک ضروری ہے، اس لیے ذیل میں اس کی بابت بھی چند گزارشات اور احناف کے دلائل پر کچھ تجصرہ درج ہے- جہاں تک ہمیں علم ہے اس کے مطابق احناف نے تین مسئلوں میں عورتوں کا مردوں سے مختلف طریقہ نماز بتلایا ہے-
٭ رفع الیدین میں، کہ مرد کانوں تک تکبیر کے لیے ہاتھ اٹھائے اور عورت کاندھے تک- ٭ عورت سینے پر ہاتھ باندھے اور مرد زیر ناف- ٭ عورت جب سجدہ کرے تو اپنا پیٹ رانوں سے چپکالے جب کہ مرد کو حکم ہے کہ اپنی رانیں پیٹ سے دور رکھے-
٭ پہلے امر کے متعلق ہماری نظر سے کوئی معقول دلیل نہیں گزری، جس سے یہی معلوم ہوتا ہے کہ احناف کے پاس اپنے اس موقف کے اثبات کے لیے سواء قیاس کے کوئی دلیل نہیں- چنانچہ حافظ ابن حجر لکھتے ہیں:
" حنفیہ جو کہتے ہیں کہ مرد ہاتھ کانوں تک اٹھائے اور عورت کندھوں تک، اس کہ اس میں عورت کے لیے زیادہ ستر (پردہ) ہے- مرد و عورت کے درمیان فرق کرنے کا یہ حکم کسی حدیث میں وارد نہیں ہے-" (فتح الباری، الاذان:2/287)
اور امام شوکانی لکھتے ہیں:
" یہ رفع الیدین ایسی سنت ہے جو مرد و عورت دونوں کے لیے یکساں ہے، اس کی بابت دونوں کے درمیان فرق کرنے کا کوئی حکم نہیں ہے- اس طرح مقدار رفع میں بھی فرق کرنے کی کوئی صراحت منقول نہیں ہے جیسا کہ حنفیہ کا مذہب ہے کہ مرد ہاتھ کانوں تک اٹھائے اور عورت کندھوں تک- حنفیہ کے اس مذہب کی کوئی دلیل نہیں ہے-" (نیل الاوطار، باب رفع الیدین وبیان صفتہ مواضعہ: 2/206)
٭ دوسرے امر میں ہاتھ باندھنے میں احناف مرد وعورت کے درمیان جو تفریق کرتے ہیں، اس کی بھی کوئی دلیل ہمارے علم میں نہیں ہے- یہ بھی اس امر بین شہادت ہے کہ احناف کے پاس اپنے موقف کے اثبات کے لیے بھی کوئی دلیل نہیں ہے- اس لیے احادیث صحیحہ کی رو سے مرد و عورت دونوں کے لیے یہ ہی حکم ہے کہ وہ نماز میں سینے پر ہاتھ باندھیں- مولانا یوسف لدھیانوی مرحوم نے اپنی کتاب "اختلاف امت اور صراۃ مستقیم" میں سارا زور تیسرے فرق کے اثبات پر لگایا ہے- کیونکہ اس مسئلہ میں ان کے پاس ایک مرسل روایت اور ضعیف آثار ہیں، لیکن واقعہ یہ ہے کہ مرسل روایت محدثین اور علمائے محققین کے نزدیک قابل حجت ہی نہیں- علاوہ ازیں یہ مرسل روایت بھی منقطع ہے اور اس میں ایک راوی (سالم) متروک ہے- (ملاحظہ ہو: الجوھر النقی، تحت السنن الکبری، بیھقی، ج2)
٭ اس مرسل و منقطع روایت کے علاوہ مدیر "بینات" نے کنزالعمال کی ایک روایت بیہقی اور ابن عدی کے حوالے سے بروایت عبداللہ بن عمر رض نقل کی ہے کہ "آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم کا ارشاد ہے' عورت جب سجدہ کرے تو اپنا پیٹ رانوں سے چپکالے- ایسے طور پر کہ اس کے لیے زیادہ سے زیادہ پردے کا موجب ہو-" ( ص:90-91) یہ روایت سنن بیہقی میں موجود ہے لیکن موصوف نے یہ روایت سنن بیہقی کے بجائے کنز العمال کے حوالے سے نقل کی ہے- اور وجہ اس کی یہ ہے کہ سنن بیہقی میں اس کی سند بھی موجود ہے اور اس کی بابت امام بیہقی کی یہ صراحت بھی ہے کہ:
"اس جیسی (ضعیف) روایت کے ساتھ استدلال نہیں کیا جاسکتا-" (ملاحظ ہو، سنن بیہقی، ج2، ص:222-223)
بہرحال ارکان نماز میں مرد و عورت کے درمیان شریعت اسلامیہ نے کوئی فرق و امتیاز نہیں کیا- بلکہ ایک عام حکم دیا ہے:
{صلو کما رایتمونی اصلی} "تم نماز اس طرح پرھو جیسے تم نے مجھے نماز پڑھتے ہوئے دیکھا ہے" (صحیح بخاری)
اس حکم میں مرد و عورت دونوں شامل ہیں جب تک کہ کسی واضح نص سے عورتوں کی بابت مختلف حکم ثابت نہ کر دیا جائے- جیسے عورت کے لیے ایک خاص حکم یہ ہے کہ وہ اوڑہنی (پردے) کے بغیر نماز نہ پڑھے، اسی طرح حکم ہے کہ باجماعت نماز پرھنے کی صورت میں اس کی صفیں مردوں سے آگے نہیں، بلکہ پیچھے ہوں- اگر نماز کی ہیئت اور ارکان کی ادائگی میں بھی فرق ہوتا تو شریعت میں اس کی بھی وضاحت کردی جاتی- اور جب ایسی صراحت نہیں ہے تو اس کا صاف مطلب ہے کہ مرد و عورت کی نماز میں تفریق کا کوئی جواز نہیں-
اقتباس: عورتوں کے امتیازی مسائل و قوانین از: حافظ صلاح الدین یوسف حفظ اللہ
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
25
|
|
Posted on:23rd May 2011, 4:23am |
|
|
Qaza, Kaza Namaz Ka Tarika guidance about the leaving prayers in day Iman laane k baad islam ka doosra eham rukun namaz hai,
Qayamat k din bhi pehla sawaal namaz ka hi hoga hum ko chahiye k hum
apni namaz jitni hum per kaza hain jald se jald ada kar len zindagi ka
kya bharosa Abhi hai agle lamhe nahi
Waise To afzal aur aula yehi hai k tamam namazon ko poore tareeqe se
parh len per humare nafs per yeh mushkil lage ga is liye kam waqt mei
zada se zada namaz ada karne k liye Ulema Hazraat ne Namazon mei
takhfeef ki ijazat di hai taa'ke hum apni zindagi ki namazen jo apni
kotaahi ya sharayi majboori k bina ada na kar paye the.
Pehle to hum ko apni kotahi per toba karni chahiye k hum ne kitni
namazen nahi parhi ya kaza kardein dil mei pakka irada karen k Ainda
inshallah koi namaz kaza na hogiii aur puraani bhi inshallah poori ada
karen ge, hum ko pehle hisaab lagaana hoga humaare zimme kitni namazen
baaqi hain, is k liye ghalib gumaan karna hoga k 12 saal ki umer se
aajtak kitne saal hue, phir un mei se kitne saal ki namazen ada nahi
kien aik sal do sal jab ghalib gumaan hojaye k han k buhat se buhat itni
to namazenn hongi is se kam ho sakti hain zada nahi to phir aahista
aahista ada karna shuru karen
hum per Aik din ki 20 rakaten banen gi 2 farz fajar, 4 farz zuhar, 4 farz asar, 3 farz maghrib, 4 farz isha aur 3 witr.
aik baar hisaab laga liya k kitni namazen humaare zimme baaqi hain phir
jaise sahoolat ho ada kar leni chahiye per aik baat ka khayal rakhna
chahiye k kissi k saamne kaza namaz ada na karen, Namaz-e-Asar aur
namaz-e-Fajr parhne k baad koi nawafil ada nahi kiye jaa sakte to ager
aap sab k saamne ada karoge to her koi samajh jaye ga k aap kaza namaz
parh rahe ho
Neeyat is tarah karen k Mai khaas Allah taa'le k liye apne zimme sab se
pehli(Yaa sab se aakhri) namaz-e-Fajer ki do rakat farz ki neeyat karta
hoon. Aap chahen to aik namaz ko poora karlen pehle jaise saari fajer
kiii yaa aik aik din ki poori poori jis tarah sahoolat ho aap ko
takbeer k baad Sana na parhen, Auzubillah, ```
chhor den aur direct Surah Fatiha parhen phir us k baad koi bhi soorat
milayen phir ruku aur sajda ki tasbeeh 3 bar k bajaye sirf aik bar
parhen faraaiz ki teesri aur chauthi rakat mei surah fatiha ki jaga sirf
teen bar SubhanAllah SubhanAllah SubhanAllah parh k ruku mei chalen
jayen, akhri rakat mei Attahiyaat parhne k baad itna parhen "Allahumma
Salle ala muhammadin" itna keh k salaam pher den Durood-e-Ibrahimi aur
Dua chhor den.
Witr ki teesri rakat mei Alhumd shareef k baad surat milayen aur phir
Dua-e-Qunoot ki jaga Sirf teen bar keh den Allahummaghfirli ya
Rabbighfirliii yaa Rabbana Aa'tina fiddunia hasana
............azaabannaaaar phir baaqi namaz bataye gaye tareeqe se parh
lein
is tarah hum jaldi jaldi apne zimme tamam kaza namazen ada kar saken ge,
mera to aap sab logon ko mashwara yeh hai k aap log jaisa k jaante
hain k Ramadan mei nafil ka sawaab farz jitna aur farz ka 70 farz k
baraber to kyun na Ramadan mei nafil parhne k bajaaye hum apni kaza
namazen ada karen aur zada se zada sawaab k saath saath apni namazen
bhi poori karlen.thanks
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6333 Age:
53
|
|
Posted on:23rd May 2011, 4:58am |
|
|
Jazak Allah glamour bahoot achi baat ki apnay nishandahi ki... Allah ham sab ko apni namazouN ki hifazat ki taufeeq day aameen. jo log masroof houN aur namazouN k liyeh waqt mushkil say nikaal patay houN yaa iss ziman maiN kotaahi k aadi houN... woh ibteda maiN aisaa karsaktay haiN k maujoodah har namaaz maiN nawafil /sunnatay ghair mo'akkedah ki bajaa.ay ossi waqt k sab say pahli qaza namaaz adaa kar laiN. iss tarah amalan onhaiN zeyadah rekaat bhi nahi paRhni paRengi aur qaza namazaiN bhi aahistah aahistah adaa hojayengi. |
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
25
|
|
Posted on:23rd May 2011, 5:52am |
|
|
rizvi bhai thanks rizvi bhai .ammen sumameen............allah harari namazoon ko kabool farmahay or shayad ye parh kar kisi ka bhala ho or ye naki hi hamari bakhshish ka zarea ban jahay aameen
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
25
|
|
Posted on:23rd May 2011, 6:06am |
|
|
wajib aur farz me farq . Wajib or farz har wo amal
hota hay jis ka anjaam daina shariyat/islam ki nigah me zarori or
laazimi ho. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) fiqhi
istelahaat pg # 479).
2. Juma ki namaz wajib e takhyiri(optional) he. Is se muraad ye he ke
juma k din mukallaf ko ikhtiyaar he k agar namaz juma ki shara’it majood
hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain layhaza agar
insaan juma ki namaz perhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he.
(Yani zohar ki namaz perhna zarori nahi ) (ref : Tauzeeh e ul masayl
ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720) (tamam ibadaat kurbat ki niyat
se anjam de jati hein.).
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:23rd May 2011, 8:21pm |
|
|
masha Allah masha Allah yahan kitni pyari batein chal rahi h.jazak Allah.
Rizvi uncle thank u meri confusion dor krne k lie.ji beshak chehra sitr me nahi lekin aaj kal k mahool ko dekhne k bad chehra chupana bhi zarori ban gya h.aur aurat wese bhi chupa k rakhne ki chez hai,aurat ka bilawaja bahir jana bhi theik nahi. to agar wo jati h to apni hifazat bhi aap hi kare gi means parda kare gi to hi apni hifazat kr pae gi warna mardon ki achi ya buri nazar se bachna mushkil h.
hr mard sharif nahi hota.aur humari adat parday ki hai.to parday k bina khod ko esa feel krte h jese hum ne kuch bhi na pehna ho:( parday k mamle me pehle main buhot sakht thi hath tak nazar nahi ate th lekin ab thori kami aa gai h.Allah hidayat de.
aur jin ki family me parday ka ehtamam kia jata ho to wo namaz me bhi kare ga.to esa aik do bar hoa h k niqab ki halat me namaz k bad ye suna gya k Allah se kesa parda?ese to namaz bhi makrooh h waghera ye khayalat hote h aksar logon k.
.....................
aur jahan tak namaz ki adagi ki hai to hume hadees se dekhna chahiye k humare pyare nabi S.a.W kis trha ada krte th.ab buhot se log jese sijdah krte waqt apni kohniya bilkul bicha lete h ya aurtein zair-e-naaf hath bandhte hain to ye theik nahi.
aur jahan tak humari qaza namazein hain to hume koi tedad yad nahi hoti,hume Abu kehte hain k aap hr namaz k sath aik qaza zaror parh lein.agar aap ki qaza namazein ada ho chuki hon gi to ye aap ki nafli ibadat kehlai gi yani hume nawafil ada krne ka sawab hasil ho jae ga.
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6333 Age:
53
|
|
Posted on:23rd May 2011, 11:19pm |
|
|
hmmmmm - aur jin ki family me parday ka ehtamam kia jata ho to wo namaz me bhi kare ga.to esa aik do bar hoa h k niqab ki halat me namaz k bad ye suna gya k Allah se kesa parda?ese to namaz bhi makrooh h waghera ye khayalat hote h aksar logon k. (*) taqwa aur fatwa main faraq hai... aur fatwa (quran o hadees ka, kissi molvi ka nahi:) yehi hai k feet, kalayee tak hands aur face aurat k satar maiN shami nahi hai...agar woh chaahay to khola rakh sakti hai... but jo apnay kaha hai, woh bhi durust hai aur baqaulay poet.... achi soorat (of females) bhi ki "bori shaii" hai + jiss nay bhi Daali, bori nazar Daali :): aik hadees ka mafhoom bhi yehi hai k jab koi aurat ghar say bahar nikalti hai to ossay shaitaan taakta hai.
aisa kahna aur samajhna ghalat hai
.....................
- aur jahan tak namaz ki adagi ki hai to hume hadees se dekhna chahiye k humare pyare nabi S.a.W kis trha ada krte th.ab buhot se log jese sijdah krte waqt apni kohniya bilkul bicha lete h ya aurtein zair-e-naaf hath bandhte hain to ye theik nahi.
(*) yeh school of thoghts ka faraq hai... dounouN tarah say "Theek" hai. aap kissi bhi aik taarh ko follow karsakti haiN...donoun soorat main namaaz "masnoon" ho hogi. jaisay mard with rafa'a-yadain k saath bhi namaaz paRh saktay hain aur beghair rafa'a-yadain k bhi...donoun tareeqay sunnat say saabit haiN........issi tarah aurtoun ka kohniyouN ko bicha lena bhi durust hai, imaam aazam abu hanifa k nazdeeq...see above article
-aur jahan tak humari qaza namazein hain to hume koi tedad yad nahi hoti,hume Abu kehte hain k aap hr namaz k sath aik qaza zaror parh lein.agar aap ki qaza namazein ada ho chuki hon gi to ye aap ki nafli ibadat kehlai gi yani hume nawafil ada krne ka sawab hasil ho jae ga.
(*) yeh tareeqah bhi bilkul sahih aur asaan hai...... waisay qaza.e.omri ... baaz olemaa k nazdeeq "maaf' bhi hojati hai...aik hadees ka mafhoom hai k jab insaan hajj karta hai to woh gonaahoun say iss tarah paak hojata hai, jaisay woh ossi din paida howaa ho... goya tab oski 'qaza namaazoun ka gonaah" bhi maaf hojata hai......lekin deger olemaa yeh kahtay hain k phir bhi qaza namazain adaa kar lena afzal hai...
|
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:24th May 2011, 2:44am |
|
|
myrizvi bhai aap ki baat se baat karoNgi. jab insaan sachay dil se toba o astaghfaar karta hae to us k gunnah maaf hojatay haiN lekin haq baqi reh jata hae. toba k baad haq ki adaiyegi karna zaroori hae.
isi tarah toba aur astaghfaar meiN bhi farq hae. jab insaan koi gunnah karay to us pe toba karay. sharmindagi aur nadamat se ki gai toba Allah pak qabool farmata hae aur insaan ko gunnahoN se pak kar deta hae.
ashtaghfaar gunaahoN par nahi ki jati balkay yeh to har waqt karni chahiye subha aur shaam ki tasbeehaat meiN ashtaghfaar ki tasbeeh bhi shamil hae. Nabi Pak sallalahO alehay wasallam har nimaz k baad 3 martba Alhamdollilah aur 3 martba astaghferullah paRhtay thay. aur is ka faida yeh bataya gaya hae k jo hum ne ibadat ki us pe Allah ka shukar ada karaiN k us ne taufeeq ata farmai. taufeeq k baghair koi amal ho hi nahi sakta. ashtaghfaar isliye k agar ibadat maiN koi kami kotaahi reh gai ho to Allah pak usay muaf farmaye. aur ibadat k takabur se bhi bachaye.
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6333 Age:
53
|
|
Posted on:24th May 2011, 5:26am |
|
|
very true ...jab insaan sachay dil se toba o astaghfaar karta hae to us k gunnah maaf hojatay haiN lekin haq baqi reh jata hae....
g haaN "haqooq ki adayegi" gonaahouN ki maafi k baad bhi baqi rah jata hai, jissay adaa karna hota hai.... yahaaN tak to baat "muttafiq alaih" hai...iskay agay iski 2 tashreeaat ki jati haiN
1) har 2 qism k wajibull adaa "haqooq" (haqooq Allah n Haqooq ul ibaad) adaa karnay hongay
2) sirf "haqooq ul ibaad" adaa karnay hongay, jaisay kissi ka qarza ho to ada karna hoga, kissi ko nuqsaan pahonchaya ho to oski talafi karni hogi, kisis ka dil dokhaya ho to oss say maafi maangni hogi etc etc... haqooq Allah Allah ta'ala maaf kardetaa hai.......... jaisay Allah ki ibadat (latest shariyat k motaabiq) to har insaan par farz hai...... lekin aik shakhs jo hosh sambhaalnay k baad latest shariyat ko nah maantay howay (as a kaafir) Allah ki ibadat nah karkay mosalsal gonaah kar raha hota hai (gonaah ka mortakib sif mosalmaan nahi balkay non-muslim bhi karta hai... farq sirf yeh hai k non-muslim gonaah ko gonaah bhi nahi maantaa...aur muslim maanta hai)...... lekin jab woh revert (not convert) hokar "islam lay aata hai. to Allah oskay tamaam gonaah maaf kardetay haiN. ab ossay apni sabeqah nah adaa ki jaanay wali ibadatouN ki "qaza" nahi karni hogi... balkay even yeh k ab tak woh jo sood ki leta raha hai yaa HARAM zariyah amadani haasil karta raha hai woh bhi wapis nahi karna hoga albattah agar kissi ka qarz, ho, kissi k saath unjustice kia ho to issay "adaa" karna hoga.................issi tanaazur maiN baaz ulemaa kahtay hain k aik fard agar saalhaa saal tak namaz-rozah say bay ghaafil raha ho... to sachi taubah k baad iski qaza agarchay k afzal aur taqwa ka hai...magar farz nahi
waisay bhi agar aik shakhs 40/50 saal tak namaaz rozah say door raha ho... aur phir woh namaaz rozah ki taraf maail hona chaahay...aur koi molvi kahay k Theek hai tum nay taubah karli aur ab 5 waqtah namazi banna chaahtay ho...magar tumhaiN ab tak (30/40 saal) ki namazaiN bhi qaza karni hongi aur rozah bhi rakhna hoga......to zara dil par haath rakh kar batlaiyyeh k aaj k ahad k insaan ka 'response' kia hoga...woh yehi kahegaa... bi billi, chooha lanDora hi bhalaa :)
aik hadees ka mafhoom hai k deen k baray main jab 2 options maujood houN to hamesha asaan option ko opt karo
wallaho aalam bissawab. |
|