Namaz ke Sharteen: Inka Sekhna Her Musalman Per Ferz Hai
Alhudulillaahi Rabbil Alameen,Wassalatu assalamu alaika YA Syedil mursaleen,Ammaa Baaad Fa' Azu billaahi minash shaitwaa nirra jeem, Bismillaa hirrah maa nirrah heem. Assalat O Wassalam O Alaika Ya Rasool ALLAH Assalat O Wassalam O Alaika Ya Habeeb ALLAH Assalat O Wassalam O Alaika Ya Nabi ALLAH Assalat O Wassalam O Alaika Ya Noor ALLAH waAla Alika wa Ashabika ya Rehmata lil Aalameen! Pyare islami bhaiyoun aur bheno,ye ilm jo bheja jaraha hai uska sikhna her musalman mard aur aurat pe farz hai, agar hum nahi sikhenge to kal baroze qiyamath me hume her amal tarq karne ki yewaz me dugna azaab milega. Namaz ke 6 shartain hai 1:Taharath 2:Satre Aurath 3:Isteqbale Qibla 4:Waqt 5:Niyat 6:Takbire therima. TAHARATH: Namaz ki pheli shart taharath hai, ek namazi ki 3 chizain pak rehena zarori hai 1:Jism ka paak hona 2:badan ka paak hona 3:woh jagha jisper woh namaz padna chahata hai, kam az kam itni jagha paak hona ke jitni jagha me woh namaz pad sakhat hai صلو علی الحبیب صلی اللہ تعا لی علی محمد
|