ghalib1505 |
Group: Members Joined: 15th May, 2012 Topic: 6 Post: 77 Age:
22
|
|
Posted on:3rd Aug 2012, 7:37pm |
|
|
Indian boy ki Pakistani girl se shadi ek Indian boy Pakistani girl se shadi ker sakta hai unke pairents
razi hai..plz jisko jawab maloom ho ya experience person jwab de.boy
saudi arab me job kerta hai.girl pak me rahti hai..plz ans..thanks
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2417 Age:
48
|
|
Posted on:3rd Aug 2012, 8:36pm |
|
|
ghalib1505
is main sawal kya hai? lerki ko umra per bulain with family yahan nikah kerain aur lerki ap k IQAMA per transfer ho sakty hai kuch mehnat k baad |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6467 Age:
54
|
|
Posted on:3rd Aug 2012, 10:40pm |
|
|
agreed with wehshi bhai yeh to bahoot simple hai ... waisay indian national ki pakistani national say shadiyaan to common haiN... abhi haal hi maiN pakistani cricketer shoaib malik nay indian tennis star sania mirza say shadi ki hai...
|
ghalib1505 |
Group: Members Joined: 15th May, 2012 Topic: 6 Post: 77 Age:
22
|
|
Posted on:4th Aug 2012, 8:31am |
|
|
Wahshi bhai aap ko pakka maloom hai ki Umrah per aaker Maktab se Nikah ho sakta hai..ager koi jaanta ho ya kisi ki marriage hui ho to plz uska contact no. diyga...
Thanks
|
ghalib1505 |
Group: Members Joined: 15th May, 2012 Topic: 6 Post: 77 Age:
22
|
|
Posted on:16th Aug 2012, 9:52am |
|
|
plz koi to btaye ki kisi ki knowledge me aise shadi hui haii kya formalities hain..plz
|
tote_sapne |
Group: Members Joined: 02nd Nov, 2011 Topic: 5 Post: 1136 Age:
27
|
|
Posted on:17th Aug 2012, 1:31am |
|
|
ha q nhi jb parents razi hai to q nhi ho skti shadi kr skte ho
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2417 Age:
48
|
|
Posted on:21st Aug 2012, 3:42pm |
|
|
TOTE_SAPNE
welcome bohat arsa baad wapsi hui us ka masla shadi nhn balkay shadi ker k lerki ko saudia main rakhna hai |
ghalib1505 |
Group: Members Joined: 15th May, 2012 Topic: 6 Post: 77 Age:
22
|
|
Posted on:22nd Aug 2012, 7:28pm |
|
|
masla ye hai ki larki india ki nationality kaise le sakti hai..or pakistan jana ho to kaise
|
ghalib1505 |
Group: Members Joined: 15th May, 2012 Topic: 6 Post: 77 Age:
22
|
|
Posted on:22nd Aug 2012, 7:30pm |
|
|
or nikah k liy uska saudi me hona zroori hai yaha nikah maktab yaani court se hota hai..plz jawab deye..
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:24th Aug 2012, 10:00pm |
|
|
ghalib 1505 aisa nhi hosakta k wo omrah k visa per aye aur nikah hojaye...........aisa hone lgy to unmarried log apni mangaiter ko omrah k visa per bulaye aur nikah perhwaye...........
yaha ksa me nikah k liye kuch documents chahiye hoty hein lurki saudi arab me ho uska wali bhi mjood ho dono k pass iqama ho iqama expire na ho......
ksa me usi lurki se nikah hosakta hai jiskay pass iqama hota hai aur lurki ka jo wali hoga uskay pass bhi iqama hona zarori hai.
yeh wrong aur kanoon k hilaaf hai k omrah per bulaye aur nikah hojaye apka nikah hosakta hai laikin court mein nhi kio k lurki iqama holder nhi aur uska visa bhi omrah ka hai.
lurki se nikah k liye apko india jana prega ya usko pak ana prega nikah k baad saudi arab me akar ap apne kafeel k zariye uska visa laysakty hein ya company k throug niklwa sakty hein visa..........
aik baat zehan e rkh lijiye k ksa me bgair iqama k nikah nahi hota chahy wo lurki ho ya lurka kio k 18ki age k baad sab k iqamay alg hojaty hein aur abb to kuch monthss se un bcho k bhi alg iqama bn rhy ehin jo abhi kuch motnhs k hein.
yeh info mjy isliye pta hein kio k mera nikah saudi arab me hua hai........aur mein aisi bht si families ko janti hu jinkay pas iqama nhi hai laikn unki betio ki yhaa shadi hui hai wo shadi aisay hui k lurka pak jata waha jakar waha ka molvi fone per nikah perhata aur lurkaa wapus saudi arab ajata istrah krne se yha mjood lurki uski bivi bn jati hai laikin wo admi unmarried hi rehta uskay pass koi saboot nhi k wo lurki uski bivi hai.
hospital jaye ya deleivry ka case ho aisay mein wo bht si mushklaat ka samna krta hai aur jo bcha paida ho usko baap ka naam tk nhi naseeb hota.........
isliye behter hai k illegal treqay per chulne ki bjaye legal kaam kia jaye aur bqaida visa bhaij kr apne pass bula lia jaye.
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2417 Age:
48
|
|
Posted on:25th Aug 2012, 7:24am |
|
|
hasna
ap ne to bilkul hi dara diya hai sab ko aisa nhn hai JADDAH main log visit visa per family latay hain 4-4 bachay ho jatay hain aur phir wapis bhej detay hain nikah k liyay lerkay k papers hona zaruri hai k woh legal iqama rakhta ho lekin lerki ager visit per ho ya umrah per bhi to nikah ho jata hai us k baad lerkay ki himat hai k pesay kharach keray aur iqama banwa le kiun k ismain about 10000-15000 riyal lagtay hain han lerki ak wali hona zaruri hai ager lerki kanwari hai to werna lerki HALAF YAMEEn deti hai k mutaliqa hai ya bewa hai aur passport saboot deta hai to nikah ho jata hai nikah k liyay itni problem nhn us k baad even nikah counsol ki sifarish per 1 month extention bhi mil sakty hai umrah visa main aur 6 month visit visa main ghalib saheb ko sari detail bata di hai woh bas khel rahay hain aur kuch nhn ab koi in ka nikah kerwa ker iqama lagwa ker in ki biwi in k hawalay to kernay se raha kerna to sab inhi ko hai wesay bhi mujhay shak hai yeh net ki dosty per shadi ka chakar chala ker bethay huway hain isi liyay itni detail mang rahay hain |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:25th Aug 2012, 8:08am |
|
|
wehshi uncle kaisay ho aap??? kaif arsay se aapse baat nhi hui lgta ap apna yahoo id ka pw bhool chukay hein..........:D
ji hmm aisa hota hai k log visit visa per families laty hein laikin wo families laty hein jo k uski wife hoti hai aur pehlay se nikah hua hota hai tbhi visit visa nikltaa hai..........
aisa nhi hota k koi knwari lurki ksa aye omrah k visa per aur usse nikah hojaye yha k court nikah nhi krty aisay.........hmm illegal treeqay se hosakta hai....jisme koi record nhi mjood hota aur wo lurki ka passport per omrah ka 15din ya 30din ka hi visa lga hota hai............aur jo log omrah k visa per ate hein wo makkah madina aur jeddah k ilawa kahi bahar ja bhi nahi sakty pkre jaye to prob hi prob hai...........
jb 10 se 15hazar lgana hi hai to phir pak jakar nikah krlay taky jb ksa wapus akar visit visa niklwaye to yeh mlooom ho k bivi ko bula rha kio k visit pe rbulane k liye jo bnda iqama daita hai wo yeh bhi btata k maa ko bula rha baap behan beti ya bivi ko..........abhi tak kisi ne apni mangaiter ko nhi bulaya visit per ya omrah visa per nikah krne k liye.......:D
behte rhul to yehi hai k lurka india jaye lurki pak mein hai phone per nikah hojaye lurkay ko sab documents mile lurki apna passport bnwaye aur lurka ksa akar apni bivi k liye visa niklwaa lay chahy visit chahy omrah ka aur chahy pkaaa visa............
ajkal net ki dostiya aisay hi rishtedario me badal jati hein.......:D
|
ghalib1505 |
Group: Members Joined: 15th May, 2012 Topic: 6 Post: 77 Age:
22
|
|
Posted on:25th Aug 2012, 8:36am |
|
|
wahshi n hasna thanks thanks hasna information k liye..darasal wahshi ne sahi kaha ki net ki dosti hai..dosti net se shuru huii or berh gyiii ..khairr ham dono serius hain ..aaj kal wo log umrah per aaye hai meri mulaqaat hui first time..unke walid bhii ..unko koi problem nahii..bass mere ghar wale sirf is baat per nahii man rahe ki pakistaan or india k bech visa ka masla bahot hai..khairr phone ya net per nikah mere bhii zehan me hai.. :)InshAllah mai october me india ja ker apne waldain ko razi kerta hooon ..aap bhii dua kriyega ki sab khairiyt se ho..mai to job kerta hoon visa company de degi isme mushkill nahi hai or mera profesion bhii Computer Tech.hai to visit bhii nikal aayega InshAllah.
thanks for reply mai unlogo ko talash ker raha hoon jo shadi ker chuke hain ager aap ki nazar me koi ho to bataiyega main unse mazeed malumaat kerna chahta hoon..
thanks
|
ghalib1505 |
Group: Members Joined: 15th May, 2012 Topic: 6 Post: 77 Age:
22
|
|
Posted on:25th Aug 2012, 8:40am |
|
|
visa k liye kuch paper work hai.. http://marriagepartner.com/forum/showthread.php?t=300
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2417 Age:
48
|
|
Posted on:27th Aug 2012, 2:12am |
|
|
hasna
ji nhn na main id bhoola hun na password bs jab dekha k logon k NAKHRAY ziyadah ho gai hain :):):) :_P to on line aana hi chor diya wesay din main aik bar hazri zarur deta hun id per kiun k kuch MUREED/ MAREEZ hain aur kuch new aatay rehtay hain :):):) |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:27th Aug 2012, 6:44am |
|
|
wehshi uncle yeh ahci baat hai k aap id and pw nhi bholay...........
yeh to riwaaj haina k naye dost mil jaye to log purane dosto ko bhool jaty hien.
apne online anaa nhi chora laikin NAKHRAY walo se baat krna chor dia.
hush rhy aap.............jinkay liye aap hazri daity hein unkay sath Allah apko uhsh rkhay Allah hafiz
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2417 Age:
48
|
|
Posted on:29th Aug 2012, 5:53am |
|
|
hasna
main puranon ko bhi nhn bhoola aur koi naya dost bhi nhn hai MUreed/ Mareez dost nhn hotay wesay tum nakhray walon main shamil nhn ho msg kero jawab milay ga |
4u4aver |
Group: Members Joined: 22nd Oct, 2012 Topic: 0 Post: 50 Age:
31
|
Blocked |
Posted on:22nd Dec 2012, 6:05pm |
|
|
Best way Nice reply
|
|