jhooTi qasam ka kafarah
1. sab say pahlay to yeh jaan lijyeh k Allahk elawah kissi aur k naam ki qasam oThana manaa hai. jab kabhi bhi qasam oThanay ki naubat aa jaa.ay sirf aur sirf Allah k naamki qasamoThayaiN... waisay baat baat par qasam oThana bhi pasandeedah nahi hai
2. agar qasam oThaa kar toR dia jaa.ay yaa jhooTi qasam oThaa li jaa.ay to qasam ka kaffarah quran maiN yeh bayaan kia gaya hai
تم لوگ جو مُہمل قسمیں کھا لیتے ہو اُن پر اللہ گرفت نہیں کرتا، مگر جو قسمیں تم جان بُوجھ کر کھاتے ہو اُن پر وہ ضرور تم سے مواخذہ کرے گا۔ (ایسی قسم توڑنے کا) کفارہ یہ ہے کہ دس مسکینوں کو وہ اوسط درجہ کا کھانا کھلاؤ جو تم اپنے بال بچّوں کو کھلاتے ہو، یا انہیں کپڑے پہناؤ، یا ایک غلام آزاد کرو، اور جو اس کی استطاعت نہ رکھتا ہو وہ تین دن کے روزے رکھے۔ یہ تمہاری قسموں کا کفارہ ہے جب کہ تم قسم کھا کر توڑ دو۔ اپنی قسموں کی حفاظت کیا کرو۔ اس طرح اللہ اپنے احکام تمہارے لیے واضح کرتا ہے شاید کہ تم شکر ادا کرو۔المآئدۃ۔۔۔ ۸۹
3. in ayaat ki roo say qasam k teen kaffarah hai awwal kissi ghulaam ko azaad karna, jo ajkal nahi paa.ay jaatay... yaa phir yeh k 10 ghareebou ko khanaa khelana yaa kapRay dena ... yaa phir yeh k teen rozay rakhna
4. waisay chouNkay apnay yeh jhooTi qasam kissi ki izzat bachanay k liyeh oThayee thi iss liyeh apko insha Allah koi gonaah to nahi hoga lekin kaffarah adaa kar daiN to yeh afzal hai
wallaho aalam bissawab
PS: yeh forum koi islamic forum nahi hai aur yahaaN koi aalime deen ya mufti bhi nahi hai jo kiss bhi maslah maiN fatwa desakay. ham log apni apni deeni maloomaat k motaabiq aisay sawalouN k jawaabaat detay haiN... agar kissi ko in jawaabaat say itminaan nah ho to laazman kissi aalim /mufti say rajoo karay
|