Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Articles
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Wazoo In Islam: Wazoo Ka Tareeqa Aur Bayaan

Articles   >>  Islamic Articles
Weight Gain Diet
Are Popular Weight Gain Diet Strategies Harmful To Bodybuilding Results?
Effective Weight Gain
Effective Weight Gain With Supplements
Weight Gain Danger
The Dangers of Rapid Weight Gain
Weight Gain Effects
The Effects Of Weight Gain On Our Health
paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:16th Nov 2009, 9:33pm
 

Wazoo In Islam: Wazoo Ka Tareeqa Aur Bayaan

Alhumdulillaahi Rabbil Alameen, Wassalatu assalamu alaika YA Syedil mursaleen,

Ammaa Baaad Fa' Azu billaahi minash shaitwaa nirra jeem, Bismillaa hirrah maa nirrah heem.

Assalat O Wassalam O Alaika Ya Rasool ALLAH
Assalat O Wassalam O Alaika Ya Habeeb ALLAH
Assalat O Wassalam O Alaika Ya Nabi ALLAH
Assalat O Wassalam O Alaika Ya Noor ALLAH
waAla Alika wa Ashabika ya Rehmata lil Aalameen!

 

Inshallah ess topic mein hum Wazu ka mufassil tareeqa parhengee. Yaad rakhea Nazma ke qabooleyat ka Daroomadar Wazu per hai agar Wazu naqees hua tu namaz parhna na parhna barabar hogaya...

Wazu k 4 Faraiz, 12 Sunnate, 26 Mustahab hai...

Wazu ke farayiz

Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam farmate hai ke wazu me 4 farz
hai,

1. Chehera Dhona: chehera yahantak dhona ke, apne balo ki ibteda se
leker thuddi ke niche tak aur ek kan ke lov(corner) se leker dusre kan
ke lov tak
2. Apne donu haton ko koniyoun sameth dhona
3. Chauthayi sarka masa karna
4. Apne donu pairon ko takhno sameth dhona

Ye hai Wazu ke 4 Faraiz

Farz use kehete hai jise karna zarori hai aur uske bagair wazu
mukammil nahi hota,isiliye jab aap wazu karte hai to zyada ahtiyath
rakhkhe ke jo hisse(parts) wazu me dhona farz hai use achchi tarikhe
se dhole warna wazu nahi hoga aur jab wazu hi nahi howa to namaz bhi
nahi hogi.

wazu ki niyath

"Bismillaahi wal hamdu lillaahi Ata wadda'oo lirafayil hadas"

yun to wazu ki niyatein buhat sari hai,usme se ek ya bhi hai. Apko jo
ati hai woh padle magar wazu ki niyath karne se pehle"Bismillaahi wal
hamdu lillaahi " kheliya kare kyun ki

Pyare Aqa swallallaahu alai hi wa sallam farmate hai ke "jo shaks wazu
shuru karne se pehle Bismillaahi wal humdu lillaahi" kahega to Allaah
azzawajal,use jab tak uska wazu bhakhi rahega tab tak uske namaye amal
me pal pal nekiya ata farmayega chahe woh kuch ibaadat kare ya na
kare"

dekhiye sirf thudi si tawazzu deker agar hum wazu ki niyat karne se
pehle " Bismillaahi wal hamdu lillaahi" kahe to hamare namaye amal me
bhahut sare nekiya milenge

Wazu ka tarikha

Wazu shuru karne se phele wazu ki niyath karle: Jise wazu ki niyath
Arabi me ati hai woh Arabi me karle aur jise nahi ati hai woh sikhne
ki koshish kare aur sikhne tak tho woh apni zuban me karle aur apni
zuban me istarha kare "Ya Allaah my wazu karta hoon paki hasil karne
ke liye" agar hum itna kahe to hamari wazu ki niyath ho jayegi magar
Arabi me karne ki koshish kare kyun ki Arabi me niyath ya dusre
duwayein karna woh bhi Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam ki
sunnath hai aur

Niyath karlene ke bad apne donu haton ko pahunche (Wrist) tak dho
lein: agar aap anghoti pehne hai tho ye khas khayal rakkhen ke anghoti
ko bhi harkat de,ta'aki anghoti ke peechewali jo ungalika hissa hai
woh bhi bhig jaye kyun ki uska bhi dhona farz hai aur us hisse ko nahi
bhigayenge tho hamara wazu nahi hoga aur wazu nahi hoga to hamari
namaz bhi nahi hogi kyun ke Pyare Aqa swallallahu alai hi wasallam
farmate hai ke "Wazu Namaz ki kunji hai aur namaz wazu ki kunji hai"

Miswak kare: Apne dono haton ko pahuncho (Wrist) tak dhone ke bad 3
martaba Miswak kare,Insha-Allaah azzawajal miswak ka tarikha aur uske
sunnatein wazu ka topic khatam hone ke bad bataya jayega, Miswak karne
ke bad 3 martaba garare ke sath

Kulli Karen: kulli kare aur aap Roze ki halath mein ho tho garare ke
sath na kare balke sirf kulli kare,agar roze ke halath mein nahi hai
tho garare ke sath hi kulli kare kyun ki garare ke sath kulli karna ye
bhi mere Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam ki pyari sunnath hai.

Naak Saaf Karen: Apne naak ke naram haddi tak 3 martaba pani chadaye
aur uske bad naak saaf kare,naak saaf karne ka tarikha ye hai ke apni
bayen(left) haath ki kiri (choti) ungli le kar phele naak ki dayen
(Right) taraf saaf kare aur phir bayen(left) taraf apne naak saaf
karlen.

Chehra Dhoyen: Chehra dhone ka tarikha ye hai ke, phele ek martaba
hateinliyon mein pani leker apni peshani ki jagah se bhahaye aur
achche tarikhe se mal lein(lagadle) phir 2 martaba aur usi tarikhe se
pani bhahaye aur achhi tarah chehra mal lein. Pyare Aqa swallallahu
alai hi wa sallam ke pyare dewano,jab ham chehera dhote hai to ye
ahtiyath rakhkhe ki abro bhi bhigna chayiye aur ankh ke palkhe aur
palkhon ke upar wala hissa her jaga bhigna chayiye warna hamara wazu
nahi hoga isiliye jab aap chehera dhote hai to achchi tarikhe se mal
lein, aur chehera dhone ke bad apne dadi(beard) ka khilal karen. Dadi
ka khilal karne ka tarikha ye hai ke phele apne aage ke janib pani
bhahaye, phir daayen (right) janib aur phir bayen(left) janib bhahaye
aur pani bhahakar acchi tarikhe se lagadlein. Is baat ka khas khayal
rakhkhe ke dadi ke balon ki jad tak pani pahunche 

Haath Dhoyen: 3 martaba apne dono hathon ko koniyoun sameth dhoye.
Phele sidha(right) hath dhoye aur phir bayen(left). Jab aap sidha
(right) hath dhote hai to phele ek martaba pani bhahaye aur apne hath
ko acche tarikhe se ragadle(malle) aur phir 2 martaba pani bhahaye aur
phir usi tarha bayan hath dhoye,phele ek martaba pani bhahaker acche
tarikhe se apne hath ko ragadle,phir 2 martaba pani bhahaye,ye tha
hathon ko dhone ka tarikha,apne dono haton ko dhone ke bad pure sarka
masa kare

Sar ka Masa Karna: Pehle apne haton mein pani le lein aur apne dono
haton ko teen hisson mein baant lein.
Pehla hissa Kiri (Choti) Ungali, beech wali ungali aur
ungoothi wali ungali, in teen ungaliyon ko ek hissen mein baant lein.
Dusra hissa apni shahadath ki ungali
Teesra hissa apna Ungootha.
Iske baad sar ka Masa karen. pehle apne haton ke pehle hisse se (Teen
Ungaliyon se) apne sar ke uper ke hisse ko (Jahan se bal shuru hote
hein) peeche tak mal lein. phir apni hatheliyon se sar ke dono side ke
balon ko peeche se lekar aage tak malein. Uske baad Dusra hisse
(Shahadath ki Ungali) se apne kanorn ke ander saaf karen. Phir teesra
Hisse(Anghootthe) se apne kaan ke uper masa karen aur akhir apne
hatheliyon ki peet se (back side of your Palm) gale ke pichle hisse ka
masa karen.

Pair Dhoyen: Donu pairo ko takhno sameth dhoye, phele sidha (right)
pair dhoye aur phir bayan(left) pair dhoye. Jab ap sidha(right) pair
dhote hai tho pair ke ungaliyoun ka khilal is tarah karen ke apni
bayean(left) haath ki kiri(choti) ungli leker pair ki har ungli ke
darmiyan 3-3 bar khilal karen (Pair ki choti ungli(kiri ungli) se
shuru karte huea tarteeb se unghootthe per khatam karen). Aur usi
tarha apna bayen(left) pair ko bhi dhoye (Bayen pair ke anghootthe se
shuru karte huea tarteeb se choti ungli per khatam karen).Aur jab aap
pair dhote hai to ye zyada ahtiyath rakhkhe ke pair ke talwe ko bhi
pani pahunchna chayiye aur agar apke pairon ki yediyean phati hai
(yani krack pade hoo) to achche tarha se ragad kar pani bahaye agar
waha pani nahi pahuncha tho hamara wazu qubul nahi haga. Aur jab wazu
hi qubul nahi hoga to hamari namaz bhi qubul nahi hogi.

NOTE: jab aap wazu me pair dhote hai to sirf bayen(left) hath istemal
kare, sida(right) hath istemal na kare kyun ki woh makrooh hai

Donu pair ko dholene ke baad apne donu hathon ko pahunchotak dhoye aur
qibla rookh hoker kalmaye shahadath pade(2 kalma).

Kalmaye Shahadath:"Ash hadu An laa iIlaaha illallaahu Wahdahuu Laa
Sharikalahuu Wa Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasooluhu"

Ye hai wazu ka mukamal tarikha

Please Note: Uper bataye tarike mein kisi tarah ki galati, ya khami,
ya chook ho gayi ho tho aap please hamein batayen. Ta'aki kisi se
galati na ho.

Dua hai ki Rabbe qadir hamein aur aapko sunnaton per amal karte huea
mukammal tarike se Wazu karne ki taufiq ada farmaye (Ameen)

Ameen Bejaahen-Nabiel Amen Sallallaho Alahe Wasallam…

Sallo Alaal Habib Sallallaho Ta'aala Alahe Wasallam

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6346  Age:  35  
Posted on:16th Nov 2009, 10:25pm
 

parooot

                                            SOBHAAN ALLAH

Very nice parooot ap ny bot he acha kaam shoro keya hy its sudqaa jariyaa or bot he common and bot he important topic hy I think k esy ziyada zuroorat os kis topic ki ho ge hum meh bots say log hen jo numaz k tureeky sa nawakif hen wozo or gosaal k musaayl say na wakif hen mujy boot he khoshi hoi ap ki ye post daykh k .

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:17th Nov 2009, 9:06am
 

Jazakallah Qasim Bhai

Read karne ka bahut bahut shukriyaan. yehe dua hai k har musaalman tamam faraiz uloom seekh lee taake kese ke koi ebadaat zaya na ho...

Allah sab hum sab ko elmee deen seekhne ke dilchaspee aur dosroo tak phelane kee taufiq ataa farmayen .... Ameen

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3217  Age:  36  
Posted on:17th Nov 2009, 10:22am
 

my dear proot

 Yaad rakhea Nazma ke qabooleyat ka Daroomadar Wazu per hai.....

  • kia nimaz ki kabooliyat ka taluq sirf sehi wazoo k sath hi hey...niyat k sath nhi...?

  • sirf wazoo hi qbooliyat-e-nimaz k liye zroori hoo to phir jo loog wazoo nhi kr skty ...or tyamum kerty hain ..un ki namaz to gayee...ap k mutabiq...!

 
paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:17th Nov 2009, 11:17pm
 

Bhoole Bhalee Diplomate

Main ne apne thread mein ess sentence mein sirf ka word kaha use kya hai tell me !!!

 

Namaz ke qamooliyat ka daroomadad jen cheezo per hai uss mein se 1 wazu bhi hai khale wazu ya niyat per nahi balkee Qabooliyat ka daroomadad namaz gusul aur kahii cheezo per hai...

wazu kab saqeet ho jata hai tayammam ke kab shariat ijazat dete hai main ne ess se related baat nahi ke yeh alag matter hai main General talk kar raha ho aur Routine mein humee Tayyammam ke zaroorat nahi parte aur na he main ess masle per baat kee hai main ne just Wazu ka tareeqe per baat ke hai ..

App ne mere sentence ko Sirf se join kar deya hai jab k main ne Sirf nahi lekha...

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3217  Age:  36  
Posted on:18th Nov 2009, 10:32am
 

re...wazoo ka treeqa

paroot sahib mera swal prr k koi ftwa jari na kr dyna yar sirf jwab dyna...


hum jub wazoo sy pehly "istenja" ki ghrz sy wash roon jatey hain to wahan la'mhala toor pr hamarey pairoon (feet) per gundgi ki cheety prrty hain...to iss soort main humain (hath dhoony k baad) wazoo krny sy pehly kia apny paoon nhi dhoony chahiye...wazoo k end main q apny paoon dhooty hain...iss trha to sara wazoo hraab nhi hoo jata..pehly hmain nijast ko saaf krna chahiye...phir wzoo start krna chahiye...baad main paoon dhooye to phir nijas cheettoon k bazoo or legs pr prrny ka hdsha ho jata hey....iss lihaz sy wazoo k harab hony ka khtka dil main paida hoo skta hey.....
paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:19th Nov 2009, 9:58pm
 

Diplomate

First of all:   Main na he aleem ho na mufti na he koi zeyada illm hai so mera fatwa dene se koi talluq nahi hai app ne yeh kese soch leya ainda essa na kahee gaa app ke bargha main arz hai...

Peshab ke cheento se bachna farz hai agar cheente paarte hai tu ess ke kahe wajah hai khare khare peshap karna edher udher washroom mein peshab karna agar sunnat tareeqe k mutabiq istanja kya jai tu koi pareshane nahi hogee Inshallah...

pehshab k wo drops jo needle ke nook se zeyada bareek hote hai uss se kapre wageera napaak nahi hote leken albatta kese ke jism ya kaproo per lag jai or namaz mein khusu peeda na horaha ho waswasee atee hai tu app first paoo wash kar lee taake zehen se khayalat ess tarha k khatam ho jai

leken ess ka haal yeh nahi hai k har baar pheel paoo wash kar k wazu kya jai balkee haal yeh hai k peshab k qatroo  se bacha jai....

wazu tu sunnat k mutabiq he kejea last mein paoo wash karee phele nahi albatta istanja se fareeg ho kar wash karle agar karna chahe qatroo ke waja se..

Hadees mein ess tarha ka mafhoom mojood hai k zeyada taar Azaab-e-Qabar jen cheezo se hota hai unn mein 1 reason Peshap k Qatroon se na bachna bhi hai...

Har tarha ke najasat ke baree mein janne k leye wazu gusul istanja ka tareeqa aur ess se related tarha tarha tarha ke masail janne k leye study kejea book "BAHAR-E-SHARIAT PART-2" Published by Maktaba-tul-Madina...

tuba Ahmad Group: Members  Joined: 30th Jul, 2010  Topic: 23  Post: 165  Age:  28  
Posted on:2nd Aug 2010, 2:06am
 

Topic is very good

wakaye ye topic bahut hi jayda acha hai. hume to jayda nahi lakin khuch malum tha lakin mere husband ke leye ye topic bahut hi unda hai ye hum jarur apne husband ko read karege.
imranhatke Group: Members  Joined: 30th Nov, 2011  Topic: 1  Post: 24  Age:  21  
Posted on:30th Nov 2011, 3:26am
 

JAZAKALLAH

AAPKA TOPIC BAHUT ACHHCHHA HAI MERE BHAI MGAR UPER AAPNE JO YE LIKHA HAI MUJHE USKA TRANSLET BATA DO


Assalat O Wassalam O Alaika Ya Rasool ALLAH
Assalat O Wassalam O Alaika Ya Habeeb ALLAH
Assalat O Wassalam O Alaika Ya Nabi ALLAH
Assalat O Wassalam O Alaika Ya Noor ALLAH
waAla Alika wa Ashabika ya Rehmata lil Aalameen!

imranhatke Group: Members  Joined: 30th Nov, 2011  Topic: 1  Post: 24  Age:  21  
Posted on:30th Nov 2011, 3:32am
 

JAZAKALLAH

AAPKA TOPIC BAHUT ACHHCHHA HAI MERE BHAI MGAR UPER AAPNE JO YE LIKHA HAI MUJHE USKA TRANSLET BATA DO


Assalat O Wassalam O Alaika Ya Rasool ALLAH
Assalat O Wassalam O Alaika Ya Habeeb ALLAH
Assalat O Wassalam O Alaika Ya Nabi ALLAH
Assalat O Wassalam O Alaika Ya Noor ALLAH
waAla Alika wa Ashabika ya Rehmata lil Aalameen!

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4259  Age:  38  
Posted on:4th Feb 2012, 7:42am
 

wudhu ko hi sahi nahi manta

hamaray forum ke aik member Mufti sahe farmatay hai keh: "meray bhai namaz to bohat dour ki baat hai mein aap k wudhu ko hi sahi nahi manta."

ref: Namaz Ka Tareeqa In Urdu




soniazafar Group: Members  Joined: 25th Mar, 2012  Topic: 2  Post: 8  Age:  23  
Posted on:4th Jul 2012, 3:25am
 

in4mation

kya girls nail polish laga kr wudu kr skte hn yh lge ho to wudu ho skta hy plz tell me or kya girls razir use kr skte hn with ahadh answr dana plz
soniazafar Group: Members  Joined: 25th Mar, 2012  Topic: 2  Post: 8  Age:  23  
Posted on:7th Jul 2012, 4:06am
 

in4mation

bakwas hy yh site koi answer to data nh

dakraziest Group: Members  Joined: 04th Jul, 2012  Topic: 0  Post: 30  Age:  24  
Posted on:7th Jul 2012, 9:02am
 

no

most mullahs believe that after painting the nails u cant do wadu for it is a coating whivh prevents water from reaching too the nails

n regarding razor im not sure but i would you suggest you to use hair removing creams instead razors in long term would result in harder skin and it causes faster hair growth
btw if u r planning to use hair removing cream then make sure that you test it first
y dnt u opt for waxing its way easier and quicker then above two
1
Gall Bladder Symptoms
How to Recognize the Symptoms of Gall Bladder Disease
Gall Bladder Anomalies
Gall Bladder Congenital Anomalies and the Treatment of Gall Bladder Disease
Gall Bladder Pain
The Actual Causes of Gall Bladder Pain
Gall Stones
Gall Bladder and Gallstones
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012