Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:24th May 2011, 5:40am |
|
|
jazakAllah. exactly. maiN aap se sehmat huN ji :) non muslim jab islam meiN revert hota hae to woh bilkul masoom hota hae. aur jitni zindagi us ne ghaflat meiN guzaari, Allah pak usay muaf farma deta hae aur us ka koi muakhza nahi hoga. kyuN k by chance muslim honay aur by choice muslim honay meiN bohat farq hae. As a muslim agar hum log saari zindagi Allah pak ka yehi shukar ada kartay rahaiN k Allah pak ne humaiN muslim gharaanoN meiN paida farmaya aur imaan ki dolat atta ki to hum issi shukar ka haq ada nahi kar saktay.
non muslim bhi paida to deen e fitrat par hi hotay haiN lekin un k waal.daiN unhaiN essai ya majoosi ya communist bana detay haiN. bachpan insaani zindagi ka aik aisa arsa hae jis meiN insaani shakhsiyat banti hae aur is ka asar poori zindagi pe ghalib rehta hae. baRay hokar haq ko talaash karna aur haq ko pa lena itna baRa mujaahida hae k Allah pak us ki pichli tamam zindagi ko saaf kar deta hae dho deta hae.
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5355 Age:
|
|
Posted on:24th May 2011, 9:19pm |
|
|
♥·´¯`·Re: "issi tarah aurtoun ka kohniyouN ko bicha lena bhi durust hai, imaam aazam abu hanifa k nazdeeq...see above article"
lekin article me kuhniyon k bichane ka mojhe nazar nahi aa raha.wo to raano ka pait se chipkane ka likhte hain .
" ' عورت جب سجدہ کرے تو اپنا پیٹ رانوں سے چپکالے- ایسے طور پر کہ اس کے لیے زیادہ سے زیادہ پردے کا موجب ہو
jab k is ka koi reference nahi aur Sahih Bukhari ki hadees hai jis me mana kia gya hai.aur buhot se log Sahih Bukhari ko mante hain na.jab sahih hadees nahi milti to phir dosri baton pr chalte hain.
khair pta nahi kia theik hai. mojhe apni confusion dor krni thi jo kr li.jazak Allah.
aur dosri bat humare pas abhi moqa hai to hume shayad wali bat ko chor k ye sochte hoe qaza namazein ada karein k phir hume moqa nahi milna.aj hain to aaj kr lein.
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 109 Post: 6070 Age:
53
|
|
Posted on:24th May 2011, 10:49pm |
|
|
confusion door honay k baad aisay juzvi maamlaat maiN debate karna bhi nahi chaahiyeh... yeh major issues haiN bhi nahi... qaza.e.omri zaroor parhni chaahiyeh...it's recommended...taqwa ka taqazah bhi hai aur afzal baat bhi...lekin issay FARZ /WAJIB /LAAZIM qarar denay k liyeh sahih ahaadees /quran ka reference zaroori hai...kissi molvi mufty ka fatwa kaafi nahi :) |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 109 Post: 6070 Age:
53
|
|
Posted on:24th May 2011, 10:56pm |
|
|
qaza e omri س… کیا قرآنِ کریم میں نماز کی قضا اور ادائیگی کے بارے میں ایسے ہی واضح اَحکام موجود ہیں ۔
ج… نماز کی قضا کے بارے میں قرآنِ کریم میں صراحت نہیں، حدیث شریف میں ہے کہ جو شخص نماز سے سویا رہ جائے یا بھول جائے تو جب یاد آئے پڑھ لے۔ قصداً نماز ترک کرنے کی اسلام میں گنجائش ہی نہیں، اس لئے جس نے قصداً نماز چھوڑ دی ہو اس کی قضا کا بھی قرآنِ کریم اور حدیث شریف میں صریح حکم نہیں، البتہ فقہائے اُمت نے قضا کے اَحکامات بیان فرمائے ہیں، اور بعض اس کے بھی قائل ہیں کہ چونکہ جان بوجھ کر نماز چھوڑنے والا مسلمان ہی نہیں رہتا، اس لئے اس کے ذمہ نمازوں کی قضا نہیں، ان کے قول کے مطابق وہ اپنے ایمان اور نکاح کی تجدید کرے۔ |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 109 Post: 6070 Age:
53
|
|
Posted on:24th May 2011, 11:33pm |
|
|
book on qaza e omri jinhaiN iss subject par tafseeli info ki zaroorat ho woh iss book ko zaroor read karay.
http://kitabosunnat.com/kutub-library/article/urdu-islami-kutub/8-ibadaat/76-qazae-e-umari.html |
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5355 Age:
|
|
Posted on:25th May 2011, 12:00am |
|
|
♥·´¯`·Re: nahi debate to n wese hi kaha. jazak Allah
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4191 Age:
37
|
|
Posted on:3rd Aug 2011, 10:50am |
|
|
Namaz ka tareeqa in urdu Ramzan ka maheena hai. yaqeenan iss month mai logo ko namaz ke baaray mai maloomat ki zaroorat hoti thi. iss liye iss thread ko active kya jaa raha hai.
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4191 Age:
37
|
|
Posted on:31st Jan 2012, 4:57am |
|
|
Namaz ka tareeqa ab tak namaz ke jo tareeqa bayan kya gaya hai kya iss se forum ke tamam members khasoosan roshni, Mufti, Diplomat bhi agree kertay hai? agar nahi tu phir batai keh on ke namaz ka tareeqa kya hai? |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 703 Age:
38
|
|
Posted on:31st Jan 2012, 6:53am |
|
|
Bewaqoof Kiun k iss topic per sab members ne apnay aqeeda k mutabiq namaz ki baat ki hai aur kisi dosray sect. k khilaf baat nahi ki to mujhay iss per koi etiraz nahi hai...
|
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 703 Age:
38
|
|
Posted on:31st Jan 2012, 4:04pm |
|
|
alirajput Nahi meri post ka yeh matlab nahi tha k mein inn ki baat se agree ker raha hoon lakin kiun k iss post mein kisi bhi member ne mukhalif aqeeda ko ghalat nhi kaha ya unn k aqaid per baat nahi ki to mein munasib nahi samajhta k murday ko gerhay se nikalun,kiun k yeh topic may 2011 mein dead ho chuka tha ab uss ko phir se active kerna mujhay samajh nahi aaya...
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4191 Age:
37
|
|
Posted on:31st Jan 2012, 4:46pm |
|
|
Namaz ka tareeqa in urdu re: "yeh topic may 2011 mein dead ho chuka tha ab uss ko phir se active kerna mujhay samajh nahi aaya."
janab yeh topic dead nahi balkeh forum ko mojooda beshtar thread se ziadah active aur fast hai. aaj iss waqt iss ki viewership: 69823 hai. aap daily observe karain tu pata chalay ga keh yeh thread mojooda doosray beshumar thread se ziadah active hai. aap daily iss ki viewrship dekhain.
iss forum per jo kuch bhi post hota hai woh sirf on members ke liye nahi jo forum per replies kertay ho balkeh on logo ke liye post kia jaata hai jo keh iss forum ke silent members hai, jo forum ko khamoshi se read kertay rehtay hai lekin jawab mai koi reply nahi kertay.
mojooda post ke viewership mai tezi se izafa ki asal wajah Search Engine mai behtar position hasil kerna hai. jaisay jaisay iss ki position Search Engine mai behtar hogi waisay waisay iss ki viewership mai tezi aaye gi. |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 703 Age:
38
|
|
Posted on:4th Feb 2012, 3:30am |
|
|
Bewaqoof Kher iss k viewers 70000 hon ya 7 million uss se mujhay farq nahi perta... Dosri baat aap ne pocha k kiya aap namaz k iss tareeka ko sahi mantay hain to meray bhai namaz to bohat dour ki baat hai mein aap k wudhu ko hi sahi nahi manta...jab wudhu hi sahi na ho to namaz kaisay sahi ho gi.. |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4191 Age:
37
|
|
Posted on:4th Feb 2012, 7:14am |
|
|
Namaz aur Wadhu Ka Tareeqa
re: "mein aap k wudhu ko hi sahi nahi manta"
janab aap ne sahi farmaya. yeh haqeeqat hai keh kuch log Muslamano ki namaz aur wadhu ko sahi nahi maantay.
janab aap ki namaz aur wadhu ko dunya ke ketne percent log sahi maantay hai? mera khayal hai keh less than 1%.
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 98 Post: 4622 Age:
36
|
|
Posted on:4th Feb 2012, 8:22am |
|
|
Mufti first page pe jo Namaz ka Tareeka bataya gaya hai us se agreed hun. lekin mai jan.na chahungi apke tareeke ko,apni knowlage ke lye jan.na chahungi if you dont mind
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4191 Age:
37
|
|
Posted on:4th Feb 2012, 9:03am |
|
|
Namaz aur Wadhoo Ka Hidden Tareeqa Sunehri: kuch log shadeed tanqeed se bachne ke liye apne namaz aur wadhu ka tareeqa hidden rakhtay hai.
|
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 703 Age:
38
|
|
Posted on:4th Feb 2012, 11:17pm |
|
|
Bewaqoof Aap tanz ker rahay hain ya josh dila rahay hain ?? @sunehri76 Sister aap ne kabhi jews ko ibadat kertay dekha hai ?? Kabhi dekhiye ga kiun k unn ki ibadat aur ahl sunnah ki namaz kafi milti julti hai...jew bhi ibadat mein seenay per hath bandhtay hain aur ahl sunnah bhi...jew bhi jab ibadat mein bethatay hain ya kharay hotay hain to hath nahi lagatay aur ahl sunnah bhi aisay hi kertay hain...jew bhi ibadat mein dono teraf moun phertay hain aur ahl sunnah bhi aisa kertay hain bas farq yeh hai k jew rakku mein moun phertay hain aur ahl sunnah tashud mein moun phertay hain... Hamaray aqeeda k mutabiq namaz mein hath bandhnay se namaz batil ho jati hai kiun k yeh jews ka ibadat ka tareeka hai... |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 703 Age:
38
|
|
Posted on:4th Feb 2012, 3:25pm |
|
|
alirajput iska matlab ye huwa ke aap hazrat Muhammad (SAW) ke tareeko ki muzamat kar rahe haiN. Janab Rasool Allah saww jews ki terha namaz nahi perha kertay thay... even aap k aik imam malik ko jo follow kertay hain woh bhi hath khol ker hi namaz perhtay hain... |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4191 Age:
37
|
|
Posted on:4th Feb 2012, 4:12pm |
|
|
Jew, Muslim and Mufti ka mazhab Mufti saheb sahi kehtay hai keh Muslim ko woh kuch nahi kerna chahiye jo keh Jew kertay hai. jab keh Sunni Muslim wahi kertay hai jo keh Jew kertay hai. maslan:
- Sunni Muslim bhi Jew ki tarah nokri kertay hai
- khana khatay hai
- saans letay hain
- kapra pehentay hai
aur bhi beshumar kaam hai jo keh Jew aur Sunni Muslim dono kertay hai. lekin Mufti saheb ke firqa ke log aisa koi bhi kam nahi kertay jo keh Jew kertay hain.
|
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 703 Age:
38
|
|
Posted on:4th Feb 2012, 5:23pm |
|
|
bewaqoof Mein ignore ker raha tha topics ko magar aap hi ki zidd thi aur tanz thay k mujhay post kerna peri... Kher yeh jo aap ne post ki hai bohat hi bewaqoofana misaal di hai... Mein ibadat ki baat ker raha hon bachon ki terha aisi misaalein na dein jin ko perh ker aap ko bhi lagay k yeh fazool misaalein hain... Inn ka deen se taluq nahi hota balkeh yeh zarooriat e zindagi hain... Mein ibadat ki baat ker raha hoon aur aap saans lenay ki misaal de rahay hain..aap ki ilmi qabiliat kafi wazeh ho rahi hai her post mein :P |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 703 Age:
38
|
|
Posted on:4th Feb 2012, 5:28pm |
|
|
alirajput kiya aap ne aap ne imamo se yahi taleem li haiN, ke 99% Muslims jho ke Hazrat Muhammad SAW ke bataay we raaste pe chalte haiN, unka comparision Jews ke saath hooN? Chahe wo imam ek hooN ya 2 hooN, hazrat Muhammad SAW ke bataay we tareeke koo aap JEWS se compare nahiN kar sakte, unless aap ka Yakeen aap maiN hi nahiN aur ab Jews maiN haiN. Kiun nahi ker sakta jab aap ka tareeka aur jews ka tareeka e ibadat aik hi hai ?? Aur yeh kahin se sabit nahi hai k 99% agar ghalat hain to woh majority ki wajah se sahi hon ge... mein ne pehlay hi aap ko bataya hai k kon se baatein mushterik hain agar aap ko nahi ilm to mein aap ko video de deta hoon aur aap dekh lijiye ga k woh kaisay ibadat kertay hain... Aur Rasool Allah saww ne kabhi aisi namaz nahi perhi jaisay aap perhtay hain hath bandh ker... |
|