Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

shadi

Religion and Culture
 
 
 
sunny22 Group: Members  Joined: 25th Aug, 2012  Topic: 1  Post: 1  Age:  19  
Posted on:25th Aug 2012, 11:49pm
 

shadi

mere  life ma 1 larki ha jo ka christan ha wwo muslim ho jaye ge muj sa shadi karna ka liya par us ka 1 beta ha to kya islam ma ya jaiz ha ka ma us sa shadi ka sakta hu 
fahad hussain khan Group: Members  Joined: 26th Apr, 2012  Topic: 3  Post: 703  Age:  23  
Posted on:25th Aug 2012, 2:31pm
 

sunny

ap age profile k hisab se 19 hain to is umar main kin chkro mian par gae.our shdi kar sakte hu biklul.us k bete k age kiy hai.agr us k walida musalman hoti hain to us k beta bh lazin hai hoga.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 109  Post: 6098  Age:  53  
Posted on:26th Aug 2012, 12:10am
 

shadi k liyeh mosalmaan hona

1. agar koi laRki ya laRka kissi ki mohabbat maiN oss say shadi karne ki khatir mosalmaan banay to oska yeh islam lana ... mashkook hi hoga. woh kabhi bhi apnay sabeqah deen ki taraf laut jayega ... behtar yeh hai k ap oss khatoon say kahaiN k woh pahlay islam ko achi tarah paRhay, samjhay aur apni marzi say islam lay aa.ay... sirf shadi k liyeh mosalmaan nah banay

2. waisay aik mosalmaan kissi christians khatoon say bhi shadi karsakta hai...iss agreement k saath k bay shak woh christian rahay,magar aulaad muslim hogi, baap k deen par...lekin aisi shadiyouN maiN problem zeyadah hoti haiN aur kidz mother k deen ki taraf bhi chali jati hai...any how ahlay kitab khaton (christian /jews) say moslaman mard shadi karsakta hai...aur agar woh khoosh dili say mosalmaan ho jaa.y to ye aur acha hai

wallaho aalam bissawab
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:30th Aug 2012, 5:55am
 

sunny22

Mein rizvi sahab ki baat se ittefaq karon ga k shariat iss baat ki ijazat deti hai k aik musalman mard christian ya jew larki se shaadi ker sakta hai lakin agar uss mard ka emaan itna mazboot ho k woh apna deen nahi choray ga balkeh apni biwi aur aulad ko bhi apnay deen per le aaye.

Agar woh khatoon musalman hona chahti hain to yeh achi baat hai,aap unn se shaadi ker lein aur phir achay tareeka se ussay deen samjhaein ta k woh dil se musalman ho na k kisi lalach mein jaisay shaadi ya koi aur.

Hamaray musalmanon ka yeh sab se bara masla hota hai k hum shaadi k liye larki ko musalman to ker letay hain lakin khud kiun k achay musalman nahi hotay,issi liye ussay bhi woh taleem nahi mil sakti jis ki ussay zaroorat hoti hai.

Iss baat per aik joke yaad aa gaya k aik sahab ne aik non muslim ko musalman kiya aur uss se shaadi ker li aur ussay sab woh amaal bataye jo aik musalman k liye zaroori hotay hain.

Ab woh bechari fajr k waqt uthati..wudhu kerti..namaz perhti aur baaki ghar walay sotay rehtay.

phir issi terha zohar o asar perhti baaki ghar walay apnay kaamon mein busy hoti.

maghrib perhti to ghar walay tv dekh rahay hotay,issi terha isha bhi aisay hi guzar jati.

Kuch montha aisay hi chalta raha,aik din woh khatoon apnay shohar aur ghar walon se kehnay lagi k aakhir mein pakki musalman kab banon gi.

Shohar ne kaha tum MashAllah se achi aur pakki musalman ho,5 waqt ki namaz perhti ho aur dosray achay amal kerti ho,iss se ziada pakki musalman aur kiya bano gi.

To uss ne kaha nahi mein aap loagon ki terha pakki musalman kab bunaon gi k aap per namaz bhi maaf ho gaye,roza bhi maaf ho gaya,dosray maal bhi maaf ho gaye,aakhir mein iss terha ki pakki musalman kab bunaon gi k yeh sab amal mujh per bhi maaf ho jaein ge.

Kher yeh to aik joke tha lakin iss mein hamari haqeeqat bhi chupi hui hai,hum sirf naam change kerwanay ko musalman kehtay hain,na khud aisa acha amal kertay hain k koi hum se uss naik amal ko adopt karay aur phir qasoor hum uss khatoon ko detay hain jo kalma to perh leti hai lakin phir apnay deen per wapas chali jati hai.

Zahir hai jab hum ne bhi woh ghalat kaam hi kernay hotay hain to phir uss bechari ka kiya qasoor k sirf kalma perh ker khuwari kaatati rahay.

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 41  Post: 2293  Age:  47  
Posted on:30th Aug 2012, 7:12am
 

Ehal e Kitab

asal bat yeh hai k hadees aur quran main 2 batain clear hain k Ehal e kitab k sath shadi jaiz hai ager shoher musalman ho aur biwi ehal e kitab lekin MUSHRIk k sath bilkul jaiz nhn

ab halat yeh hain k ehal e kitab ISAAI hon ya YAHOODI dono hi shirak kertay hain dono hi BUTON ki puja kertay hain to is surat main in k sath shadi kesay jaiz ho sakti hai????

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:30th Aug 2012, 7:26am
 

Wehshi

Kis jahil ne tumhain bata diya k eesai aur jews mushrik hain ??

Kiya yeh bhi ussi pandit se poch ker aaye ho jis ne tumhain yazeed ka sahabi hona bataya tha ??

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 41  Post: 2293  Age:  47  
Posted on:30th Aug 2012, 4:24pm
 

KUFTY

KUTTAY her jagah DOUM na phaila ker beth werna kut jai gi

tu khud kam mushrik hai jo dooseron ko manay ga

terat mazhab ki pedaish inhi mushrikon ne ki thi

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:31st Aug 2012, 1:21am
 

Wehshi

Mein ne simple sa aik sawal kiya k eesai aur yahudi mushrik kaisay ho gaye ??

Aur tum jawab denay k bajaye ghussa kernay lag gaye :P

Chalo tumhari nazar mein main mushrik hi sahi lakin aik bohat hi important sawal pochnay wala hoon tum se zara dil per hath thaam ker bethna.

Tum to saudi arabia mein rehtay ho kiya wahan Makkah k dakhli rastay per yeh nahi likha hua k sirf musalman dakhil ho saktay hain ??

Ab agar shia kafir ya mushrik hotay to phir saudi arabia unhain Makkah mein dakhil kiun honay deta hai jab k qanoon hai k koi kafir ya mushrik dakhil nahi ho saktay ??

Chalo shabash ab zubani baatein choro aur iss baat ka jawab do.

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 41  Post: 2293  Age:  47  
Posted on:31st Aug 2012, 7:10am
 

KUFTY

shiya kafir hain yeh saudi arab bhi janta hai lekin tum logon k peechay tumharay najaiz baap yahudioyon ka haath hai na isi liyay duniya main koi bhi hakoomat tum logon se panga nhn leti

kiun k sari hakoomatain bhi to americans au ryahudiyon ki ghulam hain na tumharay IRAN samet

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:1st Sep 2012, 1:20am
 

Wehshi

Yeni saudi arabia yahudion ki baat manta hai apna qanoon nahi manta :P

Chalo agar humein woh yahudion k khof se makkah janay deta hai.

Kiya yahudion ko bhi makah anay ki ijazat hai ya nahi ??

Kiya tumhari baat jahilana nahi lagti k yahudion k khof se shion ko to makah mein janay ki ijazat mil jati hai lakin khud yahudion ko makkah janay ki ijazat nahi milti :P

Beta tumhari daleel bohat kamzor hai,iss se tum meray sawal ko ghalat sabit nahi ker sakay :P

Tum Iran ki to baat hi mat karo,tum saudi arabia aur dosray mulkon ki baat karo,tum ne kaha saudi yahudion k ghulam hain,yehi to mein tumhain keh raha tha k unhon ne jo wahabiat wala dharam nikala woh yahudion k hukam per hi nikala tha,wahan tum nahi mantay :P

Kher meray sawal ka jawab do beta k jab makkah mein kafir k dakhil honay ki ijazat nahi hai to phir shia kaisay dakhil hotay hain ??

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 41  Post: 2293  Age:  47  
Posted on:2nd Sep 2012, 3:36am
 

KUFTY

tumhan pata hi nhn k yahan kay kuch hai

yahudiyon k khof se nhn balkay is khof se k tum log khud ko musalman kehtay ho aur muslim duniya main pehlay hi bohat tafarqa hai aik aur nhn chahyay is k ilawa tumhari bohat beri tadaad saudi bhi to hai

jab tak tum logon per islam ka labl ehai tumhain nikal to nhn skatay na halan k tum logon ne kai bar koshish ki MAKKAH per qabzay ki lekin nakam rahay 1979 ka waqeaa sab k samnay hai is k ilawa bhi kai baar IMAM KAABA per hamlay huway aur pakray janay wala SHIYA nikla

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:2nd Sep 2012, 5:33am
 

Wehshi

Shia ne khud se label nahi lagaya hua musalman ka balkeh woh musalman hi hain agar musalman na hotay to tum loag kab ka kafir keh chukay hotay lakin tum loag kafir sabit ker hi nahi saktay balkeh ulta tum loagon ka dharam jhoota sabit ho jata hai,iss liye yeh tum loagon ki majboori hai :P

Ab jahan tak baat hai Khana Kaaba per attack ki to agar yeh koi aur baat kerta to mujhay hairat hoti,kiun k mein tumhari jahalat se bohat achi terha se waqif hon iss liye mujhay iss baat per hairat nahi hui.

Kher tum kisi bhi authentic source se sabit ker do k shia ne attack kiya tha.

Mein sabit karon ga k woh shia nahi thay balkeh najd k wahabi thay aur tumharay saudia k mashoor mufti ka woh student tha aur uss ka baap aale saud ka pithu reh chuka tha.

yazeed lanati ki terha tumhari yeh tarikh bhi jhooti aur fasiq hai :P

Beta jab bhi baat kiya karo porri tahqeeq k baad kiya karo ta k mazeed zalalat tumhara muqaddar na bun sakay.

Tum mujhay sirf itna bata do k tarikh mein se yeh baat sabit karo k Rasool Allah saww k zamana mein ya tumharay 4 khulfa tak koi bhi shaks khud ko sunni kehta ho ya kahin bhi ahl sunnah wal jammat ka zikr ho...tumhara to dharam hi biddat hai jo na Rasool Allah saww k zamana mein tha aur na hi tumharay 4 khulfa k zamana mein :P

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 41  Post: 2293  Age:  47  
Posted on:3rd Sep 2012, 5:28am
 

KUFTY

hum to kehtay hain au rkahain gay

insha ALLAH tum log AQLIYAT hi raho gay hamesha

jo merzi keh lo ker lo na tum logon ka deen hai na aqeeda

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:3rd Sep 2012, 8:08am
 

wehshi

Aksariat hona haq ki nishani nahi hai,baddar mein kafir aksariat mein thay.

Aaj christian aksariat mein hain.

To kiya haq per hain ??

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 109  Post: 6098  Age:  53  
Posted on:4th Sep 2012, 1:30am
 

aksariyat ka formula

1. aik hadees ka mafhoom hai k meri ummat kabhi bhi kissi ghalat baat par muttafiq nahi hogi.... islam (quran o hadees k direct dos n dontsk elawah) ijtemayee maamlaat shoora, (bahmi mashwaroun aur kasratay roy) k zaiyah chalanay par zor deta hai... goya jamhooriyat ka aghaaz bhi islam nay hi kia tha

2. jamhooriyat ka yeh matlab nahi hota k "poori abaadi" ki "aksariyat" jo kahay, wohi haq aur durust hai. medical issues par tajeroun. engg aur deger logoun ki roy ki koi ahmiat nahi hai. aj k medical issue dengue k tadaarok k liyeh medical field k logouN ki "aksariyat" hi HAQ /right hogi aur ossi ko manaa jayega.

3. issi tarah islam k fiqahi maamlaat (quran o hadees k direct dos n dontsk elawah) main bhi wohi mauquf durust aur haq par hoga jo aalamy islam k jumlah faqeeh /olemaa ki bhari aksariyat ki roy par mabni hoga nah k ummat k awamunnas ki aksariyat ki roy par

4. islam HAQ par hai yaa nahi, iska inhesaar bhi dunya ki total aabaadi ki aksariyat ki roy par nahi hoga.... islam ki haqqaniyat ko janchnay k liyeh bhi tamaam mazaahab se wabistah on religion-experts ki roy bleni hogi jo mazahab par authority houN. aisay expert k kissi bhi injtemaa maiN ISLAM hi durust deen saabit hoga, aksariyat ki roy aur tareekhi oaqli daleel ki bunyaad par

5. dunya bhar k maamlaat maiN authority is majority aur democracy etc par IMAAN / AMAL rakhnay/karnay wala koi mosalmaan islami osoolouN /fiqh par issi osool ko lagoo karne say kaisay inkaar karsakta hai??? issi ko ajmaa e ummat kahtay haiN k jin islamic issues par ummat main ikhtelaaf ho to aisay issues par ummat k scholars ki roy lay li jaa.ay aur aksariyat ki roy ko HAQ par tasleem karlia jaa.ay k experts ki aksariyat kabhi ghalat nahi hosakti... aam logouN ki aksariyat to aksar ghalat hoti hai... jabhi to ham zardari jaisay fard ko sadar muntakhib karletay haiN

6. 'aqliati experts' ki roy ko kabhi bhi authority nahi maani jasakti...nah kissi dunyawi field k baray main aur nah hi deen k baray maiN... agar aisa hota to mosalmaan honay k daawedaar "qaadyaani olemaa" ki expert roy ko ham kiss bunyaad par radd karsaktay hain...onkay pass bhi ILM aur DALEEL hai... onmaiN bhi aalim, mufti etc haiN aur ghaleban NCF k har member say zeyadah baa ilm o baa.amal bhi hongay...phir ham onki expert roy ko (about khatemun nabiyyeen) kaisay aur kiyouN qabool nahi kartay???
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:4th Sep 2012, 6:14am
 

myrizvi

Meray bhai pata nahi yeh qanoon aap ne kahan se perh liya hai,mein to jab se iss forum ka member hua hoon aap hamesha se majority minority ki hi baat kertay hain.

Kisi bhi deen mein aap yeh nahi keh saktay k majority hi right hai aur na hi deen e Islam se aap sabit ker saktay hain.

Aap Quran perhtay hon ge,Allah swt ne to majority k khilaf baat ki hai aur minority k haq mein baat ki hai mukhtalif surah mein.

Ab pehla waqiya mein aap k samnay rakhta hoon...Allah swt ne fermaya mein zameen per apna khalifah bunanay ja raha hoon,farishton ne iss baat se ikhtelaf kiya..yeh Quran ki baat hai.

Ab agar hum aik mint k liye yeh baat side per dein k Allah swt khaliq hai aur farishtay makhlooq hain aur aap ka asool le aaein to Allah swt sirf aik hai jo khalifah bunanay k haq mein hai aur farishtay majority mein hain...ab yahan aap kis ko sahi kahein ge majority ko ya minority ko ??

Ohad ka waqiya aap ne perha ho ga jab kafiron ne hamla kiya to majority Rasool Allah saww ko choar ker bhaag gaye aur sirf chang loag yeni minority Rasool Allah saww k sath sabit qadam rahi...aap yahan kis ko sahi kahein ge majority jo bhaag gaye ya minority ko sabit qadam rahay ??

Aap k asool k mutabiq jo sabit qadam rahay woh ghalat hain kiun k woh minority mein thay,unhain bhi majority ka amal kerna chahiye tha aur woh bhi bhaag jatay.

Uss k baad Hudaiybiya ka waqiya hai,aksariat iss k khilaf thi k kafiron se koi muhaida kiya jaye ya sulah ki jaye,ab aap bataein k wahan kiya majority theek thi aap k asool k mutabiq ??

Jang e jamel aur safeen ki baat ker lein,majority khalifah e waqt k khilaf jang ker rahi thi aur minority khalifah k sath thi,kiya majority theek thi ??

Uss k baad hum zara duniyawi qanoon ki baat kertay hain,yahan bhi yehi asool hai k zaroori nahi k majority hi theek ho.

Sab se hum apnay ghar ki baat kertay hain yeni pakistan ki...

President zardari hain,aap k samnay woh majority se election jeetay aur president banay,kiya aap kahein ge k yahan majority sahi thi ??

Pakistan mein aap ko majority ka asool iss liye acha lagta hai kiun k aap majority k sath hain...

France mein dekh lein,wahan majority yeh kehti hai k HIJAB nahi hona chahiye yeh ghalat hai,ussay sahi kehnay walay minority mein hai...kiya aap issi asool k tehat hijab ko ghalat kahein ge france mein kiun k majority is authority ??

Aap ne koi ghalat kaam na kiya ho,mein paisay ki bina per 100 loag ikathay ker sakta hoon jo yeh dawa karein ge k myrizvi sahab ne Quran ki tauheen ki ya jalaya,aur yeh koi anhoni baat nahi hai aisa pakistan mein chalta hai...

To kiya waqai gunnahgar ho gaye kiun k aap majority aap k khilaf hai ??

Iss asool ko aqal bhi tasleem nahi kerti aur Islam to sirf haq ko sahi kehta hai na k majority ya minority ko.

Jahan tak baat hai qadiyanion ki terha to meray bhai woh minority ki bina per deen e Islam se kharij nahi huay balkeh woh apnay ghalat aqeeda aur uss per kamzor dalail ki bina per kafir declare huay hain.

Batman1 Group: Members  Joined: 25th Nov, 2011  Topic: 3  Post: 390  Age:  26  
Posted on:6th Sep 2012, 8:25am
 

myrizvi

آپکی اکثریتی فارمولا کی بات بلکل ٹھیک ہے .میں اس پر مزید روشنی ڈالنا چاہتا ہوں کے اصول صرف اکثریت کا نہیں ہے بلکے اہل علم کی اکثریت کا ہے .. اور یہ اسلام کا ایک خوبصوت اور بہترین اصول ہے اور عقل کے بھی عین مطابق ہے اور جمہوریت سے بھی بہترین ہے

پہلی بات تو یہ ہے کے یہ اصول امت کی عوامی اکثریت کے لیے نہیں ہے بلکے امت کے معتبر اور اہل علم افراد کے لیے ہے جنہے فقہا یا علماء کہا جاتا ہے . اور ظاہر ہے کے کسی بات کے واضع احکامات نہ ہونے کی صورت میں اختلاف ہوگا تو اہل علم کے اکثریتی جماعت کو دیکھا جائے گا . اور وہ ہی حق پر ہوگی .. اسکی ایک چوٹی سی مثال یہ ہے جب پاکستان میں عید کے چاند پر اختلاف ہوتا ہے تو رویت ہلال کمیٹی میں علماء کی اکثریت کو مان کر روزہ رکھا جاتا ہے کسی اقلیت کو نہیں مانا جاتا . اب جسے اقلیت پسند ہے تو وہ ان کے ساتھ رکھ لے روزہ

دوسری بات یہ کے رسول الله (ص) کے دور میں یہ اصول استعمال کرنا کسی لطیفے سے کم نہیں ہے.. کیوں کے جب لوگوں کے درمیان دیں اسلام کو پھنچا نے والا ، بتانے والا موجود ہے تو اسے چھوڑ کر کسی اکثریت یا اقلیت کو دیکھنا کہاں کی عقلمندی ہے ؟؟؟ کوئی جتنا مرضی علم حاصل کر لے کیا وہ نبی سے آگے بڑھ سکتا ہے بھلا ؟؟ اس لیے یہ اصول دیا ہی اس لیے گیا ہے کے نبی کی غیر موجودگی میں کوئی علمی مسلہ آ جائے تو اہل علم کی اکثریت کو دیکھ کر اسے درست مانا جائے گا

تیسری بات کے اگر ہم اپنے وطن پاکستان میں دیکھتے ہیں تو یہ اصول بھی بلکل سہی اور عقل کے مطابق بھی درست نظر آتا ہے .. آصف زرداری یا کوئی اور صدر اگر فقہا یا علماء کے چناؤ سے آے تو ایک بچہ بھی جانتا ہے کے اسکے حق میں ١٠ میں سے مشکل سے کوئی ١ علامہ ہی اسکے حق میں ہوگا وہ بھی کسی لالچ کی وجہ سے یا کسی اور وجہ سے .. ورنہ جو صحیح اہل علم ہوگا وہ پوری دیانت داری سے فیصلہ کرے گا ...... اور اکثریت کسی غلط فیصلے پر جمع نہیں ہوگی

چوتھی بات یہ کے جب اسے اچھی طرح سمجھا نہیں جائے گا تو زہن میں اسیے ہی الٹے سیدھے سوال ابھریں گیں کے کسی کوئی پیسے دے کر اکثریت بنا دیا جائے یا کوئی اکثریت جنگ سے بھاگ گی یا اکثریت جنگ میں ایک طرف تھی . . پیسے وہ ہی لے گا جو اہل علم نہیں ہوگا . جسے اس بات کا علم ہی نہیں ہے کے جھوٹی گواہی پیسوں کے بدلے لے رہا ہے.. اگر کسی اہل علم کو پیسے دے کر خریدا جائے تو ١٠٠ میں سے ١ ہی بکے گا .. اس لیے اکثریت کا اصول عوامی تعداد پر نہیں ہوتا

اور جہاں تک جنگوں کی بات ہے تو صحابہ (ر) کی اکثریت ان تمام فتنو سے محفوظ رہی ہے.. ١٠٠ میں سے کوئی ٩٠ فیصد اصحاب رسول (ص) اپسی جنگوں سے دور رہے ہیں اور صرف ١٠ فیصد سے بھی کم ان میں شامل رہے ہیں . اس لیے اس کو بھی دیکھا جائے تو ایک طرح سے اکثریت ٹھیک ہے

اور آج بھی ان جنگون کیے نتائج کی بات کی جائے اور اگر اہل علم کی جماعت
میں کی جائے تو اکثریت کا یہ ہی جواب ہے کے خلیفہ وقت درست تھے دوسروں سے اجتہادی غلطی ہوئی تھی.. اور شاید ہی کوئی علامہ ہو جو دوسرا موقف رکے تو اس میں بھی فقہا یا علماء کی اکثریت کو مانا گیا ہے ....






myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 109  Post: 6098  Age:  53  
Posted on:7th Sep 2012, 12:36am
 

Jazak Allah batman1

Masha Allah well said n explained.
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 41  Post: 2293  Age:  47  
Posted on:8th Sep 2012, 2:30am
 

Well Explained

Jazak Allah Myrizvi aur Batman1 dono ne bohat achay se tafseelan bata diya
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012