Namaz ke 3rd Shart Istaqbaal-e-Qiblaa.
Alhumdulillaahi Rabbil Alameen, Wassalatu assalamu alaika YA Syedil mursaleen, Ammaa Baaad Fa' Azu billaahi minash shaitwaa nirra jeem, Bismillaa hirrah maa nirrah heem. Assalat O Wassalam O Alaika Ya Rasool ALLAH Assalat O Wassalam O Alaika Ya Habeeb ALLAH Assalat O Wassalam O Alaika Ya Nabi ALLAH Assalat O Wassalam O Alaika Ya Noor ALLAH waAla Alika wa Ashabika ya Rehmata lil Aalameen! Namaz ki Thisri shart : Isteqbale Qibla Isteqbale Qibla ka mana ye hai ke ek Namazi ka rukh Kaba sharif ki taraf karna hai 1:Namazi ne bila uzr(jaan bujh kar(Intentionly)) kaba se sina pherdiya agarche fauran hi qible ke taraf hogaya, Namaz faasid hogayi(Tot gayi) 2:Agar bila qasd phergaya(Unintentionly) aur 3 bar Subhaanallaah kehene ke waqfe se phele wapas qiblah rukh hogaye to fassid na hogayi 3:agar muh qible se phera to wajid hai ke fauran qible ki taraf muh karle aur namaz na jaayegi, magar bila uzr makru-e-tehrimi hai 4:Agar aisi jagha per hai , jaahan qible ki shanakhat ka koyi zariyah nahi hai na koyi aisa musalman hai jisse puchkar malum kiya jasakhe to soche aur dil per zorde jidhar dil bataye udar hi rukhkarle aap ke haq me wahi qibla hai, 5:Sochkar Namaz padli baad me malum howa ke qibla ki taraf namaz nahi padi hoyi us namaz ko lautane ki hajat nahi hai. 6:Tehri karke (Yani suchkar) Namaz padrahatha ,darmiyan me agarcha suchme badlaw aya ya galti malum hayi to farz hai ke fauran ghumjaye fauran, nahi ghuma 3 martaba subhaanallaah kehene ke barabar der ki to namaz nahoyi 7:Ek shaks ki soch per dusre shaks bhi wahi rukhkar ke namaz pad nahi sakhta 8: Kisi ke pas amanath ka maal hai aur jaanta hai, Qibla rooh hona me chori hojayegi to jistaraf chahe rukh kar ke namaz pade (Book: Namaz k ahkaam ch: Namaz ka Tareeqa)
|