Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Sawal Aapka, Jawab Myrizvi Ka

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
* Noor Clinic *
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7679  Age:  55  
Posted on:4th Mar 2014, 6:52am
 

mard o zunn ka jhagRa

jab say yeh dunyaa bani hai...tab say jaari hai aur taa qayaamat jaari rahega. shaitaan ka pasandeedah tareen project hi yeh hai k woh miyaaN biwi k mabain phooT Dalwaa.ay. shaitaan yeh kaam taa qayaamat karta rahega. kabhi oskay jaal maiN husband aa jata hai to kabhi biwi aur akser o beshtar donouN.

mard o aurat k maabain kull 5 rishtay haiN

1. baaP beTi kaa rishta.... iss rishtay maiN bandhi aurat aksar baap k agay sir jhukaa k rahti hai. baap ki DaaNT DapaT bhi khush dili say qabool karleti hai

2. bahan bhai ka rishat ... iss rishta maiN bhi tanaazeaat nah honay k baraabar haiN. iss rishtay maiN bahnaiN bhaiyyouN par waari jaati haiN... agar khodaa nah khaastah kisis ka bhai ghunDa bad,maash bhi nikal aa.ay tab bhi bahan oss say nafrat nahi karti balkay jaa o bay jaa oski hemayat /wakaalat aur bawaqtay zaroorat support bhi karti hai

3. maaN aur beTay ka rishtah ... iss rishtay maiN go k jawaan beTouN k moqaablay maiN aurat kamzore hoti hai... iskay baawajood beTouN ki khidmat main khush rahti hai... yahaaN bhi maaN apnay beTouN ki kami /aib ko chopaati aur oski hemaayat karti nazar aati hai

4.relatives, non-relatives, fellows etc etc walay mard o zunn: aurat amooman in sab mardouN say politely milti hai, inka ehteraam karti hai, inki help karti hai...agar boss mard ho to iskay saath bhi working relationship bahoot achi hoti hai... aur out of the way jaa kar bhi apnay boss ko serve karti hai... job k assigned faraiz say haT kar bhi boss ka kahaa maanti hai etc etc

5. husband wife: lekin jaisay hi kissi mard say husband wife ka rishtah qaaim hota hai.... donouN k beech tanaaze'aat kharay hojaatay haiN... wohi aurat jo above 4-relations maiN narm, raham dil, cooperative, etc etc howa karti thee...shaitaan k bahkaaway maiN aakar doosra roop ikhteyaar karleti hai... aur wohi mard jo above 4-relations maiN bil.amoom ghair jhagraaloo hota hai, woh iss reshtay maiN aik new roop maiN saamnay aata hai... aik female boss k aagay bheegi billi banaa rahnay walaa k mardanaa ego...yaka yaka jaag oTh.taa hai jissay shaitaan mazeed baRhawa deta hai... aur phir tou tou maiN maiN start

Allah k bando aur bandiyo! jab tak aap iss laRayee jhaGray k "qaabil" hotay ho... apki ausat nisf zindagi khatam hochuki hoti hai aur aap din bah din qabar say qareeb tar hotay jaatay ho...jo jannat k baaghouN maiN say aik baagh hai yaa jahannam k gaRhouN maiN say aik gaRhaa... iss thoRi see zindagi ko hans khel kar aur apni bisaat k motaabiq quran o hadees k motaabiq guzaar lo... yahaaN kisis ko poora poora insaaf nahi mil sakta...nah mard ko nah aurat ko...kaheeN mard zaalim hota hai to kahee aurat mazloom hoti hai :) zaalim k liyeh 4 rozah mohlat hai...iskay baad ossay apnay zulm ka hisaab dena hogaa...mazloom agar sabr karlay to zindagi bhlay boray gozar jayegi aur aakherat maiN inaam hi inaam... agar sabar nah karay balkay moqaablay par otar aa.ay to mouN kaalaa bhi hoga, iss dunyaa maiN aur aakherat maiN bhi khasara...aur yehi shaitaan ki fatah hai

Allah har mard o zunn ko shaitaan k shikanjay say mahfooz rakhay. aameen summa aameen
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:15th Mar 2014, 6:38am
 

jazakAllah khairah

bohat hi omdah aur sair hasil nuqaat haiN. exactly har relation aisa hi hae jesa bayan kiya gaya. lekin jitna hus n wife aik doosre ko jantay haiN qareeb honay ki bina par, utna hi nahi jantay :)

balkay mostly hus yehi chahtay haiN k woh apni begum ki sochoN tak se ba khabar ho aur bv un k kaarnamoN se bhi be khabar hi rahay :) aaj kal k zamanay maiN targheeb itni zyada hogai hae k har insaan comparison maiN agaya hae. mard house holdin wife ko bhi shaista wahidi jesa dekhna chahtay haiN :) its hard to manage.

agar Islam saperation ki surat maiN bach.choN ki zimmadari mard k sapurd karta hae aur aurat har muamlay se bari Uz zimma hojati hae to kiya yeh mumkin nahi k khawateen ko sath rakhtay huwe hi unhaiN un k liye thoRi si relaxation di jaye. kabhi kabhar bach.chon ki zimmadari un k father laiN aur mayeN bhi araam se apnay parents ya family k sath time spend kar sakaiN.

iss se hus ko bhi bv ki zimmadariyoN ka ehsaas hoga aur bv bhi phir apni zimmadariyoN ko hansi khushi own karegi.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7679  Age:  55  
Posted on:15th Mar 2014, 10:06am
 

anokhi biwi

Agar Allah nay mujhay gharelu-biwi banaya hota to maiN bhi apnay shauher ki tarah:
  1. 24 ghantay main sirf 8 hrs home-work karti
  2. har week maiN 2 days off karti (no work at all khaah home maiN rahti yaa maikay maiN)
  3. har saal one month paid vacation guzaarti maikay maiN
  4. maternity leave 2-3 months with all facilities but no work at all
agar kissi biwi ko yeh sari sahooliyaat chaahiyeh, aur woh yeh sab kuch hasil karnay maiN por.azm ho to phir woh ANOKHI BIWI ki bataayee howi tajaweez par amal karay. yeh khakah 2 khawateen magazine maiN shaya honay k elawah net par bhi mokhtalif sites par dastyaab hai... just search n read :)

sirf ronay dhonay aur shikwah shiakaayaat say to kuch bhi haasil nahi hotaa. apnay haqooq k hasool k liyeh jid o johad aur laa.e.ha amal ikhteyaar karna paRta hai. eployed-mard saari zindagi yehi kuch struggle karta hai, tab kaheen jaa kay woh apnay employer say yeh sab kuch haasil karta hai :) home-maker khawateen bhi mardouN k naqshay qadam pay chal sakti haiN, agar chahaiN to
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7679  Age:  55  
Posted on:15th Mar 2014, 10:10am
 

Anokhi Biwi Link

http://www.scribd.com/doc/149479889/Anokhi-Biwi
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:3rd Apr 2014, 11:11pm
 

Nisbat kiya hae ?

Nisbat kiya hoti hae ? kiya insaan ki nisbataiN us par asar andaaz hoti haiN ? nisbataiN by chance hoti haiN ya by choice ? aur aik muslim k liye uski konsi nisbat eham hae ?
amaark Group: Members  Joined: 03rd Jan, 2014  Topic: 0  Post: 31  Age:  23  
Posted on:4th Apr 2014, 5:54am
 

plzzz friends answer me

ap sb se mera ek he swl hai or koi b jwb nhe deta me bhut pareshan hun kis se mashwara kron smj me nhe arahaha... meri magni hovi ha pasand ke bs bachpan me pasand i ghar walo ne drct kara de magni mgr ab jb hm dono jawan hogae tu mene phone pr bt krne pr bht force kya osy acha nhe lgta tha mgr ek br bt kr lea..mene pyr bari bty ke phr ye b kaha k shadi k bd ek kiss kronga wo bhut chiri or kaha k mjy ye sb pasand nhe or wo bht gusa hota he romatic bto sy.inka ghr ka mahol bht sakht hai wo kehti tu ha k pyr tu krti hun.wo bht chirira lrki hai tu esi lrki k sth me zindagi kesy guzaronga ab bato plzzz...frst night ko agr wo mjy sex se manh krdy tu ...mene jb kiss ka kaha tha k shadi k bd kiss kronga tb osny meri bht bezati ke thee ab dubara shadi k bd kr ly tu mera dil to tot kr bekar ky ga ...bachy m,jy bhut pasand hai or osy b mgr wo bhut shy chirshiri he or dilchaspi b he rktri love romantic bato me esi lrki k sth kis trh zindagi guzry ge
amaark Group: Members  Joined: 03rd Jan, 2014  Topic: 0  Post: 31  Age:  23  
Posted on:4th Apr 2014, 6:01am
 

plzzzzz answer mee

mjy meri kazan pasand hai or osy me b ..pachpan se ek dosry se mhbt krty hen mgr meri magni hovi hai or oski shadi or oski ek beti b hai..osy b khowaish ha or mjy b k ek dosry k sth zindagi guzary ..ap sb se requst hai k esa koi rasta bato k me os lrki k sth klis trh shadi kron or wo mjse
amaark Group: Members  Joined: 03rd Jan, 2014  Topic: 0  Post: 31  Age:  23  
Posted on:5th Apr 2014, 10:22am
 

pzzzz

koi faida nhe is webste pr pr bt krne ka koi reply b nhe deta tu q banai hai ye qebsiten han doctor sab..khuda k lea me bhut pareshan hunnn
amaark Group: Members  Joined: 03rd Jan, 2014  Topic: 0  Post: 31  Age:  23  
Posted on:9th Apr 2014, 10:58am
 

plzzz jwb dy frnds

plzzzzzzz rizvi answer me i requst u
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2526  Age:  49  
Posted on:20th Apr 2014, 1:34pm
 

amaark

ek teraf ap kehtay ho k bachpan main pasand aai to gher walon ne mangani kerdi

dooseri teraf ap ka kehna hai k ap ne force ker k fon per bat start ki

aur fazooliyat ki ibtidaa ki

ager ek lerki khud ko aisi baton main nhi dalna chahti shadi se pehlay to aap kiun usay force kertay ho???

zaruri nhi k woh shadi k baad bhi ais ahi keray us waqat aap ka her amal jaiz ho ga jo sheraai hai

is waqat aap na mehram ho

koi bhi lekri kitni bhi bebak ho khud aap se nhi kahay gi k aao sex kero

ager us k gher ka mahol ijazat nhi deta to ap kiun chahtay ho aisi batain kerna

apni ghalti per lerki main keeray na nikalain

aap ghalat ho is main

is liye shadi kero aur ghalat na socho

amaark Group: Members  Joined: 03rd Jan, 2014  Topic: 0  Post: 31  Age:  23  
Posted on:21st Apr 2014, 10:17am
 

hmmmmm weshi

agr shadi k bad b esa kya mere sth phrr..ab me kese smj lon k phli raat wo dubara bezat na kr lee mjy ...mera dil tota hai ab himmat nhe hogi pehal k lea kya kron
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2526  Age:  49  
Posted on:22nd Apr 2014, 9:44am
 

amaark

aisa nhi hoga ap ka dil aisay hi toot jai to koi kia keray

jo bat ghalat hai ghalat hai aap us k liye na mehram ho abhi tak is bat ko samjho us ne isi liye ap ko mana kiya

shadi k baad kuch nhi hoga

amaark Group: Members  Joined: 03rd Jan, 2014  Topic: 0  Post: 31  Age:  23  
Posted on:25th Apr 2014, 5:34am
 

hmmmmm weshi thks

ab ek bar dil me jijhak bneth gae hen dubara himmat kese kronga shadi ke raat ..
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2014  Age:  48  
Posted on:6th May 2014, 5:11am
 

myrizvi,ji

AA.main ne ye pochna tha k main kafi arsa se poor patients ki treatment zyada tar civil hospitals main karwata hon vo iss liye k wahan aksriyat aissy logon ki mill jati he jo sahi mahnon main madad k mustahiq hoty hain aur unn se jan pechan bi nahi hoti k kon kahan se aya howa he ab main ne aik socity bi bana li he log mujy funds bi deny lagy hain mujy aisa kaam ker k bohat sakoon milta he

abi pichly dinon aik shakhas ne ye keh diya k jin ko aap janty nahi vahan aap ki ye imdad nahi lagti laiken vo itna koi educated bi nahi he..phir aik hadees se yaad ata he k pehly aap apny rishta daron ko help karain ,phir qareeb tareen aur phir uss k bhad asy logon ko,tu please meri iss silsly main rehnumaee farmain.

Bewaqoof please aap ki iss masly main kya raye he
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7679  Age:  55  
Posted on:7th May 2014, 6:33am
 

Raja Bhai!

Hadees apni jagah durust hai. mash'hoor kahawat hai k ... charity begins at home

lekin iska yeh matlab hargiz nahi k : jin ko aap janty nahi vahan aap ki ye imdad nahi lagti ... yeh baat bilkul ghalat aur bay bunyaad hai

aap jannay walay aur nah jannay walay, sab ki madad karsaktay haiN... mujhay yeh jaan kar khushi howi k ap etna achaa kaam kar rahay haiN... Allah aap ko yeh kaam kartay rahnay ki taufeeq day aameen

aap jiss kisis bhi mostahiq fard ki help karengay, Allah aapko iska ajar zaroor dega. in sha Allah

wallaho aalam bissawab
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2014  Age:  48  
Posted on:8th May 2014, 5:11am
 

myrizvi ji

Baat tu kissi na kissi Bahany se khul hi gyi he tu ab raaye leny main koi mumanat nahi he ,main yahan ye sawal laga ker izat kamana nahi chah rah tha laiken kuch majoori arry aa gyi jiss waja se help le li

1-Aik taraf ye bi hukam he deny waly hath ka kissi dusry hath ko ilam na ho.
2-Aik taraf ye bi hukam he aissi nekyan logon main izat banany k liye ki jayain tu un ka koi faida nahi bulke tum aissi nekyan siraf allah ki zaat k liye kero jiss ki khabar siraf allah hi ko ho
3-Aik taraf ye bi hukam he k aissy safaid posh logon ki madad kero jo moonh se nahi bolty mager zarurat mandh hoty hain.

myrizvi Bhi mujy andazen koi 8-10 saal ho chuky hon gay civil hospitals main work kerty howe jin ki hiran kun detail agy chal ker aap ko byan kerta jaon ga k log kiss hudd tuk majboor hoty hain aur Medical waly kiss hudd tuk inteha ker jaty hain.

myrizvi bhi ye vo log hoty hain jin k pass hospital ponchny ka karaya bi nahi hota aur main ne aissi aissi deathain iss field main hoti dekhi hain k ab mery liye byan kerna bi mushkal ho rah he main apny jazbat per kabu nahi ker pa rah hon mera aik bohat barra khawab jo aista aista ussi taraf barr rah he dua kijiye ga k allah itni zindgi de dy k main poora ker sakon pichly Dinon meri mulakat Director General Health se bi huee laiken aap se request he k aap meri rehnumaee kerty rahiye ga Allah aap ko iss ka ujer dain gay .oper byan kiye gay 3 issues per roshni daliye

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7679  Age:  55  
Posted on:8th May 2014, 6:28am
 

3 issue

1-Aik taraf ye bi hukam he deny waly hath ka kissi dusry hath ko ilam na ho.

Ans: yeh aisay maamlaat k baray main hai k jinki majboori /zaroorat sab ko nazar nah aarahi ho, aur woh apni majboori /zaroorat bayaan bhi nahi karta ho nah kissi say maangta ho, izzatay nafs ki wajah say .... lehaza aisay logoun ki khamoshi say help karni chahiyeh k kissi teesary ko bhi khabar nah ho


2-Aik taraf ye bi hukam he aissi nekyan logon main izat banany k liye ki jayain tu un ka koi faida nahi bulke tum aissi nekyan siraf allah ki zaat k liye kero jiss ki khabar siraf allah hi ko ho

Ans: agar niyyat logouN maiN izzat banaanay k liyeh ho to phir iska okharwi sawaab nahi milega...lekin agar niyyat Allah ki razamandi aur naiki k liyeh ho to Allah aisay amal ko zaya nahi kartaa... bay shak dunyaa maiN bhi izzat mil jaa.ay... baaz welfare k project, jaisay yehi medical help project chop chopaa kar karna mumkin hi nahi...iski publicity bhi karni paRti hai takay zaroorat mand ko bhi pata chalay k yahaaN say help mil sakti hai aur mokhayyar hazraat ko bhi pata chalay k iss projoect maiN help karni hai... baat sirf niyyat ki hai

3-Aik taraf ye bi hukam he k aissy safaid posh logon ki madad kero jo moonh se nahi bolty mager zarurat mandh hoty hain.

Ans: madad to sab ki karni chahaiyeh...onki bhi jo madad maangtay haiN...jo nazar aatay hain k madad k mostahaq hai...aur onki bhi jo sofaid posh houn aur madad nahi maangtay...aisay logouN ko dhoonD kar madad karnay ka bhi bara ajar hai

wallaho aalam bissawab
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2014  Age:  48  
Posted on:8th May 2014, 9:03am
 

myrizvi ji

in detail reply ka bohat shukriya meri kafi honsla afzaee huee ,Main ne aik hospital board read kya wahan donors hazraat ki list lagi huee he un main se Kuch MBBS Drs.bi hain aur kissi ne 2 hazar de ker naam likhwaya howa he tu kissi ne 1500 rupees main bohat hiran hon in donors se khair ye unn ki apni soch.

Meri Hospitals k MS se aksar in maslon per baat hoti rehti he,aik din vo mujy story suna rah tha k flan admi ne hospital ko AC lagwa ker dya Flan ne pankka aur flan ne Generator dya..tu main apni soch k mutabiq iss baat se hurt hon kyon k ye Govt.k hospitals hain aur yahan Govt ko khairaat kiss sheriyat k tehat lagti he ye Govt.k work hain Govt.ko kerny chahiye aur ager in cheezon ki cost se deserving patients ko Medicin provide ki jaye tu hazaron ki tadad main vo mustafeed ho sukty hain.

2-Main ne hospitals main ye dekha k Drs.hazarat ne apni medicine tyar karwa ker adjoining Medical stores per rukki huee hain aur jo vo Brands likhty hain unn ki apni amdni main izafa hota he mareez jayain bharr main aur civil hospitals main aty hi vo log hain jo financially bilkul khutam howe hoty hain.
3-Ager ussi sault main researcher products ya kissi multi National company ki Medicine di jaye tu patients ko kafi faida ponchta he .

Ab iss mafia se bi rozana takrao rehta he
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7679  Age:  55  
Posted on:8th May 2014, 2:53pm
 

Raja Bhai

1. jo log welfare ka kaam kartay haiN, onhaiN donors ki skaht zaroorat hoti hai. lehaza donation lenay k liyeh woh har woh tareeqah use kartay haiN jo dunyaa maiN use hota hai...inmaiN say aik donors k name ki publicity, onkay naam par koi emaarat /room etc banana bhi shamil hai...issi tarah donors ki list ko nomayaaN karna bhi shamil hai... albattah iss qism ki publicity islamically naa.monaasib hai... iss say aakherat ka ajar khatam hojata hai. apni apni niyyat hai.

2. govt hospitals ki bhi help ki jasakti hai, equipment /sahooliyaat donate karkay. yh theek hai k govt hospital ki zimmah daar govt hai... lekin chouNkay woh yeh zarroriyaat poori nahi kartay... aur oss hospital ka amla agar niji taur par donors say shaffaf tareeqay say kuch cheezaiN leta hai to denay walay ko in sha Allah ajar zaroor milega... iss liyeh k govt hospital maiN 100% ghareeb log aatay haiN aur hospital ki sarkaari grant sab mareezouN k liyeh nakaafi hoti hai... karachi maiN bhi baRay baray sarkaari hospital main bhi aisa system maujood hai, jahaaN log donations detay haiN

3. ab j drs ya paramedical amlah najaaiz zaraaye say mareezouN ko looT tay haiN, yeh onka imaan hai... shar aur khair to saath saath chalta hi rahega taa. qayaamat, yeh shokar kijyeh k Allah nay apko khair k kaam karnay ki taufeeq day raha hai... aap insaniat ki falaah ka yeh fareezah jaari rakhiyeh... kissi bhi qism ki zehni confusion k beghair... bus niyyat durust rakhiyeh, Allah ki razaa k liyeh kaam kijyeh... Allah apki naikiyouN ko qabool karay aameen
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:13th May 2014, 7:28pm
 

sawal humara jawab aap ka :)

Assalam O alaikum Wa rehmatullah wabaraktahu !

Raja bhai : aaj bohat din k baad forum open kia to is thread maiN aap k welfare work ka paRh kar bohat khushi hui. main aaj hi soch rahi thi k yahaN frustration itni baRh gai hae aur logoN maiN quwwat e bardasht bilkul hi khatam hogai hae. atleast morally support zaroor honi chahiye jo logoN k moral ko buland karay.

bohat waqt se mera bhi dil chahta hae k maiN apnay bach.choN k sath kids ward maiN jaon. specially un bach.choN se milnay jo thalassemia major k patients haiN aur weekly aur monthly blood changing jaise process se guzartay haiN. aap dua kejiye k maiN bhi apnay maqsad maiN kamiyab hosakouN.

Myrizvi bhai : nisbat se mutaliq sawal aap ka muntazir hae :)

For Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13  >>
 
 
 
 
Pakistani Singer In Malaysia  How to find job with no work experience  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013