Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Sawal Aapka, Jawab myrizvi ka

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:4th Sep 2011, 5:20am
 

info bhai

agar ap aur waterr jaisay logouN ko  iss thread main "danish.mandanah  taqreeraiN" karneki "ijazat" dedi gayee to meri "danish-shop" ki dokandaari to khatam hojayegi :)

yeh dokaan main apni "danish.wari" dikhaanay k liyeh kholi hai, nah k deger "danish.warouN" ko promote karnay k liyeh... issi liyeh apkay theses noma sawaalaat ko iss new thread maiN muntaqil kardia hai... aiyyeh idhar chaltay haiN :)

agar ap aur waterr jaisay logouN ko  iss thread main "danish.mandanah  taqreeraiN" karneki "ijazat" dedi gayee to meri "danish-shop" ki dokandaari to khatam hojayegi :)

yeh dokaan main apni "danish.wari" dikhaanay k liyeh kholi hai, nah k deger "danish.warouN" ko promote karnay k liyeh... issi liyeh apkay theses noma sawaalaat ko iss new thread maiN muntaqil kardia hai... aiyyeh idhar chaltay haiN :)

info Bhai ka New Topic: Islam, Science & Muslim

 

 

 

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4664  Age:  37  
Posted on:4th Sep 2011, 7:11am
 

rizvi borther

 maine ye thread kayi bar dekha,lekin maine ise kabhi open nahi kiya...hamesha time ki kami ki waja se next day dekhne ka ehad kiya...
aj maine ye kam sar anjaam de hi diya hai aur mujhe apne ap pe hairat ho rahi hai maine itna acha topic miss kia hua tha :)

mera sawal ye hai ,ke Inhsan Dhoka khane ke bad phir kyoon naya Dhoka khane ko tayar ho jata hai ???



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:4th Sep 2011, 11:17pm
 

woh ayeeN hamaray thread maiN :)

khodaa ki qudrat hai + kabhi ham onko, kabhi apnay thread ko dekhtay haiN... just kidding :) and mazeed kidding => eeN sa'aa dat bazoray bazoo neest + taa nah bakhshand, khodaa.ay bakh.shandah lol urdu wala shair to saaf saaf hai...iss persian shair ka matlab yeh hai k ... yeh sa'aa'dat (iss thread maiN aanay wali :)  quwwatay bazoo (to click it :) k zor par haasil nahi hoti...jab tak khoda iski taufeeq nahi detaa....aur dekhiyeh ja tak khoda nay "taufeeq" nahi di, ap iss thread maiN enter nahi "hosakeeN", chaahnay k bawajood haaa haaa

khair yeh to aik mazaaq thaa jo iss thread ki especial khasoosiyat hai...enjoy kijyeh gaa, boraa nahi manaaiy.yegaa...manaanay k liyeh khooshiyouN k din kam to nahi k 'boray' ko bhi manaa.nay lah jaa.aiN lol

mera sawal ye hai ,ke Inhsan Dhoka khane ke bad phir kyoon naya Dhoka khane ko tayar ho jata hai ???
Jwaab:
woh kahtay hain naa k "khaanay waloun ko khaanay ka bahaanah chaahiyeh" ... to aisay log police waloun ki tarah ... jab milay, jaisay milay, jetnaa milay, jahaaN milay aur jo bhi milay ... ki bunyaad par sirf khaanay say gharZ rakhtay hain...khaah onhaiN khaanay ko "dhokaa" hi kiyouN nah milay...aur baar baar milay...woh khatay hi chalay jaatay haiN...  inki "khus.khoraaki.youN" say maar, hawaa, bhi nahi bachti... aur agar yeh bengali speaking howay to cigarette aur pani tak "khaa" jaatay haiN  lol (bengali language maiN pani aur cigarette ki "piya" nahi balkay "khaya" jata hai)

waisay agar aapnay yeh sawaal (ghalati say) "sanjeedah" samajh kar poocha hai to iska sanjeedah jawaab yeh hai k ... aisay logouN maiN amooman  "imaan" ki kuch nah kuch  "kami" hoti hai (ilm o daanish, momin ki meeraas hai naa).... tabhi to Nabi kareem sallallaho alaihay wa aalehi wasallam nay farmayaa hai k (mafhoom) ...momin nah to dhoka deta hai, nah hi dhokaa khataa hai...aur aik soraakh say koi momin do baar dasaa nahi jataa ... 

 

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 98  Post: 5392  Age:   
Posted on:21st Sep 2011, 8:54pm
 

mera sawal

Asslam o alikum.
kese mizaj hain?thanday ya gram?

mera sawal aap se ye hai k jab insan ki paidaish se pr oski zindagi mout sab cheez ka likh dia jata hai to phir hum sab ye jan'ne k bad kisi ki zindagi k lie dua bhi karte hain k fulan ki zindagi lambi ho jae.magar humari dua krne se pehle hi os ki zindagi mout ka faisla ho chuka hota hai to phir kia hume ye dua nahi krni chahiye?
kafi arse bad forum pr kuch poch rahi hon to ho sakta hai k likhne me koi ghalati hoi ho.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:22nd Sep 2011, 2:06am
 

Walekum Assalam

ab tak to forum k na.maqool behavior par garam thaa, apka 'maqool sawal' dekh kar kuch Thanda hogayaa hai:)

1.ham mosalmaanouN ka "taqdeer" par imaan hai, oss "taqdeer" par jo quran o hadees maiN bayaan ki gayee hai.

2. Quran o sahih ahaadees maiN wazah taur par aur baar baar yeh bayaan howa hai k insaan ki paidaish say hi qabal oska rizq aur oski omar "taqdeer" maiN likh di jati hai. woh kab aur kahaaN marega, saaf saaf likha howa hai

3. "taqdeer" asal maiN kia hai? iska "tadbeer" say kia rishta hai? taqdeer fixed hai to tadbeer ki kia haisyat hai etc etc ...iss say miltay jultay sawaalaat karneki hadees shareef maiN sakh momaane'at aayee hai.

4. ham mosalmaan to bus hukme elahi k ghulaam haiN... hukm howa taqdeer par imaan lay aa'o...ham imaan lay aa.ay...phir hukm howa k beemaar ho to elaaj karo, rizq k hasool k liyeh mehnat karo... sehat, omr daraazi aur rizq ki dua karo... chunanchah ham mehnat bhi kartay haiN aur dua bhi ... aur iss mehnat aur dua k nateejah maiN sehat, omar aur rizq maiN "ezafah" dekhtay haiN to Allah ka shukar adaa kartay haiN.

5. lekin agar tamaam tar mehnat, koshish, aur elaaj mo'aaljah k bawajood rizq maiN khush.haali nahi "milti" sehat nahi "milti" aur maut say "nahi bachtay" ... to issay "taqdeer ka likha" samajh kar sabr bhi kartay haiN aur "Allah ki razaa" pay raazi bhi rahtay haiN....

6. in "2 poles" k darmayaan aik mosalman pandolam ki tarah lataknay k bwajood kabhi bhi mayoos, pareeshaan aur mordah dil nahi hota...yehi mosalman say matloob hai aur yehi oski kaamyaabi ki zamaanat bhi.

7. aik true momin kabhi "nakaam" nahi hota. woh shaheed ho yaa ghazi, har 2 soorat maiN "kaamyaab" hota hai.... jabkay non-muslim yaa woh muslim jinka "taqdeer" par kaamil imaan nahi hotaa aur tadbeer +dua par mosalsal "amal" nahi hotaa.... woh hairan o paresshan bhi hota hai aur mayoos o nakaam bhi.

(wallaho aalam bissawab)

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 98  Post: 5392  Age:   
Posted on:2nd Oct 2011, 2:07am
 

jazak Allah

Asslam o alikum...:)
buhot acha reply kia aaap ne.mazirat chahon gi late reply krne par ab main khod inthai nalaiq hoti ja rahi hon pehle sab se ziyada forum pr meri hi posts milti thi aur ab ese hoti h jese qarz ada ho raha ho....hehehe

acha aik aur sawal maine aaj hi aik jga read kia k Aounth ka gosht khanay k bad wuzoo zaror krna chahiye.jab k bakri ya murghi ka khaein to ye aapki marzi k dobara kro ya na lekin Aounth k gosht pr esa kiu?kia is bare me aap mojhe kuch detial bta sakte h?
jazak Allah
Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3787  Age:  26  
Posted on:2nd Oct 2011, 2:21am
 

two sawaal:

myrizvi mujhe aapki raaey chhaheye agar aap kindly explain kar daiN

meri aik aazizah haiN (jin ki baat taalna na mumkin ha filhaal) woh iss baat peh behaad israr kar rahe haiN kay maiN aapney ghar maiN koi "pet" raakhouN oounka mooaqif yeh ha keh iss tarah ghar kay afraad peh jo musibat ani ho woh oos pet peh aa jati ha . kya aisa ha?

pet rakhney aur oosey thoRa time dainey ka time merey pass nahe ha bulkey aajkal ghar mai mojood zinda insaaano ko bi dainey ka time nahe ha ;-). pareenday maiN rakh nahe sakti as oounko mainey jub bhi khareeda ha azad kar diya kunke main oounko qaid nahe karna chhahti. dog na mujhe pasand ha aur na hifazat ka masla ha jo raakhna jaiz ho warna sahe nahe. baqe cat ya rabbits reh jatey haiN aur yeh time mangtey haiN. waisey bhi mujhe ooouN azizah ka concept samaj nahe aya

mainey to oounko kaha ha keh baher meerey garage kay area mai jo tap ki line ha wahaaN aik frog musalsal qayaam pazeer ha maiN oosko pet samaj laiti houN :-D aakhir woh rent kay bagair bhi to reh hee raha ha wahaan

Q2) choonTTi(ant) kay barey maiN apki kya raaey ha ?

hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1884  Age:  26  
Posted on:2nd Oct 2011, 2:56am
 

water sis

waisay to sawal apne rizvi uncle se kia hai aur apkay sawal ka jawab bhi mjko nahi maloom k wo azeezah ne aisa kio kaha.

2d sawal ka jawab me apki help krsakti hu i dontknow k pak me wo sparrows milti he ya nahi punjabi me hum unko kali chirya kehty he jo jisamat me bht choti hoti hai aur awaaz bhi pyari.wo ghur me urti rehti he aur jb wo araaam krna chahy ya khaana to apne pinjre me hud hi ghuss jati hai...:)

yeh chirya rkhne se apko aisa nahi lgyga k apne unko qaid krlia hai.blkay ghur me ronaq lgi rhygy....:)
Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3787  Age:  26  
Posted on:2nd Oct 2011, 3:10am
 

hasna sis:

thank you dear kay ap mera question paRh kay help ki :-)

asal maslah mujhe pet rakhney ka nahe. bulkey iss concept say rakhney peh ha. kya yeh wohi typical zaeeef ul aatiqadi nahe?

mainey buchpan say youth tak kafi pets rakhey haiN shooqiya. ducks bhi choozey bi rabits bhi cat bhi magar innko time zaroor daina chhaheye.

waisey merey ghar maiN patio ha yani in built kafi khula area jahaaN birds reh saktey haiN aur freely move kar sakaiN. almost ghar kay undar tv lounge ki side peh aik room jitna open and grass area (light n beauty kay leye) magar pata nai jub bhi birds lai huN oounko rakhney maiN afsoos hota ha.

hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1884  Age:  26  
Posted on:2nd Oct 2011, 3:23am
 

waterr sis

ji hmm yeh concept galat hi hai aur aisa krna sahi nahi aur na hi yeh bat drust hai k hum per ane wali museebat pet per ajati hai.

yes birds bht masoom hoty he aur choti si jaan.......:) dar hi lga rehta hai.last year mjy mere husband ne anniversary per love birds ka pair dia 10min tk rhy laikin afsoooos k unme se aik Allah ko pyara hogya aur dosre ko humne azaaad krdia laikin abhi tk yaad ati he unki mobile me video save.......:( :(:(

apkay ghur me mashaAllah aisi jaga hai to ap rkh sakti he.laikn wohi baat k unko kuch hogya to apko afsoos hi hota rhyga.


my rizvi k answer ka wait kre...........:)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:2nd Oct 2011, 5:00am
 

wazoo aur ounT ka gosht

g haaN hadees mobarak k motabiq ounT ka gosht khanay k baad wazoo karna zaroori hai. shayad iski wajah yeh ho k ounT ka gosht khasa salty aur deger gosht say alag hota hai aur iskay khanay k baad mouNh maiN iski smell baqi rah jati ho, jissay khatam karnay k liyeh wazoo dobarah karneka hukm hai... lekin yeh "wajah" sirf aik manteqi wajah hosakti hai. "asal wajah" yeh hai k aisaa karneka hukm hai.

صحیح مسلم :وضو کے مسائل

باب : اونٹ کا گوشت کھانے کے بعد وضو کرنا۔

146 : سیدنا جابر بن سمرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ ایک شخص نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا کہ کیا میں بکری کا گوشت کھا کر وضو کروں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ چاہے تو کر اور چاہے تو نہ کر۔ پھر اس نے پوچھا کہ اونٹ کا گوشت کھا کر وضو کروں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ہاں ! اونٹ کا گوشت کھانے سے وضو کر۔ اس نے کہا کہ کیا بکریوں کے باڑے میں نماز پڑھوں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ ہاں۔ اس نے کہا کہ اونٹوں کے باڑے میں نماز پڑھوں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ نہیں

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:2nd Oct 2011, 5:47am
 

maslah pet paalnay ka

- meri aik aazizah haiN (jin ki baat taalna na mumkin ha filhaal)

(*) aik "shareef" khatoon ki nandouN, jeThaniyouN aur saasoo maaN ka shomaar (aik limited periods) tak "azeezah" hi maiN hota hai, jinki baat waqe'ee (tab tak :) nahi Taali jasakti. iska aik hal to yeh hai k aisi shareef khatoon apni "sharafat" choR day...tab har 2 qism ki "azeezah.aiN" apnay mansab par faaiz nahi rah payengi ... youN onki baat (filhaal bhi) Taali jasakegi... lekin aisa amashwarah denay say mashwarah denay walay ki apni "sharafat" mashkook honay ka khatrah hota hai, lehaza doosra mashwarah yeh hai k ap "probationary periods" guzar jaanay tak ka arsah Taal maTol say kaam lekar nikaal daiN...phir nah 'azeezah'ouN" maiN etni himmat hogi k woh israar karaiN apni tajweez par, nah hi apko "diqqat" hogi onki request ko ... aqalmad raa isharah kaafi ast :)

- woh iss baat peh behaad israr kar rahe haiN kay maiN aapney ghar maiN koi "pet" raakhouN oounka mooaqif yeh ha keh iss tarah ghar kay afraad peh jo musibat ani ho woh oos pet peh aa jati ha . kya aisa ha?

(*) g haaN bilkul aisa hai ... lekin aqalmand khawateen aisaa paltoo jaanwer (pet) paalti haiN jo pet ka pet ho aur oss par kharchah bhi kuch nah aa.ay. balkay woh khud apka kharcha oThaa.ay. pet ki tarah har jagah apkay saath saath chalay, jiski "maujoodgi" maiN kissi ko apki taraf aankh oTha kar dekhnay ki himmat nah paray. aisi kissi naa.gahaani soorate haal maiN woh apkay isharah k beghair saamnya walay par bhauknay k elawah kaaT khanay ko bhi dauray. paTTay aur zanjeer ka bhi koi kharchah nah ho, magar "zanjeeri distance" say kabhi agay nah jaa.ay. apnay sonay jaagnay ka khud khayaal rakhay. jo khanay ko dedia, chup karkay khalia. nah dia to koi shikwah shiakayat nahi. g haan ap bilkul sahih samjheen...iss pet ko Show.Her kahtay hain. khasaa jaan walaa hota hai...kisis bhi (other) paltoo jan.wer say zeyadah :)

- pet rakhney aur oosey thoRa time dainey ka time merey pass nahe ha bulkey aajkal ghar mai mojood zinda insaaano ko bi dainey ka time nahe ha ;-).

(*) time nahi hai , no problem ... ghar k har fard ko liyeh alag alag "time piece" lay daiN aur onhaiN batlaa daiN k jetna time lena ho iss maiN say az khud lay lo .... waisay ghar k zindah insaanoun ko koi dr. agar time nah day to woh "shokar" hi manata hai. kiyouNkay woh jaantay haiN k jab koi dr. hospital maiN kissi "zindah mareez" ko time deta hai to woh zeyadah dair tak zindah nahi rahtaa lol

- pareenday maiN rakh nahe sakti as oounko mainey jub bhi khareeda ha azad kar diya kunke main oounko qaid nahe karna chhahti. dog na mujhe pasand ha aur na hifazat ka masla ha jo raakhna jaiz ho warna sahe nahe. baqe cat ya rabbits reh jatey haiN aur yeh time mangtey haiN. waisey bhi mujhe ooouN azizah ka "concept" "samaj" nahe aya ?

(*) to qasoor to apki "samajh" ka howaa naa :) asal maiN yeh aik tarah ka "test case" howa karta hai...yeh dekhnay ko k yeh mohtarmah hamaiN aur hamari baatouN ko ketna "azeez" rakhti haiN...yaa youNhi "mouNh.zobaani" hamain azeezah kah kar ta'aruf karwati hain NFC par :)

-mainey to oounko kaha ha keh baher meerey garage kay area mai jo tap ki line ha wahaaN aik frog musalsal qayaam pazeer ha maiN oosko pet samaj laiti houN :-D aakhir woh rent kay bagair bhi to reh hee raha ha wahaan

(*) woh wahaan iss liyeh bay.khauf o khatar rah raha hai k ossay pata hai ap "poori dr." ban chuki haiN. lehaza "pre-medical" ki taalibaat ki tarah apsay onko koi khatrah nahi k kab pakaR kar "disect" kar daiN. ab onhaiN maloom hogayaa hai k mokammal dr ab yehi mashq insaanouN par kartay haiN, frog par nahi :)

- choonTTi(ant) kay barey maiN apki kya raaey ha ?

(*) as a pet, ant say behtar aik makhlooq meri nazar main hai... ant ka khayaal rakhna to bahoot mushkil kaam hai (sach much ka) qadaam phooNk phooNk kar rakhna paRta hai. inkay biloun ka khayaal rakhna paRta hai, cheeni aur ajnaas k daanay denay partay haiN...iskay moqablay ap agar meri recommended "pet" paal laiN to nah to waqt dena parega (jo hai hi nahi ap k pass) nah kuch kharchah aayega onkay khanay peenay ka ...balkay aik tarah say bachat hi bachat hogi... waqt ki bhi aur paisoun ki bhi ... g haaN nah kanghi karneki zaroorat, nah shampoo, oil ka kharchah (waqt bhi bachaa aur paisaa bhi) aur yeh pet chaltay phirtay apkay saath saath... hm ap Theek samjheen magar shhhhhhhh ap yeh baaloun ko to nah khojayaiN... hair-pet disturb hojayengay...... apki azeezah ki khahish ka ehteraam bhi hogaya, peT bhi pal gayaa, waqt laga nah paisaa aur rung aayaa (hair-pet ki zindagi maiN) chaukhaaa

wow kahiyeh ab koi maslah rahaa pet paalnay kaa :)

Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3787  Age:  26  
Posted on:2nd Oct 2011, 7:04am
 

myrizvi ka saaf saaf jawab :)

haan g (Taal matool pe kaam jari o sari ha) mainey to kaha oounsay mashAllah pooorey lahore ney ijtamai tooor peh dengue machar ko pet bunaya huwa ha :( aap iss ko hee samajh laiN as agar lahore ney iss machar ko ijatamai pet na bunaya hoota to shayd maiN zaati pet rakh laiti

aapki aakhari tajweez jiss kay baad koi maslah nahe rehna tha pet paalney ka(aur oil shampoo comb ka kharcha buchana tha) oosko palney say to already mooojoda (jaisa apney kaha 'khaasa jana wala') pet kay farar ka khadshah ha so mera khayal ha oil shampoo ka kharcha na buchaaoouN bulkey apki iss tajweez peh amal kartey huwey aazizah kay samney inn ko paish karoouN as you advised *"jiski "maujoodgi" maiN kissi ko apki taraf aankh oTha kar dekhnay ki himmat nah paray. aisi kissi naa.gahaani soorate haal maiN woh apkay isharah k beghair saamnya walay par bhauknay k elawah kaaT khanay ko bhi dauray. "* :-D

oh to yeh aik 'aur' test case ha . myrizvi waisey aik aur baat explain karaiN aisey 'student' ka kya bunta ha jinn ko yeh pata hee nahe chalta kay woh test maiN baiThey haiN ya kub test start huwa ya paper/Question konsa ha ya kon kab test laina start kar daita ha?. mashAllah aisay 'andazey be - niyazi ' ki khashti doob to nai jati ): .

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:2nd Oct 2011, 11:21pm
 

test case

hamari yeh poori zindagi aik test hai ... aur qadam bah qadam test case saamnay aatay rahtay haiN, aik k baad doosra, doosray k baad teesra... qataar ander qataar ki soorat. test bhi kai qism k hotay haiN, kuch farz hotay haiN to kuch mustahab aur nafal....jo test farz hotay haiN, woh bahoot kam hotay haiN jaisay final test /exam saal main aik/do hi hotay haiN), onsay bay-niazi say kashti Doob bhi sakti hai...magar nafli test (like monthly weekly test) ki kasrat hoti hai...in par tawajjah denay walay gold medalist bantay haiN :) aur insay beniazi baratnay walouN ki kashti nahi Doobti...dr to "woh" bhi ban hi jatay haiN :)
glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 14  Post: 1080  Age:  26  
Posted on:2nd Oct 2011, 11:58pm
 

my question?


as salam oalikum

q) life aachi with out bachi ....... kia ye baat sahi hai ;-p .?

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:3rd Oct 2011, 12:48am
 

haaa haaa

walekum assalam!

pata nahi mujhay kabhi kabhi aisaa kiyouN feel hota hai k apka bachpan / laRakpan, larkiyouN maiN kam laRkouN maiN zeyadah guzra hai lol

no life without wife ... k moqablay maiN baaz manchalouN nay yeh qaul banaayaa hai k ... life achi without bachi :) yeh basically "shareef bachay" hotay haiN jo laRkiyouN say sharmaatay aur insay dooooooor rahtay hain. aur jab laRkiyouN maiN gholay milay onsay dostiyaaN karnay walay laRkay aisay shareef laRkouN ko cheRnay lagay to aisay main ham nay :) apnay bachaa'o maiN yeh naraa laga dia: life achi without bachi ... ap nay yeh baat tab say apnay dil main rakhi howi thi jo aj yahaaN nikal gayaa... lol

glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 14  Post: 1080  Age:  26  
Posted on:5th Oct 2011, 1:59am
 

aap ka jawab .....


as salam oalikum

oopsssss aap ko aaisa kis baat se feel howa kay mera larakpan ya bachpan boyes katy darmian guzra hai ;-p

or mera bachpan guzar gaya hahahahaha kash ye koi or b keh day

life aachi wioth out bachi ............ ye sharefon ka nara hai ya un ka ko ye samajhtay hain kay .angoor khatay hain ;-p

or ager waqai sharefon ka hai to yahan is forum p sab se ziada queries bachi kay mutaliq hi ku hoti hain ..mujhay falan se pyar hogaya hai .meri gf muh se bhat pyar karti hai ......... i notice kay koi new thread ho ya no ho magar is topic p or oral kay topic main hamesha ronak mela laga rehta hai aaisa ku ????????? ;-p
thanks
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:5th Oct 2011, 5:16am
 

haaa haaa

walailkum Assalam

goya k woh bhi (abhi tak :) yehi kahtay hain k... tum to bilkul bachi ho ... iskay baad woh apki ghoorti howi nigahouN ko dekh kar agla fiqarah zeray lab kahtay haiN, jo apko sonayee nahi detaa... yaani aur kaan ki bilkul kachi ho lol

asal maiN ap on tamaam salogans bah khoobi waaqif hain jo sirf laRkay, laRkouN hi ki mahfilouN maiN kahaa kartay hain ... yaa phir indian movies maiN

angoor khaTTay haiN :) haaa haaa ab agar kissi nay angoor chakhay hi nah houN to oski yeh baat 50% to durust hogi hi k angoor khaTTay haiN... HER milna wala (wali:) angoor meeTha bhi to nahi hota naa lol

aur apsay kis nay kah dia k yahaan aanay walay guyz shareef hotay haiN :) (shareef guyz n bhains say maazrat k saath)

glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 14  Post: 1080  Age:  26  
Posted on:5th Oct 2011, 5:30am
 

again hahahahaha


as salam oalikum

kaan ki bilkul kachi ho
nahi khair aaisa to nahi keh saktay .kan ki taiz ho sakti hon kachi nahi ;-p

or jis bachi ki main nay yahan baat ki thi .to wo bachi kabhi kachi hoti nahi lolz

asal maiN ap on tamaam salogans bah khoobi waaqif hain jo sirf laRkay, laRkouN hi ki mahfilouN maiN kahaa kartay hain ... yaa phir indian movies maiN

oopssssss 1 or ghalat andaza........ indian kia or angraizi kia main movies daikhti hi nahi ....... bht kam kabhi koi daikh li to alag baat hai or tv b daikhna pasand nahi wahid fazool shok net p baithna hai is kay ilawa koi kharafat nahi ;-)) ( tamam kharafat ki jar jo hai ye) per bachay howay hain alhamdolilah .........baki rahi baat un salogans ki to rehtay to isi dunia main hai nna frdz wagaira to kaisay anjan reh saktay hain un salogans se;-p

angoor khatay hain to ye b to khasyahat kay maray hi kehtay hain jin ko angor miltay hi nahi ;))

aap ka shumar kin main hai jin se mazrat ki hai un main ya !!!!!!!!!!

Q) ladoo ki bht se kinds hoti hain . baisan kay ladoo .or roti ki jo chori hoti hai us kay b ladoo bantay hain ( kabhi khahay hain ) ;p per shadi ko moti chor kay lado ka naam hi ku dia gaya hai ???????? koi khas waja ;-p

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:5th Oct 2011, 6:02am
 

mera shomaar

nah to shorfaa maiN hota hai (sharfaa baad maiN nahi rahtaa naa:) aur nah hi ghorbaa maiN (ghareeb abaad maiN bhi nahi rahta). maiN to mahaz aik aam saa insaan houN lol

baaz mohaawray kasratay istemaal say ghis ghis kar kuch k kuch hojatay haiN ... yahaan moti (pearl) ka nahi balkay aik moTi (she fat :) ka zikar hai jo sweet shop say chori karkay luDDoo gali gali sastay daamouN becha karti thi... chori k luDDoo khareednay walaa /khareed k khaanay wala kabhi kabhi pakRa bhi jata thaa k oskay pass say sweet shop luDDo bar.aamad hotay thay, jo oss nay shop say nahi khareeday hotay. iss liyeh mujh jaisay 'shorfaa' :) oss moTi chor say luDDo lekar khanay say katraatay bhi thay aur jaib main waafir paisay nah honay k sabab shop say khareeednay say qasir honay k sabab pachtaatay bhi thay k moTi chor k luDDo kiyoun nahi khaa.ay aur ap jaisay log :) oss moTi chor k luDDoo khaatay howay pakray jatay aur pachtaatay k kiyoun khaa.ay ....

shadi karnay aur nah karnay walaa bhi aisaa hi hota hai...jo nah karay woh (to be wives:) ko door door say dekh kar pachtata hai k shadi kiyoun nahi kia aur karnay wala ghar aan kar biwi ki jhaRkiyouN ko sun sun kar pachtaanay lagta hai k shadi kiyoun kia......... goya yeh bhi oss moTi chor k luDDo hogaye jo khanay walaa bhi pachtata hai aur nah khanay wala bhi ...

(daroGh bar gardanay ravi /chonaab)

1 2 3 4 5 6 7 8 9  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013