WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 45 Post: 2495 Age:
48
|
|
Posted on:8th Dec 2011, 6:35am |
|
|
Alirajput Allah her aik ka hai han koi Allah ko kis terah se nam leta hai koi kisi terah se
ager ap ghor kerain to shayed aisay songs likhnay walon main musalman shaer bhi hain
asal bat yeh hai k hum unhain mana kernay ki bijaai khud kiun baaz nhn aatay aisi movies dekhnay se
hum kiun pagal huway phirtay hain indian movies k liyay???
aur to aur pakistan media per dikhaai janay walay ishteharaat main bhiindian movies k clips, songs hotay hain
woh to kafir hain mushrik hain lekin hum kya hain ???
humain un per ghussa kernay ki bijaai un k khilaf kuch kerna chahyay jo musalman hain pakistani hain lekin her waqt isi koshish main hain k kisi bhi terah indian media indain movies pakistan main ruleup rahay is ki aik nhn kai misalain hain
jesya ANDAN SAMI KHAN, VEENA MALIK taza misalain hain |
yashfeen |
Group: Members Joined: 17th Nov, 2011 Topic: 5 Post: 664 Age:
26
|
|
Posted on:10th Dec 2011, 10:10pm |
|
|
assalam alaikum.. rizvi sir ap ne mere sawal ka jawab n diya:(
jb ek wife bht dreamy, (as a child)ho, ar husbnd bht practicl, ya sinsior hu tu rishte ko balance kaise kare...?
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:24th Dec 2011, 6:19am |
|
|
dreamy wife ka practical husband yeh to bahoot acha hai k ...
biwi khaab dekhti rahay ... aur apnay khaab apnay husband ko batlaati rahay
aur husband wife k khaabouN ki taabeer k liyeh practically kaam karta rahay
mard ko practical hi hona chaahiyeh takay woh amali aqdamaat karkay apnay ghar walouN k khaab ko poora karsakay.
|
yashfeen |
Group: Members Joined: 17th Nov, 2011 Topic: 5 Post: 664 Age:
26
|
|
Posted on:24th Dec 2011, 8:31pm |
|
|
thnx for reply one more but plz give me ans. Seriously...
Agr insan apne ap ko badalna chahta h tu sb pehle kya krna chahiye?? |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:24th Dec 2011, 10:17pm |
|
|
mazboot iradah insaan apni "will-power" say bahoot kuch kar sakta hai
agar insaan apnay ap ko ... yaa apni kissi aadat /habbit /personality k kissi bhi pahloo ko change karnaa chaahta hai to woh aisa karsakta hai... iskay 2 basic step haiN
1. mazboot quwwati eraadi (sab say pahlay yehi karna hai)
2. apni zaat / habbit ko badalnay k liyeh "required steps" par amal dar aamad
quwwatay eraadi to woh az khud apnay ander "paida" karsakta hai... lekin "amal dar aamad" say pahlay ossay chand expert ki roy lay kar hi "amal" ka aghaaz karna chahaiyeh takay yeh yaqeeni hosakay k woh right-direction maiN action lay raha hai.... niyyat sahih ho aur 9apni laa.ilmi k sabab) direction ghalat ho to result kabhi nahi nikal sakta...khud ko change karneka
|
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3245 Age:
36
|
|
Posted on:24th Dec 2011, 10:58pm |
|
|
myrizvi bro
main zaban dani , zaban dani main rayej ghalt ul aam , zaban dani k asloob , alfaz k khan dan , maani o matalib par aik thread start karna chahta hon laiken iss k liye mujhy aap ka sath chahiye ...kia aap meri help karain gy ?
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:25th Dec 2011, 11:13pm |
|
|
nyvermind aur talaq asal maiN sahab bahadur ki susraali zobaan urdu nahi hogi to woh poochna chaah rahay hongay k kia woh apni non-urdu speaking /samjhing zaujah mohtarmah ko urdu zoban o adab k ain motaabiq talaaq ka tohfah enayat farmaa saktay haiN???
onki khidmat maiN arz hai k agar onki zaujah mohtarmah onkay urdu maiN talaaq denay ko nah bhi samajh sakain to jab ap onhaiN onkay jahaiz samait apnay daulat kadah say dar.badar farmaa dengay to woh az khud yeh samajh jayengi k apnay urdu e mo'allaa maiN kia irshaad farmaya thaa lol |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3245 Age:
36
|
|
Posted on:25th Dec 2011, 11:36pm |
|
|
hhahahaha khoob re "jab ap onhaiN onkay jahaiz samait apnay daulat kadah say dar.badar farmaa dengay to woh az khud yeh samajh jayengi k apnay urdu e mo'allaa maiN kia irshaad farmaya thaa lol"
hahahha , buhat khoob hans hans k pait main dard hony lag geya hay ...kia lukhnavi andaz-e-guftgu hay ..:)lol |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:5th Mar 2012, 10:28am |
|
|
ghalat baat ko kabhi bhi "durust tasleem" nahi karna chaahiyeh.
khah naa. mowaafiq haalaat ki wajah say ghalat baat k saamnay jhukna hi kiyouN nah paR jaa.ay
aik hadees ka mafhoom hai k ... agar koi ghalat baat karay to osay taqat say rok do, rokne ki taqat nah ho to zoban say hi manaa kardo...agar naa. mawaafiq halaat k sabab yeh bhi nah kar sako to kam az kam dil maiN hi issay ghalat samjho...magar yeh imaan ka aakhri darjah hai |
JAMUN |
Group: Members Joined: 02nd Mar, 2012 Topic: 1 Post: 10 Age:
31
|
|
Posted on:5th Mar 2012, 12:54pm |
|
|
myrizvi ap mujy help kerdaingay. yahan me na problem likhni ha. magar jab new post ma ja k click kerti hou tou last ma dou teen space hain. Uss ma se jo first ha uss ma type nahi hota aur me na itna lamba swal puchna ha tou uss k liye muja zyada jaga ki zrurat thee iss liye me na baray space me likh diye tou wo type ho jata ha mgar enter nahee hota aur list me aat hee nahee mera topic keh koyee usska jwab de dai. |
majorAli |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 0 Post: 1490 Age:
|
|
Posted on:7th Mar 2012, 12:56pm |
|
|
aaj toh dr. myrizvi ne poocha sawal, aur mureed deghaa jawaab I catched pneumonia, 4weeks ago (1month) treatment jaarri haiN. Since ye pneumonia, 2nd time haiN, in 2 years... toh, iss ne kar dia haiN chehre ko bohot kamzoor, hamari thori khoob suarati chehre wise hamse iss ne cheen li, wese motapa ye na kam kar sakaah. Pir jee, waldaiN ko ham ne kia inkaar, pehli jurrat jho unonaye sahi nahiN li... Gaaliaa toh shayd meri taqdeer maiN thi hi sahi, bus narazgi bhi unki ab tak na dhali. Walid toh sehait ki baat kar lete haiN, lekin search for surgeon, surgery, aur financial bataiN ghar maiN rozana hon rahi haiN jese shayd maiN bewaqoof hooN, aur mujse pooche begyr ye sab honga, mujhe behosh kar ke. Wife waldaiN ke saath tawun kar rahi haiN.
(by the way, myrizvi janaB) aap se guzarish he in sab batooN ka jawab idher de ya udhar... wo aap ki marzi he, lekin maiN iss posts ko bhi important nahiN samajtaa, aur meri khaish he ke ye aap ki ankhooN ki tandakh dekhle toh isko bhi iske sahi mokaam pe pohchaa di jiye gaa.. |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:20th Apr 2013, 2:33am |
|
|
aik dilchasp silsila iss post maiN ap kuch bhi pooch saktay hain aur ham kuch bhi jawaab desaktay haiN :) aik mazahia silsilah jiss maiN sanjeedah guftagoo bhi ki jasakti hai :) |
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 98 Post: 5392 Age:
|
|
Posted on:3rd May 2013, 11:36pm |
|
|
Assalam o alikum Kese hain ap?maine socha new post kron behtar h ap se yehi pr poch lon.ye pochna tha k aksar log kehte hain k sham k time ghar se jharo lagane se rizq me kami hoti hai esi koi bat ap k samne se guzri? |
dom_man |
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1334 Age:
34
|
|
Posted on:3rd May 2013, 1:25pm |
|
|
s4u waisay tau is ka jawab myrizvi hee dain gay laikin mein itna jaanta hoon ke ye fazool baat hai aur is mein koi sachaaye nahi, na hee dunyawi ilam ke aur na Islamic hawalay se. |
fahad hussain khan |
Group: Members Joined: 26th Apr, 2012 Topic: 5 Post: 916 Age:
24
|
|
Posted on:3rd May 2013, 9:11pm |
|
|
walaikum Assalam ALLAH U AkBAR is dor main bh ap ase guman rukhti hai nh asa khc bh nh hota Yea sub ek suni sunae batein hoti hain jo humari hi prdadi ya Dadi jo waQif e Quran tk nh hoti wo krti the ase wehm wali batein...............par ap tu is dor k hu prahi likhi ............so baQi Rizwi bhai bateain ge sis. |
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 98 Post: 5392 Age:
|
|
Posted on:3rd May 2013, 11:41pm |
|
|
Aray nahi Main in baton pr believe nahi krti mojhse kisi ne pocha k esa krne se Kia ye sab hota h to Maine kaha k mere ilam me to esi koi hadis nahi h.pr mojhe behtar laga k Rizvi uncle is ka answer lon. |
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 98 Post: 5392 Age:
|
|
Posted on:3rd May 2013, 11:43pm |
|
|
Sorry Typing mistake hoi h.chalein ab khod hi samjh lein kiu k 2 din se soi nahi hon:) |
Einstein |
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 14 Post: 710 Age:
24
|
|
Posted on:4th May 2013, 12:33am |
|
|
s4u Kia wajah hui kai ap do din sai nahn soin?kia bemar to nahn hain ap? |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:4th May 2013, 1:47am |
|
|
s4u 1. as dom_man already replied k aisi koi baat nahi hai... sham k auqaat maiN, jab din aur raat apas maiN mil rahay houN, aisay waqt choTay bachouN ko bahar nahi bhejna chahiyeh as per hadees... issi tarah iss waqt sona bhi manaa hai... fajir k waqt ki tarah jab raat aur din apas maiN mil rahay houN... faijir k waqt sonay walouN ki gardan par shaitan 3 girah lagaa deta hai...sunrise tak nah oThnay walouN k ears maiN peshaab kardeta hai as per hadees.
jahaaN tak baRay booRhouN (hamari daadi pardaadi) ka yeh kahna k maghrib k waqt jhaRoo nah lagaa'o, nails nah cut karo... yeh tab k daur k liyeh aik behtareen naseehat thee jab ghar amooman kachay pakkay aur bijli ki raushni say maroom thay. ap khud imagine karsaktay haiN k aisay mahaul maiN yeh donouN kaam karnay k nuqsaanaat thay...nail cutting (tab nail cutters bbhi nahi hotay thay) say finger kaTnay aur jhaRoo denay say gard o ghobaar k saath hashraat ul arz etc bhi ahlay khana k liyeh mushkilaat ka sabab ban saktay thay...jabkay raushni naa.kaafi ho... baRi booRhiyaaN isi liyeh aisay kaam sham ko karnay say sakhti say manaa karti theeN... aur baaz bachiyouN k sawaalaat par k aisaa kiyouN nah karaiN...woh apni samajh /yaa bachiyouN ko just mutmain /khamosh karnay k liyeh kah dia kartee theeN k iss say rizq maiN kami hoti hai........ issi tarah khali scissors ko chalanay say yeh kar kar manaa karti theeN k aisaa karnay say apkay abbu ki kissi say laRayee hojayegi...maqsad sirf daraa kar aisaa karnay say rokna thaa. kiyouN kay bachhay agar khali qainchi chlaa chalaa kar khelengay to iss say onhaiN hi nuqsaan pahonchnay ka khatrah hosakta thaa... yeh sab poranay zamanaay k logouN ki DANISH.MANDANAH bataiN haiN jo ossi daur say motalliq theeN... iska islam ya aaj k ahad say koi lena dena nahi hai
|
|