sasif514 |
Group: Members Joined: 12th Aug, 2010 Topic: 0 Post: 3 Age:
34
|
|
Posted on:12th Aug 2010, 11:55pm |
|
|
akir ku kisi ko bchpan se na maa mili na bap aur jawany me na mohabbat mili akir ku
koi jawab de ke aisa mere sath ku hua take dil ko sakon mil sake
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:12th Aug 2010, 10:26pm |
|
|
sasif514 1. aisa to sab kah saktay haiN k mujhay nah yeh mila nah woh mila, nah this mila nah that mila, aakhir kiyouN??
2. bachpan say jawani tak apko Allah ki etni neimataiN milli hongeeN k ap onka hisaab bhi nahi laga sakatay... apko sehat mili hai, apko achi taleem milli hai...ap being a engineer pakistan k "upper class" maiN shamil hochukay haiN jo pakistan ki abaadi ka 1% bhi nahi hai... ap ka living standard...pakistan k ketnay % logouN ko hasil hai, kabhi yeh socha hai.... agar ap khud ko hasil Allah ki neimataiN khud shomaar karnay lag jayaiN to pata chalega k "have not" k moqaablay maiN "have" ki fahrist khasi lambi hai
3. ab ap yeh ghaur kijyeh k in tamaam neimatouN par apnay Allah ka ketna shukar adaa kia??? aur iskay jawaab main apnay society ko, logouN ko, mulk ko kia dia...
4. khooshi sirf lenay ka naam nahi balkay denay ka naam bhi hai... ap logouN maiN khooshiyaaN baaNT kar dekhaiN, apko iss say jo khushi milegi, woh bahoot baRi hogi |
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 98 Post: 5392 Age:
|
|
Posted on:13th Aug 2010, 1:29am |
|
|
aaj ka sawal aaj phir is thread ko dekh ker aik sawal yad aya.
sawal is: agar kisi admi (aurat bhi ho sakti h:-P) ko koi kisi dosre insan k bare me bharkaey os ki burai kare.jab k jis se burai ki ja rahi ho wo pehle burai hone wale insan k bare me ye soch na rakhta ho.to jab wo in do teen logon se os ki burai sun le to kia on ki bat man leni chahiye ya phir jo khayal pehle aap k mind me tha wohi theik h?
mojhe samjh nahi aa rahi k ye sawal kis trha likhon.ab jese bhi hai samjhna aapka kam h:D
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:13th Aug 2010, 1:34am |
|
|
etna gunjalak sawaal ): mukhtaser jawab hai ... naheeeeeeee
jab tak kissi k baray maiN koi ghalat baat 'confirmed' nah ho jaa.ay... oskay baray maiN husnay-zunn hi rakhna chaahiyeh.
kissi danaa ka qaul hai kissi k baray maiN ghalat taur par husnay-zunn rakhnaa iss baat say behtar hai k oskay baray maiN ghalat taur par soo.ay-zunn rakha jaa.ay
soo.ay-zunn say hatta ul imkaan parhaiz laazmi hai |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:16th Aug 2010, 1:31am |
|
|
ignore them or tell them...
that Allah's Apostle said, "Beware of suspicion, for suspicion is the worst of false tales. and do not look for the others' faults, and do not do spying on one another, and do not be jealous of one another and do not hate one another, and do not desert (stop talking to) one another. And O, Allah's worshipers! Be brothers!" (Sahih Bukhari: Book #73, Hadith #92)
Moderator Note: For other Pages Click Here: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 >>
|
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:30th Aug 2011, 12:24pm |
|
|
Q: Apni apni laila tul qadar ? myrizvi mujhe aik concept samjhaiN agar saudia mai taqq raataiN aik din pehley hoti haiN aur hamari baad maiN to har country ki apni apni laila tul Qadar hoti ha.aur Hajj? woh to tub hee hota haina jub saudia maiN hoota ha chhaheye hamarey mulk maiN date nah bhi ho chand ki toooooo phir laila tul qadar?aur taqq raaataiN? |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:30th Aug 2011, 12:42pm |
|
|
waqt ka falsafah
waqt ka falsafah baRa ajeeb hai ... iss waqt pakistan maiN jo waqt /time hai, woh kaheeN aur kuch aur bhi hosakta hai. hatta k day aur date ka faraq bhi hota hai ... issi liyeh internationaly doccuments maiN signature k sath jahaaN date likhtay haiN, waheeN date say qabal city zaroor likhtay haiN taakay exact signing time doccumented ho sakaiN.
goyaa it is understood k time, day aur date earth k har goshay goshay maiN bhi SAME nahi hotaa ... earth maiN days /time ka inhisaar earth aur sun say relate karta hai... agar ham solar system say bahar nikal jayaiN to wahaaN waqt /date kia hoga??? yeh bhi aik aham sawaal hai ... iss waqt khalaa baaz apni diary maiN waqt /date ka record yaqeenan earth k apnay home city k hisaab say rakhtay hongay
Jab Nabi kareem saw meraaj par tashreef lay gayee thay to zameen hi par makakh say baitul moqaddas aur phir wahaaN say aasmaan ki sair ko gaye... ahaadees maiN meraaj k jetnay "events" recorded haiN...on sab ka takhmeenah lagayaa jaa.ay aur jab woh waapis makkah tashreef lay aa.ay to makakh say jaanay aur waapis aanay ka waqfah bahoot "qaleel" thaa jo meraaj k "long events" say "match" nahi khaatay.
haalaankay Nabi saw nay yeh safar khaki jism (matter) k saath kia thaa...magar onka yeh safar "boraaq" (barq /bijli /light etc) naami sawaari par howa thaa... yaani iss "sawari" par onki speed (at least) light speed to hogi hi .......
Allah nay quran k baray maiN farmaya hai k ... inna anzalna ho fee lailat ul qadar ... ham nay iss quran ko lailatul qadar maiN naazil kia (saatweeN aasman /lauhay mahfooz say aasmaanay dunya par) ... ab yeh kaunsi raat thee ... agar 27th Ramadan ko lailatul qadar maan lia jaa.ay ( lailatul qadar Ramadan ki last 5 taaq raatouN maiN say aik hi raat hoti hai... aur aghlaban yeh 27th raat hai) to yeh zameen k kiss hissay ki lailatul qadar thi??? ... zameen k mukhtalif hissouN maiN date to mukhtalif hoti hai aur qamari date to laazman hoti hai.
Allah nay waqt ki qasam khayee hai ... wal asr ... aik hadees ka mafhoom hai k "zamaanay" (waqt / time ?) ko bora nah kaho k Allah khud waqt hai ... waqt ki asal haqeeqat say ham naa.waaqif haiN. ham zameen par sirf 'relative waqt' ka hisaab kitaab rakhtay haiN... agar insaan waqt par "qaboo paalay" to woh maazi /mustaqbil (guzray waqt n aanay walaa waqt) maiN enter hosakta hai... time machine banaanay ki insaani kaawishaiN jaari haiN ... jiss tarah insaan abhi aasmaan ki haqeeqat say waqif nahi issi tarah waqt ki haqeeqat say bhi waqif nahi.
shariyat /ibadat ka talluq hawasay khamsah say hai... shariyat /ibadaat k ihkaamaat har indivisual par alag alag lagoo hotay haiN...poori insaaniat /ummat par "ijtemaayee" taur par nahi.... jahaaN "ijtemaiat" nazar aati hai, wahaaN bhi asal maiN bahoot say indivisual aik jagah aik waqt maiN yakjaa hokar "infradai" ibadat hi kar rahay hotay haiN.
sooraj nikalnay aur Doobtay waqt sajdah karna haraam hai.... magar sari dunyaa maiN har waqt koi nah koi sajdah kar raha hota hai aur sooraj bhi har waqt kaheeN nah kaheeN taloo /gharoob horaha hota hai... lehaza yeh hukm har fard par indivisually naafiz hai k jab woh sooraj taloo /gharoob hotay dekhay tab sajdah nah karay. yehi haal qamari month k start honay ka hai...iska talluq royat say hai yaani insaani aankhouN say dekhnay ka nah k ...moon ki actual birth ka...
jab ramadan aur eidain ka hisaab kitaab har fard /region k royat par hai to ramadan, eidain bhi har region ki alag alag hogi...jab ramadan dates alag alag hongi to lailatul qadar bhi har region ki issi tarah alag alag hogi...
hajj chouNkay dunya bhar maiN sirf aur sirf aik hi region (makkah) maiN hoti hai lehazah hajj date makkah ki qamari date k hissab say hogi jabkay ayyamay nahar (qurbani ki dates) har region ki regional qamri date k hisaab say... yaani ham ibaadaat sirf aur sirf regional qamri dates / hawasay khamsah say maloom kardah auqaat (sunset, sunrise, zawaal etc) k motaabiq adaa karnay k paband haiN nah k REAL (ABOSLOLUTE) TIME / DATE k hisaab say, jo k ham decide /confirm nahi karsaktay... at least fil.waqt ...aur kabhi bhi aisaa nahi hosaktaa k tamaam insaan iss par qudrat haasil karlaiN 9agar kabhi kuch log iss par qudrat bhi hasil karlaiN, absolute time /day jannay maiN to) ...jabkay ebadaat tamaam logouN par onki qudrat /capacity k motaabiq farz hoti hai...
apki roy kia hai???
|
info1234 |
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:30th Aug 2011, 5:32pm |
|
|
mystery of shabbeqadar in different parts of the world
Dr Waterr ka yeh aik intehai interesting sawal hai. rizwi bhai ka reply apni jagah aik sanad ki hesiat rakhta hai, diplomat bhai k reply ka bhi intezar hai, is k bawajood main is topic par khas tor par kuch add karna chahun ga, qk mujh se yeh sawal kafi martaba poocha gya hai......
sab se pehlay main apnay limited knowledge se time par apna zaati nazria pesh karon ga jo shab e qadar ki mystery solve karnay ki aik intehai ghair mustanad/ intehai kamzor koshish hai...
aik pani k bartan main pathar phenkain tau pathar girnay ki jagah se concentric circles main lehrain charon janib move karnay lagain gi.....
farz karain pani ka bartan rectangular hai...jab us main pani bhara hoga tau pani ki surface bilkul flat ho gi.. ab aap is k aik konay par pathar phainkain.... wahan se waves travel karti hui akhri konay tak chali jain gi.....agar aap waves travelling k is tamashay ko aik curved glass lens se dekhain tau apko us pani ki surface flat ki bjaey curve nazar aey gi. aur aik curved water surface par apko waves bhi curved path main move karti hui nazar ain gi... apko mehsoos hoga jesay pani ka aik football hai, jis ki curved surface par waves aik point se dusray point tak move kar rahi hain...
bilkul isi tarhan zameen ki surface par din ki roshini aur raat ka andhera waves ki tarhan travel kartay hian.... yeh andhera aur roshini east se west main aik dusray k peechay travel kartay hain.... agar koi zameen k kisi point par static ho jaey tau din k start hotay hi roshini barhna shuru hogi, yahan tak k aik peak intensity achieve kar k kam hona shuru hogi, aur phir kam hotay hotay andhera chhanay lagay ga..phir andhera dark hota hota aik peak acheive karay ga..phir andheray ki darkness kam hoti chali jaey gi yahan tak k dubara se din ki roshini ka cycle repeat ho jaey ga....
agar koi space se yeh tamasha dekhanay tau ussay zameen aik football ki tarhan nazar aey gi, aur uski surface par aik dark band aur aik bright band aik dusray k peechay move kartay nazar ain gay, bilkul usi tarhan jesay above example main pani k football par water waves travel karti hui nazar ain gi. lets suppose zameen ki surface par pakistan main koi dark band (night phase) k sath sath khud bhi move karna shuru kar de, tau woh iran, saudi arab, africa se hota hua atlantic ocean se guzarta hua america se extreme west ko cross kar k phir extreme east newzealand se hota huwa indonesia se guzar kar india aur india se phir pakistan pohanch jaey ga, lekin apnay is tamam safar main ussay sirf "raat" hi nazar aey gi..aur woh mehsoos karay ga k jesay us nay dunia ka poora chakkar laga lia lekin dunia k har hissay main "raat chhaaaii hui hai..."
bilkul yehi samajh lain k zameen ki surface par shabb-e-qadar ka "night band" saudiarab k longitude se start hua, aur wave ki tarhan west main move karta hai. west main saudia k bad africa main raat hogi, phir africa k bad america main raat ho gi, phir america k bad wohi nightband newzealand se hota huwa indonesia se japan,china,burma,india se hota hua akhir main pakistan pohanchay ga....yeh wohi night band hai jis nay saudia se apna safar shuru kia tha, aur wave ki tarhan earth surface par travel karta hua east to west k asool par pakistan pohancha, aur is arsay main ussay 24 ghantay lagay......ab yaad rahay k agar yeh raat shabbeqadar ki raat hai, tau is raat ki duration 24 ghantay bani, aur is 24 ghantay main is ne saudi arab se apna safar shuru kia aur pakistan tak pohanch kar jab zameen ka aik complete revolution mukammal kar lia tau yeh shab-e-qaddar bhi khatam ho gai.....
wazeh rahay k zameen ki axis rotation, zameen ki revolution around the sun aur moon ki revolution around the earth yeh teeno phenomenon alag alag hain.... solar day, solar year ka taluk earth ki rotation/revolution se hai aur usi se date decide hoti hai...lekin moon revolution aik independent phenomenon hai, lunar year ka taluk us se hai...lehaza shabbeqadar ka taluk lunar year se hai, aur us main agar solar day ya solar date change ho rahi hai tau yeh scientifically confusion nahi hai.
scientifically particle chromodynamics, baryogenesis aur quantum mechanics woh subjects hain jo is wakt bahot tezi se taraqqi kar rahay hain, aur yeh subjects distance/time/orientation ki tamam complications ki study par focussed hain, lekin abhi tak hamari kainat k in israr par se pardah nahi uthaya ja saka. in topics k mahireen k pas arguments beshumar hain lekin hatmi tor par koi bhi kisi se agree nahi karta.
Maslan aik arsay tak dunia Newtonian Physics par kainat ki mysteries solve karnay ki koshish karti rahi lekin kamiabi nahi hui. Phir Einstein nay Newtonian Physics k flaws ko analytically remove kar k space/time menifestation ka naya concept mutarif kraya....Eintein ki revolutionary theories bahot widely accept ki gain, aur aik wakt aesa aya jab mehsus hua k kainat k sab raaz einstein ki theories ki base par munkashif honay walay hain, lekin phir ahista ahista bahot saray phenomenons daryaft hotay chalay gaey jinki list bahot lambi hai, unhay explain karnay main Einstein ki theories buri tarhan nakam ho gain... aur akhirkaar 1970 k bad Einstein theories ki maqbooliat kam honay lag gai, aur TOE (Theory of Everything) ko arooj hasil honay laga jo Einstein ki theories se bilkul mukhtalif aur aik naya anokha concept tha, waheen se scientific dunia 2 groups main divide honay lag gayi, aik Einstein k hami dusray TOE k hami......lekin akhirkaar 2010 tak "TOE" intehai buri tarhan nakam ho gai, aur kainat k israr tau aik taraf, kisi single phenomenon ko bhi explain karnay main nakam rahi..... lehaza.... is wakt scientific dunia ajeeb o ghareeb dorahay par khari hai... Einstein ki theories ko ghalat sabit kia ja sakta hai, TOE ko ghalat sabit kia ja sakta hai, arguments ki base par dono ko darust sabit kia ja sakta hai, lekin is sab k bawajood "kainat k israr ko explain nahi kia ja sakta..!.." .. aur aaj scientist yeh kehnay par majboor hain keh ham distance,time,orientation,electromagnetism, matter, antimatter tau aik taraf, simple GRAVITY ko bhi explain karnay main nakam ho chukay hian aur kainat ki tojihat main hypothetical aur underestimated hain...!
above philosophy ka maksad sirf yeh samjhana hai, k ham jis science aur technology ki baat kartay hain, jis par insan hazaron saal se apni tawanaiyan sarf kar rahay hian, ajtak uski kia hasiat/haqeeqat hai...! k ham research main jahan se chalay thay, lambay safar te karnay k bad phir waheen kharay hain aur Allah Talah k ilm k samnay sajdaraez honay par majboor ho chukay hian...!
|
info1234 |
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:31st Aug 2011, 1:57am |
|
|
myrizwi bhai..... :)
Thankyou rizwi bhai... :)
mujhay khushi is baat ki ho rahi hai k meri likhi hui baat samajhnay k laeeq hai..... warna mujhay lag raha tha k shaid yeh seedhi sadi baat writing main itni pechida ho gai hai k members ko samajhnay main achi khasi mushkil ho.
asal main ham log har baat diagramatically karnay k aadi hotay hain, isi baat ko aik diagram bana kar main few words main ziada acha explain kar sakta tha agar yahan diagram bnanay ki option mojud hoti tau... :)
mujh se is topic par kafi bar sawal poocha gya hai, is k ilava bhi bahot saray controversial topics par mujh se sawal zaroor kia jata hai, tau jin sawalon par main apni command mehsus karta hun, apni taraf se aik non-authentic jawab de dia karta hun, is khulay darwajay k sath k jo koi bhi logically is se behtar baat kar sakay tau zaroor karay.
lailatulqadar ka dunia k mukhtalif hisson main mukhtalif din main ana, isi tarhan ramzan ka, Eid ka, hajj ka din badalna scientifically aik haqeeqat hai, lekin bahot saray logon ko "samajh" na honay k bais yeh mamla jhagra fasad ki nobat tak pohancha hua hai......
jis tarhan raat k liay main nay "dark band" ko explain kia, bilkul isi tarhan "bright band" ko din k liay east to west k asool par perceive karain tau tamam maslay solve ho jatay hain k konsi tareekh ko zameen k kis hissay main Eid/Ramzan/Hajj hoga......
qk lunar cycle yani chand ka zameen k gird ghoomna, yeh define karta hai k chand ki kia tareekh hai, aur is hisab se chand ki aik position par jab zameen apna aik axial rotation complete karti hai, yani aik martaba din aur raat ka cycle suraj k samnay ghoom kar mukammal hota hai tau qamri aitbar se zameen par aik raat bhi 24 ghantay ki banay gi aur aik din bhi 24 ghantay ka banay ga, lekin yeh zameen ki surface par 24 ghantay main aik point se chal kar usi point par wapas aey ga......is k ulat zameen ki surface par equator k kareeb kisi point par 12 ghantay din aur 12 ghantay raat hogi aur kul mila kar din 24 ghantay ka hi hoga.
aur meray mehdood ilm k mutabik zameen k kisi bhi 2 hisson par chand ki aik tareekh main 24 ghantay se ziada farq nahi a sakta..yeh scientifically illogical hai.. maslan pakistan aur saudia main Eid k din main 24 ghantay ka farq ho sakta hai, yani agar 22 march ko saudia main eid hui tau 23 march ko pakistan main eid ho sakti hai, lekin 24 march ko pakistan main nahi ho sakti.... agar kisi bhi jagah "2 din ka farq" aa raha hai, jesa aksar hota raha hai, tau yeh illogical hai, ya saudia ki Eid ghalt ho gi ya pakistan ki....
aur ma bhi is point se agree karon ga k is topic ko aik nayay thread main introduce hona chahaiey takeh ziada se ziada log is uljhan se nikalnay ki koshish kar sakain.
is topic se related bahoot saray interesting facts hain, jinhay ma explain karnay ka filhal moqa munasibat mehsus nahi karta, aur aesi ajeeb o ghareeb baatain hain jo filhal sirf scientists tak hi mehdood hain. kabhi moqa mila tau inshAllah general public ko bhi "ajeeb o ghareeb kainat" ki "ajeeb o ghareeb realities" se mutarif karanay ki koshish karon ga....:)
|
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:31st Aug 2011, 3:08am |
|
|
Re Laila Tul Qadar JazakALLAH myrizvi aur info1234 aap logoouN nay bahoot hee achi tarah explain keya maiN yahaaN aik baat karna chhahouN gee kay yeh question kafi saal pehley merey zehan mai aya tha aur iss ki explanation maine wohe nikali thei kay agar solar aitabaaar say bhi cointries ka time difference ho sakta ha to qamri lehaz say bhi aur yehe kay time humney relative define kya ha.. .magar ubhi recently maiN kuch christian doctors kay sath kaam kya ha. i mean meri kuch colleague christian haiN . oounhouN nay mujh say yehe sawal keya . aur jitna main explain kar saki kar dya kunke oounko miraj kay waqaee ki nahe example di jaa sakti thei warna sub say pehle yehe zehan maiN ayi. albatah jiss shandaar andaz main info1234 nay explain kya haaa woh main waqae nahe kar saki . mashAllah . actually oouN colleagues ka kehna tha kay ap 'mazhabi occassion' ko jo ibadat ki raat haiN oounko aik waqat nahe manatey . agar main yeh 'band' theory info1234 ki explain kar doouN to yaqeenan bahooot effective ha. |
info1234 |
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:31st Aug 2011, 4:17am |
|
|
Reply.... thanx Dr Waterr.. :)...May Allah bless u alwaysits so nice of u, and its nothing but Great Blessing of Allah on me that HE turned me up into that.
MYRIZWI bhai mera khayal hai k agar aap is kaam ko naik samajhtay hain tau aap kindly khud karlijiay.... :) ...aap bahot behtar andaz main issay host kar sakain gay... aur mujh par regular time denay ki limitation bhi nahi rahay gi. balkeh apko bhi main wohi bat bolta hun jo main har ik se kehta hun k main apnay kisi article, kisi reply ka copyright reserve nahi rakhta... :D
meray jawabat agar apko achay lag rahay hian tau aap inhain beshak apnay naam se jahan chahain publish kar dain..... maqsad sirf logon ka bhala hona chahiey ...... mera nazria yeh hai k agar koi shakhs kisi baat par convinced hai tau woh usi baat ko apni authority par kahin aur keh sakta hai...agar khud convinced nahi tau jiski baat hai us kay reference par baat agay barhai ja sakti hai....apni apni marzi hai jo jesa behtar samjhay lekin maqsad wohi k logon ka bhala ho, logon se jhagray fasad dur hun... |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3245 Age:
36
|
|
Posted on:31st Aug 2011, 11:14pm |
|
|
aham elan main apny reply ko postpone kar raha hon ...q k
info1234 bro ny intehaie khoobsorti sy aur scintific method sy baat ko aik dam clear hi kar diya hay shaid mera reply iss qabil na hota lehaza iss sorat main aysi konsi baat baaqi reh jaati hay jo main yahan karon ..mera khiyal hay sawal k jawab main behtreen muwaad myrizvi bro aur info1234 bro ki janab sy tehreer kar diya geya hay lehaza main apny reply sy surender karta hon..:) q k abb mazeed kisi baat ki gunjaiesh hi nahi hay
very well explained by info1234 brother
plus ..
re "meri above reply ko dobarah bhi parh laiN k issay 3 qistouN maiN likha aur post kia hai...apnay taa haal sirf aik qist hi paRhi hogi"
waqiya hi marizvi bro main ny aap ka poora reply nahi parra tha asal main main ny jitna reply parra wo uss time utna hi tha laiken baad main barra ho geya iss liye mera reply aany tak main apni baat main haq bajanab tha ...:) behar haal aap ka repky waqiya hi shaan dar hay |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:1st Sep 2011, 7:31am |
|
|
Re:myrizvi
murghi pehle paida huwi ya aanda ? dhaak kay teen paat kyun hotey hain aur agar aagey teen paat(h) hotey hain to phir kyun tension?
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:2nd Sep 2011, 12:08am |
|
|
murghi n anDa jaanay nah jaanay 'waterr' hi nah jaanay; baagh to saraa jaanay hai :)
kAllah ta'ala nay tamaam jaandarouN k joray paida kiyeh jinsay onki nasal aagay baRhi...murghi nay bhi anDaa issi liyeh dia thaa takay oski nasal aagay baRhay...magar ham insaanouN nay murghiyouN ki khan.daani mansoobah bandi karneki gharz say murghi k anday khanay shooroo kardiyeh...phir bhi murghiyouN ki nasal kuch nah kuch aagay baRhnay lagi to phir murghiyaaN hi khanay lagay
Dhaak k phir wohi teen paath
apko ketnay chaahiyeh? Dhaak k 2 daal lay lain 6 paat ban jayengay :)
aik shareef bandah agar zindagi k kissi mor pay 2.raahay pay aan khara ho jaa.ay to pareeshan hojata hai k idhar jaa.ay yaa odhar ... aur aik aap hain k 3 raahay (3 path) ki maujoodgi par bhi ap ko koi tension nahi? wazah rahay k zindagi k path amooman one-way hotay hain...aik baar enter hogayee to no u-turn 4 return :) |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:2nd Sep 2011, 3:41am |
|
|
murghi ki khandani mansooba bandi:) myrizvi ubhi inn ki khandani mansooba bandi ki ha to yeh haal ha keh murghi zameen pa paye janey wala sub say zaydah "parinda " ha . shukar ha humney iss ko khana shooro kar diya warna koi pata nahe yeh insaano ko khaana shoro kar daita
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:2nd Sep 2011, 5:23am |
|
|
Allah k naam pay jaan denaa shayad iski wajah yeh ho k yeh murgh aur murghiyaan zeyadah tar Allah k naam par "qurbaan" hotay haiN. aur jo log Allah k naam par apni janaiN detay haiN, woh kabhi nahi martay balkay zinfah e jawaid ho jatay haiN... jaisay yeh murgh aur murghiyaan :) |
info1234 |
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Sep 2011, 8:08am |
|
|
"wazahati sawal".....
apka is baray main kia khayal hai keh ajkal ki latest technologies asal main "islamic aqaid" ki tashreeh hain? ham log sawal kartay hain "kesay hoga?"
tau science "misal samjhanay k liay" bian karti hai "jesay yeh hota hai" ......maslan
1. Allah Talah k samnay past, present, future teeno mojud hain....... video cassette, jis main start se end tak ki poori film mojud hai, kisi bhi wakt kisi bhi "time" k clip ko dekha ja sakta hai. yahan tak k reverse forward bhi kia ja sakta hai. 2. har insan ka namaeaemal ki kitab main uski zindgi ka aik aik lamha bian kia gaya hoga........ CD player jiska pehlay koi tassawwur nhi tha.
3. dozakh ki aag ka duniawi aag se garam hona......... atom bomb.
4. Allah Talah ka nazar aey beghair arsh se duniawi mamlat control karna...... wireless remote control system
5. karaman katibeen farishton ka insan ki zindgi ka aik aik amal record karna.......video camera
6. insan ka jisam aur rooh se mil kar zinda hona...... hardware aur software ka mil kar effective hona
7. jannat ma ishara karnay sy hr chiz hazir ho jana............internet per "touch screen" k zariay shopping ki hui chiz ka ghar pohanch jana
waghera waghera.....(na khatam honay wali list hai)
kia is surat main bhi science insan ko Allah se dur karti hai? ya islam se contradict karti hai?
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:3rd Sep 2011, 10:58pm |
|
|
bajaa farmayaa scientific haqaaiq (theories nahi) to aik achay aur such.chay insaan ko islam say qareeb tar karti hai... dunya ka koi bhi true scientist kabhi "tauheed" say inkaar nahi karsaktaa.
science ki bah daulat Allah say door wohi hota hai jo science ki depth say agaha nahi hotaa...jaisay neem hakeem khatrah e.jaan saabit hota hai...lekin iska matlab yeh to nahi k "hikmat" jaan k liyeh khatrah hai
apki misalaiN masha Allah bay.misal :) haiN.....scientific discoveries nay islam ki haqqaniat ko hamesha aknowledge hi kia hai...jouN jouN il taraqqi karti jayegi, deen e islam /quran k mazeed israar awaam k saamnay kholtay jayengay...bah shartekay ham quran ko samajh kar paRhtay houN |
info1234 |
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:4th Sep 2011, 3:54am |
|
|
aik aur request.... :)
100% agreed.. MashAllah... wakai "scientific fact" aur "scientific theory" main bahot farq hai, sirf yeh samajhnay ki zarurat hai.....(lailatulqadar wali post main Newton ki theories aur Einstein ki theories ki haqeeqat main bian kar chuka hun)
"scientific theory" insan ko "bandar ki aulad" keh sakti hai, lekin "scientific fact" hargiz aesi khurafat nahi ho sakta... scientific fact isi khurafat ko logically analytically ghalt sabit kar de ga..... bilkul jesay talwar kafir k hath main aey, tau haq ki jarr katnay lagti hai, aur momin k hath main aey, tau batil ki jarr katnay lagti hai.....talwar buri nahi, insan ka "zarf" bura ho sakta hai....
aik haqeeqat yeh hai k musalman mulkon main jo "science" parhai jati hai woh 100 saal purani "expired version of science" hai, us 100 saal purani dakkia noosi science se agay musalman nikalna hi nahi chahtay.....aur jin "ginti k chand musalmanon" ko modern sciences ka ilm naseeb ho chuka hai, woh is ilm ko musalmanon k bhalay ki bjaey, apnay baki musalmanon ko "neecha dikhanay" aur unhay sirf dakkianoosi sabit karnay main istemal kar rahay hian, jis se Educated class main bahot ziada faslay peda hotay ja rahay hain.
isi kamzori ko samajhtay huway hamaray islam par "scientific theories" se attack kia jata hai, jis se islam ko "illogical" mazhab pesh kia jata hai, aur hmaray log "zidd" main aa kar "hatdharmi" par utar atay hain, k ankhain band kar k yakeen karo, shak na karo, waghera waghera.... halakeh "shak na karnay" ka matlab kuch aur hai, aur "aqal ko talay laga dena" kuch aur hai....
aap se meri request hai k aap is topic par koi aesa article likhain jis se "shak na karnay" aur "aqal ko band karnay" ka farq samjhaya jaey....
|
info1234 |
Group: Members Joined: 27th Nov, 2009 Topic: 14 Post: 606 Age:
30
|
|
Posted on:4th Sep 2011, 4:00am |
|
|
aik "khatarnaak" sawal..... ab aap mujhay aik "jahil ganwar" samajh lain, jo "bewakoofana sawal" pooch raha hai, lekin "aqalmandi" seekhna chahta hai.... :)
jab 12th century main musalman "scientific scholars" jadeed iloom main tarakki kartay ja rahay thay, us wakt christians apnay logon ko "science" k kareeb se bhi guzarnay se mana kartay thay, qk scientific discoveries christians k aqaid ki nafi karti chali ja rahi theen.... isiliay christians nay apnay logon, bachon ko sakhti se is "shetani ilm" se apnay aqaid ko "bachaey rakhnay" ki talqeen kar rakhi thi....... lekin musalman unhay kaha kartay thay "ankhain kholo"....."haqeeqat deekho"......."andheron se niklo"....
yahan tak k jab musalmanon ko un k "iloom" samaet halaku khan nay barbad kar dia, us k bhi kitnay arsay tak christians science parhnay se dartay thay...... jab "Galeleo" nay telescope ijad kar k yeh dryaft kia keh "zameen suraj k gird ghoomti hai" jo un k aqeeday k ulat tha, tau tamam christians missioneries nay mutaffiqa tor par galeleo ko "qaid" main dal dia, aur us k "inkashafat" ka sath denay walon k liay sakht tareen sazain muqarrar kar deen....
lekin ahista ahista yeh sab kuch badal gya... aur aaj yeh haal hai k wohi christians inhi scientific "shetani" iloom main ham se bahot agay nikal chukay hian...
aur aaj musalman is "shetani ilm" se usi tarhan dartay hain jesay christians 600 saal pehlay is se dartay thay..... aaj christians ham musalmanon ko boltay hian........... "ankhain kholo, haqeeqat deekho, andheron se niklo"....
sawal :
ap k khayal main ham "musalmanon" main 600 saal puranay christians k "qadamat parasti" walay khayalaat q peda honay shuru ho gaey hian ? jabkeh ham log tamam latest technologies ko "istemal" karnay main burai mehsus nahi kartay... hamaray konsay "aqaid" ko scientific discoveries ghalat sabit kar rahi hain?"
aap k khayal main "jadeed tehqeeq" se maloom honay walay "haqaiq" ki hamaray mazhab main koi ahmiat hai? ya phir yeh tamam efforts bekar hain? kia scientific research ka "taqwa" se koi taluk nahi ?
|
|