Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Should My Sunni Friend be Married With Shia Girl?

Social Problem   >>  Family and Love
 
 
 
Piyara Group: Members  Joined: 21st Sep, 2008  Topic: 10  Post: 71  Age:  27  
Posted on:14th Nov 2008, 5:15pm
 

Should My Sunni Friend be Married With Shia Girl?

  Sallam freind. plz solve my freind problem, wo 1 larki se love kerta hai jo k uss ki sagi khala ki beti hai or wo larki b ussay pasand kerti hai, but problem ye hai k woh larki SHIA hai jab k mera freind SUNNI hai. mera freind uss se shadi kerna chahthai butt woh sochta hai k shadi k baad jo humari aulaad(child) hon gay wo b shia na ho jayen, halan k ussay larki k shadi k baad b shia firke main rehne per koi aitraaz nhi.

1. kia woh us laki se shadi ker lay?

2. kia shadi k baad jo aulaad ho gi woh kia sunni ho gi ya shia?

3. kia ye possibilty hai k woh larki lo b sunni ker lay?

plz help him. i promise him i will solve his problem. waiting your reply

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:15th Nov 2008, 12:17am
 

shia-sunni marriage

1. agar koi sunni laRka kissi shia laRki say love karta hai aur oss say shadi bhi karna chaahta hai to iska matlab wazah hai k ossay apnay aqaaid-o-mazhab say koi khas dilchaspi nahi... jab apnay maslak say banday hi ko koi dislchaspi nahi to phir kia faraq parta hai k oski aulaad sunni banay yaa shia???

aap k sawaal ka WAZAH jawaab yeh hai k agar ossay apnay maslak (sunni) say koi haqeeqi dilchaspi /lagaa'o hai to shadi nah karay...

2. aik aam moshaihda hai k shia-sunni k maabain shadi ki soorat maiN aulaad hamesha shia hi banti hai ... khaah oskay parent maiN shia mother ho yaa father .... jaisay z a bhutto nay shia nusrat bhutto say shadi ki to benazir samait tamaam aulad amalan shia bani ... benazir ki shadi bhi aik shia (zardari) say howi aur ab bhutto kay naam lewaa amalan shia aqeedah k haamil haiN jabkay bhutto sunni thaa.

3.taqreeban impossible hai ... aur agar bil.farz laRki laRkay ki khatir sunni 'ban' bhi jati hai to yeh aik aarzi step hogaa. aulaad hotay hi woh wapis shia ban jayegi... baap waisay hi aulaad say zeyadah qareeb nahi rah saktaa... aulaad maaN hi ka mazhab ikhteyaar karti hai

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:15th Nov 2008, 3:14am
 

yes

i think myrizwi is right
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:15th Nov 2008, 3:34am
 

kia shadi jaiz hai?

aik net forum maiN kissi nay poocha thaa k kia shia aue sunni ki baahmi shadi hosakti hai ? (agarchay yahaaN yeh sawaal nahi poocha gayaa) to iskay jawaab main, maiN nay yeh joke sonayaa thaa...

aik dehati nay molvi sb say poocha k molbi sb kia beghair wazoo k namaaz hosakti hai? molvi sb nay kahaa k naheen... dehati bola ... molbi sb kiyoiN makhol karday o ... main aap paRhee see tay ho gayee see .... lol

shadi k liyeh kahaa gaya hai k kafu yani ham.palla gharaanay main rishtah karo... iss main maali halaat, social status, cultural hum aahangi aur same nazaryaa / maslak /deen sabhi kuch shamil haiN... iss say shadi derpaa qaaim rahti hai aur fareeqain bhi behter tareeqay say zindagi guzaartay haiN... jabkay love aur ishq (jo naa.mahram k darmayaaN ghair sharayee aur najaaiz mail molaqaat k nateejay maiN parwaan chaRhta hai) maiN yeh sab kuch nahi dekha jataa k love (n lovers 2) blind hotay haiN lol chacha ghalib kah gaye haiN...

kahtay haiN jiss ko ishq, khalal hai dimaagh ka

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4638  Age:  37  
Posted on:15th Nov 2008, 7:03am
 

Piyara

1) suni shia apas me shadi karain to is me koi harj nahi hai

2)ye risk rahega aisi shadi me.ke jab bache bade hon wo kis mazhab ki taraf unka jhukao hota hai..

3)kya wo ladki unke kehne pe sunni ho jaegi? if yes than why not..?

my personaly opinion..

mai behtar yehi samajhti hun ke shadi apne hum mazhab se karni chahye.kyoonke different mazhab/maslik se shadi karne se kafi problems uthti hain.Albatta maine aise jode bhi dekhe hain jo aisi shadi ke bawjood ek dusre ke sath khush hal zindagi guzar rahe hain kyoonke unka asool hai koi ek dusre pe jabbar nahi karega ek dusre ke mazhab/maslik ke hawale se..

bachon ke hawale se mera khayal hai bache aksar apne mother ka maslik/mazhab apnate hain..ya uska jiske wo bht ziyada kareeb hon.

myrizvi

agar koi sunni laRka kissi shia laRki say love karta hai aur oss say shadi bhi karna chaahta hai to iska matlab wazah hai k ossay apnay aqaaid-o-mazhab say koi khas dilchaspi nahi...

kya keh rahe hain ap? kya pyar mazhab /maslik /Rang/ Khandan/ Family/mahol dekh kar hota hai??

Pyar bas ho jata hai...is me insan ka bass nahi hota.

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4216  Age:   
Posted on:15th Nov 2008, 7:28am
 

my openion

saudi arab se ek fitwa jaari howa hai, us main shia firqe ko wazih tawar pe mushrik aur ghair muslim qarar dia gia hai,

aur aap sab log jaante hain k muslim aur ghair muslim k darmian shadi nahi ho sakti

(es fitwee ki exact reference nahi maloom)

lekin muje 99% yaqeen hai k ye fitwa sahi hoga, shia firqe k mushrikana amaal se pata lagta hai k ye fitwa sahi hai

raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 38  Post: 369  Age:  24  
Posted on:15th Nov 2008, 11:28pm
 

Mairai Andazai Kai Mutabiq......

SALLAM TO ALL FRIENDS

Main nai pehli dafa suna hai kai agar kisi ka mazhab muslim ya ghair muslim ka hoo. Aur us ki aolaad baap kai mazhab kai taraf na jayee. Chahai wo koyee bi hoo maira matlab yai hai kai muslim sunni hoo ya shia. Lakin hamesha mazhab baap kai mazhab sai milta hai. For example baiti hoo ya baita us ka laqab baap pai hi hota hai.

For Example ......

Indian hero Sanjai dutt S/O sunil dutt aur maa ka naam nargis hai. To app yai khud decide karian kai sanjai dutt hindo hai ya muslim. Is tarah kai khafi misalain hain.Jahan baap hindo hai aur maa muslim hai lakin un kai aulaad ka laqab baap pai giya hai

Aur mujai pehlai aik baat wazih kardain kai agar koyee bi muslim aik kalma-e-shahadat parta hai to aik baat sirf isi misaal sai saaf ho jati hai kai shia sunni hai hi nahin sab muslims hain sirf muslims. Jo kai ALLAH ko mantain hain aur us kai rasool(S.A.W) ko bi. Main un kai saat bilkul agree nahin karta jo kai is baat ko teeq kehtain hain kai mazhab maa ka mana jata hai aulaad kai liyai.

Mr.myrizvi app ki aik baat pai to mujai hasi ati hai kai agar aik dafa koyee larka kisi larki sai shadi kar kai usai apnai mazhab ki taraf layee aur phir aulaad  kai anai sai wo mazhab change ho jayee. Kya yai mazhab hai ya mazaq kai khabi idar to khabi udar. Khuda na karai kai agar us jori main bachai na jis kai mazhab aulaad kai baad change hotain hain to kya wo usi mazhab ko manaingai sari zindagi.

Mazhab wo nahin jisai sirf naam diya jayee. Mazhab wo hai jisai dil main jaga di jayee, jis par amal kiya jayee wahi mazhab hota hai. Agar aik non-muslim kalma-e-shadat parlai aur uskai dil main na hoo aur sirf zuban pai ho to kya wo muslim hai? . Nahin na !!.Mazhab mazaq nahin kai bass jo dil chahai karoo.Umeed hai mairi baat apkai zehan main agayee hogi.

NOTE:-sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

Piyara Group: Members  Joined: 21st Sep, 2008  Topic: 10  Post: 71  Age:  27  
Posted on:15th Nov 2008, 1:42pm
 

re myrizi, sunehri,sunny raazdaar,zeb and others

 1. To kia mere freind ko uss se shadi nhi krni chahiye?

 2. kia woh kabi b mere freind ki khatir dil se sunni nhi ho gi?

 3. ager wo shia hi rehti hai. to kia ye 100% sure hai k bachay shia hi hon gay?

 4. mera freind us larki se pehlay baat ker lay k shadi k baad bachay sunni hi hongay,woh beshakk shia rahe?  kia woh dil se maan jaye gi?

plz must reply all freinds

ALLAH HAFIZ

irfanraza Group: Members  Joined: 12th Nov, 2008  Topic: 0  Post: 9  Age:  29  
Posted on:15th Nov 2008, 1:53pm
 

Pathetic view

I am totally unagree with myrizvi, kia shia logoo mein maslak maa se chalta hai kia?????? my dear pehlay jaoo aur kuch par kar aao mazhab k baray mein aur phir kisi ko advise karna ok.
boby12 Group: Members  Joined: 28th Oct, 2008  Topic: 13  Post: 85  Age:  27  
Posted on:15th Nov 2008, 3:12pm
 

terrafic by sunny

jahalat ki intehah kar kisi irfan nami jahil shaks ne main kia kahn mere pas alfaz nahin hai jahalat ku describe karne k.
May i ask to irfan k saudi k log Muslim(s) hain ya muslim k name par dhaba jitne ayash wo log hain gora b nahin kabi zindagi main mulk se bahir jane ka itefaq hua hai ? mr allam qari what so ever sb?
any ways as far as m concerned about this question so i m totally agreed with myrizvi but one think i would like to add in rizvi's note that mr rizvi for your kind info Mr Zulfi was also shia but i m agreed that aulad goes 2wards Mom b.coz naturally children got more love from mom rather than father coz mostly father lives outside.
At the end sunny go and improve your self it does't means that m shia if u have any prove that shia is kafir mushriq what so ever provide evidence what is this (exact reference nahi maloom).
Note: I think moderator or admin should bann thoes member(s) or restrict these types of blunders this may cause Secrtarian Issue(fika wariat) n may b banned this forum by Govt or some other authorities. Admin or Dr Rizwan should look into it.
Regards
boby12 Group: Members  Joined: 28th Oct, 2008  Topic: 13  Post: 85  Age:  27  
Posted on:15th Nov 2008, 3:47pm
 

irfan

Dear u looks such smart man i could't understand your english according to my short knowledge i think "unagree" does't exist in english language kindly consult dics. dont mind
Piyara Group: Members  Joined: 21st Sep, 2008  Topic: 10  Post: 71  Age:  27  
Posted on:15th Nov 2008, 4:17pm
 

re myrizi, sunehri,sunny raazdaar,zeb and others

 1. To kia mere freind ko uss se shadi nhi krni chahiye?

 2. kia woh kabi b mere freind ki khatir dil se sunni nhi ho gi?

 3. ager wo shia hi rehti hai. to kia ye 100% sure hai k bachay shia hi hon gay?

 4. mera freind us larki se pehlay baat ker lay k shadi k baad bachay sunni hi hongay,woh beshakk shia rahe?  kia woh dil se maan jaye gi?

plz must reply all freinds

ALLAH HAFIZ

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:15th Nov 2008, 10:59pm
 

piyara

1. agar ap ka frnd ap k mashwaray pay kaan dharnay wala hai to ossay yeh shadi nah karnay ka mashwarah daiN.

2. jo larkiyaan kissi laRkay say luv /marriage ki khatir apnay deen /maslak choRti haiN... woh marriage k baad apnay asal deen/maslak ki taraf easly wapis lauT jati haiN ... agar onaky husband /inlaws on par 'bhari' nah paR jayaiN to ... aur shia bertadri k pass to 'taqayya' ka maslaki option bhi maujood hai. woh 'bah waqtay zaroorat issay use kar saktay hain.

3. deger masalak /adyan k mabain shadi maiN zeyadah imkan yehi hota hai k aulaad baap ka deen /maslak ikhtiyaar karay... but shia-sunni shadi maiN bachay zeyadah tar shia parent (khaah baap ho yaa maaN) ka maslak ikhtiyaar kartay haiN.

4. woh dil say 'taqayya' kar legi aur sunni hojayegi.

 

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:15th Nov 2008, 11:04pm
 

shia-sunni faraq

jo frndz shia-sunni k maslaki iktelaafaat say waqif nahi hain... woh yeh samajhtay haiN yeh shadi kaamyaab hojayegi lekin jo log in masalak ki asal depth say waqif haiN ... they know k dounoun ka kalema alag alag hai (shia kalimah maiN hazrat Ali RA bhi shamil hain ... Allah aur Muhammad saw k baad) ... namaaz ka tareeqah alag hai, wuzoo ka tareeqah alag hai... sunni 5 times aur shia 3 times k qaail haiN, shia late tak sehri kartay aur late iftaar kartay hain, goya saum bhi alag... shia zakaat nahi detay balkay khums k qaail haiN... inkay haan nikaah beghair gawaah k hojata hai (yani khufia bhi) jabkay talaaq k liyeh gawaah laazmi hai ... sunni maiN nikaah k liyeh gawaah chhaiyeh aur talaq beghair gawaah k bhi hojata hai... shia moharram k 10 roz jiss tarah maanatay haiN, woh koi sunni aisaa nahi karsaktaa... sunni ki masajid sab k liyeh open hoti haiN even yeh k shia bhi wahaaN jakar apni namaaz adaa karsakta hai aur karta hai (majboori ki soorat maiN) jabkay koi sunni immam baar.gaah yaa shia mosque maiN enter nahi hosakta... shia mut'aa k qaail hain... yani temoraray marrriage k ... chand din k liyeh even chand ghantay k liyeh ... moqarrarh raqam (mahar) k iwaz.... sunni iskay qaail nahi... sunni quran k 30 parouN ko mokammal quran maantay hain (baaz) shia 40 parouN k qaail haiN... 10 paray khufiyah haiN... aik irani web page par quran k 114 soorat k ilawah bhi "qurani soorataiN" with persian translation maujood haiN.... sunni quran k baad "saha.ay satta" yaani hadees ki 6 maj'moo.ay ko jaisay bukhari, muslim etc ko supreme maantay haiN... shia quran k baad "osoolay kaafi" ko suprteme maantay haiN... aur osoolay kaafi ko 'openly' market mai bhi nahi laatay... nah hi aik comon shia ki osoolay kaafi tak resaayee hai... jabkay sunni maslak k aqaaid ki tamaam books openly market maiN milti haiN... shia Allah k saath saath Ali RA say bhi har waqt har jagah ghaaibanah madaad (Yaa Ali madad) maangtay haiN... sunni sirf Allah say madad maangtay haiN... albatta birelvi-sunni Ya Rasool Allah madad bhi kahtay haiN ... dounouN shirk haiN... quran ki pahli soorat fatiha maiN hai k ... iyyaka naabodo wa iyyaka nas ta'een ... hum tereay hi banday haiN aur tujh say hi madad maangtay haiN

lehaza in 2 motazaad aqaaid k haamil 2 afraad ... miyaaN biwi ki tarah kab tak khush o khurram rah saktay haiN... illah yeh k dounouN hi apnay apnay deen o maslak say bay ganaa houN aur onhaiN apnay apnay aqaid ki parwaah hi nah ho ... just like secular persons ... k aqeedah mera zati maslah hai... nah apna aqeedah choRo nah doosray ka aqeedah cheRo ... india chouNkay aik secular mulk hai lehaza wahaan yeh behaviour kaamyaab hai... wahaaN shi-sunni to darkinaar hindu-muslim shadiyaaN bhi chal rahi haiN... pakistan jaisay islami /muslim country mai yeh zara mushkil hai

maano nah maano, jaanay jahaaN ikhtiyaar hai

hum naik o bad hazoor ko samjhaye jatay haiN

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  39  
Posted on:15th Nov 2008, 11:21pm
 

Boby

Heera Mandi main baithi auratain Shia hain ya shiat k name pe dhabba???? is tarah ki language main baat karni hae to jawab k liye bhi zehni tor pe tayyar raho, Saudia k muslims k bare main koi baat karnay se pehlay apnay ghar main jhank lo, aainda baat soch samjh k karna , warna main bhi bata sakta hoon Iran ki kya haqeeqat hae.

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  39  
Posted on:15th Nov 2008, 11:26pm
 

Shia aor Muslim ki shadi

is liye nahi ho sakti k Shia k aqeeday kufria aor mushirikana hain aor Aqeeda e Imamat ki waja se Shia Khatm-e-Nubuwwat k munkir hain , Quran aor Hadees k munkir hain, Sahabah Karam (R.A) ko kafir kehtay hain, Syeda Aisha (R.A) pe tuhmat lagatay hain , aisay ghaleez aqeeday rakhnay wale k sath eik muslim ki shadi kaise ho sakti hae???
raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 38  Post: 369  Age:  24  
Posted on:16th Nov 2008, 12:40am
 

Re:-Piyara

SALLAM TO ALL FRIENDS

  1. To kia mere freind ko uss se shadi nhi krni chahiye?

Ans:- Apkai Friend ko us sai is shart pai shadi karni chahiyai  kai wo bi sunni ban jayee. Na kai aulaad kai baad dubara shia ban jayee. Deen ka mazaq na urayee. Sachai Dil sai muslim(sunni) ban jayee.

 2. kia woh kabi b mere freind ki khatir dil se sunni nhi ho gi?

Ans:-Agar chai koyee kisi sai mohabat karta hoo  to kai liyai yai kaam mushkil nahin. Aur na hi yai koyee gunnah karnai ja rahi hai. Usai sahi rah pai hi to ana hai.

 3. ager wo shia hi rehti hai. to kia ye 100% sure hai k bachay shia hi hon gay?

Ans:- Kuch dosto nai yahan deen ko mazaq samja hai. Har jaga naam baap ka hi lagta hai aur deen bi baap ka hi hota hai aulaad kai liyai.So, in ki aulaad bi sunni hi hogi.

 4. mera freind us larki se pehlay baat ker lay k shadi k baad bachay sunni hi hongay,woh beshakk shia rahe? kia woh dil se maan jaye gi?

Ans:-Sab sai pehlai to appka friend usai yai kehdai kai usai us kai liyai sunni banna paraiga agar yai baat yahan hal ho jati hai to anai wali zindagi main koyee mushkil nahin hogi. Q kai baad main is sai khafi mushkil ho sakti hai aur isi wajah sai in dono kai darmiyan faslai bi asaktain hain. Yahan aik kahawat hai kai "Baad main ronai sai pehlai rona acha hota hai".

Lakin mairai zehan main aik baat zaroor hai kai aulaad ka laqab hamesha baap sai milta hai maa sai nahin. Yai to har koyee janta hai kai bacha sab sai zyada maa kai qareeb hota hai.Lakin is ka matlab yai nahin kai bacha bi usi deen main rahai jis main maa hoo main nai apni pecli post main iski aik misaal bi di hai. Lakin agar kisi ko yaqeen na hoo to aur bi khafi misalain hain.

Yai baat kai pehlai shia aur baad main sunni aur baad main shia. Yai deen ka mazaq urana hai. Kisi ko agar kisi deen ki taraf jana hota hai to dil sai.Maira matlab sachai dil sai. Bacho kai anai sai deen main farak ayee yai mainai pehli dafa suna hai.ALLAH hamain naiki ki hidayat dai aur hamain shaitan kai kartoton sai door rakai.AMEEEEEEEEEEEEN

NOTE:-sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4638  Age:  37  
Posted on:16th Nov 2008, 6:52am
 

hmmm

mamla kafi sangeen lag raha hai

1)agar ladki sunni ho bhi jati hai to iski kya garantie hai apke pas wo shadi ke bad bhi is pe kaim rahegi..?farz karain wo ho jati hai,to shadi ke bad uska dil na mana to ya to apke dost ko compromise se zindagi guzarni padegi ya phir nateeja alehdagi ki surat me niklega.apna mazhab/maslik change karna ek bohat hi bada step hota hai.aur is step ko utha kar nibah wahi sakta hai jo ye step apni marzi se aur apne knowlage aur apni research se uthata hai,.

2)ek option ye hai ke dono hi apne apne mazhab/maslik ke hisab se apni life guzarain aur is topic pe apas me behas na karain,na hi ek dusre ko rokain tokain.maine to kayi logon ka suna hai jo suni shia ki shadiyan hui hain they can live happy..but problem bachon ka ban sakta hai.

3)myrizvi

ne jo jo batain kahi hain unke bare me maine bhi suna hai,aur mai unse kafi had tak agreed bhi hun,lekin phir bhi wo muslim hain aur islam me ehl-e-kitab se shadi jaiz hai. islye ye shadi jaiz hai.bas Problems aur complication bohat ho sakti hain.

meri apni family me aisi do shadiyan hain aur dono shukar allah ka bohat kamyab hain.ek me dono apne apne mazhab/maslik ke hisab se rehte hain.aur dusri me ladki ne humara maslik qabool kiya hai aur uspar hi chal aur nibha rahi hain,balke unki knowlage mujhse ziyada behtar hai.

kandela Group: Members  Joined: 16th Nov, 2008  Topic: 0  Post: 6  Age:  33  
Posted on:16th Nov 2008, 8:17am
 

-+SHIA SUNNI BHAI BHAI

shadi bilkull ho sekti hay,,,belkeh aisi shadion ki hosla afzai kerni chaheey....taa keh firqa parasti ka khatma hosekay...wassslam!
sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4216  Age:   
Posted on:16th Nov 2008, 9:03am
 

boby

dear main ne ye sab apni taraf se nahi kaha, (exact reference nahi de sakta) ka matlab ye hai k muje source nahi maloom k kahan se ye fitwa jaari howa hai,

bas itna pata hai k saudi arab se ye fitwa jari howa hai, aur as a muslim muje islamic society mian betna acha lagta hai, aur main ne buzargon se hi ye baat suni hai

aap chahe to khud b tahqeeq kar sakte hain, muje yaqeen hai k ye fitwa sahi hoga

1 2 3 4 5 6 7  >>
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012