Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum


  Exercise For Man Boobs
Best Exercise to Get Rid of Man Boobs
Male Libido
Male Libido Enhancers - How To Enhance Low Male Libido
Handsome Men
Facial Exercise Keeps Men Handsome
Male Sexual Health
Benefits of Exercise on Male Sexual Health
 
     
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Search Forum
Google
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
Health Articles
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
Best Articles
    Start New Topic  My Profile
 

Should My Sunni Friend be Married With Shia Girl?

Social Problem  >>  Family and Love
Tips To Impress Women
Tips on How to Impress Women Easily
Ways to Attract Women
4 Great Ways to Attract Women Like Bees to Honey
Attract Women Instantly
How to Attract Women Instantly
How to Attract Women
Secrets That Every Man Should Know
raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 37  Post: 364  Age: 22 
Posted on:19th Nov 2008, 7:51am
 

Re:-Ikram100

SALLAM TO ALL FRIENDS

Jab maidanai jang hota hai to koyee kisi bi group ko kahi sai bi bula sakta hai apnai help kai liyai. Iska matlab yai nahin kai wo insaan aisa ban jayee hai usai marnai kai baad bi madad ka kaha jayee. Hazrat Ali abb zinda nahin to abb q uski madad ko kaha jata hai. Q ya ALLAH madad kai bajayee ya Ali madad kaha jata hai. Jis waqt insaan zinda ho aur gang ka aik hisa hoo to phir usai apni madad kai liyai bulaya ja sakta hai.Q kai wo khud us jang ka aik hisa hota hai.

Aur rahi app ki yai baat kai ghalti ALLAH ki hai NauzbiAllah. To insaan ki pori zindagi to ALLAH hi likta hai. Yahan ghaor karai main nai insaan kaha hai muslim ya non-muslim ki nahin. Jab kai insaan ki qismat hi ALLAH nai pehlai sai liki hai to is main phir kisi insaan ka koyee kasoor nahin hai. Na kai non-muslims ka aur na hi muslims ka. Q kai ALLAH nai pehlai sai uski zindagi aur maut ka waqt lik liya hai.Hamain dunya main ALLAH kai ahkamat porai karnai kai liyai baija giya hai. Uskai saat kisi ko shareeq karnai kai liyai nahin.

Har insaan ko kisi na kisi maqsad kai liyai baija giya hai dunya main. Agar chai Muhammad (S.A.W) ko dunya main ALLAH kai ahkamat baijnai kai liyai baija giya ta. To Muhammad (S.A.W) nai wo maqsad pora kiya. Lakin kahi Muhammad (S.A.W) nai yai farmaya hai kai Madad kai waqt maira naam liya karoo. Wo to khud ALLAH kai bandai tai.Aur na akhirat main wo kisi ko nafa-o-nuksan pohancha saktain hain. Har insaan apnai amal namai sai bakhsha jayeega.Umeed hai mairi baat app ko samaj agayee hongi. Waisai jo din main ankain band kar kai yai bolai kai raat hai uska koyee kasoor nahin.

NOTE:-sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1444  Age: 23 
Posted on:19th Nov 2008, 10:16am
 

suuny and ch baber

sunny,,,bai jan phely ap ye bataye ki ye shudiya waly hoty kon hai fitwa jari kary wo hoty kon hai jo muslims ko kafer qarar day,,shudiya jo ki muslims dusman U.S k gode may bait kar bachy kuchy hadyan kha raha hai wo phly khod ko muslim sambit kary or bad may fitwa,,may kehta houn ki iran sy ek fitwa jari huwa hai jis may wahabiyat(only wahabai not suni) ko kafer qara diya giya hai or ap log jo shia ko kafer keh rahay ho ap wahabi ho or hum wahabiyoun ko muslims tu kia insaan hi nahi samajty ,,,,iran or sudiya kon hai or u.s ki help ko karta hai ye sub janty hai,,,,,
ch babaer,,,ap mujy pata hai wahabi ho jo ki shiaoun ko kafer kehty hai,,phley b ap ki ek shia members hussain ja,,sy larian huwi thi or ab b ap ka pait nahi bara,,ap ka muh kabi band nahi hoga kyun ki ap ki tarbiyat ek aisy garany may huwi hai jaha shiaou aurotoun sy jina ko jaiz or shia muslims ko marna jaiz ,,,shia ko mar k jaant may jaa,,ye sub ap shek chuky ho ab ap sy koi baat karna hi fazoool hai 
piyary,,,,ap ki friend ko cahye ki wo shia,,suni ko side p rakh ki muslims mind sy shadi kary ,,we r all muslims ye firky bad may hai ,,ager wo muslim hai tu shiadi kary ,,or jo childs hongy wo tu un ki merzi hogi ki wo kis firy ko adopt karty hai,,,
raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 37  Post: 364  Age: 22 
Posted on:19th Nov 2008, 11:21pm
 

Re:-khayali

SALLAM TO ALL FRIENDS

Aik baat ka mujai bara afsoos hota hai kai app kai bolnai ka tareeqa kuch aisa hai kai jaisai koyee bi insaan is dunya main teeq nahin siwayaa apkai. Zehan main aik baat zaroor rakai kai dosron ki taraf ungly utanai sai pehlai yai zaroor soocha karain kai app khud bi insaan hain. Aur kisi nai insaan ko insaan ki list sai nahin nikala. Yai apkai zehan main jo gussa hai uska natija hai. Main aik baat zaroor kahonga kai koyee shia , sunni wahabi nahin hai. Sab musalman hain lakin shart yai hai kai jaisai QUR'AN ko ALLAH nai ham sab kai liyai baija hai us par amal karnai wala muslim hai.

Iskai ilawa jo kahi bi QUR'AN kai khilaf jata hai wo ham sab muslamano ka dushman hai. Is main chahai sunni ayee chahai shia ayee koyee bi hoo. Agar kahi bi wo ghalat baat karta hai to wo hamara nahin balkai shaitaan ka dost hai. Abb yahan mujai kisi ki taraf ishara nahin karna. Jo jaisa amal karta hai wo waisa hi pal pata hai chahai dunya main hoo chahai akhirat main. Aur rahi apki fitwa ki baat to plzz un logon main sai na banai jo kai mulla ki baton par kam aur uskai amal par zyada tawajo daitain hain. 

Kisi ko kisi kai qabar main nahin sona. QUR'AN kai jo khilaf jayega wahi kafir hai.Zyada gehrayee main janai ki zaroorat nahin hai. Har insaan apnai app ko teeq sai janta hai. Aur khoob waqip hai achai borai sai. Fitwa koyee mamooli cheez nahin jo kai jo bi chahai bass banalai. Koyee Fitwai ko apnai app sai nahin banata balkai QUR'AN kai ahkamat ko samnai rak kai fitwa banata hai. Aur yai baat to zahir hai kai sab sai barai alim KSA kai hain. Aur rahi on ki amal ki baat to ALLAH reham karnai wala aur saza-o-jaza ka malik hai.

NOTE:-sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1444  Age: 23 
Posted on:19th Nov 2008, 11:40pm
 

razdaar

 Aur yai baat to zahir hai kai sab sai barai alim KSA kai hain.
bai jan ap k nazdeek hongay hamary nazdeek tu wo alim nahi jahil hai jo ki muslims k bech nafrat phelarahy hai,,,,

ap ki batoun say agee houn ,,ap zara replies read karlay tu pata chaly ga ki shia k khalaf kia batain horahi hai,,mujy gusa agiya or ana b chaye ager may ap k maslak k kahlaf kuc ulta boluoun tu kia ap chup rahi gay?  ager kis ko kuch pata nahi hai tu chup rehna cahye kia zarooraty hai kafer or fitwa jari karny ki,,,kon muslim hao or kon kafer ye ksa k alim nahi janty ye tu ALLAH ko pata hai  ,,,ye ksa waly hoty kon hai jo kisi ko kafer kahy,,,

aj ksa ki wajy sy muslim dusman america muslims per majalim da raha hai,,ye ager suchy muslim hoty tu aj irana ki tarha u.s k agist hoty,,ye tu pata or may nahi cahta ki topic divert ho is liye plz members ki ksis aqidy k khalaf bolny sy phely apny maslak ko zehn may raky warna sunana a mujy b ata hai
sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 45  Post: 4125  Age:  
Posted on:19th Nov 2008, 12:21pm
 

khayali

welcom mr. khayali, yaar bohot dino k baad rasta bhool gaie, how r u? hope u will fine,

ab kaam ki baat ye hai, k maslak, shia, sunni etc ko ek taraf rakh kar, Quran aur Hadith k nezdeek jo acha hai us ko bayan karte hain.

Quran aur Hadith ye kehta hai k Allah ki zat aur nam se kisi ko shareek na kia jaie, Allah k siwa kisi ko sajda na kia jaie, Kalma Tauheed, Namaz, Roza, Zakat, Hajj ko Islam k paanch arkan ko tasleem kia jaie aur un ko Quran aur Hadith k bataie gaie tareeqon se ada kia jaie

ab main aalim to nahi lekin jo main ne seekha hai wo bata dena pasand karoonga,

Namaz ko 24 hours main panch martaba farz kia gaia hai ye to sab muslim jaante hain, lekin mera ek shia dost hai, un k kehne k mutabiq 24 hours main 5 namazein farz kie gaie hain, lekin ye 5 namazein 24 hours main 3 awqat main ada kie jaie,

doosri baat ye k wazo, aur namaz main jo kalmat aur faraiez hain wo ahsan tareeqe se ada kie jaie lekin mere dost k mutabiq ye namaz incomplete hain jab tak k keechar (mud) se bane howe sajda gah (jis par Hazrat Ali ka name likha howa hota hai) mojood na ho, ye mitthi ka ek chota sa tukra hota hai jo k jeeb main b le ja sakta hai.

i m sorry to say khayali, Hazrat Muhammad SAW ne aisa tareeqa hame nahi bataya, ye ek additional treditions hain jo k shia ne muaarif karaya hai, aur islam main jo cheez bahar se add kia jata hai un ko mushrik kaha jata hai.

aagey aap ki marzi,

aise aur b bohot si batien hain lekin ab muje yaad nahi hai, lekin ye main points hain, jo main ne bata di hain

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 45  Post: 4125  Age:  
Posted on:19th Nov 2008, 12:31pm
 

some important points about shia

mian yahan district (para chinar) k culture k mutabiq baat kar raha hoon, wahan k shia firqe k culture ko main ne suna hai, doosre elaqon k shia k bare main muje nahi maloom

para chinar, main women ka itna ihtiram kia jata hai k poori dunia main es ki misal nahi milti, wahan par women burqe main bahar nikalti hai aur wo b bohot kam nikalti hain jab koi bohot ziada zaroori kaam na ho tab tak wo bahar nahi nikalti,

Raste par jab b koi mard, kisi aurat ko dekta hai to mard raste k ek side par ruk kar nazrein peeche kar dete hain ta k us ka nazar aurat par na pare. jab aurat guzar jaie to mard apni rah le leta hai, lekin ye b lazmi hota hai k aurat k saath us ka koi na koi relative zaroor hona chahie.

wahan par zina karna to door ki baat hai, zina ka lafz b koi moon se nikale, ya gaali waghaira nikale to aadmi ki bohot buri haalat hoti hai.

mehmaanon ki bohot qadar ki jaati hai, aur nihayat bhaie chare ka mahool hota hai.

ye sab baatein un main mojood hain jo k islam sikhata hai.

khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1444  Age: 23 
Posted on:19th Nov 2008, 12:38pm
 

sunnny bro.

thanks sunny ,,may theek houn bas kuch busy tha is wajy sy nahi asaka,,ur ist que is

,,, Namaz ko 24 hours main panch martaba farz kia gaia hai ye to sab muslim jaante hain, lekin mera ek shia dost hai, un k kehne k mutabiq 24 hours main 5 namazein farz kie gaie hain, lekin ye 5 namazein 24 hours main 3 awqat main ada kie jaie

sunny tumarha dost sahi kehta hai ager tum time ko napo tu pata chaly ga ki ham b 24 ganty may 5 waqt ki nimaz party hai ,,ha hamara ye hai ki ham akhty party hai yani magrir or esa,,zuhar or aser,,or fajer,,ham is ko teen waqt ki kehty hai per hai tu 5,,,akhaty parny ki wajy say teen ka naam dety hai wahi timming hai jo ap logoun ki,,yani ghuroob aftab sy magrib or 10 ,15 min bad esha,,or isi tarha apny timmming hai,,hai tu 5 waqt ki hai,,ap ko galat laga ki ham shayd teen waqt ki party hongy aisa nahi hai ham b 5 waqt ki hi party hai

doosri baat ye k wazo, aur namaz main jo kalmat aur faraiez hain wo ahsan tareeqe se ada kie jaie lekin mere dost k mutabiq ye namaz incomplete hain jab tak k keechar (mud) se bane howe sajda gah (jis par Hazrat Ali ka name likha howa hota hai) mojood na ho, ye mitthi ka ek chota sa tukra hota hai jo k jeeb main b le ja sakta hai
hahahaha,,yar mujy is baat p hansi arahi hai ki ap log mulaviyoun ki batoun p itna belive karty ho,,ye batian tu molaviyoun ki hoty hai yar ap tu i think ki student ho or achy khasy pary likhy ho tu ap kod soch lo ki kia ham ebadat us miti k thory ko karty hai??????ye jo tugra hai is ko ham sajda gar kehty hai or ye karbal ki mati hai jaha hazrat imama HUSSAIN(A.S) shaheed huwi ham is mati ko ek tabaruk k tur p us per apni peshani rakty hai,,is ka ye matlka nahi ki ham is tugry ko sajda karty hai,,or ye hazrat ALI(A.S) ka naa jo ap ny kaha ye galat hai aisa kuch nahi hai ye tu shai aqeedy k khalat batin hai or may joot nahi bolta ,,may shai houn or may jo kuch b tumhary zehn may hamary againts bation hai may jawab doun g,,,mulavioun nay ap ko jo hamary bary may bataya wo galat hai mary bhia ye bas hamary kahlaf sazish hai

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 45  Post: 4125  Age:  
Posted on:19th Nov 2008, 12:54pm
 

khayali

aap k jawab dene ka andaz muje bohot acha laga,

now let me explain

main ne yahan par movion ki baat nahi cheeri hai, aur sajda gah k baare main, main batata chaloon, k mera matlab ye nahi k aap us tukre ki ibadat karte hain, mere dost k kehne k mutabiq us tukre k baghair namaz incomplete hai, lekin Quran aur Hadith main es ki koi haqeeqat nahi,

namaz k timining k bare main, main batata chaloon k Hazrat Muhammad SAW ne 5 namazein 5 mukhtalif awqat main ada karne ka hukum dia hai, aur har ek namaz k lie ek khaas waqt muqarar kia gaia hai, aur jis kisi ne b namaz ko apne muqarara waqt par ada nahi kia us k lie aakhirat main sakht saza di jaiegi

yahan par molvion ki baat ko nahi cheeringe, ye ek bohot kamzor daleel hai k hamare molvi sahiban aap k khilaf sazish kar rahe hain, q k doosri taraf se ye b kaha ja sakta hai k shia k ulama sunni k khilaf sazish kar rahe hain

yahan par wo batien batani chahie jo Allah aur us k Rasool ko pasand ho.

thanks

khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1444  Age: 23 
Posted on:19th Nov 2008, 1:08pm
 

sunny bro.,

ap k dost ko sahayd ye nahi pata hoga ki nimaz baghir sajygah ki b hosakti hai,,kuch hoty hai shia or sunni jin ko sahi nahi pata hota or wo tu jahil hoty hai tumhara dost b jahil hi hai
yar may shia houn may keh raha houn ki aisa nahi hai,,baghair sajda gah k b ham nimaz party hai or may tu kabi kabi jab ghar p hota houn tu sajdy gah p sajda deta houn warna may tu bhagahir sajda gah k parta houn,,may nay bataya na ki ye kharbala ki mati hai jis ko ham tabaruk samjty hao or kuch nahi,,

nimazoun ki timming ka jaha tak talaq hai may ye bata doun ki muslims k 73 firqy hai or her firqy k apny apny timming hai ,,wo b 5 waqt ki party hai or sary i mean 73 firqy 5 waqt ki nimaz party hai per timming ka differnce hai,,,ab ap ny kaha ki Hazrat MUHAMMD(S.A.W)ki ferman hai ki 5 waqt ki nimaz apny waqt p para jaye tu ham b yahi kehty hai or hamary nazdeek yahi timming hai jis k mutabiq ham nimaz party hai or nimaz 5 waqt ki hi party hai ye tu ap ko pata hona cahye,,,may ny is liye mulaviyoun ka zikar kia tha ki ap ny kaha tha ki shia 3 waqt ki party hai,,ap log samjaty hai ki 3 waqt matlab ham 3 nimazain party hai lakin aisa nahi hai ham b 5 waqt ki nimaz party hai,,magrib k bad thora sa time lagta hai or us k bad esha or isi tarha ,,,,,,,,ab ye jo shia 3 time party hai ye baat tu mulavoin ki hai ,,,wo mulavi jo khod ko muslim samjaty hai or sub ko kafer......
raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 37  Post: 364  Age: 22 
Posted on:19th Nov 2008, 1:13pm
 

Aik Baat To Clear Karain........

SALLAM TO ALL FRIENDS

Jaisai kai sunny007 bhayee nai kaha hai kai 5 waqt ki namaz 24 ganton kai andar pari jati hai lakin waisi nahin jaisa kai ham partain hain. To kya yai aik Editing nahin hai ISLAM main. QUR'AN main kahan yai lika hai kai 5 waqt ki namaz ko bass 24 ganton kai andar ada karoo jaisa tomarai dil chahai. Jaisa kai shia kartain hain partai 5 namazain hain 5 waqto ki to yai nahin hoyee. 

Mujai hairani is baat ki hai kai app ko yai sab kuch kuch lagta hi nahin. Yani namaz idar ki udar , udar ki idar pari jayee kya yai sahi hai. Apna qanoon bana raka hai kya shia nai. Jab chahai jis waqt chahai namaz parli. Bass bahana yai kai kai 24 ganto kai andar hi karni chahiyai. Abb jitna kai mujai lagta hai hamain kisi fatwai ki zaroorat nahin. Yahan matlab saaf  hai kai Islam ALLAH ka aur marzi hamari.

Ajeeb insaniyat hai is dunya main. Ham agar kisi waja sai namaz late par laitain hain to hamain shak hota hai kai teeq waqt pai pari kai nahin. Aur rahai shia in 5 namazon ko 3 waqt par daal diya hai. Shia aisa q nahin kartai kai sab kai sab aik waqt hi para karain. Q itni taqleef kartain hain waisai bi inai ALLAH nahin daik raha. Mairi aik baat zehan main rakain kai ALLAH har insaan kai dil sai khoob waqip hai.

Aur kisi ko ijazat nahin kai uskai baijai hoyee ahkamaat main tab deeli layee. Aur jo layeega wo hamara sab sai bara dushman hai. Har musalman ka dushman hai. Jo ISLAM kai batayee hoyee tariqo ki khilaf warzi karaiga wo tareeqiyon main basaiga hamesha. Maira yahan ishara kisi firqai ki taraf nahin hai. Aur mujai lagta hai kai agar koyee insaan QUR'AN ki tilawat karai aur us par amal karai to na usai kisi fitwai ki zaroorat hai na kisi firqai ki.

NOTE:-sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 45  Post: 4125  Age:  
Posted on:19th Nov 2008, 1:23pm
 

raazdar

dear brother

lagta hai aap ne meri saari posts read nahi ki hain,

agar aap dobara read kare to aap ko mere replies main se kahi na kahi ye baat b samne aa jaiegi k namaz ko 24 hours main 5 martaba farz kia gaia hai, aur un ko muqarara waqt par ada karna chahie. aur jo muqarara waqt par ada na kia jaie to us ko sakht saza di jaiegi,

ho sakta hai k alfaz main kuch tabdeeli ho, lekin matlab ek hai.

aur main ne ye kab kaha hai k insan ki apni marzi hai jab chahe namaz parh li jaie?

plz read it again carefully

khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1444  Age: 23 
Posted on:19th Nov 2008, 1:23pm
 

razdaar bhai

NOTE:-sorry if my words hurt anyone
ap ye na likha karian ye ap k muh sy achy nai lagty,,may ab ap ko or kis tarha samajoun ki hm b 5 waqt ki hi party ,,ab ap log nahi man rahy tu may kia karoun,,,matlab ye ki 3 dafa party hai or 5 nimazain ,,fazer,,zuher k bad asar or magrib k bad ahasa,,ap log b tu aisa hi karty ho ki nahi??????

may ny phely b kaha tha ki ye batian mulavioun ki bataye huwi hai or ap log meri batoun b belive nahi karo gay is laiye ab koi baat karna or ap sy bes karna hi fuzoool hai,,ap ko apny maslak ka pata hai or kisi ka nahi pata,,may kehraha houn ki aisa nahi hai phir ap log many k liye tayare nahi ho,,,

 

ikram100 Group: Members  Joined: 18th Nov, 2008  Topic: 0  Post: 17  Age: 28 
Posted on:19th Nov 2008, 1:57pm
 

razdaar bhai and sunny bhai...

Khayali ney buhat see aisi baatein keh dee hain,jinhein main kehna chahta tha, But main dohrao ga nahi.

Khayali ki baat ko main zara wazeh karna chahoon ga.

Shia bhi 5 waqt hi namaaz parhtey hain. Aur muqarar waqt main hi parhtey hain.

Hum jo 2 nomazein saath main parhtey hain, un main 15 sey 30 minute tak ka faasla rakhtey hain. Ta k dono namazein apney waqt k mutabiq ada kee jaein. Jo kay Quran k khilaaf nahi hai! Hum agar chahein to 5 namazon main barha waqfa bhi rakh kar parh saktey hain. Is amal sey waqt ka bachao hota hai, aur kaam karney main asani hoti hai. Aur agar aap ney kabhi Haj kia ho, to aapko ye andaza ho jaey ga k Haj main bhi aisa hi hota hai.

Aap log un baton ko na dohraein jo apney kisi sey sunee hon. Aap log apni research karein. Batein to kehney kay liye hotee hain, is sey log dil behlatey hain. Aisey to main bhi koi aap k maslaq kay khilaaf baat kar sakta hoon, aur doosron ko pheila sakta hoon. To har baat ko authentic proof ya fact sey sahi sabit karni chahiye.

Aur please unko na deikhein jo eik maslaq main burey hon, agar kisi maslaq kay barey main janna hai, to jo us maslaq main subh sey behtar ho, usi ki bunyaad sey us maslaq k barey main koi opinion dein. Akhir main main kehna chahoon ga k Phal ki 1 tokri main 1 kharab phal nikal hi ata hai....


Piyara Group: Members  Joined: 21st Sep, 2008  Topic: 10  Post: 71  Age: 25 
Posted on:19th Nov 2008, 4:26pm
 

Re sunny.khiyali,ikram,raazdar WE ARE AAL MUSLIM

FREINDS aap log to aapes main hi aik doosre ko bura bhala kehne lagay ho. we are all muslim. shia sunni both muslim. main aap ko 1 example se samjhta hoon jo muje mere teacher ne sunai thi jab maine un se ye shia sunni diffrence k baray main question kia tha.

Hi Said: X 1 board ko us board k east side se dekh raha hai, jab k Y usi board ko us board k west side se dekh raha hai. X kehta hai board ka colour red hai. jab k Y kehta hai board ka colour green hai. isi baat per dono aik doosre se larnay lagtay hai. X kehta hai k ma thek keh raha hoon Y kehta hai main thek keh raha hoon. Z jo k board k pas khara hota hai. woh u dono se kehta hai k tum dono apni apni jaga thek ho becauz board east side se red hi hai. or west side se green hi hai.

Yehi haal shia sunni ka hai. maine apne freind ko b yehi sab kuch samjhaya but according to his words:

                                 YAR MUJE TO KOI KHAS AITRAAZ NHI LARKI KE SHIA HONE PER. BECAUZ WOH PAIDA HI AIK SHIA FAMILY MAIN HUI HAI US K LIYE MUSHKIL HO GA. BUT YAR SHADI K BAAD US KO MERI FAMILY MAIN AAP KER REHNA HAI JO K SUNNI FAMILY HAI.AB US KO ISI FAMILY MAIN REHANA HO GA HAMESHA. USAY ZINDAGI MERE SATH GUZARNI HAI NA K PARENTS K SATH. WO MERE NAAM SE JANI JAYE GI. US PE SAB SE ZIADA HAQ MERA HO GA. US KA SAB UCH MAIN HOO GA. MAIN US KI ZINDAGI KA SATHI HOON GA. BUT JAB BACHAY HON GAY WOH DEKHEIN GAY:

1. MERE FATHER NAMAZ KISI OR TREEQAY SE PARHTAY HAIN OR MOTHER KISI OR TAREEQAY SE.

2. MERE FATHER ROZA PEHLE AFTAAR KERTI HAI OR MOTHER KUCH TIME K BAAD. AND MAY MORE U ALL KNOW....

main nehi chahta k bachay confusion main parein. is liye us ko b sunni ho jana chahiye.

ONLY FOR SHIA BROTHES AND SISTERS:> kia ye true(sach) hai k shia log kalmay main hazrat ALI(a.s) ka b naam latay hain? must tell me.

ALLAH HAFIZ

ikram100 Group: Members  Joined: 18th Nov, 2008  Topic: 0  Post: 17  Age: 28 
Posted on:19th Nov 2008, 5:18pm
 

Piyara

Main Aapki baat sey sehmat hoon. Kay we all are muslims. Isi liye main ney pehley post main yehee tajweez kiya tha kay in mamlon main na parhein.

Muslim people believe in God and they believe Mohammad to be the last prophet of God. They also believe in the 6 articles of faith and the 5 pillars. Those are the basic fundamental things, so I think if a person does that they are a Muslim.

Imam Ali's (AS) last will to his sons Imam Hasan (AS) and Imam Hussain (AS) following a fatal blow on his head during morning prayers by Ibn Muljim (A Kharijite):
I advise you, and all my children, my relatives, and whosoever receives this message, to be conscious of Allah, to remove
your differences, and to strengthen your ties. I heard your grandfather, peace be upon him, say: "Reconciliation of your
differences is more worthy than all prayers and all fasting."

there was a speech by Imam Khomeni that we should forget our differences and just be united, i said earlier our shia leaders tell shia people living in saudia to go by saudi rules..just so there is no fighting..now u see what shias are really about

i was trying not to talk bout shia/sunni issue but these idiots have to bring it again

nick sipah and lashkar are not trained to help the people of palestin, Iraq and Afghanistan.. they are trained to go in Mosques and shoot the innocent people.

If u respect the Sahabas then go ahead..i m not stopping u..there is a reason why shia dont respect them..u should know that every true shia loves Prophet as much as anyone..so obviously we love the family of Prophet alot also..there is so much man i dont wanna get into it..if every shia go by the teaching of Prophet like we are suppose to then we should be on the right path.

Aksar Shia logon ko dono sides ki history ka pata hota hai, Coz Pakistan main sunni point of view sey schools main education miltee hai. But aisa buhat hota hai kay aksar sunni bhaiyon ko shiya logon ki history ki koi maloomat nahi hotee. Wo wohee maan letey hain, jo doosrey log inhein behkaaney kay liye kehtey hain... Ye madey-nazar rakhtey hoey kay hum logon ko dono sides ki history kay barey main maloom hai, hum (at least I) Shia history version bey zyada believe kartey hain. To main aapko dawat deta hoon kay aap log pehley hamari side wali Islamic History kay barey main poori tarhan jaan jaein (Authentic books only).

Aap log kehtey hain k hum log deen main nae batein laatey hain, jub k aisa nahi hai. Jaisey Aap log Sahi-Bukhari ko maantey hain, Waisey hi hum Naij-ul-balaghan ko maantey hain, jin main buhat saree hadeesesin hain jo aap log nahin mantey. Aur hum bhi aap k version ki buhat si hadeeson ko nahi maantey. Aap logon ki history main ye baat nahi hai Kay Hazrat Ali ko eik Ala muqaam hasil tha, but hamari history main hai k wo Prophet PBUH k baad subh sey barhkar they...

Peace out!

raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 37  Post: 364  Age: 22 
Posted on:19th Nov 2008, 11:43pm
 

Re:-sunny007

SALLAM TO ALL FRIENDS

Mainai yai baat app ko nahin khayali ko kahi hai. Aur yai baat app ki 100% teeq hai kai 5 namazon ko un kai apnai waqt par muqarar kiya giya hai. Isai apni marzi sai idar udar karna gunnah hai. Yahi main kehna chahta hon in shia logon ko kai hamari musalmani main to koyee bi aisi namaz nahin hai jis main 15 sai 30 min ka waqfa hoo. Khafi waqt hota hai in sab kai darmiyan. Manimum 2 ganton sai kam nahin hota.

App yai shia nai apna rule nikala hoga kai yai namaz to 5 waqt ki partain hain. Lakin kuch main waqfa bi kartain hain. 15 ya 30 min koyee manai nahin rakna. Na hi yai itna waqt hai kai isai khafi faraq nazar ayee. Khair ALLAH sab kuch daik raha hai. Har insaan apnai qabar main sota hai. Har insaan ko apnai amal namai sai bachna hai. Aur han jab insaan khud teeq na hoo to wo dosro ki taraf ihshara na karain plzzz. Namazain jaisai kai mairai bhayee sunny007 nai kaha hai kai waqt waqt par faraz ki gayein hain.

To ham main sai koyee aisa nahin jo iski khilaf warzi karai. Yai musalmani nahin balkai muslamani kai naam par aik naya deen banana hai. Koyee bi islam main editing nahin kar sakta. Aur jo karaiga wo ALLAH ka aur hamara dushman hai. App sab behtar jantai hongai kai un main sai kon kon asakta hai. Jis insaan sai ghaltiyan hoyee hoo wo apni ghlatiyon ki maafi mangai ALLAH sai. Aur jo na mangai wo ALLAH kai azaaab sai bi khoob waqip hain.ALLAH hamain apnai azaab sai bachayee aur ham par apnai reham nazil farmayee. AMEEEEEEEEN

NOTE:-sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 37  Post: 364  Age: 22 
Posted on:19th Nov 2008, 11:56pm
 

Re:-ikram100

SALLAM TO ALL FRIENDS

Yahi app ka maslaq haina kai app time ki bachat kai liyai namazon ko 3 waqton main taqseem kar daitain hain. Chalo ham yahan ankain band kar kai app sai batain kartain hain kai app jo kartain hain teeq kar rahain hain. Lakin zara mujai yai batayein kai QUR'AN main kahan yai lika hai kai waqt ki bachat kai liyai namazon ko 5 waqt kai bajayee 3 waqton main uni 5 namazon ko para karoo.

Abb main yahan yai zaroor kahonga kai yai ISLAM ko badnaam karnai ki sazish hai. Mairi aik baat zehan main rakai mujai is sai koyee matlab nahin kai app kis firkai kain hain. Lakin namaz ko firko kai liyai nahin balkai musalmano kai liyai baija giya hai. To 5 namazon ko 5 waqton main hi para jayee jo kai ham par faraz kiya gaya hai. Aur yai app ki kab sai marzi honai lagi kai waqfa karain chahai 15 ya 30 min ka ya to dil chahai us sai zyada.

Mujai to aisi baat kartai hoyee sharam ati hai. Kai abb ham khud hi yai bi kehtain hain kai ham namaz to 5 waqt ki hi partain hain lakin marzi hamari hai inai 3 waqt main taqseem karai ya 2 main ya 1. Phir to aik kaam karain waqt ki bachat kai liyai in 5 namazon ko aik hi waqt para karain. Chalo waqfa 2 , 2 ganton ka raka karain. Ya apni marzi karain. Sharam ani chahiyai aisi batain kartai hoyee. Yai to kuch aisi batain hai jo tomarai maslaq sai jori hoyee hain. Pata nahin aur kitnai kitnai hongai.

NOTE:- Sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 37  Post: 364  Age: 22 
Posted on:20th Nov 2008, 12:03am
 

Re:-Ikran100

SALLAM TO ALL FRIENDS

Main bi insaan hon samaj ayee apko lakin khabi bi is forum main mainai kisi ko is tarah ki baat nahin ki. Apnai lehjai main rahai to behtar hoga apkai liyai.App nai apni post main yai lika hai aik jaga......

i was trying not to talk bout shia/sunni issue but these idiots have to bring it again        

App kya samajtai ho apnai app ko. Ham nai yai idiots kin ko kaha hai. Isi sai app ka nature saaf nazar ata hai. Kai app kis had tak ja saktain hain aur kis had tak apsai umeed ki ja sakti hai. Aur agar koyee sach bardast nahin hota to iska matlab yai nahin kai ghaliyon ka sahara lain. Ahinda baat karnai sai pehlai soocha karain . Samaj ayee na mairi baat apko. Umeed hai samaj agayee hogi. Ahinda apnai zuban par qabo rakain........

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 45  Post: 4125  Age:  
Posted on:20th Nov 2008, 4:55am
 

to all shia and sunni

dears

dunia main jeene k lie aur aakhirat k lie tayari k lie hamare saath do cheezien rahnumaie karte hain, 1) Quran, 2) Hadith

aur Quran aur Hadith ye kehte hain k jo insan in cheezon k khilaf karta hai, ya bahar se koi qanoon es main shamil karta hai wo musalmanon main se nahi, us ko ya to kafir kehte hain, ya mushrik. jo k Allah aur muslims k dushman hote hain.

dears shia and sunni

aap se request ki jati hai k jo b amal ya bat aap log karte ho plzzzzzzz Quraan ya Hadith ka hawala de kar baat kijie. pir dekna koi b pareshani nahi hogi.

raazdar

i agree with u.

 

ooper k posts main time ki bachat ki baat chir gaie hai, to main aap ko bata doon k Allah ne Hazrat Muhammd SAW ki ummat par 24 hours main 50 namazien farz ki thi, lekin Hazrat Muhammad SAW jese hasti ki waja se aap SAW ki ummat par namazon ki tadad kam kar k 5 namazien kar di gaie, ab aap sochie k es se kitna waqt bach sakta hai, aur pir aap SAW ki ummat ko ye b reward mila hai k in 5 namazon ka sawab un 50 namazon ka barabar hai,

ab agar koi es k tadad aur awqat main editing karta hai to wo apna hi nuqsan karega

muje itna hi kehna tha, es se ziada detail main nahi de sakoonga q k main aalim nahi hoon, ab agar kisi ko ye baat samaj aaie hai to bohot achi baat hai aur agar nahi aaie to Allah us ko hidayat ata farmaie. Ameeeeeen

Chaachu Group: Members  Joined: 26th Sep, 2008  Topic: 4  Post: 14  Age: 25 
Posted on:20th Nov 2008, 1:58pm
 

TO ALL SHIA`S

SALAM TO ALL.

Jaisa k hum sab jante hain peetna gunnah hai. to aap log maharram main peetetay kiyun hain? hazrat IMAM HUSAIN(a.s) se utni hi mohabbat hum log bhi kerte hain. un ko yaad kerte hain.  khatam dilwate hain.

Roza ki timing kiyun change ker li aap logon ne?

MUST TELL me

1 2 3 4 5 6 7  >>
Sexy High Heels
Sexy High Heels: 5 Things Why so Many Men are Mad About Them
Sexy High Heels
How to Walk Confidently in Sexy High Heels
Sexy High Heel Sandals
Top 3 Sexy High Heel Sandals of This Summer
Sexy High Heels
Sexy High Heels – the Emblem of Feminity
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us