Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Discussion With myrizvi And info1234

Non Medical Discussion
 
 
 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:28th Nov 2011, 11:43pm
 

mufti alirajput sb

kash koi mujh ko samjhataa + meri samajh maiN kuch nahi aataa lol
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:9th Dec 2011, 3:12pm
 

myrizvi bhai

Aap ne "aik thread" main mujhe aik mashwara dia tha....woh thread tou lagta hy delete kar dia gya admin ki janib se. us din time na hone ki waja se reply na kar saka.

Aap ki baat durust hy k is stage par mujhe "aisay issues" k bare main janne ki koi zarurat nahi. mujhe is stage par quran.o.hadees ko achi tarah samjhne ki zarurat hy. inshAllah Aaenda religious issues par "aisi" malumat hasil karne k chakroun main nahi parunga. alhamdulillah, quran ko tarjume k saath parhna start kardia hy. paighamequran se hee tarjuma parh raha houn aur ghar main quran sharif ki tafseer mojood hy saath saath woh bhi parh raha houn. duaon main yaad rakhiaga.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:20th Dec 2011, 12:41am
 

eagle bhai

baat yeh hai k har ilm k hasool ki aik "tarteeb" bhi hoti hai...jaisay agar ham MBBS doctor banna chahaiN to direct medical college maiN admission nahi letay... pahlay matric science kartay haiN phir inter pre-medical kartay hain phir jaa kar medical college maiN admission letay haiN... agar koi pahlay 2 step ko choR kar direct medical college maiN admission lay bhi lay to u can imagine k wahaaN oska kia haal hoga.

yehi haal deenay islam ka bhi hai k yeh deen k saath saath aik "complete life-style ilm" bhi hai. agar koi issay haasil karna chaahta hai in original form to sab say pahlay woh quran with translation at least 4/5 baar to "just read" hi karlay .... phir mushkil "moqaamaat" ki tafseer k liyeh kissi tafseer /aalimay deen say rajo karay... aur next step pay pahlay sahih bukhari (quran k baad 2nd sahih tareen islamic book) ki tamaam kutub ko 2/3 baar paRh lay.... phir remaining ahaadees ko sahahay sattah maiN paRh lay.... ahaadees maiN bhi jahaaN koi hadees samajh maiN nah aa.ay ossay mark karlay... aur iska matlab kissi shekhul hadees /aalim say pooch lay

jab aik aam muslim quran o hadees iss tarah sarsari bhi "pooray ka poora" 2/3 baar paRh lega to ossay andazah to ho hi jaayegaa (aalim.3.deen nahi ban sakega iss tarah :) k ASAL ISLAM kia hai... aur kiss kiss issue par quran o hadees ka muqof kia hai / kahaaN maujood hai etc etc

iss "basic ilm" woh jab bhi maslak /firqouN ko study karega...onkay aqaaid o amaal ko dekhe /sune /paRhega to ossay khoob khoob maloom hojayega k iss maiN kia kia "milawaT" hai aur kia kia asli... ab ossay koi groh /maslak /firqah kissi bhi debate k zariah insha Allah "gomraah" nahi karsakega

tirmzi shareef ki yeh hadees yaad rakhiyeh (mafhoom) k bani israil maiN 72 firqay thay to meri ummat maiN 73 firqay banengay jo sab k sab jahannami hongay except on logouN k jo meri (saw) aur meray sahabah (RA) k raastay (quran o hadees) par chalengay....

yeh hadees hamaiN aik key faraham karti hai...jiskay zariyah ham aaj bhaant bhaant k firqouN /maslakouN k aqaaid o aamaal ko bah khoobi check karsaktay haiN k yeh islamic hai yaa ghair islamic

Allah ham sab ko quran o hadees k ilm k noor say hedayat bakhshay ... quran bhi sirf muttaqeen (Allah say darnay walouN ko) hedayat denay ka wadah karta hai... har airay ghairay ko nahi .... zaalekal kitaabo laa raibah feeh ... hodallil muttaqeen ... yeh aik aisi kitab hai, jismaiN koi shhak o shobah nahi ...aur yeh mottaqeen k liyeh zaryah e hedayat hai
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:19th May 2012, 5:57am
 

myrizvi bhai

assalam.o.alaikum! kia haal hain Aap k?

baqi members bhi apne halaat se Aagah karen?

glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 14  Post: 1080  Age:  26  
Posted on:19th May 2012, 7:35am
 

eagle fly bro

as salam o alikum
kaisay hain aap ...hum thek hain alhamdolilah .kafi time kahan gayab rahay aap :)
apna bht khayal rakhiyr ga or duahon mian yad agr mumkin ho to
fee aman allah

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:19th May 2012, 3:10pm
 

glamour sister

wailailkum.us.salam! Allah ka shukar hai main theek houn.

pichle dinoun kuch masroofiat ki waja se forum visit nahi kar saka. inshAllah bohat jald forum par pehle ki tarah active hojaonga.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:20th May 2012, 11:17pm
 

welcome back eagly fly bro

walekum Assalam wa rahmatullah wa barkaatahu! maiN khairiyat sya houn aur apki khariyat naik matloob hai...chalaiN apki masroofiat khatam howi aur ap active howay...acha laga...insha Allah baat cheet jari rahegi
alirajput Group: Members  Joined: 16th Mar, 2012  Topic: 5  Post: 578  Age:  30  
Posted on:21st May 2012, 12:24am
 

EAGLE

Aap ki wapsi kab parwan karengi?

Walikum salaam.
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:21st May 2012, 1:20am
 

Thanks

myrizvi bhai

Allah ka shukar hai main bhi khariat se houn. myrizvi bhai mane Aap ko abhi aik doosre muhalle main pehchan lia hai!

glamour sister

meri duaen Aap k saath hain, Aap bhi duaon main yaad rakhiaga.

alirajput bhai

inshAllah ab forum par wapsi hee wapsi hai. inshAllah jaldi hee pehle ki tarah active hojaonga. Aap sunaen kia haal hain?

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:21st May 2012, 2:31am
 

haa haa haa

Iqbal Azeem ka aik shair hai, jissay olaT plaT kar "apnay kaam" ka banaa rahaa houN:)

aashna hotay howay bhi aashnaa koi nahi
pahchantay haiN sab mujhay, jaanta koi nahi :)

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:21st May 2012, 4:22am
 

myrizvi bhai

main mazaq nahi kar raha, Aap kahain tou saboot paish kardun?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:21st May 2012, 5:34am
 

you are right bro

maiN to net world maiN bahoot see jagahouN par maujood houN... ap kahaaN ki baat kar rahay haiN?
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:21st May 2012, 5:42am
 

myrizvi bhai

jee Aap ne pehle bhi bataya tha k Aap net world main bohat se mohaloun main mojood hain. mai us mohale ki baat kar raha houn jahan Aap ne kuch arsa pehle aik atheist ko lajawab kardia. Aap ne apne isi mohale main kuch arsa pehle aik thread main us atheist ka zikar kia tha. main awaen apni jasoosi par dhamalain daal raha houn! lols!
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:21st May 2012, 6:03am
 

haa haa

ap oss mahfil maiN kiss naam say haiN... waisay atheist say mokaalmah karkay mujhay baRa lutf aayaa thaa... baad maiN jab maiN nay khud woh mokaalmah dobarah paRha to hairaan rah gayaa k kia yeh maiN thaa lol bas Allah ki madad thi jo oss daharyah ko laa jawaab kardia, haalaaNkay woh mujh say zeyadah qaabil aur paRha likhahai. phir maiN nay dobarah oss saray interview ko summarize karkay aik qist maiN oska point of view likha, osi ki zobani... 2nd qist maiN maiN nay apnay aur oskay mokalmay ki talkhees pesh karni thi....... magar oss nay aik thread maiN batlaya k woh apnay aik dost k saath khanah ka'abah pahonch gaya, omrah adaa karnay...bus phir maiN nay 2nd qist ko rok lia k ab ossay aainah dikhlanay ki zaroorat nahi... ab shayad woh raahay raast par aagaya hai.
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:21st May 2012, 8:58am
 

myrizvi bhai

main us mohalle main filhal silent visitor ki hasiat se jata houn. yahan forum par aik thread read kar raha tha wahan se seedha us mohalle main fly kar k pohanch gya woh interview dekhne mera matlab hai parhne...... abhi woh interview pura nahi parha hai magar Aap ne tou shuru main hee aisi yorkers, bouncers, inswing aur outswing karwae thein k woh lajawab hona shuru hogya tha. thora sa reh gaya inshAllah Aaj khatam kardunga. agar us mohalle main registered howa tou Aap ko zarur bataonga.

" magar oss nay aik thread maiN batlaya k woh apnay aik dost k saath khanah ka'abah pahonch gaya, omrah adaa karnay...bus phir maiN nay 2nd qist ko rok lia k ab ossay aainah dikhlanay ki zaroorat nahi... ab shayad woh raahay raast par aagaya hai. "

Allah kare aisa hee ho. is ka credit Aap ko jata hai. Allah ta'ala Aap ko dunia aur Aakhirat ki tamam khushian naseeb farmaen.

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:21st May 2012, 10:32am
 

myrizvi bhai

atheist k mutaliq mane pehli martaba aik thread main info1234 bhai se suna tha. in atheist ki investigation ki jae tou pata chalta hai k ye taqreeban tamam k tamam parhay likhay hotay hain balkay kuch tou bohat hee ziada ta'aleem yafta.

ilm tou insan ko Allah k qareeb kardeta hai, phir Aakhir kia waja hai ye ache khase parhe likhe samjhdar musalman khuda k wajood k hee inkari ho jate hain?

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3245  Age:  36  
Posted on:21st May 2012, 8:26pm
 

ilam + marfat-e-khuda

re "ilm tou insan ko Allah k qareeb kardeta hai, phir Aakhir kia waja hai ye ache khase parhe likhe samjhdar musalman khuda k wajood k hee inkari ho jate hain?"

mazrat k sawal to wadda paa g sy hay par main lab kushai ki jasarat kar raha hon

daikhain bro faqat ilm insan ko allah k qareeb nahi karta balky jis ilm main marfat-e-khuda majood ho wo ilm insan ko allah k qareeb karta hay , jo alim marfat-e-khuda sy hi aari ho uss ka tamam ilm b ussy allah k qareeb nahi kar sakta balky buhat door kar daita hay

misal k tour par aik fiqihi alim aur aik scientist dono ka kam aik jaisa hi hay fiqhi alim b allah k akhkamaat , posheeda razon , hikmton ki tashreeh kar k unhain wazhy karta hay yaani allah k chupy howy khazanon ko dhonndhta hay ..aur aik scientist b yahi kam karta hay laiken inn dono main farq yeh hay k fiqhi alim yeh sab kuch explore kar k issy allah ki ataa samjhta hay aur allah k samny sar basajood ho jata hay jab k aik scientist iss sab ko explore kar k apni mehnat ya apni sat'hi aqal ko iss sab ka mambba samjhta hay

yahi farq batlata hay k faqat ilm insan ko allah k nazdeek nahi karta balky marfat-e-khuda sy bharpoor ilm hi insan ko allah k qareeb lay jata hay
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:22nd May 2012, 1:51am
 

agreed with Diplomate

sirf ilm agar kissi ko Allah k qareeb karta to shaitaan to bahoot baRa aalim hai... issi liyeh hamaiN ilmay naafe (nafaa denay wala ilm) ki dua maangni chahaiyeh aur on aloom say door rahna chaahiyeh jo shaitaani haiN, aur jin say door rahnay ka hukm hai, jaisay jaadoo etc

jahaaN tak atheist ka talluq hai to ... dunyaa maiN 2 qism k atheist paa.ay jatay haiN... aksariyat on 'atheist' ki hai jo "bad character" k haiN. iss qism k log jiss deen say bhi talluq rakhtay houn, hotay to aalaa taaleem yaaftah hain ... lekin onka ilm (deen+dunya) onhaiN "ghair ikhlaaqi iqdaar" par amal karnay say rokta hai... jabkay onka dil chaahta hai k woh ikhlaaqiyaat say maawra hokar aish o araam aur zaati mofaad ki zindagi guzaaraiN, jiski ijazat koi deen /mazhab nahi deta.... chonaancha woh "chaalaaki" yeh kartay haiN k "atheist" ban jaatay haiN. dunya k har deen o mazhab maiN ghalat ya sahi, aik ya kaii God(s) ka tasawwer maujood hai, jiski 'open taleemaat' maiN ikhlaaqi osool saray fahrist haiN. jaisay sharaab peena har deen o mazhab maiN mana hai, wed-lock say bahar sexual relationship mana hai... doosra ka maal fraud aur dhoka say haasil karna manaa hai etc etc... aik aalaa taaleem yaaftah shaks khaah woh kisis bhi deen say talluq rakhta ho... yeh ilm rakhtay howay k yeh sab kaam GHALAT haiN, inhaiN kartay howay apnay aap k saamnay SHARMINDAH nahi hona chaahtaa... chonanchah woh adyaan ki bunyaad GOD ka hi inkaar karkay atheist ban jata hai... ab aik athiest par to koi GOD kissi qism ki pabandi nahi laga sakata... ab woh saray kaam karsakta hai, jisay woh qabl azeen GHALAT samajhtay howay karnay say sharmata /hichkichata tha... apko aksar atheist aisay hi milengay jo ikhlaqi /samaji zimmah daraiyouN par amal para nahi hotay aur sharaab o shabaab aur hasoolay amwaal ki ayyashiyoun maiN mobtala hotay haiN.

doosray aik qaleel qism k atheist woh hotay haiN ... jo beghair kissi supervision k aur beghair kissi tarteeb o tawaazun k paRhtay hi chalay jatay haiN... jo mkila, jahaaN say mila aur jaisaa milaa... bus onka kaam sirf aur sirf paRhna hota hai...woh yeh nahi dekhtay k likhnay wala kaun hai, oski authenticity ketni hai, oski credibility kia hai...bus woh har likhi howi book ko mostanad samajh kar paRhtay hain to phir woh confused hojatay haiN k har kitab alag alag aur aik doosray say mokhtalif hai. woh har kitab maiN likhi howi ebaarat ko ILM samajhnay lagta hai. aur jab mukhtalif kitabaiN alag alag "aqdaar" ko define karti haiN jo kissi bhi aik "qism k GOD" ki taleemaat say match nahi karti to woh har qism k GOD ka hi inkaar kardeta hai... laa elaah maanay k baad oska  yeh "confusion" door hojata hai aur woh daharya ban jata hai.

apko yeh sunkar hairat hogi k syed Abul A'ala maudoodi jaisi "mazhabi" shakhsiyat nay apnay aik interview maiN kahaa thaa k jab woh library ki library apnay dimagh maiN otaar chukay to amalan "bay deen" hochukay thay aur onka zehan kisis bhi deen including islam ko mannay say qaasir hogaya thaa (yeh aik aarzi phase tha)... yeh bhi bila kissi tarteeb o tawazun k har tarah ki books parhnay ka anjaam tha...
aisay "true atheist" jo apnay nafsaani khahish /bad.kirdari ki wajah say nahi balkay apnay "ilm" ki wajah say atheist banay houN... inhaiN baRi asaani say koi bhi saahibay ilm .. jo islam aur ma'aasir aloom say waqfiat rakhta ho, inhaiN raahay raast par laa sakta hai...balkay bahoot acha mosalmaan banaa sakta hai
(wallaho aalam bissawab)




eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:23rd May 2012, 1:43am
 

myrizvi bhai+Diplomate bhai

myrizvi bhai+Diplomate bhai: jazakAllah!

Diplomate bhai: upar wali post main naam sirf myrizvi bhai ka likha tha magar is sawal ka jawab har member de sakta hai. Aap se request hai k please baar baar ma'azrat kar k sharminda na kia karen.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:23rd May 2012, 2:05am
 

sharmindah kyouN nah karaiN :)

yeh diplomate bhai ki "aalaa zarfi" hai k woh ma'azrat k saath guftagoo ka aghaaz kartay haiN taakay hamaiN sharmindah honay ka moqah mil sakaiN... aur yeh eagle fly bhai ki "aalaa zarfi"yeh hai k woh phir bhi "shamrmindah" nahi hotay :)
1 2 3 4 5  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013