Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Discussion With myrizvi And info1234

Non Medical Discussion
 
 
 
DrKamiAli Group: Members  Joined: 12th May, 2011  Topic: 1  Post: 377  Age:  32  
Posted on:22nd Nov 2011, 11:36pm
 

Khudi

Jaisa k myrizvi bhai ne kaha k Iqbal ki khudi ki mukammal tashreeh karna yahaan par mumkin nahi hoga. Main Iqbal k falsafa-e-khudi k markazi khayal ka ek markazi khayaal paish karnay ki koshish kar raha hun. :-)

Khudi ko kar buland itna k har taqdeer se pehlay,
Khudaa banday se khud poochay bata teri raza kiya hai.

Insan ki khudi uska 'real self' hai, wo jo usay 'ashraf-ul-makhlooqaat' bnati hai, wo jo usay haiwaanon se alag karti hai. Insaan ka wo 'aala martaba' hai jo usay uskay Rab k qareeb karta hai. Khudi ko hum 'piousness of the soul' bhi keh saktay hain.

Mundarja baala shair mein bhi khudi ko buland karnay se muraad apnay 'insaani traits' ko ujaagar karna hai. Apni soul ko zayada se zayada pious banaana hai. Apni moral values, apnay conscience (zameer) ko ek buland maqaam par rakhna hai.

Khudi ka matlab 'self pride' bhi hai, 'self reliance' bhi hai. Insaan ki 'khuddaari' hai. Jo usay ghair Allah k aagay jhuknay nahi deiti. Khudi ki ye definition Iqbaal k in shairon se bhi hoti hai.

1- Paani paani kar gayee mujh ko Qalandar ki ye baat,
    Tu jhuka jab ghair k aagay na tann tera na mann,

2- Mera tareeq ameeri nahi faqeeri hai,
    Khudi na baich ghareebi mein naam paida kar.

3- Aye taair e lahooti us rizq se maut achhi,
    Jis rizq se aati ho parwaaz mein kautaahi.

Apnay aapko pechaanna (self-recognition and self-identification) khudi hai. Apnay asal markaz ko, apnay mehwar ko pehchaanna khudi hai. Apnay markaz ko pechannay se muraad hai, apni existence ko jaanna, apni existence k purpose ko jaanna.

Apnay munn mein doob kar paa ja suraagh-e-zindagi,
Tu mera nahi banta na ban, apna tau ban.

Ek sentence jo Dr. Israr Ahmad ne apnay ek lecture mein use kiya tha mujhe bohat pasand hai.

"Man in his ignorance identifies himself with the material sheets which encompass his real self."

Yani insan apni ignorance mein, apnay jism ko 'apna aap' samajh raha hota hai. Haalaankay asal 'wo' tau us kay andar hai, uski 'khudi' hai, uski 'main' hai, uska 'zameer' hai. Laikin insaan apnay aapko apnay zahiri wajood se pehchaan raha hota hai.




Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3245  Age:  36  
Posted on:22nd Nov 2011, 12:30pm
 

"khudi" ki definition

re "except yeh k yeh kaam apnay nikkay praa g (Diplomate bhai:) apnay haath maiN lay laiN :)"

thanks wada praa g , laiken meri itni "majal" kahan k main iss "khudi" ka falsfa ya defination biyaan kar sakon , usski aik waja to yeh hay k Alama Iqbal ko hum aaj tak as a poet hi samjh rahy hain , iss liye hamari samjh main iqbal ki batain kahan ?? q k humain parrhaya hi yahi geya hay , aur aaj b pakistan main iqbal par hony wali PhD "Iqbal Poet" par hi hoti hay , jab k Iqbal poet hay hi nahi wo to aik Mufakkar tha aur iss bat ki aik zahiran daleel yeh hay k Iqbal k name k sath Alama likha jata hay jab k koi shair allama nahi hota ,aur dosri daleel alama Iqbal ka kalam hay , go k Iqbal majoda Ulma ki trah ba reesh , abaa qabaa , imama waghaira wala alama nahi tha , laiken haqeeqat main tha allama hi ....

to bat yeh hay k jab Iqbal ko hum as a poet lain gy to yaqeenan uss ki batain b poetry k hawaly sy samjhain gy jaisy aam shuraa hazrat apni shairi main buhat sy word apny shair k wazan k tour par istemaal karty hain issi trah "poet Iqbal" k words ki b tashreeh karain gy ....Laiken..... agar hum Iqbal ko aik poet nahi balky aik mufakkar k tour par samjhain gy to Iqbal k words humain Quran pak ki tafseer karty howy nazar ayein gy

KHUDI

allah ta'ala ny insan ko ayn fitrat k taqazon k tehat khalaq kiya , aur iss takveeni insan ko tashreehi insan ban'ny k liye jo zabat-e-hayaat ataa kiya (Islam) wo b ayn fitri aur fitrat k taqazon sy labraiz ataa kiya , iss zabta hayat ko hum tak puhanchany waly numayend.gaan-e-khuda ko b fitrat ka shah'kaar bana kar mahboos kiya ,issi liye iss deen ko super natural ya deen-e-fitrat kaha jata hay

"fitrat" basically har insan ki pak aur saf hi khalaq ki gayee hay , tabi to irshad hay k har paida hony wala bacha fitrat-e-islam par paida hota hay ..laiken iss dunia main aany k baad yahi takveeni insan yaa to iss pak fitrat par shitani aloodagi charrhaa laita hay yaa phir isss pak fitrat ko pak rakhty howy hi iss dunia ka safar teh karta hay aur allah k pas lout jata hay ,

yeh fitrat hi asal main iqbal ka falsfa-e-khudi hay , Iqbal issi fitrat ko base bana kar apny ahed sy mukhatib hay k ey insan apni fitrat ko uss paki sy hamknaar kar jisy allah ny "ahsan takweem" k tehat khalaq kiya hay aur jab ey insan tu aysa kar lay ga tab tujhay apni raza ka azhaar karny ki zarorat naho hogi balky khud tuj sy khud mukhatab ho kar poochy ga k ey mery bandy bata tu kia chahta hay

behar haal DrKamiAli ka tajziya Iqbal k falsfa-e-khudi k qareeb tar hay , nice
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:22nd Nov 2011, 10:44pm
 

masha Allah DrKamiAli

apnay to to khudi k samander ko koozay maiN band kardia hai...etnay kam ilfaaz maiN etnay baRay subject ko sameTna, har kissi k bas ki baat nahi... well said sir g... yeh hota hai asli PhD ka kamaal :) .......... mujhay bhi yehi wali asli PhD chahiyeh, refrendum wali alirajput wali nahi lol
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:22nd Nov 2011, 10:56pm
 

qareeb tar :)

nikkay praa g 2lateefay sun laiN

aik baar maulana maudoodi RA ki kissi nay daawat ki aur aur dawaat maiN behari kabaab pesh kiyeh,jo onhouN nay khud tayyar kiyeh thay... aur dauranay khanaa baar baar maulana say poochtay rahay, maulana behari kabaab kaisay haiN... maulanaa khamosh rahay aur mezban ka sawaal jari raha to maulana nay kaha: yeh behari kabaab say qareeb tar hai ... yeh jawaab sunkar mezbaan khamosh holiyeh...

doosri baar, meri aik jannay wali behari family nay meri dawaat ki... dawat maiN sahibay khana nay behari kabaab lagaya aur khilayaa...yahaaN bhi mausoof yeh poochtay rahay, kabaab kaisay hain, kabaab kaisay haiN... aik hi sawaal say tang aa kar maiN nay arz kia...hazrat behari kabaab aik dish ka naam hai... yeh har oss kabaab ko nahi kahtay jissay kissi behari nay banaya ho... mausoof chup saadh liyeh

apki "bahar haal" ... aur "qareeb tar" say DrKamiAli ki modal.lal o mo.asser defination ki hasiyat to kam nahi hoti albattah iss baat say mujhay yeh do lateefay yaad aa gaye... halaaNkay apka yeh comment bhi kissi lateefay say kam nahi lol
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3245  Age:  36  
Posted on:22nd Nov 2011, 11:26pm
 

lateefy ka kabarra

wadda paa g sunain sunain , kal main ny forum par kaheen likha k yeh jok fana di ey ..neechy kisi ny likh diya diplomate aap ny acha joke sunaya ....hahahah

"ey jok fana di ey" , srayeki zuban ka jumla hay iss ka meaning hay yeh dunia fani hay , yani sab kuch fana ho jany wala hay ...abb issi bat par aik bad zoq likhta hay k wah diplomate aap ny kia joke likha hay ....hahahaha ..hay na joke ka kabarra

issi trah wadda paa g aap ny b aik achi khaasi baat ka kabbarra kar diya hay halan k aap bad zoq nazar to nahi aaty ...:)lol
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:23rd Nov 2011, 3:27am
 

maiN bad zauq nazar nahi ataa

aur ap nazar aatay ho? hai naa :)

... yeh to hai (waDDay nikkay praa g ka) woh "apnaa pun" lol

aik moshairay maiN "2 asaatzah" maiN iss baat par jhagRa hogaya k pahlay moshairah kaun paRhega...wazah rahay baad maiN paRhnay walaa senior samjha jata hai aur donouN aik doosray ko senior samajhnay par tolay howay thay... aik nay zabardasti mic pakaR lia to doosray nay kahaa... dekhaiN ap yeh bad.tah.zeebi nah karaiN... pahlay nay mic doosray ko detay howay kaha... lo phir aap karlaiN lol


DrKamiAli Group: Members  Joined: 12th May, 2011  Topic: 1  Post: 377  Age:  32  
Posted on:23rd Nov 2011, 10:55am
 

Reply

@myrizvi

Thanks a lot myrizvi bhai aapki itni shaandaar appreciation k liye. It's an honour for me.

@Diplomate

Thank you brother..

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:23rd Nov 2011, 2:25pm
 

Thanks

myrizvi bhai + DrKamiAli + Diplomate bhai

jazakAllah!

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:24th Nov 2011, 12:41am
 

nai naa

bus mujhay DrKamiAli wali degree chahiyeh :) ... ap chaahay onsay cheen kar dilwadaiN, yaa onhi ki uni say meray naam ki duplicate degree nikalwadaiN k ab kamiAli ka naya name myrizvi hogaya hai, lehaza iss naam ki degree dedo warnah.... bus mujhay yehi degree chahiyeh koi nahi :)
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:24th Nov 2011, 5:57pm
 

Reply

Assalamoalikum

very nice discussion..

khudi k topic par bahot zabardast explanation di ja chuki hai.... :)
very very nice sharings by Drkami, Diplomat bhai, myrizwi bhai....

.........................
NCF k tamam members ka bahot shukria jinka meri life main aik bahot bara role hamesha rahay ga......

main filhal apni life main itna masroof ho chuka hun k NCF ko shaid mazeed time na de paoon...

lehaza meri taraf se filhal sab ko Allah Hafiz... :)
duaon main yaad rakhiay ga
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:24th Nov 2011, 9:41pm
 

info bhai

jahaaN rahaiN khush rahaiN ... ham sab ki dua'aiN apkay saath haiN... Allah apki masroofiaat maiN barkat day aur issay apki ki dunyawi o okhrawi zindagi k liyeh naa.fe'e banaa.ay aameen
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:25th Nov 2011, 1:49am
 

info1234 bhai

sab se pehle tou Aap ko bohat mubarak ho k Aap mashAllah agle chand roz main rishta azdawaj se munsaliq hone wale hyn. hamari best wishes Aap k saath hyn. Allah kare k Aap ki Aaenda Aane wali zindagi pehle se bhi bohat bohat bohat ziada khushgawar guzre. Allah Aap ko bohat kamyaabian a'ata farmaen.

jahan rahain khush rahain hum sab Aap k liay dua go hyn. umeed hy Aap se yahan phir kabhi zarur mulaqat hogi. zindagi main jab kabhi moqa mile yahan zarur Aaega. duaon main ncf members ko zarur yaad rakhiaga......Allah hafiz

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:25th Nov 2011, 5:26am
 

All Memebrs




myrizwi bhai aur eaglefly borother main nay bhi ap dono sy, aur bhi kafi members se bahot kuch seekha.......apka bhi bahot bahot shukria meray baray main itnay achay words use karnay ka.. :)

ameen suma ameen... Allah apko bhi, aur sab ko bhi bahot khush rakhay....

(wesay eaglefly ab sirf "chand ghantay" ki baat reh gai hai.. lolzz)

Drkami ko bhi special thanks,
Diplomat bhai se khasoosan main nay "urdu likhai" bahot seekhi... aur yahan meri urdu tehreer main improvement main "kafi saray ilfaz" diplomat bhai ki tehreeron se "chori shuda" thay... hahahha without any fees..thankyou diplomat bhai for everything i learnt from u..

aur bhi bahot members hain jinhay main fardan fardan mention nahi kar sakta unsay maazarat.. lekin sab ko bahot shukria..

jo members bad main congratulate karain gy, ya "achay words" use karain gy, unhay advance main thankyou so soo soo much... :)

silent visitor k tor par main upcoming posts parh lon ga, lekin shaid mazeed koi reply na kar sakon... isliay sab members ko meri taraf se Allah Hafiz

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:25th Nov 2011, 5:28am
 

eagle fly

kia info bhaika nikaah kissi NCF member say horaha hai??? kia onki honay wali begum nay abhi say onpar order chalana shooroo kardia hai k ab aap NCF maiN nahi jaa saktay???

shadiyaaN aur bhi members ki howi magar log etnay "masroof" nahi howay k...

khair hamari taraf say bhi onki peshgi mobarak baad... pata nahi ontak pahonchay yaa nahi... Allah onhain nayee zindagi maiN asaaniyaaN ataa karayy aur new home ministry onhaiN iss forum par aanay ki ijazat marhamat farmaa.ay aameen :)
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:25th Nov 2011, 5:34am
 

info1234 bhai

(wesay eaglefly ab sirf "chand ghantay" ki baat reh gai hai.. lolzz)

oho! oho! mubarak mubarak!! Aap ne tou profile bhi update kardi hy!! ok jee tou phir main bhi fly kar raha houn Aap ki taraf bin bulaya uran panchi ban kar lols!!!!!!

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:25th Nov 2011, 5:36am
 

abhi main yaheen hun

just window close karnayse pehlay yahan nazar pari tau dekha keh...... yahan tau tashveeshnaak baatain shuru ho gainn..
kher koi baat nahi... :P
dekha jaey ga bad main kia hota hai...
wesay meri honay wali begum NCF ki member rahi hai ya nahi, ya silent member rahi hai, yeh tau baad main pata chalay ga......
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:25th Nov 2011, 5:49am
 

Discussion With myrizvi And info1234

info1234 bhai

"myrizwi bhai aur eaglefly borother main nay bhi ap dono sy, aur bhi kafi members se bahot kuch seekha"

Aap ne myrizvi bhai aur deegar members se tou bohat kuch seekha hoga magar eagle fly ko tou Aap ne bohat kuch sikhaya hy, is par aik baar phir Aap ka bohat bohat shukria. Aaenda jab bhi Aap forum par wapis Aaenge hum phir Aap ki shagirdi ikhtiar karne k liay par tolna shuru kardenge.

myrizvi bhai

"kia info bhaika nikaah kissi NCF member say horaha hai??? kia onki honay wali begum nay abhi say onpar order chalana shooroo kardia hai k ab aap NCF maiN nahi jaa saktay???

lols!! is ka jawab tou info bhai ne de hee dia hy.....

"shadiyaaN aur bhi members ki howi magar log etnay "masroof" nahi howay k..."

asal main info bhai abhi se peshgi hifazati iqdamat kar rahe hyn kia pata unhain home ministery mustaqbil qareeb main yahan Aane ka ijazat nama na de....lols!

"Allah onhain nayee zindagi maiN asaaniyaaN ataa karayy aur new home ministry onhaiN iss forum par aanay ki ijazat marhamat farmaa.ay aameen :)"

Aameen!

DrKamiAli Group: Members  Joined: 12th May, 2011  Topic: 1  Post: 377  Age:  32  
Posted on:25th Nov 2011, 11:20pm
 

Congratulations info bhai

Many many congratulations info bhai. I wish you all the best for the next phase in your life. :-) Hope to see you soon on the forum, with some splendid hand-made :-) poetry, the words of wisdom, the ocean of knowledge and a lot more. Take very good care of yourself. Allah hafiz.

DrKamiAli Group: Members  Joined: 12th May, 2011  Topic: 1  Post: 377  Age:  32  
Posted on:25th Nov 2011, 8:40pm
 

myrizvi bhai

re "bus mujhay DrKamiAli wali degree chahiyeh :) ... ap chaahay onsay cheen kar dilwadaiN, yaa onhi ki uni say meray naam ki duplicate degree nikalwadaiN k ab kamiAli ka naya name myrizvi hogaya hai, lehaza iss naam ki degree dedo warnah.... bus mujhay yehi degree chahiyeh koi nahi :)"

myrizvi bhai aadhi aadhi chalay gi??? matlab kainchi say half kar leitay hain degree ko.. asal mein aapka itna shauq deikh kr mera tau dil kr ra hai k poori day dun, laikin wo kiya hay na aap k paas tau mashaAllah knowledge aur qabiliyat bhi itni zayada hai aur mere vecharay k paas tau bus yea ek degree e hai, jis se koi thora bht apna kharcha paani poora krunga :-) aur ab bechara shadi shuda bhi hun.. tau chalein aadhi aadhi kr leitay hain.. laaun kainchi??? :-)

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:26th Nov 2011, 11:27pm
 

haa haa haa

bhai mai yeh to kabhi nahi chahouNga k apki roTi rozi ka (wahid:) zariyah apsay cheen louN haa haa

asal maiN apnay alirajput bhait ko PhD Dr dekh kar meray dil maiN kuch kuch hota hai... woh waisay baray "faraakh dil" haiN... kabhi mujhay lab top ki offer kartay haiN, kabhi kahtay hain k kuch kharch warch karkay "onki tarah" PhD ki degree bhi mil sakti hai usa say ... so maiN nay onhaiN "task" dia hai k agar mujhay PhD ki degree dilwani hi hai to Drkami bhai wali dilwa'o to janaiN :) kia samjhay ...

aur haan ap meri aur alibhai wali private /niji guftagoo nah sonaa karaiN :) ab yeh onka kaam hai k woh mujhay apwali degree kaisay dilwatay hain... aik lateefah suniyeh. abhi tazah tazah yaad aayaa hai...agar iska roo.e.sokhan alirajput bhai ki taraf chalaa jaa.ay to zimmah dara lateefah hoga, maiN nahi. lol

aik sahab apni poetry lay kar kissi adeeb k pass gayee k woh iss maiN islaah kar daiN... adeeb sb nay poetry paRh kar onhaiN mashwarah dia k ap nasar (prose) likha karaiN... kuch dinouN k baad wohi sahab aik nasri namoonah lay dar ossi adeeb k pass pahonchay k dekh laiN...adeeb sahab nay text paRh kar kahaa k aap poetry kia karaiN... woh sahab hairaan hokar bolay: sir baat samajh nahi aayee... jab maiN nay poetry likhi to apnay kahaa k nasar likho, aj jab nasar likh ka laya to aap kahtay ho k poetry likha karo...adeeb sb nay kahaa k jab tak apko meri baat samajh nah aa.ay... poetry n nasar donoun likhtay rahaa karo :)

to jab tal alirajput bhai mujhay "apni / refrendum wali PhD" degree "offer" kartay rahengay, maiN tab tak onsay asli PhD (DrKamiAli wali) ka "motaalebah" karta rahouNga... kia samjhay ... bus ap apni degree ko kissi locker shocker maiN mahfooz kardain, warnah apkay peechay peechay alirajput bhi pakistan aa saktay hain...mera motaalebah poora karnay k liyeh :)

1 2 3 4 5  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013