WEHSHI
|
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 45 Post: 2495 Age:
48
|
|
Posted on:23rd May 2012, 9:10am |
|
|
Sherminda
sherminda hona bhi aik ART hai ajkal to log sherminda hi nhn hotay kabhi zamana tha k sherminda honay aur SHERMA janay main koi itna khas feraq nhn tha jesay jesay SHERMA JANA khatam hota ja rah ahai wesay wesay SHERMINDA hona bhi mafqood ul nazar ho gaya hai humaray haan to jitna bera be sheram utna bera CELEBIRITY jitna bera be sheram utna bera siyasatdan jitna bera besheram utna bara molvi jitna bera besheram utna bera ministor ( EVEN PRIME BHI ) is liyay janab eaglefly ap sherminda na hon kiun k yeh kam kisi aik beray ko kernay den shayed un ka bhela ho jai BIN BULAAI ENTRY PER BILKUL SHERMINDA NHN HUN :):):) |
eagle fly
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 74 Post: 2117 Age:
|
|
Posted on:23rd May 2012, 11:41pm |
|
|
Luch tal myrizvi bhai+WEHSHI bhai: acha khasa luch tal gae hain Aap log........lols! |
System
|
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 40 Post: 2268 Age:
32
|
|
Posted on:21st Jun 2012, 11:28pm |
|
|
hahaha
rizvi bhai i might have a system to run a house but pakistan ki education ka system bap re bap itna smart nahee hon.. han itna smart to hon ke mashwara de sakon. i beleive the only system is the islam can fix all. pakistan ko ager theek hona hai to pakistan ke loog hi thek kar sakte hain. jab tak awam stand nahee le ge is waqt tak pakistan thek nahee ho ga.
|
eagle fly
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 74 Post: 2117 Age:
|
|
Posted on:22nd Jun 2012, 1:43am |
|
|
System bhai asslam.o.alaikum! kia haal hain? bhai jee kafi dinoun baad nazar Aarahe hain forum par sab khairat tou hai na? |
System
|
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 40 Post: 2268 Age:
32
|
|
Posted on:22nd Jun 2012, 11:37pm |
|
|
eagle fly saheb
wa alekum asslam alhamdulilah allah pak has given everything so no complains at all. zara masrofiat change ho gai hai is lea kabhi kabhi ana hota hai is forum per. Allah apko aur hum sabko apne hifzo aman main rakhen ameen. talk to you later bye. |
alirajput
|
Group: Members Joined: 16th Mar, 2012 Topic: 5 Post: 578 Age:
30
|
|
Posted on:9th Jul 2012, 4:06am |
|
|
myrizvi bhaijan galiban aaj se kuch arsa pehle, ap ki age 57 thi, aur ab achanak 53 he, kia ye forum error he, ya pir aap ne chair chaar ki he? Ya pir mere dekhne ka andaz kuch ghalat he?
Clear kar de. Shukria |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:9th Jul 2012, 5:23am |
|
|
ali bhayya agar age kam hi show karna hota to apki tarah 28/30 karleta... 57 say 53 karnay maiN bhala kia faida hosakta hai :) ap apni eyesight zaroor check karwalaiN ... apnay apni age bhi 48 ki jagah 28 likhi hai, by eyesight mistake lol |
eagle fly
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 74 Post: 2117 Age:
|
|
Posted on:10th Jul 2012, 4:00am |
|
|
alirajput bhai myrizvi bhai ne apni age 57 se 53 nahi ki.........rizvi bhai ne is saal apni profile edit ki thee us waqt se un ki age 53 hee show horahi hai. |
alirajput
|
Group: Members Joined: 16th Mar, 2012 Topic: 5 Post: 578 Age:
30
|
|
Posted on:10th Jul 2012, 4:26am |
|
|
Mazaraatu hooN, aap ne bhaiyoo Se Sorry ji Sorry.... Hamari ankhon se ghalti huwi he, aur waqaye akhaiN weak he, unko check kar wani he. Jab myrizvi bhaijan ne kahan mazaq se check kar waye eye sight, actually unonaye mujhe yaad dilaya he coming up appointment.... LekiN fly bhai, aap kese haiN? Aj kal kia har-kat-te kar te rehte haiN? Umeed haiN ke ab Eagle fly, se Eagle ban kar forum par zaada active hon jaaye.
MaiN susaral maiN aya wa hooN leehaza waqt ki wajah se Active huwa wa hooN. |
eagle fly
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 74 Post: 2117 Age:
|
|
Posted on:11th Jul 2012, 3:26am |
|
|
alirajput bhai "LekiN fly bhai, aap kese haiN? Aj kal kia har-kat-te kar te rehte haiN? Umeed haiN ke ab Eagle fly, se Eagle ban kar forum par zaada active hon jaaye."
bhai jee Allah ka shukar hai main theek houn, Aap sunaen kaise hain?..........aik uran panchi urne k ilawa aur kia kar sakta hai..........nahi bhai muje eagle fly ban kar hee active rehne dain mere par kat kar sirf eagle na banaen. |
alirajput
|
Group: Members Joined: 16th Mar, 2012 Topic: 5 Post: 578 Age:
30
|
|
Posted on:12th Jul 2012, 11:03pm |
|
|
Dearest myrizvi bhai-jan Asalamualaikum Sir.
Sir jee, ek sawal he. Mujhe susraliyo ne mana kia kisi mamle se, lekiN ek musalman hone ke naatay duur maiN nahiN reh sakaah. Kal ek bimar bhai (rishteydar) ko dekh kar piyar aur dum kia. Uski tabiyat kharab huwi, sab ko ghar maiN lagta haiN ke usse Epilepsy he. Mera khayal kuch aur he, kyun ke doctor medical report kuch aisa kehti he ke bacha normal he, doctor's ka islamic mashwara kisi buzurg ke paas le jaaye.
Kal raat hamare (maiN aur meri wife) ke kamre par ek kaali bili ne bahar se darwaza khat kaya, kaafi dayr aisa hota raha, ham ne nahiN khola. Baaqi ghar walooN ne bohot koshish ki ke usko bhagaaye lekiN kabhi uska gayb hon jaana aur kabhi uska bili ke roop maiN ana wo bhi raat ke 1:30 baje kuch samaj na aya. Pir maiN abhi kharato maiN tha, ke ek cheez darwazaye ke neeche se aye aur halki si an-jaan roshni (jahan par kabhi roshni nahiN hoti wo jagah) wahan par ap na saya dikhaya. Samaj se bahar raha ye silsila jho ke jaari raha 2 minute tak, mene ankhen kholte nazara dekhte he aytal kursi parhi aur 3 qul aur dum kia wife aur apne aap pe, pir mene usko dekh kar sawal kia usse aur wife se. Mene kaha wife ko ke ye kauN he, wife ne kaha ek saya, samaj nahin aari ke kia kahu? Mene kaha ke aap mere paas ayao, aur usse direct sawal kia ke tum kauN hon, hamare kamre maiN kia kar rahe hon? Aur wo saya jahan se aya tha, darwazaye ke neeche se, udhar hi wapas nikal gaya. Begyr kuch kahaiN ya bataye.
Mene wife se saali (sister in law) ko call karwaye aur unonaye bataya ke istrah bili ne ghar maiN pareshan kia wa tha, ek darwaza khola he unonaye haweli ka, wahan par wo bili andhar dhakil huwi he. Ham ne unko itla ki ke ham aah rahe he, Meri saas ne mujse poocha ke hamaye kia karna chahye, mene kahan ke agar baat yahaN par pohonch hi gaaye he ke ek makhlooq ne ap ne aap ko dikhana ya sabit karne ki koshish ki haiN toh usko ek jhalak dikhani zaroori he. Aap sab ko neend he, unonaye kahan iss bili ka peecha karte karte, aur iski harkaton se (gayb hona aur samne ajana) se thore pareshan he, neend kese aye gi, mene mashwara dia wuzu ka, aytul qursi parr gar dam kia sab par, (poore ghar pe) aur ab ham ne awal akhir daruud sharif aur beech maiN poora Surah Al Baqarah parha, ek zam zam pani ke Container par Dam kia.. aur uss paani ko, asar ke baad ajj ghar ke sab konoo pe chirka ... aytal qursi ka mashwara mera ghar walon ko ye haiN ke har namaz ke baad parr kar 3 qul ke saath dam kare, aur agar har namaz maiN nahiN kar sakte toh kamus kam azaan zaroor de ghar maiN namaz ke waqt aur har 12 ghanto maiN ek dafa har koi khud parhe aytal qursi aur khud pe aur sab ghar ke logoon pe ghar ki cheezo pe dam kare.
Bhaijan, ab kia kare? Kuch mashware he ap ka. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:13th Jul 2012, 12:52am |
|
|
ali bhai
walekum Assalam Wa rahmatullah Wa barkaatahu!
Allah ap par aur ap kay ahlay khaanaa o susraaliyouN par raham karay... aur har qism k shar sya ap logouN ko mahfooz rakhay. aameen
ap logouN nay to masha Allah bahoot kuch karlia ab maiN kia batlaayouN... yeh zam zam pani ghar k konouNmaiN chiRaknay ki logic samajh maiN nahi aayee...
waisay iss qism k halaat main ayatul kursi aur 3 qul paRhna hi kafi hai, darood shareef k saath... iskay baad koi shaitani jinn /makhlooq ap logouN ko koi nuqsan nahi pahoncha akti... lahaul wala quwwat illa billah ka wird bhi kartay rahiyeh. insha Allah kuch nahi hoga...aur iskay baad bhi kuch naa.khush.gawaar baat ho jaa.ay to issay taqdeer ka likha aur bay izn Allah samajh kar sabar kijyeh. Allah ajar denay wala hai...woh day kar bhi aazmata hai aur cheen kar bhi... Allah ki jaainb say pesh aanay wali har aazmaish maiN ossay yaad rakhiyeh...insha Allah donouN jahaaN maiN kaamyaab hongay
agar mumkin ho to last 2 qul (soorat falaq, naas) aur lahaul wala quwwat illah billah ki recording apnay apnay mobile maiN save kar laiN. aisay har moqay pay recording loudspeaker par ON kardaiN aur khud bhi paRhtay rahaiN.
|
alirajput
|
Group: Members Joined: 16th Mar, 2012 Topic: 5 Post: 578 Age:
30
|
|
Posted on:13th Jul 2012, 1:06am |
|
|
bhaijaaaan Myrizvi Zam zam ka contaiNer maiN zam zam kabhi huwa karta tha, 3 hafte pehle, jab susrali umrah kar ke aye thaye. Uss maiN zaada paani daal kar, uss par ek buland awaaz maiN pehle, daruud sharif pir, Surah Al Baqarah pir Daruud sharif par kar dam kia unonaye mere kehne pe, pir uss paani ko jho ke ab Quran-e-Majeed ka paani tha, kal asar ke baad (garmi ki inteha ki wajah se Asr ka waqt chuna) tab iss paani ko mukamal nahiN thora thora kar ke poore ghar maiN aur sehaiN maiN, chat pe, etc chirkaa. Ab iss paani ko Quran ke pani ko mene kaha he ke ye hamara hathiyar he, wese hi hamara wuzu hamara hathiyar he, wese hi hamari namaz hamara e-maan he, aur kal se maiN jho namaz maiN shareek hon sakta hooN uska azaan ghar pe de raha hooN.
Ye ooper sirf explanation thi zam zam container ki baad ko samjhaney ke liye. Wese aap kese haiN? Aap ki tabiyat kesi he? Allah aap ko sehait aur kamyabi de har shobey har mamle maiN.
(ameen) |
alirajput
|
Group: Members Joined: 16th Mar, 2012 Topic: 5 Post: 578 Age:
30
|
|
Posted on:13th Jul 2012, 1:13am |
|
|
topic 29355 your ARE needed ustad ji. |
alirajput
|
Group: Members Joined: 16th Mar, 2012 Topic: 5 Post: 578 Age:
30
|
|
Posted on:21st Jul 2012, 5:22am |
|
|
1 ya 2 sawal asalamualaikum bhaiJaaan! :) kese haiN aap?
Bhaijan pooch na ye tha ke, jho dhaari wali hadees/sunnat he, agar wo zindagi maiN, maut se pehle na kar saku, toh kia koi iman maiN masla hon sakta he?
dusra sawal:
Agar maiN ilaj se tang hon kar ilaj nahiN kar wata, jab ye baat wazaye he ke zindagi aur maut Allah ke ikhtiyarat maiN he, toh pir maiN kyun karu struggle? Mujhe logic jawab na dijiye ga, piyare bhaijaaaan, logic jawab mujhe bhi pata he, mujhe islamic jawab chahye. Aur yahi sawal dobara istrah se he ke, agar ilaj chor ta hooN aur uss doraan mere Rab mujhe bula leta haiN, toh kia ye khud-khushi mani ja sakti haiN ya iss ki ek qisam kyun ke mene koshish nahiN ki idher rehne ki, aur Allah ki amanat, matlab apni jismahat ke saath theek nahiN raha? |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:22nd Jul 2012, 8:42am |
|
|
mera jawab walekum Assalam ... Allah ka shukar hai. kese haiN aap?
Bhaijan
pooch na ye tha ke, jho dhaari wali hadees/sunnat he, agar wo zindagi
maiN, maut se pehle na kar saku, toh kia koi iman maiN masla hon
sakta he? Q: iss k baray maiN aik aalimay deen ka baRa khoob.soorat jumlah hai k ... islam maiN daaRhi hai, daRhi maiN islam nahi :)
daRhi
aik sunnat hai. tarkay sunnat ka gonaah to hosakta hai... lekin iska
talluq IMAAN say nahi hai k daRhi nahi to imaan bhi nahi illa yeh k koi
shakhs daRhi ko sunnatay Rasool saw jaantay howay iska mazaaq oRaa.ay
dusra sawal:
Agar
maiN ilaj se tang hon kar ilaj nahiN kar wata, jab ye baat wazaye he
ke zindagi aur maut Allah ke ikhtiyarat maiN he, toh pir maiN kyun
karu struggle? Mujhe logic jawab na dijiye ga, piyare bhaijaaaan,
logic jawab mujhe bhi pata he, mujhe islamic jawab chahye. Aur yahi
sawal dobara istrah se he ke, agar ilaj chor ta hooN aur uss doraan
mere Rab mujhe bula leta haiN, toh kia ye khud-khushi mani ja sakti
haiN ya iss ki ek qisam kyun ke mene koshish nahiN ki idher rehne ki,
aur Allah ki amanat, matlab apni jismahat ke saath theek nahiN raha?
Ans: khood.kashi yaani haram maut ossay kahtay haiN jab directly niyyat
karkay kissi amal say (zahar khaa kar, goli maar kar, apna khoon bahaa
kar, phanday k zariyah saans rok kar kissi taiz raftaar mobile vehicle
etc say jaan boojh kar tak raa kar, bolandi say neechay yaa pani yaa aag
maiN chalaang lagaa kar) apni jaan ko khatam karne ki koshish ki jaa.ay
kissi marz ka elaaj nah karwanaa jiskay nateejay maiN maut aa jaa.ay,
khud.kashi ki tareef maiN nahi aati (meri naaqis roy maiN) ... yahaaN to
"amal nah karne" yaani elaaj nah karne ki wajah say maut aati hai...aur
yeh laazmi bhi nahi hai k elaaj nah karwaya jaa.ay yaa elaaj say tang
aa kar dar kar, pasand nah aanay par...elaaj munqatah kardia jaa.ay to
yeh khud kashi to hargiz nahi hogi.... zeyadah say zeyadah iss 'hukm' ki
khelaaf warzi ka gonaah hoga k marz mai mobtalaa ho to iska elaaj
karwana chaahiyeh... phir elaaj ki bhi kai qismain haiN...koi khaas
elaaj like surgery , homeo etc FARZ nahi hai. ap kissi aik elaaj ko
napasand karkay ossay choR saktay haiN...
wallaho aalam bissawab
|
eagle fly
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 74 Post: 2117 Age:
|
|
Posted on:19th Jan 2013, 4:47pm |
|
|
I Am Back تمام دوستوں کو اسلام و علیکم۔۔۔۔۔کیا حال ہیں آپ سب کے؟ |
Einstein
|
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 14 Post: 710 Age:
24
|
|
Posted on:19th Jan 2013, 9:36pm |
|
|
welcome back oh dear eagle fly,aap fly ker kai kidhar rahy itni dair sai?bahar haal hum aap ko is forum pee dobara welcome kaerty hain |
WellKnOwN
|
Group: Members Joined: 06th Sep, 2011 Topic: 51 Post: 3444 Age:
23
|
|
Posted on:21st Jan 2013, 7:30am |
|
|
Eagle Fly Walekum asalam... mubarak hoo welcome back... or kese the chuttiya |
|