Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Discussion With myrizvi And info1234

Non Medical Discussion
 
 
 
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:21st Oct 2011, 3:03am
 

Discussion With myrizvi And info1234

mujhe myrizvi bhai aur info1234 bhai donoun main se kisi aik ka intizar thaa k shayad woh new thread start kar denge sawal Aap ka jawab myrizvi bhai ka wale thread k baad, unhoun ne tou start nahi kia hy, magar manay apne besabri k Aage hathyar daal diay hyn aur ye thread start kar daala hy.

is besabri ki aik waja ye bhi hy k info1234 bhai bohat thore dinoun k liay Aate hyn forum par aur phir aik lambe a'arse k liay ghaib ho jate hyn aur phir achanak zahir hote hyn. is se pehle k info1234 bhai phir ghaib hojaen un ki yahan mojodgi se faida uthaya jae.

umeed hy myrizvi bhai aur info1234 bhai ne mere is harkat ka bura nahi manaya hoga aur woh is thread main members k sawalat ka jawab zarur denge aur un ki ma'alumat main izafa karainge.

is thread ka title is waqt jo samajh Aaraha hy likh raha houn, myrizvi bhai aur info1234 bhai agar chahain tou is ka new name suggest kar sakte hyn, koi moderator nazar parte hee is ka title edit kar de ga.

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:21st Oct 2011, 6:02am
 

Pakistani Youth

sawal no.1: Pakistan ki Aabadi ki aksariat is waqt nojuwano par mushtamil hy, ye nojuwan agar chahain tou is mulk ki taqdeer badal sakte hyn aur agar chahain tou is mulk ko jo already tabahi aur barbadi k dahane par pohanch chuka hy ise mazeed tabah.o.barbaad kar sakte hyn. manay jo baat note ki hy woh yeh hy k hamare nojuwano ki aik bohat bari ta'adad aisi hy jise apne mustaqbil ki koi fikar nahi, woh laparwahi se apni zindagi guzar rahe hyn hamare nojuwan apni comfort zone se bahar nahi Aana chahte, chahte hyn k baghair mehnat k hee unhain bari kamyabian mil jaen.

Aap logoun k khayal main is ki kia waja hy? kia is main ta'aleemi idaroun ka qasoor hy? system ka qasoor hy? walidain ka qasoor hy? ya meri observation hee ghalat hy aur aisa kuch nahi hy jaisa mujhe lag raha hy?

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3245  Age:  36  
Posted on:21st Oct 2011, 7:11am
 

nice topic started by eagle fly bro

go k main iss topic ka mukhatib nahi hon laiken chatting category main topic hony ki waja sy entry maar raha hon :) dosri waja yahan aany ki yeh hay k main eagle fly k swal sy mutasir howa hon buhat acha sawal hay main chahta hon k main b iss sawal k hawaly sy yahan comments karon laiken uss sy pehly main thread starter ki marzi jan'na chahta hon agar ijazat milti hay to main comments karta hon warna silently read karon ga ..:)


eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:21st Oct 2011, 1:03pm
 

re:Diplomate bhai

Diplomate bhai ka shumar bhi is forum k senior aur sanjeeda members main hota hy. Diplomate bhai jaise senior members ko kisi se ijazat lene ki zarurat nahi k woh kahan reply karain kahan na karain. Diplomate bhai Aap is thread main baghair ijazat participate kar sakte hyn.

is thread main Diplomate bhai ki participation se is thread ki ronaq barh jaegi. agar is thread main Diplomate bhai k saath saath waterr sister, Maryam baji aur Qasim bhai jaise sanjeeda members participate karain tou mera khayal hy is thread ko char chand lag jaenge.

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:21st Oct 2011, 6:45pm
 

Ukaab jitnay Makhay......

Assalamoalaikum

hmmmmmm.... apki is "harkat" par thankyou kahay janay k siwa aur tau koi hal "samajh main nahi aa raha"...:P

chatting category main yeh thread dekhna bara surprising tha, aur read kia tau start kartay hi itna sanjeeeda, thesis numa sawal. kher apka thread bahot mazay ka hai, umeed hai k sanjeeda topics k sath sath halla gulla bhi chalay ga.

apka sawal itna multi-dimensional hai, k is situation ki reasons ki ginti shuru ho jaey tau khatam nahi hogi.

jawab tau diplomat bhai bhi dain gy, baki members bhi dain gy, lekin is wakt time kam honay ki wajah se main sirf itna kahun ga, k beshak yeh sab darust hai k pakistani youth beshumar reasons par kafi bigri hui hai, lekin yeh aik bahot bari hakeekat hai k pakistani youth "heeray-moti" par mushtamil hai.. shaid koi meri baat se agree na karay, ya shaid koi woh baat na samajh sakay jo main nay practically observe ki hai... heeray hamesha heeray hi hotay hian, chahay jitnay bhi ganday keechar main paray hon. aik baar unhay nikal kar saaf karnay ki daer hai k apni asal halat main zahir ho jatay hian.. bilkul aesa hi hisab pakistani youth ka hai... sirf channd "rolling stones" ko chore kar, jo har society main mojud hotay hain, baki maximum youngsters, jo zahiri halat main bigray huway, laparwah, directionless, aimless nazar atay hian, yeh sab "nazar ka dhoka hai"... woh sirf misguidance, misconceptions aur external effects se aesa behave kar rahay hain.... warna reality main woh unhi heeron ki tarhan hain, jo keechar main paray huway keechar ka hissa mehsus hotay hian.

sab k dilon, zehnon main gard jammi hui pari hai... warna thora sa kuraida jaey, tau naramdili, rehamdili, wafadari, zahanat, faham, leadership, innovation, direction defining, ..waghera waghera waghera,.. yeh hain pakistani youth ki qualities, jo ander hi ander dab kar khatam ho jati hain. isliay keh proper guidance na honay ki wajah se, in sab qualities ko pakistani youth ki 2 bari "PROPERTIES"....1) stupid thinking, ...2) sheep mentality,... deemak ki tarhan chaat jati hai.

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 98  Post: 5392  Age:   
Posted on:22nd Oct 2011, 1:09am
 

nice thread

Asslam o alikum...:)

janab buhot hi achi aur naik harkat ki hai aap ne:D
aur esi harkat krne k lie intezar nahi krna chahiye balkay foran hi kr deni chahiye:)

acha ji to sawal ye hai k;-)

وہ کون سا موڑ ہوتا ہے جہاں عشقِ مجازی ،عشقِ حقیقی میں تبدیل ہوجاتا ہے؟
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:22nd Oct 2011, 2:40am
 

nice thread by eagle fly

n a very nice ques by s4u :)


Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3245  Age:  36  
Posted on:22nd Oct 2011, 5:20am
 

Pakistani Youth

Nahi hay na ummeed Iabal apni kisht-e-weraan sy
Zara namm ho to yeh matti barri zarhaiz hay saqi

iqbal ny yeh keh kar goya pakistani noujuwano main aik ummeed ki ramak bedaar ki hay , baat b samjh main aati hay k pakistan k jawan har shouby main jaisy garan qadar khidmaat anjaam day rahy jis sy mulik taraqqi ki rah par gamzan hay

to sawal yeh b paida hota hay k majmooi tour par pakistani awam inhi ba himmat noujawano ki waja sy aik qom main tabdeel q nahi ho saki , yaani ba himmat aur pur ummeed noujuwaan hony k bawajood pakistani awaam apny aap ko aik qom k roop main q nahi dhaal saki ?

iss sawal ka agar saadha sa answer kiya jaye to jawab yahi banta hay k pakistani youth ko drust simmat ki janab gamzan hi nahi kiya geya , youth apny aap main to potential rakhti hay laiken baa baseerat leader ship k fuqdaan ny issi youth ko dheemak laga rakhi hay , ooper sy pakistan main hama waqat aysy halaat paida kiye rakhy gaye hain k abb noujuwaan b apni slahiyaton ko sirf apny nataq-e-rozgar k peechy baghny main sarf kar rahy hain

laiken agar deeply daikha jaye to baat iss trah nahi hay jaisy paish ki jaati hay baat youn hay k pakistani youth bila shuba ba himmat aur full of penitential hay magar apni simmat sy hat chuki hay iss matti ki zarhaizi ka issi liye kaha geya hay k yahi pakistan hay jis ny duniya ko azeem scientist diye , azeem khilaarri diye , doctors diye , engineers diye yaani inn sab shouba jaat main to pakistani youth ka koi saani nahi hay laiken jab amoomi aur khasoosi tour par pakistan k androoni halaat ka tajziya kia jata hay to yahi youth ya pakistani awaam yahan be bass nazar aati hay

waja ? waja sirf aik hi hay k hum sab abi apni simmat sy na shanakhta hain ..simmat sy na shanakhta yaani k humain pata hi nahi k hum ny jana kis tarf hay , simat koi leader nahi daita k kaha jaye k leadership ka fuqdaan hay , simmat koi idara nahi daita k kaha jaye k idaron ka system iss qabil nhi hay , simmat insan ka wo shour hay jo uss ny khud sy ujagar karna hay awareness sy halaat k tajziye sy ,

aik taleemi idary main insan engineer , doctor , scientist to ban sakta hay laiken zarori nahi k usski simmat b mulaki mufaad mian ho , ho sakta hay uss ki sab kamyabiyan sirf uss ki apni zaat tak mehdood hon , ho sakta hay wo sari kamyaabiyan mehaz shuhrat , izzat , maal dolat k liya hasil kar raha ho , aur fil haal pakistan main nazar b yahi araha hay ...aur agar aysa hi hay to yahi baat samjh main aati hay k hum sab pakistani log abi apni simmat sy na ashna hain ...

as a pakistani hamary samny koi simmat hi nahi hay , apni apni nbairrny main lagy howy hain , iss rah main jo impressive batain karta hay ussi k peechy lag jaaty hain kuch arsy baad koi aur achi achi aur tehrek amaiz batain karny lag jata hay to hum uss k peechy lag jaaty hain , yaani hum titat bitar qisam k log hain , punjabi main aik misaal hay k "jidy nal lagi galli ohdy nal e uth challi" yaani jis ki baton main asar daikha ussi k ho liye ..khud sy koi shoor nahi , koi simmat nahi

jis din iss awam ny aik simmat ka taey'yum kar liya uss din yahi awam qom b ban jaye gi aur phir na to leadership k fuqdaan ka gila rahy ga aur na hi hamara taleemi nizaam dull reh saky ga , aur uss din iqbal k mandaja bala shair ka asal mafhoom wazy ho saky ga
DrKamiAli Group: Members  Joined: 12th May, 2011  Topic: 1  Post: 377  Age:  32  
Posted on:22nd Oct 2011, 8:43am
 

Ishq-e-majaazi se ishq-e-haqeeqi tak

Ishq insan k dil-o-dimagh ki wo state hay jo usko bohat zayada humble (aajiz) bana deiti hay. Us kay andar say "main", anaa, gharoor ko khatam karti hai. Usko uski asal haisiat yaad dilati hay, jau usko btati hay k wo tau apnay aap mein kuch bhi nahi hay, wo tau bohat adnaa sa ek shakhs hay, bohat kamzore sa.

Ishq mein insan ka focus chahay koi ek shakhs ho, laikin ishq karnay wala insan asal mein sari insaniyat se piyar karnay wala hota hay. Qk wo insan ki haisiat ko jaan gaya hota hay, is liye wo insaaniyat k dukh dard ko mehsus karnay wala hota hay.

Agar deikha jaye tau ishq karnay wala insan apnay creator (khaaliq) k bohat qareeb tau pehlay hi aa gaya hota hay qk wo apni haisiat ko jaan gaya hota hay. Aur un baaton se chutkaara pa chuka hota hay, jo insan ko apnay khaliq se door karti hain yani "main", anaa, gharoor etc. Aur wo qualities us mein aa chuki hoti hain jo insan ko apnay khaliq k qareeb karti hain yani insaaniyat se piyar, insaaniyat k dukh dard ko mehsus karna etc.

Tau agar ham observe karein, tau ishq-e-majazi aur ishq-e-haqeeqi mein farq sirf focus ka reh jaata hay. Phir ek maur, ek muqaam, ek state aisi aati hai jab wo insan realize karta hay k uskay ishq ka asal haqdaar tau wo khaaliq hay jo 70 maaon say barh kar piyar karta hay us se, jo uski izzat-e-nafs ko hameisha ooncha rakhna chahta hay, jo usko bin maangay laakhon naimaton se nawaazta hay, uskay sath khud gharzi nahi karta, insan 2 qadam jis ki taraf jata hay tau wo 10 qadam insan ki taraf aata hay.

Ye realization aam taur par tab hoti hay, jab wo insan dhoka khata hay, apnay mashooq ki khud gharzi ko mehsus karta hay, mehsus karta hay k wohi shakhs jis par wo focus kar raha hay wo us insan ki izzat e nafs ki care nahi kar raha (qk anaa insan apnay andar se khatam kar sakta hay laikin izzat-e-nafs ko nahi). Yaa phir jab wo maashooq us se door chala jaata hay. Is paragraph mein main ne abhi tak sirf maashooq se ralated baaton ka tazkara kiya hay. Laikin aisa zaroori nahi k ye maur, ye muqaam sirf maashooq se related baaton se hi aaye. Jab wo insaan is duniya ki asliat ko jaan leita hay. Tab bhi ye maur aa sakta hay.

Phir insan ka dil rota hay, aur us ronay mein usay sirf ek zaat yaad aati hay. Aur wo uskay khaliq ki hoti hay. Phir uska dil rotay huway apnay khaliq ki taraf rujoo karta hay, aur wahan wo sukoon paata hay. Phir wohi ishq-e-majaazi ishq-e-haqeeqi me badal jaata hay.

Note: Is post mein main ne ishq ka word jo use kiya, wo "in the true sense of the word" hay. Isko koi bhi aajkal k piyar mohabbat love etc k sath confuse na karay. Qk is piyar mohabbat love aur ishq mein zameen aasmaan ka faraq hay. :-)




info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:22nd Oct 2011, 4:48pm
 

Welcome to everyone here



Dr KamiAli :

Welcome here, its really so nice of you for your such valuable thoughts...very nice sharing. MashAllah

Diplomat bhai :

Welcome ji welcome.... and very nicely explained, MashaAllah.


mohtarma S4u :

walaikumsalam & welcome back... :P
aap nay sawal kia keh "ishq mizzaaji" jo hoti hai, woh konsay "maror" se " aqal tehzeebi" main badal jati hai, yehi na? mujhay tau yehi samajh main aya.

bara acha sawal hai, aur iska bara asan jawab hai k jab amma ji, ya abba ji ko aesi "kartoot" ka pata chalta hai tau woh betay/beti k kaan maror detay hain. bas ji is hi "maror" se aqal aesi thikanay lagti hai keh har kisam ki "mizaaaaji" jo hoti hai na, woh har kisam ki "tehzeebi" main badal jati hai.. :P


Rizwi bhai :

(aap kuch din se bujhay bujhay feel ho rahay hain.. sab kuch kheriat hi hai na? apnay rivaeti rang main nahi mehsus ho rahay...)

janab Pichlay (fraud khanay) maktab se logon nay hamain "sach much" ka ustad samajh kar is international university main professor appoint kar dia hai...... us maktab main tau "DUFFER STUDENTS" ko ham nay bari asani se (pattian) parha kar apni (fraud) "ustadion" se (bewakoof) bana rakha tha... par yahan lagta hai hamari daal nahi galnay wali.. yahan tau aik se aik "asli ustad" mojud hai.

aap se sawal yeh hai keh yahan hmari jaali degrion ka bhanda phoot gya tau kia karain gy? jawab dain?.... mujhay tau dar hai k "jinn" (k) "bachon" ko ham nay bewakoof bana rakha tha, unhay bhi yahan aa kar "ustaadion k wings" lag janay hain...

DrKamiAli Group: Members  Joined: 12th May, 2011  Topic: 1  Post: 377  Age:  32  
Posted on:23rd Oct 2011, 4:12pm
 

Dear info1234

Thank you so much for your appreciation.

Waisay aapas ki baat hai jo actual situation hay "ishq mizzaaji" aur "aqal tehzeebi" ki wo aap ne bakhoobi bayaan ki hai :-)




glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 14  Post: 1080  Age:  26  
Posted on:24th Oct 2011, 12:50am
 

\"ishq mijazi\"

as salam oalikum
all of u

"ishq mijazi" mujhay aaj tak is bemri ki samajh nahi ahi ;-) .......... ( meri baat ko khalais jazba e ishaq se murad na samha jahay balkay aaj kal kay chocharay ishq se murad lia jahay ) lolz ;-p.......or mazay ki baat kay main youth kay bigar ko or "ishq mijazi" kay maslay ko dono ko marge kar kay 1 hi line main defina kar sakti hon hahahahahah kaisay ok ye daikhain aaisay

" sab bharay pait kay chonchlay hain "

jin ko maa baab ki taraf se tam,am saholiat milain . khana peena pocket money comforts luxuries mobile + mobile ka balance , bike + fuel kay paisay , to phir unhain karnay ko kuch rehta hi nahi to pait to bhara hota hai tab ye bukhar char jata hai un logon ko warna aaj kal kay dor main is ki koi hakeekat nahi .or dosri baat ye kay youth per b to kuch zimadari honi chahye jab parent un per kuch zimaydari daltay hi nahi sab kuch un ko silver platter per hi mil jata hai to wo bht bayhis or la parwa ho jatay hain .khud se kamana paray khud se roti ki tralash karni paray to sari masti yakenan nikla ahay ;-p
bas itna hi ........
thanks





eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:24th Oct 2011, 1:56am
 

alirajput bhai

"apse sawaal kia tha..
uska jawaab milne ke bajaye..
mere sawaal ko hi uraadiya gaya yahaan se."
 
Aap ne mujh se kaunsa sawal kia tha, mujhe nahi pata. dobara post kardain, agar main jawab de sakta hoa tou zarur dunga, warna yahan mojood members Aap k sawal ka jawab de denge.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3245  Age:  36  
Posted on:24th Oct 2011, 2:03am
 

hadd hay waisy ...

yahan questioner ny ishaq-e-majazi ka poocha tha laiken sab ny ussy ishaq-e-mizaaji samjh liya hay .....hadd hay waisy :) chalo khud ghalt samjh ayee thi to koi baat nahi banda smjha to sahi sy daita ...laiken yak na shud do shud k khud b ghalt samjhy aur samjhaa b ghalt hi diya ..:)) lol

waisy DrkamiAli ny samjha b theek hay aur samjhaya b theek hay :)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:24th Oct 2011, 2:52am
 

info bhai

maiN "jalnay" aur "bujhnay" walouN maiN say nahi houN :)

but it's true k last aik aadh week say active nahi houN... jab waqt kam hota hai to apki taarh "ghaib" honay ki bajaa.ay just haazri lagata rahta houN lol

sawal apka aur jawab myrizvi ka...asal maiN koi informative ya educative thread nahi thaa... agar ap iskay ibtedayee pages read karaiN to pataa chalega k yeh "khalisatan" tanz o mazaah / luffazi wali threda thi jo sawalan jawaban shape maiN thi... aisay mazahia sawal o jawaab kai aik deger forums par bhi maiN saalouN chalaa chuka houN...maqsad forum k mahaul ko khush.gawaar rakhna ... sanjeedha debate k rising temp ko cool karna hota hai... albattah iss dauran "ghalati" say koi sachi /sanjeedah baat bhi hojaya karti thi

recently iss thread maiN aksar logouN nay sach moch k sanjeedah sawaal o jawaab ki tawaqqah rakh li to mujhay khaas kar pareeshaani howi k maiN apki tarah sanjeedah to the point "lecture" denay say qasir houN... aur jab meray dhol ka pol kholnay laga to maiN nay "dokaan" hi band kardi :) (jo waisay bhi 10 pg k baad band honi hi thee)

baqi sab khair khairiyat hai... yahaan bhi meray jawaabaat "ghair sanjeedah /mazahia " hi hongay...ap seedhay saadhay jawaabaat detay rahiyeh ga... phir dekhtay haiN k "parwaanay" kidhar ko jaatay haiN lol
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:24th Oct 2011, 2:59am
 

DrKamiAli

Is post mein main ne ishq ka word jo use kiya, wo "in the true sense of the word" hay. Isko koi bhi aajkal k piyar mohabbat love etc k sath confuse na karay. Qk is piyar mohabbat love aur ishq mein zameen aasmaan ka faraq hay. :-)

apki tahreer maiN "khasay ki cheez" to yehi "PS" hai... masha Allah... asal maiN hamari society maiN "ishq o mohabbat" say moraad (ab) yehi love affair, male-to-female (balkay same sex bhi) attraction, hawas hi lia jata hai...issi par afsaanay likhay jarahay haiN, dramay ban rahay haiN, filmaiN tayyar hoti hai...aur media issi mafhoom ko promote kar raha hai.......... lehaza ab iqsh ki yehi "new meaning" market maiN raaij hai jabhi to aik falsafi nay kahaa k:

kahtay haiN jisko ISHQ khalal hai dimaagh kaa :)
DrKamiAli Group: Members  Joined: 12th May, 2011  Topic: 1  Post: 377  Age:  32  
Posted on:24th Oct 2011, 1:42pm
 

myrizvi bro

Thanks dear for your valuable comments. Main aapki baat se bilkul ittefaaq karta hun k aisa hi hai. Laikin actual philosophy jo questioner jaanna chahti theen, usko main ne koshish ki k apni soch k mutabiq bayaan kar sakun. :-)
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 98  Post: 5392  Age:   
Posted on:25th Oct 2011, 2:09am
 

♥·´¯`·Re:Asslam o Alikum

jazak Allah,thank u & buhot hi alaa jawab die hain.....:)

lekin Info bhai k maroorr wali bat kafi aqal lagi h..:-P
aur buhot shukria mojhe aik bar phir welcome krne pr.
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:27th Oct 2011, 3:43pm
 

Education System

sawal no.2: Pakistan main is waqt mukhtalif qism k ta'aleemi nizam raij hyn. main unhain apni samajh k mutabiq classify karne ki koshish karta houn. (a) "so called" english medium schools (b) O-A levels aur cambridge system   (c) agha Khan Board (d) Federal Boards (e) different Provincial Boards  (f) madaris system  (g) sarkari ya "peelay" school (h) etc etc

Aakhir hamre mare mulk main yaksan ta'aleemi nizam kyun nahi? ghareeb k liay peela school aur ameer k liay O-A level ka nizam kyun? Aakhir hamari hukoomatain ta'aleem ki taraf kyun tawaja nahi deti? kya puray mulk main yaksan education system aur yaksan nisab nafiz karna na.mumkin kam hy? kya is main bhi America ka hee qasoor hy, kya is ki zimadari bhi hum America par dal dyn jis tarah hum apni deegar kharabion ka zimadar america ko tehra dete hyn?

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:27th Oct 2011, 10:50pm
 

info bhai & ed system

yeh lijyeh eagle bhai nay apkay liyeh new thesis ka subject day dia hai...ap iss silsilay main "system" say bhi help lay saktay hain :)
1 2 3 4 5  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013