mayhooraaj |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2010 Topic: 14 Post: 160 Age:
|
|
Posted on:19th Jan 2013, 3:34am |
|
|
Husbαnd Wife Relation After Death Aslam-o-Alaikum... me ya janna chata hoo...k kya mia ya biwi ki death k baad dono ger mehram ho jaye ge...mayat ka moo bhi nhi dekh saktey...? kya shoher apni biwi ko qabar me utar skta ha..? kya shoher biwi ko ,ya biwi shoher ki mayat ko ghusal de skti ha.? marne k baad chera dekh skte han....?
ya phir shoher aor biwi pr gair mehram wale asool lagoo honge...
am w8ng ur reply....
thnx 2 all.. Allah Hafiz. |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6478 Age:
54
|
|
Posted on:19th Jan 2013, 3:58am |
|
|
rishtah after death 1. kissi aik zoaj (biwi yaa shauher) ki wafaat k baad donouN aik doosray k liyeh morawwajah ghair mahram nahi ban jaatay. yeh apnay marhoom saathi ko dekh bhi saktay haiNaur agar marhoom shauher k ghusal k liyeh mard dastyaab nah houN to biwi ... issi tarah biwi ki wafaat par ghusal k liyeh khawateen dastyaab nah houN to shuher ossay ghusal de sakta hai aur kafan pahna sakta hai
2. marhoom saathi ki laash ko bosah bhi dia jasakta hai aur ossay qabar maiN bhi otaar saktay haiN... lekin afzal yehi hai k mordouN ki tadfeen mard hi karaiN... naa.mahram mard bhi tadfeen karsaktay haiN aur shauher bhi karsakta hai... agar mard dastyaab nah houN to shuher ki tadfeen oskibiwi tanhaa bhi karsakti hai
3. asal FARAQ yeh hota hai k shauher k marnay k baad biwi iddat period (jo haamilah k liyeh till delivery aur ghair haamlah k liyeh 3 menses haiN) guzaray beghair doosri jagah shadi nahi karsakti. jabkay biwi k marnay k baad shauher fauran shadi karsakta hai, hatta k marhoomah ki sister say bhi.
wallaho aalam bissawab
|
Greatsyed93 |
Group: Members Joined: 19th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 24 Age:
19
|
|
Posted on:19th Jan 2013, 6:38am |
|
|
Yes Rizvi is ri8. |
Greatsyed93 |
Group: Members Joined: 19th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 24 Age:
19
|
|
Posted on:19th Jan 2013, 6:38am |
|
|
Yes Rizvi is ri8. |
Einstein |
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 12 Post: 465 Age:
24
|
|
Posted on:19th Jan 2013, 8:29am |
|
|
Myrizvi Kia aik sath do aisi aurton ko nikah main lia ja sakta hai jo apas main sisters hain? |
mayhooraaj |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2010 Topic: 14 Post: 160 Age:
|
|
Posted on:19th Jan 2013, 9:10am |
|
|
To myrizvi.....! thnx bro... lakin ap kya bata sakte ha...k kisi nabi ya sahabi ne apni biwi ko gusal dya ho... ya unhen unki biwi ne gusal dya ho....? humarey darmyan akser log kehte han..k marne k baad nikah toot jata ha..is lye gair mehram ho jata han... so,,shoher apni biwi ko marne k baad dekh nahi skata.ya hath nahi laga sakta....
aor jab k ap ne kaha k gair mehram mard bhi aorat ki tadfeen kr sakta ha...
shukria.,..
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6478 Age:
54
|
|
Posted on:19th Jan 2013, 9:23am |
|
|
Einstein nahi ... aik saath 2 sagi bahnouN k saath nikaah jaiz nahi
Surah An-Nisa-23
Forbidden
to you (for marriage) are: your mothers, your daughters, your sisters,
your father's sisters, your mother's sisters, your brother's daughters,
your sister's daughters, your foster mother who gave you suck, your
foster milk suckling sisters, your wives' mothers, your step daughters
under your guardianship, born of your wives to whom you have gone in -
but there is no sin on you if you have not gone in them (to marry their
daughters), - the wives of your sons who (spring) from your own loins,
and two sisters in wedlock at the same time, except for what has already
passed; verily, Allâh is Oft¬Forgiving, Most Merciful. (23)
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6478 Age:
54
|
|
Posted on:19th Jan 2013, 9:30am |
|
|
mayhooraaj
general rule yehi hai k 1. mardouN ko mard aur aurtouN ko aurtaiN ghusal daiN (bukhari, kitabul janaaiz, baab ghusal)
lekin miyaan-biwi bhi aik doosray ko ghusal day saktay haiN 2. Hazrat Aisha RA farmaati haiN k: agar mujhay iss baat ka khayaal aajaata, jo baad maiN aayaa to Rasool Allah saw ko onki biwiyouN k sewa koi ghusal nahi day sakta (ibne maja, kitab.ul.janaaiz)
3. wafaat shudah aurat ko deger aurtaiN ghusal aur kafan desakti haiN... shauher bhi ghusal aur kafan pahna sakta hai... albattah khatoon ki janaazah ko ghair mahram kaandha bhi day saktay haiN aur qabar maiN bhi otaar saktay haiN. tadfeen say moraad qabar maiN otaarna hai...ghusal ya kafan pahnana nahi wallaho aalam bissawab
عائشہ رضی اللہ عنہا بیان کرتی ہیں: "رسول اکرم صلی اللہ علیہ وسلم بقیع میں ایک شخص کی صلاة جنازہ پڑھاکر میرے پاس آئے۔ اس وقت میرے سر میں زور کا درد ہورہا تھا جس کی وجہ سے میں کراہ رہی تھی۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے یہ دیکھ کر فرمایا : تمہیں کیا پریشانی ہے؟ اگر تم مجھ سے پہلے انتقال کرجاتیں میں تمہیں اپنے ہاتھوں سے نہلاتا، خود کفن پہناتا، پھر تمہاری صلاة جنازہ پڑھ کر تمہیں دفناتا۔" اس حدیث کو ابن ماجہ نے کتاب الجنائز باب مرض النبی صلی اللہ علیہ وسلم رقم 6586، 1466،بیہقی نے کتاب الجنائز باب الرجل یغسل امراتہ اذا ماتت رقم 645 میں درج کیا ہے، اور اس کے علاوہ احمد نے اپنی مسند6:288 میں دارمی نے اپنی مسند1:37-38 میں، دارقطنی نے اپنی سنن 192 میں اورابن ہشام نے السیرة میں 4:643 نے میں اس حدیث کو نقل کیا ہے۔ سبھوں نے اس حدیث کو محمد بن مسلمہ عن محمد بن اسحاق عن یعقوب بن عتبہ عن الزہری عن عبیداللہ بن عبداللہ عن عائشةکی سند سے بیان کیا ہے۔ حدیث کا درجہ.حدیث صحیح ہے،
|
|