H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:19th Aug 2011, 3:49am |
|
|
Hardon
Jo topic hay os pur bat kurin ap topic ko divert nahi kurin, or yeh topic koi ajeeb o ghureeb nahi mohashury ki sub say buri boraai hy , jo borai sub say ziyada hy osi bat bat ho sukti hay, or jo bat ap kur ray hen osky leyeh ap alag say topic start kurin meah os pur be insha Allah bol sutka hon, ap topic start kurin , Islamic History mera favorit subject hay, ap kuro start topic apni pussund ka,
Ess topic pur Allah Ny Quran meah Pori sorat nazal ki jisy Sorat Nissaa kehta hen, essi tura En he problems pur Allah nay Soorat Noor meah Ehkamat nazal keyeh.
Mera Ek topic hay Energy crisis in pakistan Os pur kisi nay comment nahi keya jo sub say bura major problem hay,
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:19th Aug 2011, 11:19pm |
|
|
Bareek Lebbass Fahashi Ki Alamat - A Social Discussion Agreed with Dr.Qasim ... |
hardon
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2011 Topic: 3 Post: 40 Age:
27
|
|
Posted on:19th Aug 2011, 6:30pm |
|
|
good for you han han sure....go on with your research on "aurton kay bareeq libas" |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:19th Aug 2011, 8:42pm |
|
|
mazhab ki aar mai fahashi
mai jab 17 saal ka tha tu fahashi ke baaray mai kuch bhi nahi jaanta tha. meri aik rishtadar khatoon jo mujh se aik saal bari hongi onho ne mujhe aik book read kerne di. on ka maqsad jo bhi ho, lekin jab mai ne os book ko read ki tu book khatam hotay hotay mai mukammal jawan ho gaya. fahashi ki woh woh tafseel os book mai thi keh mai bayan nahi ker sakta.
woh book tu read ker ke mai ne wapas ker di, lekin bazar se khood bhi aik book apne liye khareedi aur apne jaise bholay bhale masoom aur shareef dosto ko read kerne di, sab ne hi bari hairani se woh book read ki. lekin ehtiatan ke koi kam age wala bhai bahan os book ko na read ker le os book per sab ne mutafaqqa tor se pehle page per likh dya Sirf Balighan Ke Liye.
mai iss Book ka name nahi bataoo ga, kio keh os book ka name tamam .... edit ... wale jaantay hai aur mera khayal hai keh sab ne hi read ki hai. woh achchi tarah jaantay hai keh woh kon si book hai, jis mai bari tafseel se fahashi aur behayee ke hazaro tareeqy bataye gaye hai. europ ke night club mai kis kis qisim ke fahash program hotay hai. awara aur fahash aurtain kis kis tarah fahashi ka muzahira kerti hai. afsos ke .... edit .... wale apni kamsin larkio ko woh book read kerne dete hai jo keh meri nazar mai kisi bhi tarah munasib nahi.
osi zamane mai aik egypt ki film aayee huye thi. hamari inhi rishtadar khatoon ne kafi tareef ki. tu mai ne bhi dekhi, aur jab film dekhne ke baad apne dosto ko os film ki tafseel batayee tu sab ne os film ko dekhi, balkeh kuch friends ne baar baar dekhi.
os film mai aik fahisha aurat thi, jo intervel se qabal har qisim ke fahash harkato se film beeno ka dil bahlati thi. phir onho ne Islam qabool ker lia, tamam fahash harkat khatam ker dali aur shaii lebas mai aa gayee. isi liye mere kaii friend ne os film ko kaii baar dekha lekin interval se pehle tak. suntay hai keh film housful chalti thi, log osi film ko bar bar dekhtay thay lekin interval tak os ke baad half cinema hall ki seat khali rehti thi.
hamari os rishtadar ne os Book aur Film se etna mutasir huyee keh sab se sharie parda kerna shuru ker dia. aur martay dam tak sab se parda kya. mai ne on ka chehra phir kabhi nahi dekha, on ka ab inteqal ho gaya hai.
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:19th Aug 2011, 8:55pm |
|
|
muzhabi fahashi
i Think ap Muzhabi Fahaashi pur alag thread start kurin yaha bat dress ki ho rahi hay, ap nay apni story sonani shoro kur de hay, Suwaal hay kay Bareek Lebbaas Fahaashi ki elamat hay? Anser: YES |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:19th Aug 2011, 10:13pm |
|
|
Bareek Lebas ka topic bhi fahashi hai
re: "i Think ap Muzhabi Fahaashi pur alag thread start kurin yaha bat dress ki ho rahi hay, ap nay apni story sonani shoro kur de hay, Suwaal hay kay Bareek Lebbaas Fahaashi ki elamat hay?"
janab doctor qasim saheb mai ne jo kuch likha hai ain iss topic ke mutabiq likha hai. mai ne jis book ka zikir kya hai os ka asal mozoo hi "Musalman Khawateen ka Bareek aur Tight Lebas" hai. aur iss thread mai bhi yahi kuch discuss kia jaa raha hai.
dar asal iss qisim ka topic mazhabi fahashi hi kehlata hai. aap khood sochain ke jab bhi ham ksi khatoon ke bareek aur tight lebas ki baat kertay hai ya kahi zikir suntay hai tu jism mai aik sansanahat si dor jaati hai.
yeh bhi aik qisim ki fahashi hai. kuch log bareek lebas pehan ker fahashi kerti hai tu kuch log on bareek lebas wali khawateen ko tafseel se dekh ker on per alal-elan (forum) tanqeed ker ke fahashi ka muzahira kertay hai.
iss dunia mai hazaro topic hai, lekin kuch log nishana leker sirf aur sirf fahashi wale topic hi start kertay hai. maslan iss thread ka author ne sirf aur sirf two islamic thread start kye hai aik bareek lebas per aur doosra underwear per. kya Islam mai yahi two topic reh gaye hai discuss kerne ke liye.
agar onho ne Islam per hazaro thread start kiye hotay tu yaqeenan on keh yeh two thread nazar andaz kiye jaa saktay thay. lekin onho ne sirf aur sirf two thread start kiye aur woh dono bareek lebas aur underwear per. iss se andaza lagaya jaa sakta hai keh on ke zahan mai ketni Bareek Lebas aur underwear ketna sawar hai.
dar asal yeh thread bhi aik qisim ki fahashi hai. jis mai author ne fahashi aur oryani ko mozoo bana ker yaha per fahashi phailane ki koshish ki hai. agar woh waqai musalman hai aur ose Islam se dilchaspi hai tu ose chahiye keh woh Bareek Lebas aur Underwear se bahir nikley aur Namaz Roza Hajj Zakat waghairah ki baat karay. Islam mai Bareek Lebas aur Underwear ke ilawah bhi bahut kuch hai. lekin kuch logo ki soch Underwear aur Bareek Lebas se aagay jaati hi nahi tu kya kya jaaye.
|
aiki
|
Group: Members Joined: 03rd Apr, 2009 Topic: 6 Post: 43 Age:
26
|
|
Posted on:20th Aug 2011, 12:36am |
|
|
bewakoof dar asal iss qisim ka topic mazhabi fahashi
hi kehlata hai.
baki behas bad ki hai sab se pehley to ap ney jo nai term ejad ki hai
usey define krain.
aap khood sochain ke jab bhi ham ksi
khatoon ke bareek aur tight lebas ki baat kertay hai ya kahi zikir suntay hai
tu jism mai aik sansanahat si dor jaati hai.
Kesi sansanahat?Define sansanahat?
aap khood sochain ke jab bhi ham ksi khatoon
ke bareek aur tight lebas ki baat kertay hai ya kahi zikir suntay hai tu jism
mai aik sansanahat si dor
jaati hai.
aap kis ko sochney ki dawat dey rahey hain un ko jo ap ki posts se pehley
hi ikhtalaf ker chukey hain ya AP khod kalami ki adat mein mubtila hain.
iss dunia mai hazaro topic hai, lekin
kuch log nishana leker sirf aur sirf fahashi wale topic hi start kertay hai.
maslan iss thread ka author ne sirf aur sirf two islamic thread start kye hai aik bareek lebas
per aur doosra underwear per. kya Islam mai yahi two topic reh gaye hai discuss
kerne ke liye.
han yeh topics mein ney hi start kiye hain aur mujhay sach bat kerney mein koi
sharm nai.Ap ki missal us makhi ki tara hai jo sarey jism ko chor k sirf zakham
pe bethti hai.Mein ney to sirf do posts submit keen.ap hazaron kr chukey
hain.un chand posts k hi nam bata dain jis mein ap ne Islamic laws,ya
quran-o-hadees se mutalik kuch likha ho?jo shakhs 3978 se ziada posts submit kara chukka hai koi 100,200 posts
k link hi paste kar dey jis pe us ney emaniat aur Islamic laws pe research ki
ho?
agar onho ne Islam per hazaro thread start
kiye hotay tu yaqeenan on keh yeh two thread nazar andaz kiye jaa saktay thay.
lekin onho ne sirf aur sirf two thread start kiye aur woh dono bareek lebas aur
underwear per. iss se andaza lagaya jaa sakta hai keh on ke zahan mai ketni
Bareek Lebas aur underwear ketna sawar hai.
yani agar mein islam pe hazaron thread likhta to phir hi mujhay
mufti-e-azam ka fatwa milta.??yeh to wohi missal hui k eik insan 50 sal
namazain parhe aur rab se boley k chun k mein ne itney sal ibadat ki hai ab to
mujh pe shrab-o-kabab jaiz hai aur us k badley mein apni 2 sal ki namazain
qurban karta hon to aisey bandey ko ap kia kahein gey?
merey zehan mein bareek libas ya underwear sawar hai ya nai ye toALLAH ko malom
hai ap ko nai.yeh ALLAH ki kudrat hai aur usi ka ikhtiar hai wo zehno mein
guzarney waley khialat se wakif hai ap ko kesey ilam?yeh to sareehan allah KI
KUDRAT mein mudakhilat hai aur deeni istala mein isey shirk-e-khafi kehtey hain.Aur
anhazrat k eik hades k mutabik k jis k dil mein rai k danay k brabar bhi shirk
ho ga wo jannat mein ai jaey ga.
dar asal yeh thread bhi aik qisim ki
fahashi hai. jis mai author ne fahashi aur oryani ko mozoo bana ker yaha per
fahashi phailane ki koshish ki hai. agar woh waqai musalman hai aur ose Islam
se dilchaspi hai tu ose chahiye keh woh Bareek Lebas aur Underwear se bahir
nikley aur Namaz Roza
Hajj Zakat waghairah ki baat karay. Islam mai Bareek
Lebas aur Underwear ke ilawah bhi bahut kuch hai. lekin kuch logo ki soch
Underwear aur Bareek Lebas se aagay jaati hi nahi tu kya kya jaaye.
Ap ko kisi ney kaha hai k ap yeh thread parhain.?Agar yeh thread eik
fahashi hai to forum pe mojod un 563 pages ka kia k jin mein is se bhi ziada
pechida aur makhfi masail discuss kiye gaye hain?
ap ki nigah mein musalman honey ka criteria niyyat mein ikhlas aur
arkann-e-shariya pea mal nai bal k bareek libas aur underwear ki soch se bahar
ana hai?To ap ki soch pe siwaye matam k aur kia kia ja sakta hai?
mujhay musalman ya momin honey ka certificate deney ka ikhtiar ap ko nai?Khud
to ap kisi eik sawal ka jawab tak na dey sakey.Mujhay namaz roza haj ya zakat
pe likhney se pehley yeh batain k ap ney aj tak in topics pe kia research ki hai aur
kia likha hai?Meri soch bareek libas aur underwear tak mehdood nai bal k ye ap ki
soch hai.apni soch ko mujh pe na thopain.akhir ko aur bhi to members hain wo kyon
is nehaj pe nai sochtey????
yeh sirf aur sirf eik bandey ki depressed soch hai is se ziada kuch nai………………
|
mrs_adeel
|
Group: Members Joined: 19th Aug, 2011 Topic: 1 Post: 12 Age:
29
|
|
Posted on:20th Aug 2011, 12:43am |
|
|
bareeq libas...yahan kay maashray k lihaz say good topic mayne ye thread parha aur boht say members kay alag alag khayalat parhay....may bhi amoomn tight kameez shlwar pehnti hun mgr sirf ghar may...mery husband kehty hain kay ghar say bahr abaya pehno...aur mjhay acha bhi lgta hay kiunky abaya say mjhay apna jism secure mehsoos hota hay...may 2 saal Canada may bhi rahi hun aur amoomn bahr jeans aur shirt may niklti thi akeli bhi aur husband kay sath bhi mgr mayne aj tk ksi canadian mard ko apny jism per wehshiana aur havis bhree nazroon say ghoortay nhi dekha...mgr jb hum yahan agye to mayne ghr say bahr abaya shru krdiya hay kiunky may ab ye baat maan chuki hun kay agr may yahn chusst kameezain pehn kr bahr gyi to log mjhy boht havis bhri nazron say dekhnge gey..dusrey lafzon may wo mjhy nazron say nanga krden gey kiunky may nay yahan kafi mardon ko aurton ki tarf aise dekhty huay dekha hay jaise wo kisi aur planet say ayen hon...may hargiz hargiz tamam mardon per ilzam nhi lga rhi mgr aap sb hi bahr jatay hain aur ye trend apnay dekha bhi hoga...aap may say koi bhi is baat per inkaar nhi krskta..
Masla yeh bhi hay k yahan larkiyon ko pata hay kay mard kis tarha dekhty hain phr bhi wo tight aur see thru kaprey pehn kr bahr niklti hain jo sahi nhi...yeh baat bhi durast hay kay sb ka dil krta hay fashion krnay ka aur new trend say kaprey silwany ka...zaroor silwayn aur zaroon pehnay mgr ab kya kiya jaye kay iss mashray may is baat ko tasleem nhi kiya jaskta kay wo kaprey pehn kr bahr niklain iss liye larkiyon say guzarish hay ko wo apnay shok ghr may karliya krain aur bahr apny aap ko cover krkay nikla krain jo unkay liye bhi safe hay...i hope meri baat ka koi bura nhi manaye ga...may nay sirf apnay views share kiye hain jo mjhy experience huay...sb meri baat say itefaq naa kren ye aik natural baat hay kiunkay sb kay alag alg concepts hotay hain.. |
aiki
|
Group: Members Joined: 03rd Apr, 2009 Topic: 6 Post: 43 Age:
26
|
|
Posted on:20th Aug 2011, 8:05am |
|
|
mrs-adeel may bhi amoomn tight kameez shlwar pehnti hun
mgr sirf ghar may.
yehi to mein kehna cha raha hon
k sab aurtein aisa banao singhar sirf aur sirf apney husbands k liye
krain.bahar gher mardon k liye nai.magar hamarey muashrey mein amomi tor pey
aisa nai hota aur yehi is k bigar ka sabab hai.k jo ankhon ko thandak eik
shohar ko apni biwi se pohnchni chahiye wo senkron mardon ko pohnch rahi hoti
hai.k jis ki waja se ghar bhi khrab hota hai aur muashra bhi.
mery husband kehty hain kay ghar say bahr
abaya pehno.
Sahi kehtey hain kyon k un k nazdeek sab se keemti ap aur ap ki izzat
hai.apni islah kiye baghair ap kisi ko bura nai keh saktey.
may 2 saal Canada may bhi rahi hun aur amoomn
bahr jeans aur shirt may niklti thi akeli bhi aur husband kay sath bhi mgr
mayne aj tk ksi canadian mard ko apny jism per wehshiana aur havis bhree
nazroon say ghoortay nhi dekha.
chon k ap Canada mein rahi bhi hain aur ap wahan k halat ko behtar tor pe janti
hain mein is pe rai zani nai karon ga magar dil pe hath rakh k batain k kia is
k bawjood un ka nizam-e-zindagi ideal hai?Aur wo pas-e-parda jo kuch ker jatey
hain k jis ki Islamic saza korey ha ya mot…agar cha gunah dono hai, kisi ko
ghalt nazron se dekhna ys zina karna magar ap khud hi batain k ALLAH kareem
ankhon ko saza qiamat k roz magar zani ki saza duniya mein hi detey hain aur
yeh eik shadeed saza hai.Eik aisa shakhs jo bad nazri mein mubtila hai us ki
bhi saza hai magar korey aur sang zani nai.jo is mumley ki severity ko wazeh
karta hai.Bad nazri in tamam gunaho ka moharrak hai magar jis tara niyyat mein
fatoor honey se tab tak shra’I had lago nai hoti jab tak k us per amal na ker
lia jaaey.AUR nabi(saw)ki hadees hai k amaal ka daro madar niyyaton pe hai k
jesi niyyat ho gi wesa hi amal.Eik aurat jo shohar k liye banao singhar karay
us ka sawab magar ager koi aur aurat wohi banao singhar bazaar k liya karay to phir
ap isey kia kahein gey.?
may hargiz hargiz tamam mardon per ilzam
nhi lga rhi mgr aap sb hi bahr jatay hain aur ye trend apnay dekha bhi
hoga...aap may say koi bhi is baat per inkaar nhi krskta..
isi trend ko mesos kartey huey mein ney yeh thread start
kiya tha.aisi hargiz koi bat na thi k yeh soch mujhay bethey bithaey agai.Aur
is masley ko mein ne religious point of view se discuss kia.is bat k gawah
members bhi hain.
yeh baat bhi durast hay kay sb ka dil krta
hay fashion krnay ka aur new trend say kaprey silwany ka...zaroor silwayn aur
zaroon pehnay mgr ab kya kiya jaye kay iss mashray may is baat ko tasleem nhi
kiya jaskta kay wo kaprey pehn kr bahr niklain.
fashion,jewellery,banao singhar,nit nai kaprey wagherra yeh sab aurton
ki kamzori hai.zaroor apne dil k armaan porey karain magar sirf aur sirf apne
majazi khuda k liye to koi kabahat nai.Baki ap ka yeh kena k muashra is bat ko
tasleem nai karta to aisi bat nai.Yeh hamara muashra nai hamara mazhab hai,deen
hai jo is baat ko tasleem nai karta k jis k hum perokar aur mannaney waley hain.
iss liye larkiyon say guzarish hay ko wo apnay shok ghr may karliya krain aur
bahr apny aap ko cover krkay nikla krain jo unkay liye bhi safe hay.
Bilkul baja kaha ap ney magar is baat ko oper ki baat se nathi na
krain.Ap hargiz yeh baat na krain ko chon k hamara muashra isey pasand nai
karta to hum aisa na krain bal k ap yun kahein k hamara khalik-o-malik yeh
pasand nai karta k us ki ehkamat ko paon talay ronda jaey.Muashra naraz hota
hai to ho jaey rab naraz nai hona chahiye.
merey teacher ne eik din bari khobsorat bat ki.kehtey hain k hum roz marra k
mamulat ko sar injam detey hain,pani peeney se ley ker istanja karney tak.kia
kabhi hum ney socha k yeh kaam nai ibadat hain.fark sirf aur sirf niyyat ka
hai.wohi pani ka glass eik zaroorat hai magar ibadat bhi ban sakta hai ager
sunnat-e-rasool k mutabik piya jaey.Ab koi banda yeh soch sakta hai k istanjey
ka kia sawab magar ager usi mein nabi ki sunnat ko follow ker liya jaey to
ibadat wagarna eik aam amal.
kaam dono sorton mein wohi honey hain,eik hi maksad hasil hona hai magar niyyat
sunnat pe mal ki ho to yeh bhi ibadat.kisi ney kia khob kaha k eik momin ki to
pori zindagi hi ibadat hai.
i hope meri baat ka koi bura nhi manaye
ga...may nay sirf apnay views share kiye hain jo mjhy experience huay...sb meri
baat say itefaq naa kren ye aik natural baat hay kiunkay sb kay alag alg concepts
hotay hain.
mein ne kata’I ap ki bat ka bura nai manaya.Ap ney apne views aur
experiences share kiye jis pe ap ka shukar guzar hon.Ikhtalaf-e-rai her jaga
hota hai jesa k mein ne bhi kiya. yeh muashrey ka husn hai.Aur ikhtalaf-e-rai
ka hona koi buri bat bhi nai k yeh to suhaba karam mein bhi tha magar
ikhtalaf-e-rai ki aar mein zatiat pe tanked karna chotey zehan ki ilamat hai.
jis
tara ap ne degar mohtram members ki tara apney views ko share kia aur yehi is
form ka maksad bhi hai.
|
Un1eashed
|
Group: Members Joined: 22nd Jun, 2011 Topic: 0 Post: 33 Age:
33
|
|
Posted on:20th Aug 2011, 11:26pm |
|
|
reply ye aurtai baaz anay wali nahe hai dosts.pata bi hai kay parda karna kitna ehem hai in ko pir bi iska ulat karti hai.yani bepardgi.bal ke agr loag note karain to shadi kay bad ziada demagh kharab hojata hai aurto ka bepardgi k mamlay mai agar unka shohar unko kuch na kahay phir. |
hardon
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2011 Topic: 3 Post: 40 Age:
27
|
|
Posted on:20th Aug 2011, 2:43pm |
|
|
correct yahan kay muashrey kay lihaaz say bilkul sahi baat ki hay...bahar Abaya pehen na is more comfortable & secure for all sisters to protect them from the obscene gazes from disgusting lustful eyes...recommended for both unmarried & married sisters...aap sb fashion apnaye chahey libas kitna hi chohta ho ya bareeq ho ya jism say chipka hua ho mgr my sisters do it for husbands & not for those lustful disgusting eyes outside your houses waiting to feast on your exposed figures...think about it...iss muashrey kay lihaz say its for ur own security
|
mrs_adeel
|
Group: Members Joined: 19th Aug, 2011 Topic: 1 Post: 12 Age:
29
|
|
Posted on:20th Aug 2011, 3:55pm |
|
|
difference b/w East & West brother alki Whatever Canadians do they will tried on the Judgement Day by God according to their believes and the Holy Book they follow...it is not our concern or right to judge them for whatever they do in public or in private...my idea was that we should acquire the good habits of these people...wo bhi humari tarah kay seedhay sadhay log hain blkay kaye maamlat may ham say zada behtar aur shareef hain...yahan ki khwateen ko is baat ki wazahat krna chahti thi k jaisey may aik alag society may reh chuki hun jin ka culture aur values bilkul different hain iss liye unko ya wahan k mardon ko parwa nhi hoti kay aurtain wahan kis libas may hay aur na wo kisi pay havis bhree nazr daltay hain...mgr humari ye society us society say bilkul different hay... may aur meri jaisi larkian yahan aisey nhi bahr jaskty kiunky yahan boht mayoob smjha jata hay jo aik natural baat hay kiunkay yeh EAST hay yahan rehkar kr mashriqi riwayat aur rasmon ki paasdari krni parhti hay...zahir hay jis tarah may yahn husband k sath ghar k andr kitnay hi short aur chusst kameez may hun ya kitnay hi deep neck ki kameez pehnu may apnay husband kay sath hun aur is tarah reh skti hun iss libas mey may yahan bahr nahi nikl skti kiunkay yeh east hay...ya jis tarah shirt, blouse, sweater jeans mey may Canada may ghar say niklti thi may is tarah yahan nhi nikl skti kiunky wo west tha...aisa yahan krnay pey meray husband na khoosh hongy aur na meri family ye pasnd kregi iss liye Karachi airport ki lobby say nikltay hi apnay aap ko chadr may lapet liya tha kiunky i knew k now we r in the east...:)
thankyou brother hardon :) u got my point
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:20th Aug 2011, 7:15pm |
|
|
Dresses and Islam
also read related thread of this forum
- Women Dress: Why They Wear See Through Dresses?
- Dress For Women: What Does Islam Says?
- What Islam Says About Wearing Bra , Mandatory?
- Why Females Wear Short And Tight Dresses?
- Panty Aur Shameez Pehanna Kyun Zaroori Hai?
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:20th Aug 2011, 7:20pm |
|
|
bewakoof bro Links kam ni kur ray? link set kur dain,
|
aiki
|
Group: Members Joined: 03rd Apr, 2009 Topic: 6 Post: 43 Age:
26
|
|
Posted on:20th Aug 2011, 8:40pm |
|
|
bewakoof Mein is forum ka purana member hon yeh bat pehley bhi bata chuka hon.Education aur job dono jari hain.ziada wakt computer ko nai dey pata.baz aukat noor clinic ka forum bhi kai kai haftey visit nai kr pata.yehi waja hai k beshtar posts se anajn rehta hon.
bewakoof brother agar yehi post ap apney phley reply mein ker detey to kitna acha hota.Mein hakeekatan bohat si baton se anjan tha. ap ney jab meri izzat-e-nafs ko majroh kia to bardasht na ho saka.
Kisi k baray mein bad gumani na rakhein k jis tara pancho unglian brabar nai hoten isi tara sab insan eik jesey nai hotey.ap mujh se senior hain samajh saktey hain mein kia kehna cha raha hon.
Meri sab se keemti mata'a meri izzat-e-nafs ha.mujhay her cheez bardasht hai magar abro raizi nai k yeh meri roh ko zakhmi karti hai.Mein ney ap ko reply josh mein nai bal k dukh aur aziat ki kefiat mein kia.agar koi bhi esi bat jo ap pe garan guzri ho ki mafi chahta hon is umeed k sath k ap realize krain k mein kia mehsos ker raha hon. |
syedaa
|
Group: Members Joined: 22nd Nov, 2009 Topic: 1 Post: 143 Age:
30
|
|
Posted on:13th Sep 2011, 11:48pm |
|
|
2all totally agree with Dr Qasim.
yaha masla ye ny hai k hum apne kam se kam rakhein ya doosron k kamo mein dakhal dein. points ye hai k jo galat hai wo galat hi rahe ga n jo sai hai wo sai hi rahega. america ya uk mein kya libas chalta hai kya nahin. ya aj pakistan mein kya libas chal rha hai.
america ya uk wale musalmaan ny hain.aur jo musalmaan alon se wahan zindagi guzar rhe hain wo apni had nahin bhoole hain. phir aaj pakistan mein females apni had q bhool rahi hain??? mai 17saal se kuwait mein hun.pura bachan yahi guzra yahi parha yahi job b ki lekin apni had mein reh ker. ghar walon ne kabhi zor ny dia k normal dress pehno ya fashanable. lekin aj itne salon mein b humara normal pak dress hi hai. han fashanable kapre b pehle means k jeans wagera b pehni lekin ghr k ander. n baher main normally abaya leti hun to aise kapre hote b hain to nazar ny ata hai.
jaise k Dr Qasim ne kaha k sudia mein female hazaron kisam k faishan kerti hian lekin baher abaya mei hi hoti hain. cont.... |
syedaa
|
Group: Members Joined: 22nd Nov, 2009 Topic: 1 Post: 143 Age:
30
|
|
Posted on:13th Sep 2011, 12:26pm |
|
|
cont... yaha bhi female hazaron kisam k kapre pehan tin hain lein baher jab nikal ti hain to abaya mein hoti hain.fashon kerna mana ny hain aur na hi ise haram qarar dia hai k ny kia ja sakta hai. yaha to mart mein bhi female sites pe aise dresses hotey hain k jinheni hum dekh k ye sochtey thay k females is trhan k kapre kaise pehan leti hain. n yaha 1 kuwaiti shadi mein gyi to wahan sab females ko isi tarha k libas mein dekha.sab ne hi isi tarha k kapre pehne huay thay jin bareek b shamil thay shorts b. mai 1 laki hun n mujhe dekh k ajeeb lag rha tha jab k wahan sirf o sirf female thi.koi b mar ny tha. sab ne enjoy bhi kia n last jab dulha aya to tmaam girls ne abaya lelia tha k unke sir ka 1baal b nazar ny araha tha n kuch ne to naqab kerlia tha means 2 say k fashon ko dekha jaye to sab hi female kahin na kahin ye soch rakhti hain k wo b doosron ki tarha fashonable kapre pehnein. jahan 1 taraf mujhe dekh k ajeeb lag rha tha wahin 2sri taraf acha b laga k un sab ne apni khuahish b puri aise kapre pehan ker. n ksi gunna mein b ny parhi bcoz wahan koi mard ny tha.
n hum musalmanon mein is cheez ko zyada ehmiyat d jati hai k hum na mehramon se parda karein. 1 musalman hone ka haq bas itna hi ny hota k nmazein parhlein ya roza rakh lein. to b cont.... |
syedaa
|
Group: Members Joined: 22nd Nov, 2009 Topic: 1 Post: 143 Age:
30
|
|
Posted on:14th Sep 2011, 11:32pm |
|
|
cont rha sawal is bat k ghar k mardo ko ager pro ny hai k unki bv,,,beti,,,ya behan istarha k kapre pehan ker baher nikle to humein q aeteraaz hai is bat se.
1tarha se dekha jayei to ye bt b sahi hai k humein doosron k mamle mai dakhal ny dena chahiye. lekin jab mamla ghar se baher nikal jayga tab to dakhal dena hi parhega na. ghr k andar ager koi is tarha k libas pahenta hai to zahir c bat hai k ghar k andar jake to koi bhi unglian ny uthayga.
wohi jab ghar se baher niklegi to hazaron unglian bhi uthegin aur hazaron nazrein bhi uthegin. na koi ksi ko rok sakta hai bolne se aur na hi koi nazrein rok sakta hai. to hum females ko hi aisa hona chahiye k na koi ungli hum pe uthe aur na hi koi nazar.
|
aiki
|
Group: Members Joined: 03rd Apr, 2009 Topic: 6 Post: 43 Age:
26
|
|
Posted on:28th Nov 2011, 3:25pm |
|
|
REPLY Sister ap ney sahi kaha. Agar yehi sab kuch apney shohar ko khush karney k liye ker lia jaey to shaid gharon k totney ki eik bohat bari waja se jan choot jaey. |
tahira333
|
Group: Members Joined: 25th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 247 Age:
32
|
|
Posted on:28th Nov 2011, 5:55pm |
|
|
larkay b byahya hain ju khood b pakistan kee pak zameen main bareek libas pehantay hain |
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 >> |
|