Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

waht is kine or bughz?

Religion and Culture
 
 
sana abeer Group: Members  Joined: 02nd May, 2012  Topic: 4  Post: 18  Age:  26  
Posted on:18th Jul 2014, 8:52pm
 

waht is kine or bughz?

Aoa, members mujhy aik sawal pochna hai please meri help krain.

mn kal say bhut preshan hon, asl main kal mn nay suna k kina aur bughz rakhnay waly ki bakhsish nahi hoti Ramadan main hi nahi hoti. Aur mn yeh janana chati hon k iss ki difination kya hai. Kun k mery husband k aik Bhai nay mery parents aur baqui family members k sath acha saluk nahi kya, aur mery husband ko bhi un k khalif barkhtay rahy, phr mery sath bhi bolna band kr dya, halanke mn nay un k sath kabhi koi batamezi nahi ki balke kabhi un k samnay unchi awaz main baat tak nahi ki. Un ki kuch baton ki wajha sa mery husband mujh per naraz bhi huy aur mery parents say bhi. Un ka iss attitude ki wajha say mn un ko like nahi krti. Ab mera dil bhi un say baat krnay ko nahi chata, kun k unhon nay mujhy aur meri family ko aghr kisi reason k itni tension di.

 Kya mera unko dislike krna kina hai? Mera un say baat na krny ki wish kine ya bughz hai? Please jin ko pta ho meri rahnumi krain kun k mn kal say bhut tension main hon k khain mera asa sochna mujhy khuda na khosta Allah ke rahmat say hi door na kr day.

bushra2012 Group: Members  Joined: 15th Oct, 2013  Topic: 2  Post: 720  Age:  21  
Posted on:19th Jul 2014, 9:51am
 

Definition

1. Na-pasandeedgi, nafrat, keena, hasad aur bughz. In tamam alfaaz ke matlab alag hein - jinhein jannay ke lye aap lughat ka istemal kar sakti hein.

Meri rai mein aapka amal keena ya bughz ki category mein nahen ayga.

2. Dunya ki koi bhi buri baat ho, Ye bhi yaad rakhne ki baat hai ke kisi bhi jazbaat ya khyal ka dil mein hona koi maani nahen rakhta, aur jab tak dil mein hai tab tak koi saza nahen. Albatta agar un jazbaat ke zair-e-asar aap ne koi amal kar dia to us amal ka gunah hoga.

Maslan: Dil mein chori ka khyal hai to to koi gunah nahen, na he iss dunya mein koi saza di ja sakti hai. Lekin agar chori kar li to is dunya mein police case hai aur akhirat mein bhi gunah.
Maslan: Dil mein sharab peenay ka khyal agya to koi gunah nahen, na he iss dunya mein koi saza di ja sakti hai. Lekin agar amlan sharab pii li to is dunya mein police case hai aur akhirat mein bhi gunah.

Lekin behtar yehi hai ke dil mein gunah ka khyal kar ke lazzat na li jati rahay warna amal ke mamlay mein bhi bebaak ho jayga/gi.
sana abeer Group: Members  Joined: 02nd May, 2012  Topic: 4  Post: 18  Age:  26  
Posted on:19th Jul 2014, 10:27am
 

Thanks Bushra

AoA, thanks aap key answer say mujhy kuch hosla hua hai. Mn nay definition search ki thi lakin nahi mil.

Mn un ko bas dislike krti hon aur un say baat krnay ka dil nahi krta, lakin mn nay un ko ya unki family ko koi nuqsan pochanay ki wish ya koshish nahi ki. Aur na hi asa kr sakti hon. Balke start main jab without any reason unhon nay narazgi ka aghaz kya tu mn nay apnay husband k khnay per un call bhi ki baat krnay k ly lakin unhon nay itnay rokhay andaz main baat ki k mujhy rona aa gya. Halana ke mn un ki itni respect krti thi.

Khair Allah rahma. Thanks again.

For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Singer In UK  How to get Canadian Work Permit  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014