Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Auratien Barik Kapre Kyon Pehanti Hain?

Social Problem   >>   Culture and Society
 
 
Marerider Group: Members  Joined: 07th Apr, 2013  Topic: 1  Post: 3  Age:  32  
Posted on:7th Apr 2013, 12:08pm
 

Auratien Barik Kapre Kyon Pehanti Hain?

Hmare mashare main auratien itne barik kapre kyon pehanti hain? Auraton k kapre itne barik hote hain keh un ka jism aur undergarments saf nazar ate hain aur woh baghar chadar ya burqah k pure shaher main pherti hain. Achi kasi umer ki auraten bhi ase kapre pehanti hain aur apne jism ki numaism karti hain. Jab auratien ase kapre pehanen gi aur apne jism ki numaism karen gi tu mard kesay qabu main rahain gay?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7711  Age:  55  
Posted on:7th Apr 2013, 2:48pm
 

well said

2 qism ki aurtaiN aisa karti haiN:

1. aik to woh aurtaiN hoti haiN jo khud ko society maiN mardouN k liyeh "attractive" banaa kar pesh karnay ki khahishmand hoti haiN... khaah woh bad character ki haamil houN yaa nahi

2. doosri aurtaiN woh hoti haiN jo samjhay boojhay beghair just fashion ko follow kartay howay ...market maiN available ladies kapRay khareed leti haiN aur doosrouN ki dekha dekhi inhaiN pahan leti haiN

yeh doosri qism ki aurtaiN islamic lebaas ki taaleemaat say agaah nahi hoteeN aur nah hi inhaiN maloom hota hai k aisay kapray pahannay say iss dunyaa maiN onkay saath kia kuch hosakta hai aur rozay hashar onka anjaam kia hoga.
lifestyle Group: Members  Joined: 24th Jan, 2009  Topic: 3  Post: 626  Age:  40  
Posted on:10th Apr 2013, 6:16am
 

rep

is topic per koi bat nahi kr raha or na hi koi female. Female ka reply aay to maza aay
Einstein Group: Members  Joined: 24th Jul, 2012  Topic: 17  Post: 893  Age:  24  
Posted on:10th Apr 2013, 10:57am
 

lifestyle

yahi to masyla hai hamary muaashry ka.ab yai to kia ja sakta kai aurtain bazaron main .... edit unethical word .... ghoomain aur mardon ko kaha jai kai wo apni nazrain neechi rakhain.main yai bhi nahin kehta kai is main males ka qasoor nahin hai.....


greeny Group: Members  Joined: 29th Apr, 2012  Topic: 12  Post: 94  Age:  29  
Posted on:11th Apr 2013, 4:40pm
 

Marerider

bareek libas ya asa tng libaas pehanana aaj kal ka asa bhadda fashion hai jo qatan achha nae lagta.
ya na to islam me allowed hai na hi ye koi itna khubsurat hi dikhta hai. bs aik bhair chaal hai jiss ka hm log shikar hain.

iss me me app ko aik bat wazeh krun. k sb se bari baat parents ki tarbiet ki hai.
mujhe mere parents ne early childhood se hi ye btaya tha k beti app jo b pehno frock ya shirt. trousers ya shalwar ya saari ya ghrara whatever lekin app ki kalai ki hadi dhaki honi chaheay. ap k takhne nazar nae ane chaheay aur ap k badan ki banawat ka wazeh nae honi chaheay. rang jhalakna to buhat dur ki bat hai.

aj tak me ne iss dress code ko follow kia hai aur har fashion ka modern libas bhi pehna hai. har taqreeb ki munasbat se fashionable clothes ka istemal kia hai. so me apne experience ki bunyad pe kehti hun. k Islamic dress code ko follow krna mushkil nae hai blk ye aik khatoon ko buhat elegant aur respectable bnata hai.
ye sirf hamari apni bachiun ko di gae galat tarbiet hai jo unko iss bat ki samajh nae ane deti. aur kuchh nae.
Laa ilmi aur jahalat hai aur kuchh nae jo hamari khawateen ko ase libas pehnati hai. fashion me burai nae andha dhund taqleed me burai hai.
God bless you



greeny Group: Members  Joined: 29th Apr, 2012  Topic: 12  Post: 94  Age:  29  
Posted on:11th Apr 2013, 4:46pm
 

Einstein

dear brother.
wo aurat jo behayai ka mazahira krti hui ghar se nikalti hai uss ka sarparast mard uss k gunah ka zimma dar hai.

app agar bhai hain to apni behnu ko agar walid hain to apni betiun ko bta aur samjha sakte hain k wo mukammal libas me kitni pakeeza khubsurat aur wonderful lagti hain. unko apna libas wesa hi silwana chaheay.
shohar apni bivi ki tareef hi tb kre jb wo achhe libas me ho yani k mukammal libas me to wo shayad hi adhura aur badan dikhaane wala libas pehne.
baqi kuchh element ase zrur hote hain jo k waqaee be hayai ka mazahira krne wale hote hain. mtlab chand aik ko chor kr baqi sb khawateen ya to bhair chal ka shikar hain ya la ilmi ya phir tareef ki khatir asa bareek libas ya asa tng libas pehanti hain.

aur ye bat to hm jante hai hain k aurat jb akeli ghar se bahir nikle to shaitan ussko taarta hai. upar se libas munasib na ho to kia hi kehne.
Einstein Group: Members  Joined: 24th Jul, 2012  Topic: 17  Post: 893  Age:  24  
Posted on:12th Apr 2013, 7:54am
 

greeny

asal main na hi mairy koi behan hai aur na hi mairi koi beti hai,shaid is wajah sai mujhy ehsaas nahin tha.main nai apni ghalti tasleem ki.mairi post edit ker di gai,jis nai bhi kia,sahi kia.mujhy apni ghalti ka ehsaas hai
bushra2012 Group: Members  Joined: 15th Oct, 2013  Topic: 2  Post: 732  Age:  21  
Posted on:4th Jun 2014, 5:15pm
 

Garmi

Bhai garmi lagti hai islye wo bareek kapray pehen leti hein.

Ye alag baat hai jahannum ki garmi ziada hogi. Magar har kisi ko tofeeq nahen hoti. Aap dua karein aur tableegh ke zariye moashray se isko kam karne ki koshish karein.

Aajkal kapra bhi chilkay jesa aata hai double lining bhi laga lo to paar nazar aata rehta hai. Jo aurtein satar-poshi chahti hein unke lye iss islami mulk mein mota kapra bhi dastyab nahen ... oonh naam-nehaad mazhab-panay ke dramay.

Ab koi mard ya aurat kis tarah apni nazar ki hifazat kartay hein ye unka apna masla hai. Kyunke qiyamat ke din sawal hoga: Badnazri kyun ki thee?

To ye jawab to acceptable nahen hoga: Ya Allah! Aurat khud he see-through kapre pehnay thee.

Zahir hai aagay se yehi kaha jayga: See-through thee ya nangi, nazar bachana to aapka kaam tha. Aapne nahen bachai, ab jahannum ka visit karein.

Zahir hai mardon ka emtihaan aur sawaab panay ka moqa wohi hai jab koi aurat neem-uryan unke saamne ho. Shuttle-cock khaimay se to wese bhi bachat hai bad-nazri to mumkin he nahen!
aiki Group: Members  Joined: 03rd Apr, 2009  Topic: 6  Post: 43  Age:  26  
Posted on:19th Jul 2014, 8:33pm
 

Deeni-o-Dunyavi nukta-e-nazar se hamari kia moral responsibilities banti hain?

Assalam o alaikum
umeed hai aaapsab theek hi hon gey.apni society ko ley k meray zehan mein kuch sawalat hain aur mein is pe eik positive debate chahta hon.

1. jab hum apne mulk aur masharay ko daikhtey hain to hamain kahin bhi kisi cheez ki tarteeb nazar nai ati.Agar market k eik taraf pinsari ya parchoon ki dukan ho gi to doosri taraf hosiery ki dukano pe ja baja aurton k posheeda libas latkay nazar aain gey aur yeh mamla sirf eik dukan dar ka nai.Takreeban tamam dukan dar aisa kartey nazar aatey hain.Sitam zareefi to yeh hai k rairhi aur footpaths bhi is se mehfooz nai.Jahan tak shadi shuda members ka taluq ha to mujha nai malom k woh kuch ajeeb feel kartey hain ya nai magar being unmarried mujhay kat'ai acha mehsos nai hota.Kyon k na chahtey huey bhi sexual feeling a jati hain aur kafi embarrassment feel hoti hai.Isi tarah wo aurtein jo k unmarried hain bhi embarrass feel karti hon.Theek ha underwear aurat ki zaroorat ha magar is ka is tarah sar e aam sale karna deeni o dunyavi nukta-e-nigah se kesa hai jab k hamarey mashray mein her tabqa-e-fikar or her umar k log mojod hain.

2. Aksar parks aur bazaron mein bhi yeh dekhney mein ata hai k young couples athkelian ya romance kartey a ja rahey hotey hain, eik aisey mashray mein jahan socioeconomics wajohat ki bina pe bohat sey nojwan mard o aurtein shadi jesi eham zaroorat se mehroom hain,kia aisa karna sahi hai?Kyon k unmarried bhi is mashrey ka hissa aur un k bhi jazbat hain.Kia yeh behtar nai k bahar jitna mumkin ho formal reh lia jae?

In dono maslon mein ap ikhlaqi hadood -o-qayood kahan aur kitni daikhtey hain?Senior members in soial issues pe kia point of view rakhtey hain? Zaroor share krain...

BismaFA Group: Members  Joined: 13th Oct, 2012  Topic: 6  Post: 225  Age:  28  
Posted on:18th Aug 2014, 12:34pm
 

Gggggg

Ajkal to yahi hay jiss ka acha figure hay vo dekhana janti hay.. or kuch to rush main hath bhi lagwa leeti hain .. koi haal nai hay
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Student In Harvard University  How to find job with no work experience  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014