Old script 1. nabi kareem saw k daur maiN aik sahabi RA taurah ki telawat kar rahay thay to aap saw nay iss par sakht naraazgi ka izhaar kia tha.
2. iss waqt dunya maiN sab say zeyadah christians maujood haiN. iskay bawajood Bible ki koi authentic book dunyaa maiN maujood nahi hai. bible k har new edition last edition say changed milta hai. aur yeh changing church khud karta hai, apnay scholars ki madad say...kiyouNkay bible jadeed scientific knowledge say mis-match karta hai. jab bible ka yeh haal hai to baqi books ka ap khood andazah lagaa laiN
3. aik aam muslim ko to iski zaroorat hi nahi hai, bilkhasoos nabi kareem saw ki above hadees k baad.... albattah koi muslim scholar hai... woh comparative religion ko study karna chahta hai takay islam /quran ki haqqaniyat ko dunyaa k saamnay pesh karsakay aur quran k moqaablay maiN baqya ilhami kutub ko "outdated" saabit karsakay tab hi aisa kia jasakta hai... jaisay ahmed deedaat k baray main mash'hoor hai k woh bible k bhi haafiz thay... aaj dr Zakir nike biblw, geeta samait dunya k beshtar mazhabi kitabouN pay authority haiN... kiyouN kay woh comparative religion k scholar haiN
wallaho aalanm bissawab |