Bareek Lebas Fahashi Ki Alamat - A Social Discussion
Mein university mein parhta hon aur university mein amooman co-education ka nizam ha aur mein bhi isi nizam ka hissa hon agar che mein dili tor pe is nizam ko pasand nai karta magar wasail na honey k sabab is nizam ka hissa bannaney pe majbor hon.Agar bat sirf yahan tak hi mehdod ho to koi bat nai magar agar emen o yakeen ka masla paida ho jai to rehnumai zarori ho jati ha.isi tanazur mein kuch masail pe ap ki tawwaja chahta hon.
hamari class mein boys and girls dono parhtey hain.yeh aam tor per dekhney mein aya ha specially in summer season k boys aur girls halkey kaprey pehntey hain k jin mein se un kay androni jism ki reflection hoti ha.yeh masla karkiyon mein ziada shadeed ha.isi masley se jurey merey chand sawalat hain.
Q#1-wo larkian jo aisey libas pehnein k jin mein se un k androni jism ki reflection ho aur wo k jin ki na cahahtey huey bhi aisi larkiyon pe nigah parey Quran o hadees ki roo se kia saza ha?
Q#2-larkian jo is kism ka libas pehnti hain kia nai janti k yeh libas unhain barhana kiye huey ha?
Q#3-ya jin k ilam mein ha k libas jo wo zeb e tan karne ja rahi hain un ki sittar poshi na karay ga phir bhi pehnein to phir aisa libas kia symbolize karta ha.mera yeh sawal khas tor pe female members se ha ka kia is ki koi nafsiata wajohat hain?
Q#4- kuch logo se yeh sunaney mein aya ha k larkian yeh aadat apne ghar k mahol ki waja se apnati hain.kia yeh bat sahi ha?agar han to kyon?
Q#5-yeh bhi aam tor pe dekha jata ha k is age group ki larkian tight fitting k kaprey pehnti ha k jo un k porey jism khas tor breast shape ko numayan tor pe wazeh krta ha.mujhay is ki bhi medical aur psychological point of view se wazahat chahiye kyon k larki ka to dosra nam hi sharm o haya ha.phir larkian itni bold kesey.
NOTE= mein yahan ap ko yeh batata chalon k yeh sb sawalt mein na chahtey huey ap se poch raha hon.mein apni nigahon ko aur dil ko bachaney ki koshash mein laga rahta hon yehi waja ha k merey eik teacher bhi azrai e dil lagi yeh k chukey hain k tumhain to university aaney ka bhi koi faida na hua.tum to saeen ho.....
members k jawabat ka muntazir rahon ga.khas tor pe female members k......kyon k eik aurat hi aurat ki nafsiyat ko behter tor pe samajh sakti ha...but male members are also welcomed......
Well Nabi saw ki aik hadees mubarika hay keh "Jo aurat khushboo lugga ker bahir jayeh aur uski khusboo ghair mardon tak pohonchay wo zaaniya hay"...........aab yeh to hay aik hadees aik aspect per lekin agar hum iss ko achi terhan say perkhain to humain aisee her larki kay baray may wazeh patta lug sakta hay jis ki khushboo, libaas, jewellary, makeup, niqab chehray per lekin uss niqab may bhi khoobsoorati say sajayee gayee aankhain, gharz her wo cheez jo mad e muqabil especially sinf e mukhalif ko apni taraf attract kerlay uss per kia HADD lagti hay (Yahan meray aik respectable bhai "Bewaqoof" bro bhi tawajah dain keh yahan Zaniya main nay nahi ALLAH swt kay Nabi saw nay fermaya hay, aur meray jo do lufz aap pakaar ker beth gaye thay wo main nay issi tashbeeh may istimal kiyeh thay aur unn logon kay liyeh jo INTENIONALY aisay kaam kertay hain na keh majboori may)......... khair to yeh hadees zehen may rakhain aur aik yeh keh
Qayamat kay anay say pehlay ka jo aakhri zaman Huzoor saw nay logon ko bataya hay uss ki nihsnion may bhi aik yahi hay keh khawateen libaas pehnain gee lekin aisay jesay keh nahi pehna hua,! jo keh aaj kul rather pichlay kafi arsay say hay aur her season may NAYE STYLE say saamnay ataa hay!
Aur ye baat 99% sahi hay keh aisay libas larkiyan apnay gharon kay mahol say pick kertti hain aur pehen ker aati hain. Aur aisa libas pehen ker merdon may janay wali university ki age ki koi larki kabhi bhi aisa possible hee nahi hay keh usko maloom na ho keh usko aisay libas may dekh ker kia sher phel raha hay dooseri taraf!
Rahi baat sharam o haya ki to meray bahi sub kitabi batain hain, aaj kul aisee sharam o haya wali shayed .5% larkiyan hon kahin kissi aur planet per! Aur aap iss baat ka gham na kerain keh log aapko kia kehtay hain aur kis terhan say judge kertay hain, yaad yeh rakhain keh WO (ALLAH swt) aapko kia hukam deta hay aur jub judge keray ga to kesay keray ga! aap apnay musalman president Ahmadi Nijad ko lay lain, salam hay uss banday ko keh taqreer keray UN may kharay hoker to America kay daant khatay kerday aur agar koi angraiz aurat musahifa kay liyeh hath berhati hay to uskay chehray per aajzi hay , jhuk ker takreem hay lekin hath bandh ker ALLAH swt ka banda apnay aap ko BACHA leta hay aik gunah say! yeh wo log hain jo humara role model honay chahiyen hain :) ALLAH swt aapko bhi apni naik rawish per qayem rakhain ameen.
Well ye topic bohot acha hai. Aap ne bataya ke oss larkiyo ka mazaq uraw aur kaho ke tum ketne bad surat lagti hoo. Lekin aaj kal to aese log bohot kam milte hai kiyo ke 100% mai I think ke 20% log sirf mazaq urainge lekin wo 80% log jo coments pass kar rahe honge wo kiya, issi liye ziada log mazaq nahe urate aur bf aur gf ki chakar shuru karte hai. Aur aap ki ek aur baat bi achi lagi ke TV, INTERNET, Cable etc unke madad karta hai. Aj kal ke aese larkia TV film se sekhe hue hai jab bi apne husbnd se jagra ho gaya to jald divorce aur pir naye shadi dosri ke sath karlete hai. Thank you...............
sab se pehley to mein tamam members ka shukriya ada karta hon khas tor pe raregolg sister ka k unho ne apne sincere replies diye. Ali bhai mujhay herat hui k ap merey doosrey sawal ko na samajh sakey.ye bhi mumkin ha k mein sahi tara na samjha paya hon chunanche isi sawal ko elaborate karney k liye hazir hua hon. Yeh sawal khas tor pe mein ne is prospect mein pocha tha k aurat ka matlab ha sita yani posheeda cheez.phir is tara ka libas kyon?yeh to obvious si bat ha k libas insan ki wajahat aur sitar poshi k liye ha............aur koi bhi insan libas k baghair kya feel karta ha yeh bhi ap sab jantey hain.to phir wo jo aisey libas pehnti hain koi sharm o haya kyon mehsos nai kartein. NOTE=meri walida kehti hain k hamarey zamaney mein to aurtein shadi ka nam sun k hi sharm se lal ho jaya karti theen aur aj kl ka to..........ALLAH hi malik ha.
raregold
wa alaikum salam. ap k salam ka jawab dena bhol gaya lehaza mazrat............
hum logon pe aksar yehi larkiyon wala tamsha Public Road per b dekha hoga?
most of time mai apni mother k sath road per ja raha hota hun Islamabad tu rastay mai traffic singles per Motorcycle pe boys k sath bethi larkiyun k kapray dekh kr muje khud sharam aajati hai apni ammi k samnay jab wo kehti hain k yeh ka besharmi roads per hoti hai.
yeh batian sun kr mai khud b sharama kr bat change kr deta hun.
Yehni larkkiyun apnay husband/boy friends k sath beth kr pechay se apni tang utha kr full mahool dekha rehi hoti hain aur hum jayse kuch sharmanay walay logon ka b dil kharab ho jata hai.
@topic
iss mai hum muft mai gunna gar hotay hain. wo is tarah k road per jab log car driving kr rhay hotay hain tu un k mostly samnay dekhnay parhta hai .aur traffic signles per samnay bike pe larkkiyun ne ju dressing ki hoti hai . wo dekhty hoy b nazar bar bar ussi per parhti hain kiyun k road per mostly seedha dekhna parhta hai.
Ali bhai aapki aik baat kay liyeh wazahat kerna chahti hoon (main koshish ker rahi hoon keh wo hadees apnay hawalay kay saath yahan post keroon tah keh aapko samajhnay may sahoolat ho) Perfume yaa shadi biyah kay deegar banao singhar ki baat hay na jahan tuk meray bhai to yehi to masla hay hum nay CULTURE CULTURE ker ker kay apna aur sola karor ka dimagh kharab kerlia hua hay, kion keh hum jis deen say talluq rakhtay hain humain wahan aankhain KHOL ker jeena hay, jahan koi cultural issue humaray deen say takrayeh hum may itnee himmat ho keh hum usko utha ker apni zindagee say phaink dain. Deen humain sajnay sanwarnay perfumes use kernay say mana nahi kerta SIRF fitna berpa kernay say mana kerta hay............ lets say Pakistan ki sub larkiyan ye soch lain keh shadi byah may hum nay SIRF ladies wing may rehna hay, hum nay wahan janay tuk kay raastay may abaya/niqab/chadar/ whatever we could use to COVER ourselves use kerni hay to wo ZANIYAH ki rulling kay under nahi aati hain.
Aik aur baat batta doon keh agar humari bahoo betiyan gharon may bun sanwar ker rehnay ki aadi ho jayen na to bahir baghair TABAHI KA MAKEUP kiyeh bhi unko chain aa jayeh ga! Baat asal yeh hay keh aapko aur mujhey jo fashion aur bannay sanwarnay ki definitions hain na unko DOBARA say samajhna hogga keh hain kia, deen aapko kehta hay aap ghur kay under banain sanwerain apnay SHAUQ say logon ko (including dooseri larkiyan) DIKHANAY k liyehy nahi! Media aapko kehta hay ghur may bhalay say "morr" kay jesay paoon hon aapkay bhair niklo to unn per bhi BASE lagga lo! LIhaza definitions ko samajhna hogga humain aur issi terhan hum confidence level build up ker saktay hain apn bachion ka, tah keh unko kabhi baghair make up kay nikalna paray to unkay ander AITMAAD ho! Aur phir batta doon keh mix gatherings to wesay bhi allowed hee nahi hain! lihaza koi tukk nahi banti make up aur deegar haar singhar kerkay ghair merdon kay saamnay janay ki.
I hope aab mera moqif clear ho gaya hogga :) aur agar poora Pakistan yehi hay to mujhey kehtay huay dukh hotta hay keh poora Pakistan deen kay nahi Hindu kay culture ko follow kerta hay!
Hadees!
And he (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “Any woman who perfumes herself then passes by the people so that they can smell her fragrance is an adulteress.” Narrated by Abu Dawood, 4173; al-Tirmidhi, 2786; al-Nasaa’i, 5126; classed as hasan by al-Albaani in Saheeh al-Nasaa’i.
Bareek Libas Fahashi Ki Alamat - A Social Discussion
Q#5-yeh bhi aam tor pe dekha jata ha k is age group ki larkian tight fitting k kaprey pehnti ha k jo un k porey jism khas tor breast shape ko numayan tor pe wazeh krta ha.mujhay is ki bhi medical aur psychological point of view se wazahat chahiye kyon k larki ka to dosra nam hi sharm o haya ha.phir larkian itni bold kesey.
Ans: Woh Lurki Kisi ki bati kisi ki sister hogi yeh ap logo ka Furz bunta hay jub ap log apny ghuro meah esssa Dress open pehny kisi relative ko dakhain tu ap onko sumjain rokain, Islam meah Hur tura ka dress women pahen sukti hay lakin apny ghurapny Husband kay samny , lakin jub woh he orat lurki , sister ghur say baher jay tu osko Hokum yeh hay kay woh apni zeenut ko chopay cover kury, jo Girls essa tight dress full fitting kay sath open baher ghoomti hen yaa bareek putlaa dress phan kur chulti hen woh zura be achaa kam nahi kur rahi esy onko Gonaah hota hay or jis ki nzur purti hay woh be gonah gar hota hay,
Essi leyeh Islam meah Chadur, ya Abayaa kurny ka bola ghiya hay jis cheez ko chopany ka Cover kurny ka Hokum deya ghiya hay osi ko open or Nomaayan kurna Allah kay ekhamaat ki Khilaaf wurzi hay,
Ess leyeh best hay women and Girls kay leyeh woh Scarf , Hijaab or Abaaya pehnain, apni zeenut apni khoobsorti ko sur aaam Public property na bunain,
Bot tight dress especially breast kay leyeh bilkol acha nahi , ess leyeh loose fitting wala dress pehna jay jis meah insan easy feel kury, na kay shurminda shurminda bhe or uneasy be feel kury or Gonah alag say mialin,
dunya mai zindagi guzarne ke liye logo ne kuch asool banaye hai, yeh asool logo ne apne culturea ur religion ko samnay rakh ker banayeh hai. phir woh log os par amal kertay hai. jo log on asoolo per amal kertay hai woh sahi kehlatay hai aur jo log on asoolo per amal nahi kertay woh sahi nahi kehlatay hai.
lekin poori dunia mai sirf aik mazhab aur aik culture nahi. lehaza jetne mazahib aur cultures hai otne hi asool hai jo aik doosre se mukhtalif hai. aur aik doosre ki nazar mai ghalat.
agar aap ki nazar mai bareek lebas istemal kerna ghalat hai tu iss ka yeh matlab nahi ke woh dunia ke saare logo ki nazar mai ghalat hoga. bilkul yahi wajah hai ke khawateen bareek lebas pehenti hai kio keh on ki nazar mai bareek lebas pehenna ghalat nahi hai. aur on ke ghar walo ki nazar mai bhi ghalat nahi isi liye koi khatoon jo kisi ki bevi, beti ya bahan hai woh apne shohar, bhai aur baap ki mojoodgi aur razamandi se bareek lebas pehenti hai.
Burqa, Abaya, Hijab aur Scarf jis ki iss forum mai mojood members ki aksariat himayat karain gi; kia in logo ki himayat kerne se yeh lebas sahi kehlaye ga, bilkul nahi. Yeh lebas sirf aur sirf on logo ke liye sahi hai jo ise culturally aur religious point se sahi samajhtay hai. lekin jo log mazhabi aur religiously aisi logo se agree nahi kertay on ka iss qisim ke lebas se agree hona zaroori nahi.
Final baat yeh hai keh bareek lebas pehnenni wali khawateen apni jagah bilkul sahi hai, jab onhai on ke bhai, shohar, beta aur baap ko takleef nahi tu aap log iss takleef mai kio mubtala hai.
dar-asal iss qisim ki mukhalfat kerne wale andar se aisi hi khahish rakhtay hai, jo culturally aur mazhabi majboori ki wajah se poori nahi ker saktay. tu apni iss khahish ko poori kerne ke liye iss qisim ki anti mohim chlaney lagtay hai. Nafsiat mai iss ke liye aik bahut hi achchi terminology hai iss waqt yaad nahi aa rahi hai yaad aane per likhoo ga. albatta aap isay aik qisim ka hasad aur jalan samajh lain.
jis tarah aik ghareeb aadmi hasad aur jalan mai ameer ke liye kehta hai keh yeh sab Blood Pressure aur Dil ke mareez banay ge aur mar jaaye ge. jab keh haqeeqat yeh hai keh ghareeb log bhi beshumar beemari mai mubtala ho ker eri ragar ragar ker mar jaaye ge. bilkul isi tarah fashion, glamour, bareek lebas ke khahishmand jab apni khahish poori nahi ker paatay tu os ke khilaf kehna shuru ho jaatay hai.
aise log kuch baato mai tu sabar ker lete hai, maslan angrez ko mukhtasar lebas mai dekh ker apne aap ko tasalli de letey hai keh ham angrez nahi hai iss liye yeh lebas istemal nahi ker rahe hai. lekin mashraqi khawateen ko fashion, glamour aur bareek lebas mai dekh ker jealous ho jaatay hai. aur jal ker kabab ho jaatay hai. aur jab kuch nahi ker saktay tu ose fahashi, oryani qarar de ker os per discuss kerne ka bahana talash kertay hai. aur discuss mai on logo ko bura bhala keh ker apni andar ki khahish ki taskeen ker rahe hotay hai.
jin logo ko fashion, glamour aur bareek lebas ki khahish aur os se hasad na ho os ko iss se matlab bhi nahi hota keh iss dunya mai kia ho raha hai. woh sirf aur sirf apne kaam se kaam rakhtay hai.
Kubi kubi ap such moch kay bewaakoof or bewakoofi wali batin kurty hen, Bareek Lebaas ya bay-lebaaas ho kur chulna ya kum lebaass Phannaa Uk, USA, Non Muslims kay leyeh onki nuzur meah acha hoga, Kisi Muslim ki nuzur meah acha nahi hoga, apka eski Mokhalafat kurny walo ko Nufsayati Mureez kehna be mozayka kayz or haraan kon bat hay or onko onki nuzur meah sahi kehna be, Chor chori kur ra hota hay oski nuzur meah chori theek hoti hay or woh apna Huq sumaj kur chori kurta hay tu soko suzaa nahi dani chayeh, soko ghult nahi kehna chayeh, ? osy ghult essi leyeh kehty hen essy Aman o sukon or logo kay jan o mal ko khutra hota hay,
Yaad Rukahin woh tumaam kaam woh tumaam batin jin say Mohaashury meah Fitna Phaly Fussaad phaly onko Rokna humara Furz hay, or osko Rokna or osy ghult kehna be humara furz hay or essy logo ki Hosila shikni kurna bhe humara furza hay,
Ye pakistan ka culture nahi hay, Bareek lebaas pahen kur Road pur chulna , yaa Esaaa dress phen kur public places pur jana jis meah insaan lebaas phaen kur be Bay-lubaass lugy
Allah ka Quran meah ershaad hay jo Achi bat ki favor kury gah os Achy kam ka sila osko mily gah or jo Bory kam ki favor kury gah osko ghult kam ki favor ka sila mily gah,, so yeh achi bat nahi hay kay hum bareek lebaas pahnny walo ko sahi janain,
Islam kisi pur pabundi nahi lugaata kay woh koi mukhsoos lebaas pehny, Orat ko jo Dil kury wesaa lebasss pehny lakin osy kisi Na mehram ya public place pur essy lebass meah aa kur Dawaat-a-nezaara dana kut hun jayz nahi
or Kisi Orat kisi Murd ki yeh Khuwaish hur gezz nahi hoti woh esaa lebaas phen kur Public places meah jay esaa kurny waly Bay Huyaaa hoty he, jinki Nuzur meah Huyaa ezzut, wuqaar , Koch nahi hota onka Deen muzhaab onka life style onka fashon hota hay, na kay Tehzeeb na kay Deen hota hay,
Ess leyeh jub ap reply kurty hen tu ap apny Muzhab apny culture say Bughaawat kur kay answer mut kura kurin buly pakistan kay culture or muzhab ko dayk kur answer keya kurin, wurna khamosh raa kurin, apki bato say log confuse hoty hen. apki muntaq onki nuzur meah meri nuzur wali theek ni hay, hur woh Nuzur woh nuzriyaa woh soch woh bat jis say ghur meah mohashury meah Fitna fussaad phaly Islam oskki sukhti say mokhalafat kurta hy,
Meah 9 saal say saudia meah rehta hon yaa hur lebaas women pahnti hen hur turaa ka lebass lakin apny ghur meah , baher jub woh nikulti hen tu Hinaab abaya meah nikulti hen chay ono nay kasaa he lebaas ku na phena ho, humain essy koi ghurz nahi osny nechy kon sa kasaa lebasss phena howa hy, woh Allah kay hokum ko follow kur rahi hy apny ap ko osny chopayaa howa hay yeh achi bat hay,
so essy logo ki soch or fikur ki khol kur mokhalafat kurin jo essa lebaas phen kur bazaaro parko meah jaty hen on apna jisma apni zab o zeenut logo ko dikhaa kur gonah gaar kurty hen or fitna kay bahess bunty hen,
Ap ka nutty aur critical article parh k soch ko eik nai jehat milli jis pe ap ka shukar guzar hon. Yehi waja hai k meri female members se specially request thi k wo is post ka reply krain kyon k eik aurat ki nafsiat ko eik aurat hi behtar tor pe janti ha. Baki ap ne "Apne kam se kam rakhney" ki bat ki to yeh behar tor samajh na a saki jesa k ap ki post se wazeh ha k agar ap apne km se kam rakhtey to mujhay kabhi reply na kartey jo k ap ne kia. Insan ko social animal yani muasharti janwar kaha gaya ha aur is duniya ko ALLAH ne isi liye takhlkeeq kiya takey takey tamam insan eik khas daira kar mein rehtey huey eik doosrey se baham mohabbat aur ikhlas se rahein.Jis ka eik maksad to yeh tha k hum eik doosrey k dukh,sukh,ghami,khushi mein shareek hon to doosra yeh k muashray mein paida honey waley masaail hain un ko mil k sort out krain aur ittefak-e-rai se un ka hal talash krain. Yeh duniya eik community ki mannind ha aur is mein rehtey huey yeh mumkin hi nai k insan apne ird gird wako pazeer honey waley halat o wakiat ka asar na ley. Merey eik dost k jannaney waley hain un ki zubani yeh malom hua k wo blue air blue crash k chasm deed gawah hain.un k mutabik wo is hadsey ko eye witness karney k bad is kadar bemar huey k teen roz tak charpai se na uth paey..................kia behtar na tha k wo apne kam sa kam rakhtey aur bhol jatey.aur kia yeh behtar na tha k jin k piyarey us hadsey meis shaheed huey wo apne kam se kam rakhtey aur bhol jatey.Bam dhamkaon mein kam aney waley apne kam se kam rakhtey aur apne piyaron ko bhol jatey.Yeh mumkin nai. insan apne aas pas honey waley wakiat ka bohat asar leta ha aur aisey bhi hain jo nai letey to kia ap unhain insan kahein gey...faisla ap pe chorta hon. akhiir mein eik bar phir bewakoof bhai ka shukar guzar hon k unho ne meri post read ki aur apne views se nawaza.......
H/dr_Qasim Agrred to Dr. qasim....Mein critical views se ghbrata nai balke ziada
pasand karta hon k is se apni self improvement hoti ha magar tankeed
maksad se khali ho to awa zari hoti ha.
kahtay theek hain agar bewakoof kay sar par seng hotay to sab say pahlay bewakoof bahi kay sar par hotay aiki ap nay bhut acha tapic shuru keya hay alah apko aindah bhi tofeeq day nd qasin bahi you are very good man
Bareek Libas Fahashi Ki Alamat - A Social Discussion
Mera bewakoof bro say humasha yeh ekhtalaaf ra hay or ray gah enki ess soch say jis meah yeh meri nuzur or onki nuzur ka nuzriyaa paysh kurty hen, agur meri nuzur or onki nuzur meah sub theek hony lug jay tu pher law law na ray, koi rusum na ray, koi Culture na ray , meri nuzur onki nuzur nay he islam kay HIsy bukhry kur deyeh , meri nuzur or onki nuzur kay nuzriyaa nay pakistan meah Lussaniyat or Fussaat or fitna burpaa keya howa hay, akhur hum ku nahi on chezo ka sud-a-baab kurty jo humary durmiyaan nufrat , anarki , fitna , fussaad, boraai , bay huyaaii, ka bayss bunti hen, meah humasha bewakoof bro say yeh he kehta hon borai ko bora kaho os achai ko acha kaoo, yeh koi bat nahi oski nuzur meah yeh thek hay tu woh kury meri nuzur meah yeh theek hay tu meah kuron , Culture, qanoon, osool jo mohashury meah aman, akhowat o bai chara, peyar mohabat, sukoon or fitna ko kum kurny kay leyeh bunay jaty hen onka muqsad he boraai ko rokna hota hay,
agur hum yeh keh dain ap ko bay libaas hona acha lugta hay apki apky parents ki nuzur meah theek hay tu road pur nungy gomo phero tu ho sukta hay apko koi problem nahi ho, lakin jis mahool jis mohaashury meah ap purl ray hen reh ray hen os pur esky assuraat zuroor hongy , bory kam kay bory asaraat achy kam kay achy asaaraat,,
JIn logo ko bareek lebaas pehnnaa ahca lugta hy onky behno ko baiyoon ko maa baap ko be koi ehtaraaz nahi hay onki bati bhen bay libaas bazaar meah gomti hay park meah gomti hy shadi beyaah meah jati hay tu woh i think Islam say bot door or Bhutky howy hen, jinko na apni Tehzeeb ka puta na apny muzhaab ka,
yaha Forum pur apny muzhab apny culture kay motabik answer dana chayeh, ku kay 99% Muslim yaa pur aty question kurty hen, es leyeh meri nuzur or onki nuzur wali soch apki thek nahi hay, yeh he soch apko humasha tunhaa kurti hy or ap tunhaa rehty hen,
Pehli baat to yeh keh mujhey kafi sensible laggin sub ki posts except you Bewaqoof bro, IF you hadnt had adopted a bit of personal/accusing behaviour here. sub log including me, hum log aik trend ko discuss ker rahay thay khuch ghalat baton ko DISCOURAGE ker rahay thay (jesay kay ALLAH swt mujhey aur aapko hukam deta hay Quran may "Amar bil maroof wa nahi anil munkir" (if you happen to read Quran with translation you would get it!)......... Hum khudankhwasta kissi per Islam say bahir Had nahi lagga rahay thay jis per aap logon ko yeh batanay beth jayen keh ji wo khud tarsay huay yaa khudankhwasta under say aisee hee behoooda desires hon!
Yahan dekhiyeh jitnay members nay uskay baad reply kia hay kissi nay aap say yeh kaha keh ho sakta hay keh aapkay ghur may koi aapki sunta na ho ? iss liyeh aap nachaar ussi baat ki favor kernay lug gaye hon ? dekhain bhai straight forward hona bohot achi baat hay lekin personal attacks baghair kisi ko mukhatib kiyeh bhi agar kiyeh jayen to itnay hee bburray hotay hain jesay ungli utha ker! lihaza healthy discussion kijiyeh agar ker sakain to!
Aur aap kay liyeh aik aur mukhlisana mashwara ye bhi hay keh aap iss cheez ka parchar band kerdain "culture ullag hay, ideology ullag hay, religion ullag hay"......... inn sub may unees bees ka feraq ho sakta hay iss say zayda nahi keh hum ullag ullag qissay lay ker beth jayen, being muslims humara deen humara sub say bara culture hay aur jo cheez iss say takraye humain usko TARK kerdena chahiyeh hay! kia wajha hay keh west may jub logon nay Bible ko aik taraf aik catagory may rakh ker uskay baghair agay berhna shuru kia to morally fall down hogaya uss qaum ka ? (do u actually want me to bring some American here and support what I am saying about moral falldown ?? leme know I can use the opportunity! ) kion keh Bible jitnee bhi milawat ho gayee thi phir bhi unko modest rehnay ko kehtti thi. Jin religious scripts may error aa gaye huay hain scientific unn may insaan ko majboori thi keh wo apni aqal ki wussaton ko rok nahi paya aur unn kitabon say hat gaya,lekin Quran fee zaman wo wahid kitab hay jis may insani aqal ERORR nahi dhoond payee! phir kia wajha hay keh aap Quran ko aik JAMYE conceptula mook ki bajayeh sirf mazhabi fareezay kay taur per perh ker taaq may rakhnay walon may kharay dikhayee detay hain ?
Aapkay liyeh aik aur mukhlisana mashwera yeh bhi hay bhai keh aap Dr.Zakir Naik kay lectures sunain ESPECIALLY uska aur Dr.William Campbell ka debate aapkay liyeh eye opener hogga jis terhan say meray liyeh!
In the end, main aisee kayee larkion ko jaanti hoon muslims may aur non muslims may jinhon nay modest dressing with hijab or niqab or abaya iss liyeh shuru ki keh unko lagtta tha society may waqyee jub wo modest dressing kerkay nikaltee hain to dukandar say lay ker bus walay tak aur clerk say lay ker business dealing walay tak unko nahi unkay KAAM ko dekhtay hain aur to the point baat kertay hain!
I personally am among those who have lived a VERY outgoing life, from dealing with outer world in person to working online from home, still chose a hijab and chadar and abaya to carry myself, and thankGOD the non muslims in this country dun think I am suppressed (like you stated or thought!) rather some of them actually said this thing to me........." humain hairat hay humara media humesha yahi kehta tha keh tum muslim khawateen supressed ho lekin the way you move and socialise iss say kahin bhi nahi lagta keh tum log suppressed ho".......... tab main unko fakhar say yeh kehtti hoon keh Alhumdulilah I am muslim by choice not by chance!
Generalise?
Asalaamu alaikum,
Ali bhai aap kay kehnay say
pehlay main nay wo post teen baar parhi hui thi, meri kam aqali ki
maazarat agar mujhey GENERALISE hotti hui nazar ayee hain cheezain agar
Bewaqoof bhai nay aisay nahi likha to, wo likhtay hain jo log iss issue
kay against hain khawateen keh behooda dressing kay to aisay log wo hain
jo keh yeh cheez apna nahi saktay lihaza jal ker boltay hain, aur misal
paish ki ghareeb aur ameer aadmi ki! main nahi kehtti sub aisay nahi
hain lekin main yeh rahi hoon keh sub WESAY BHI NAHI HAIN! lihaza he
could have used this word "kuch log" in his nice post!
Long run short run
Kuch cheezon kay nuqsanat short run hotay hain jesay aap oonchi
awaz may music sunain sath walay ghur may jis ko masla hogga wo aa
khara hogga aap kay derwazay per, aab agar aap yeh kahain ji MERI MERZI
to wo agar taqat war hua to marzi kay consequnces aapko samjha day ga,
aap usko bhalay say aagay say kahain keh hanh tum sun nahi saktay apnay
ghur may kion keh tumharay abaa luganay nahi detay itnee oonchi awaz may
! bla bla! Halan keh wo aapko yeh bhi keh sakta hay bhai main aapki
parosi hoon aur deen may parosi ko tang kerna jaiz nahi!
Long run
kay nuqsanat wali cheezon may ata hay intrest based banking system aur
intrest based society! West nay capitalism dia duniya ko keh jiska long
run ka nuqsan aapkay saamnay hay! same is the case with bad dressing,
aap rayej honay dijiyeh iss ko society may yeh aapko nuqsanat khud batta
day gee!
Itnee tension phir kaunlay keh kis nuqsan short
run may hay kis ka long run may ? aapkay meray liyeh jo best cheez thi
wo muratib kerkay humain iss head ache say bacha lia gaya to aab humain
kia cheez rokti hay keh hum usko aankh bund kerkay follow kerlain aur wo
kaam kerain jis ki wo favour kerti hay wo na kerain jis say wo rokti
hay ? SIMPLE!
Final baat yeh hai keh bareek lebas pehnenni wali khawateen apni jagah bilkul sahi hai, jab onhai on ke bhai, shohar, beta aur baap ko takleef nahi tu aap log iss takleef mai kio mubtala hai
Ans: bat shoro theek kurty hen lakin enki wires beech meah short ho jati hen, jis say confusion payda ho jati hay, Yahan pur Doniyaan ki bat nahi ho rahi , apny Mohashury apny pakistan apny culture ki ho rahi hay, Ayaa humary culture meah humary muzhab meah Humary ghuro meah Bareek lebaas pehnnaa theek hay ya nahi, non muslim ya dosri nationi ki nuzur meah tu Bay lebaass hona be theek hay or jany keya keya onki nuzur meah theek hay on say humain koi lana dana nahi hay ku kay woh hen he Gomraah,
Lakin yaha bat ho rahi hy apny Culture ki, jis meah hum log rehty Yaan ka culture or muzhab alag hy deen-a-islam hay yaa pur hum essi bat ki favor nahi kur sukty, jin logo ki bhen bati wife ko bareek dress phanny pur pakistan meah koi rehtraaz nahi hay onko eska Phul be onki life meah mil jata hy,
Ess leyeh yaha World culture ya US UK, kay culture ko discuss nahi keya ja ra hy, Humara Deen humara muzhaab humara Khodaa Es bat ki ejaazat nahi data kay bareek lebaas pahen kur public placess parties meah jaya jay, jaha murd hon ya jahan pay purdghi ho, es leyeh women ko Decent lebbaas pahen kur khaas kur bazaar markeet park etc public places pur jana chayeh,
Allah Quran meah kehty hen orto ko kay jub bhaer nikla kuro tu apny seeno ko apni zeenut ko chopaa leya kuro koi kupra koi chadur , etc apny oper or leya kuro taa kay tom sutaai na jao koi tung na kury , koi chayry nahi koi awaaz na kussy,
JO women esasaa dress phan kur khol-a-aam chulti hen jati hen onko pher log awaazain jomly be kussty hen, or jo women abaya meah Hejaab meah ho or shureef orat ho osy kisi nay bay hijaab dakaha na o osy tung kurny ki kisi ki himaat be nahi hoti ,
Ess leyeh meri request hay bewakoof bro say confuse kurny wala answer mut keya kurin, jub juwaab dain tu apny culture apny muzhab ki roshni meah dain taa kay log osko accipt kurin or osy follow kurin, yeh na ho kay Question kurny wala kisi or he soch meah ghurk ho jay,
Bewakoof bhai k article ko mein ne reply karney se pehlay eik se zaid bar parha.Mein kabhi bhi jazbat mein a k na to koi faisla karta hon aur na hi likhta hon.Is ko meri adat hi samjheay aur ap jantey hain k adat mot k sath hi khatam hoti ha. So ap ka yeh shikwa to dor ho jana chahiye k bewakoof bhai k article ko mein ne samjhney ki koshish nai ki.Agar mujh se samjhney mein koi kotahi hoti to baki members bhi bewakoof bhai ki taeed kartey.jab k aisa nai ha... Yeh ziada behtar tha k ap members ko yeh kahein k wo article dobara parhain ap bewakkof bhai k un points ko justified krain agr ap samjhtey hain k un ko miaunderstand kia gaya ha.jesa reregold sister aur Dr qasim ne kia.takey agar hum mein se koi shaouri ya lashaouri tor pe bewakoof bhai k article ko na samjh saka ho to samajh jaey......
My justification Jesa
k mein apni pehli post mein bata chuka hon k mein pharm-d kar raha
hon.Agla sal hamara akhri sal ha chunanche mein aur bohat se doosrey
students internship aur choti moti pharmaceutical industries mein parhai
k sath sath part time job bhi kartey hain.kuch dost medical raips k
faraiz bhi sarinjam detey hain.
aisey hi eik dost jo merey class fellow bhi hain apna experience bayan kartey hain unhi ki zubani sunain............
"Eik din mujhay merey product manager ne eik facial kareem di.is
kareem ki khasiat ha k yeh skin ko soft aur mulaim banati ha.behar hal
mein bataye gaye paton pe kareem k samples ley k nikal para.meri
destination mein shehar ka eik mashhoor beauty parlor bhi shamil
tha.mein beauty parlor mein enter hua aur parlor ki manager jo
basically parlor ko own bhi karti hain,apni cream se mutalik brief
kya.Abhi meri briefing jari hi thi k merey samney do nojawan larkiyan
jinhon ney mini skirt half bazo wali t shirt pehan rakhi thi land
cruizer se utreen aur seedhi chalti hui parlor manager k paas aan
pohanchi.bato hi bato mein unhain malom hua k mein medical raip
hon.chunanche unho ne apni batain chor k cream ki batain shroo kr
dein.mein un ko cream k baray mein kia batata k mein to fareez ho chuka
tha aur kuch bhi na bol saka.Cream to wo is waday k sath ley gaen k wo
esay use krain gi aur pasand ai to purchase bhi krain gi.magar mein is
soch mein ghark tha k ab k bachat ho gai magar agar ainda bhi aisa
hua to khud ko defend kesey kroon ga." Wo abhi tak yeh jananey se
kasir hain k yeh un ka low confidence ha ya k kuch aur.............aur
kia wo in abilities k sath market mein survive kr pain gey ya nai.....
Mein sirf aisey libas hi ko nai jo bareek soot ka bana ha ya k jis se
jism jhalakta ha ko bura keh raha hon balkey mein to aisey libas k jo
bayshak motey kaprey ka ho magar itna tight ho k jism ki sakht ko
numayan karta ho ki bhi muzammat kr raha hon. Aur yehi waja thi k
mein ne term nafsiat ka bilkhasoos tor pe zikr kiya k jab garmian hon
to yah aurtain bareek libas pehan lein aur jab sardiyan hon to itney
tight k pehney na pehney babar lagain to phir ap hi batain k kia kia
jaey.khandano mein honey wali shadiaan is ki behtareen misaal hain k
aurtain bawjood is k december ka maheena hi kyon na ho sweator nai
pehnein gi k sardi to bardasht ha magar kahein aisa na ho k khud numai
ka koi moka hath se nikal jaey. In sab halat k hotey huey apni
nazar aur eman ki hifazat karna kis kadr mushkil ha kisi bayan ka
mohtaj nai.Aur yehi is post ko likhney ki waja ha.Aur yehi is masley ko
deeni,nafsiati,socially aur medical point of view se jannaney ki meri
quest thi jo eik khamkhawa k tanazaey ka shikar hoti chali gai. jin
members ne mujh se iteefak e rai kia aur jinhon ne nai bhi kia mein
sab ka dili tor pe shukar guzar hon k agar ikhtalaf e rai na hota to is
duniya mein tanoo na hota aur agar tanoo na hota to yeh duniya kabhi
itni haseen na hoti......
31. And tell the believing women to lower their gaze and be modest, and to display of their adornment only that which is apparent, and to draw their veils over their bosoms, and not to reveal their adornment save to their own husbands or fathers or husbands fathers, or their sons or their husbands' sons, or their brothers or their brothers' sons or sisters sons, or their women, or their slaves, or male attendants who lack vigor, or children who know naught of women's nakedness. And let them not stamp their feet so as to reveal what they hide of their adornment. And turn unto Allah together, O believers, in order that ye may succeed.
Yusuf Ali 31. And say to the believing women that they should lower their gaze and guard their modesty; that they should not display their beauty and ornaments except what (must ordinarily) appear thereof; that they should draw their veils over their bosoms and not display their beauty except to their husbands their fathers their husbands' fathers their sons their husbands' sons their brothers or their brothers' sons or their sisters' sons or their women or the slaves whom their right hands possess or male servants free of physical needs or small children who have no sense of the shame of sex; and that they should not strike their feet in order to draw attention to their hidden ornaments. And O ye Believers! turn ye all together towards Allah that ye may attain Bliss.
Al Quran Sorat Noor Ayat number 31
ور ایمان والیوں سے کہہ دو کہ اپنی نگاہ نیچی رکھیں اور اپنی عصمت کی حفاظت کریں اور اپنی زینت کو ظاہر نہ کریں مگر جو جگہ اس میں سے کھلی رہتی ہے اوراپنے دوپٹے اپنے سینوں پر ڈالے رکھیں اوراپنی زینت ظاہر نہ کریں مگر اپنے خاوندوں پر یا اپنے باپ یا خاوند کے باپ یا اپنے بھائیوں یا بھتیجوں یا بھانجوں پر یا اپنی عورتوں پر یا اپنے غلاموں پر یا ان خدمت گاروں پر جنہیں عورت کی حاجت نہیں یا ان لڑکوں پر جو عورتوں کی پردہ کی چیزوں سے واقف نہیں اور اپنے پاؤں زمین پر زور سے نہ ماریں کہ ان کا مخفی زیور معلوم ہوجائے اوراے مسلمانو تم سب الله کے سامنے توبہ کرو تاکہ تم نجات پاؤ
bohat maza aya iss thread ko parh k....bareeq libas...barhana aurat...bay pardagi...etc
aurat...larki...woman...girl...etc
ab kiya yehi cheezain buchi hain dunya may??? baki sub khtm hogya???
Kabhi kisi nay socha kay hum Muslims nay 21st century may koi khas taraqi qi???koi khas kamyabi haasil ki???kya hm nay kbhi Aurat aur Larki ko side may rakh kay yeh socha kay is say agay bhi aik dunya Abad hay???
Kbhi kisi nay Aurat aur Larki kay bareeq libas aur barhangi say hut kay socha Kay aj na humaray pas Kashmir hay Na humaray pas Palestine hay Na humaray pas koi aisi taqat hay ho jo Iraq aur Afghanistan ko Kufar kay invasion say bacha pati????
Kbhi kisi nay Aurat aur Larki ko side may krkay Science aur Technology per tehqeeq ki???Kya tum logon nay kbhi socha kay Ibn-e-Sina Al-Farabi Al-Khwarzami Ibn-ul Haitam jaisey muslim scholars aur scientists nay Aurat kay bareeq libas aur banayo singhar pey behas aur soch soch kar apni zindagi guzari thi ya Allah Tallah ki banayi is Dunya aur Qudrati cheezon per tehqeeq kari aur puri dunya ko Scientific Advancement ki rah per gamzan kr gye???? Aj jis Europe aur America ko tum galiayan detay ho kbhi tmnay socha kay unhon nay humary Muslim Scientists kay methods aur unki ki kitabon ko parh kr aj kitni taraqi ki bajaye iskay kay wo apni aurton kay bareeq libason aur barhangi per dimagh surf krtay ya us kay baray may sochtay???
Aurat Larki Jismani Aaza Bareeq libas Barhangi....In sub per soch soch kar soch soch kar tum logo kay dimagh khrab nhi hoye abhi tk????
Siwai Aurat kay bareeq libas aur fashion k ilawa kuch aur dikhta bhi hay tum logon ko ya nahi????
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.