sabrina1
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2013 Topic: 40 Post: 117 Age:
30
|
|
Posted on:1st Jun 2014, 4:58pm |
|
|
zakat asalaam o alaikum Correct me if i m wrong. Zakat sirf us maal per ada ki jati hay jo business mai investment k baad aap k pass saving ho? Jo rakam business mai invest ki gi ho rakam aap ki ho lakin business koi aur ker raha ho us sorat mai zakat k kia scenario ho ga? |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7709 Age:
55
|
|
Posted on:3rd Jun 2014, 7:23am |
|
|
zakaat walekum Assalam
1. raqam ho, sona ho. chandi ho yaa maalay tejaarat ho, agar nisaab ki miqdaar maiN kissi k pass saal bhar tak maujood rahay to aik saal k baad oss daulat ka 2.5 % zakaat dena farz hojata hai
2. sonaa chaandi /zewraat ghar maiN paRay houN yaa use maiN houN, iss maiN bhi zakaat deni hogi, agar maaliyaat nisaab k equal ho aur saal bhar say apkay pass ho
3. sarmayaa business maiN lagaa ho ... business aap khud kar rahay houN yaa kissi say karwaa rahay houN yaa kissi k business maiN paisa lagaa ho ... iss say koi faraq nahi paRtaa... har soorat maiN zakaat dena hoga
wallaho aalam bissawab |
sabrina1
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2013 Topic: 40 Post: 117 Age:
30
|
|
Posted on:9th Jun 2014, 6:43pm |
|
|
sir myrizvi Mai na kuch savings kisi k business mai invest ker rakhi hain jis k jo b profit hota hay woh zindagi ki zarooriyat mai kharach ho jata hay do i still have to pay the zakat for whole amount which i invested in someone else business?
Mujhe say jitna possible hota hay i do (May Allah accepts our deeds a'ameen) lakin Jahan tak mai na sona tha woh ya tha k business mai lagi hoi rakam per zakat nahi hoti (ya woh maal jis say aap tijarat kertay hain) |
sabrina1
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2013 Topic: 40 Post: 117 Age:
30
|
|
Posted on:9th Jun 2014, 6:47pm |
|
|
sir myrizvi Zakat ki raqam profit say nikali jati hay ya phir business mai say paisa nikal ker zakat daina ho gi?
I am asking this bcoz due to few issues my job and business is down in last 1 year and almost whatever i earn i spend. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7709 Age:
55
|
|
Posted on:11th Jun 2014, 4:08am |
|
|
business aur zakaat aap yeh batlaayaiN k aap nay ketni amount invest ki hai... aur kiss business maiN... yaani jahaaN invest kia hai, woh kis qism ka business kartay haiN
business k zakaat maiN faraq yeh hai
farz karaiN k maiN ready made garments ka business karta houN. meri apni factory hai jahaaN bahoot si machines haiN aur deger qeemti saamaan hai, jinki madad say maiN garments tayyar karkay garments farokht karta houN... iss tejaarat maiN mera maalay tejaarat "garments" hai ... machines aur deger samaan (jinki madad say garments tayyar hota hai) "maalay tejaarat" nahi... lehazaa in machines aur deger saamaan ki maliyat par koi zakaat nahi hogi, khaah yeh samaan laakhouN ka ho ya karoRouN ka ... albattah meray store /shop maiN jetni bhi ready-garments + kapray maujood hongay onpar saalk baad zakaat deni hogi... zakaat "malaay tejaarat" par hota hai, jissay bechkar monafa kamaya jata hai.
aik aur misaal: faraz karaiN k maiN selayee machine hi banaa kar bechta houN. (like singer company) ... meri jiss factory maiN yeh machines banti haiN...oss factory ki whole installation (jinki madad say selayee machines banti hai) onpar koi zakaat nahi hai... albattah tayyar shodah /stocked machines aur woh tamaam khaam maal (spare parts etc) jo machine ka hiss bantay haiN... in donouN par zakaat lagegi
aam taur sya chotay motay tejaarat maiN saray k sara sarmaya "maalay tejaarat" hota hai... like general store... iss maiN shop, tarazoo, furnitures k elawah saraa maal hi bechnay k liyeh hota hai... lehaza saal k baad general store maiN maujodd har bechnay wali cheez ki maaliyat lagaa kar iski zakaat nikaali jayegi
aap above ki raushni maiN khood dekh lijyeh k apki investment kahaan lagi howi hai... agar sab ki sab investment "maalay tejaarat" maiN lagi howi hai... to saari investment par zakaat wajib hogi... agar kuch investment "ghair malay tejaarat" maiN lagi hai to yeh hissah nikaal kar maalay tejaarat walay portion ki zakaat deni hogi
wallaho aalam bissawab |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7709 Age:
55
|
|
Posted on:11th Jun 2014, 4:19am |
|
|
zakat calculation Q: Zakat ki raqam profit say nikali jati hay ya phir business mai say paisa nikal ker zakat daina ho gi?
A: profit agar miltay hi kharch hojata hai aur yeh profit saal bhar tak jamaa nahi rahta to profit par to koi zakaat hai hi nahi
jo raqam business maiN lagi hai ... ossay dekhiyeh k ketni raqam "maalay tejaarat" maiN lagi hai. iss maalay tejaarat ki zakaat calculate kijyeh aur jo raqam due hoti hai, ossay aap nay pay karna hai .... kiss raqam say pay karna hai, yeh apki marzi hai... chaahay profit say pay karaiN, chaahay apni doosri raqam say pay karaiN.. koi faraq nahi partaa... albattah agar nah profit ki raqam bachi ho aur nah hi waisay hi paisay houN to apko business maiN say hi paisay nikaal kar zakaat deni hogi........ jaisay agar kissi khatoon k pass sirf 7.5 tolay say zayad sonay k zewraat houN aur oskay pass iskay elawah koi raqam nah ho to ossay zakaat ki raqam k baraabar zewar hi bechkar zakaat adaa karni hogi.
wazah rahay k zakaat ka nisaab minimum 7.5 tolay sona hai jo iss waqt taqreeban ponay 4 laakh rupees (Rs 3,75,000/=) bantay haiN... agar apnay iss say kam ki investment ki howi hai to seray say aap par zakaat waajib hi nahi hai...iss say zayad invest ki hai to check kijyeh k ketni raqam "maalay tejaarat" maiN lagi hai... agar maalay tejaarat wali raqam bhi iss say zayad hai tab hi zakaat waajib hogi warnah nahi
wallaho aalam bissawab
|
bushra2012
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2013 Topic: 2 Post: 730 Age:
21
|
|
Posted on:11th Jun 2014, 5:08pm |
|
|
Chandi ka hisaab myrizvi uncle aajkal sonay aur chandi ki qeemat mein kafi farq hai.
11 Jun 2014 ke rate mein:
Sona = PKR 46563 /tola Chandi = PKR 709 /tola
Sona 7.5 tola = 46563 x 7.5 = 349222.5/- Chandi 52.5 tola = 709 x 52.5 = 37222.5/-
Iska matlab ye hai ke aj kisi ke paas agar saving mein 37222.5 pakistani rupees jama hein ya unke masawi gold ya kisi aur tarah ki jewelry ya zaroorat se ziada property ya gari waghera jama hein aur unoo 355 din guzar chukay hein to usko zakat deni hogi.
Aur 349222.5 ka jama hona zaruri nahen, sirf 37222.5 rupees bhi hon to zakat wajib hogai. Agar 349222.5 jama honay ka intezaar kartay rahengay, to bohot saaray loag la-ilmi ki wajah se is farz la-parwai ke moojib ho jaenge.
|
sabrina1
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2013 Topic: 40 Post: 117 Age:
30
|
|
Posted on:11th Jun 2014, 6:17pm |
|
|
sir myrizvi Ab mujhe exact yaad nahi hay k ya rakam meray pass kub say hay kioun k ya meray bohat saloun ki jama ponji hay.
toa previous years ki zakat k mamla kia ho ga kioun k ya rakam meray pass aik sath he jama nahi ho gi thi ?
2nd agar aap k pass aik property ho aur us say rent ata ho aur saving 0 Rs. ho toa kia us property per b zakat di jai gi?
3- ya agar aik esi property ho jo papers mai toa aap k asset ho lakin na aap us say koi faida laitay hain aur na he woh source of income ho so what to do?
4- esi tarhan kia marhoom shakhs ki zakat ada ki ja sakti hay? |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7709 Age:
55
|
|
Posted on:12th Jun 2014, 3:35am |
|
|
reply 1. Iska matlab ye hai ke aj kisi ke paas agar saving mein 37222.5 pakistani rupees jama hein ya unke masawi gold ya kisi aur tarah ki jewelry ya zaroorat se ziada property ya gari waghera jama hein aur unoo 355 din guzar chukay hein to usko zakat deni hogi.
Ans: agar aap chaandi ko nisaab maan kar zakaat adaa karnaa chaahti haiN (hakoomat bhi issi ko nisaab maan kar bank accounts say zakaat cut karti hai) to its well and gud k aap Allah ki raah maiN zeyadah say zeyadah kharch karnengi
lekin
aaj k daur maiN daulat currency par base karti hai aur currency Gold par base karti hai, chaandi par nahi. lehaza most f the foqahaa ka kahna hai k zakaat gold k nisaab par farz hogaa ... illa yeh k aap k paas chaandi ya chaandi k zewraat houN.
yeh aik muttafiqqah fatwa hai k ghar aur gari etc par koi zakaat nahi hai... khaah yeh ketni hi qeemti houNaur ketnay hi zayad kiyouN nah houN..... illa yeh k aap gharouN /vehicles ki khareed o farokht ka business kartay houN aur yeh cheezaiN aap k pass as maalay tejaarat ho 2. Aur 349222.5 ka jama hona zaruri nahen, sirf 37222.5 rupees bhi hon to zakat wajib hogai. Agar 349222.5 jama honay ka intezaar kartay rahengay, to bohot saaray loag la-ilmi ki wajah se is farz la-parwai ke moojib ho jaenge.
Ans: its up to you. ham nay to foqahaa k fatwaa batlaa diya hai... farz sirf gold ka nisaab (3,49,222.5 rs) hi hai. baqi ap jetna zeyadah Allah ki raha maiN kharch karaiN,otna zeyadah acha hai
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7709 Age:
55
|
|
Posted on:12th Jun 2014, 3:36am |
|
|
reply-2 1. Ab mujhe exact yaad nahi hay k ya rakam meray pass kub say hay kioun k ya meray bohat saloun ki jama ponji hay.
Ans: anadazh laga alaiN k taqreeban ketnay salouN ki savingshai... bus andazay say otnay saalouN ki zakaat calculate kar laiN aur Allah k hazoor taubah istaghfaar kar laiN
2. toa previous years ki zakat k mamla kia ho ga kioun k ya rakam meray pass aik sath he jama nahi ho gi thi ?
Ans: ab to sab kuch andaazay say hi karna hoga. dekh lijyeh k avergae aik saal maiN ketni savings thi osko no of taqreeban yeras say multiply karlaiN... bus aaj k baad exact saal poora hotay hi zakaat de daiN... Allah kami beshi maaf karnay wala hai
3. 2nd agar aap k pass aik property ho aur us say rent ata ho aur saving 0 Rs. ho toa kia us property per b zakat di jai gi?
Ans: aik choR das ghar houN aur 10 ki rent aati ho...jo sab ki sab kharch hojati ho...saal bhar tak kuch savings nah ho to koi zakaat nahi hai... property aur cars etc pay koi zakaat nahi hai... illa yeh k yehi maalay tejaarat ho
4- ya agar aik esi property ho jo papers mai toa aap k asset ho lakin na aap us say koi faida laitay hain aur na he woh source of income ho so what to do?
Ans: property maiN koi zakaat nahi hai, khaah iss say income ho yaa nah ho yaa aap ossay use karaiN yaa nah karaiN
5- esi tarhan kia marhoom shakhs ki zakat ada ki ja sakti hay? Ans; marhoom shakhs ki zakaat oski meraas taqseem honay say qabal oski meeraas /tarkah say adaa ki jani chahaiyeh... aur agar tarkah pahlay hi taqseem hogaya hai to phir kaisay hoga? kaun karega? kaisay calculate hogaa k ketnay baras tak oskay pass ketni raqam nisaab k equal thi.... marhoom ki zakaat ka kabhi sona nahi...mujhay iss baray maiN zeyadah ilm nahi hai
wallaho aalam bissawab
PS: ab NCF per new post /replies ACCEPTED nahi hai...behtar hai k new discussion http://www.desiclinic.com/forum/login.php..... par ki jaa.ay
|
sabrina1
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2013 Topic: 40 Post: 117 Age:
30
|
|
Posted on:20th Jun 2014, 8:35pm |
|
|
sir myrizvi Jazak Allah khair, i was waiting for ur answer as always :) i learn alot but just an example i invest 4 lac in a diesel business aur es sari raqam say diesel ya shop rent dia jata ho aur esay profit per sell kia jata hay. magar jitna b profit hota hay woh sub khatam ho jata hay.
Esi sorat mai kia 4 lac ki ya raqam "maalay tejaarat" consider ho gi ya mujhe es raqam per zakat daina hay?
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7709 Age:
55
|
|
Posted on:21st Jun 2014, 7:35am |
|
|
maalay tejaarat
profit to istemaal hojata hai...lehaza iss par to koi zakaat nahi... lekin apki original investment 4 lac par yaqeenan zakaat wajib hogi, kiyouNkay yeh saved hoti hai,
sona /chaandi donouN k nesaab k motaabiq apko iss mahfooz raqam ki salanah zakaat deni hogi jo 2.5% k hesaab say Rs 10,000/- hogi. ab yeh aap par monhasir hai k aap yeh zakaat ki raqam apnay pass say pay karti haiN... yaa tejaarat maiN lagi raqam nikaal kar pay karti haiN
agar apni taraf say pay karengi to apko har saal Rs 10,000/zakaat adaa karni hogi...
lekin agar aap apni investment ko (sonay k nesaab say kam karnay k liyeh) oss maiN say 25000/- ki raqam withdraw karleti haiN ... zakaat denay k liyeh yaa waisay hi apni use k liyeh ... to phir apki investment 7.5 tolay sonay say kam hojayegi aur apko zakaat nahi deni hogi... ya aik 2 saal maiN sona hi etna mahanga hojaa.ay k 7.5 tolay ki maaliyat Rs 4 lac say baRh jaa.ay aur aap saahibe.nisaab nah rahaiN
Conclusion:aap ki yeh 4 lac ki raqam maalay tejaarat hai, jiss par zakaat waajib hai yani iss waqt apko Rs 10, 000/ per anum zakaat deni hogi...aur agar last few years maiN zakaat nahi di to on years ki bhi zakaat deni hogi
wallaho aalam bissawab
|
sabrina1
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2013 Topic: 40 Post: 117 Age:
30
|
|
Posted on:22nd Jun 2014, 7:05pm |
|
|
sir myrizvi got it thx.1- i read somewhere zakat apnay behan bhaioun ko b di sakti hay agar woh zaroorat mand hain bcoz they r not ur responsibility.
How do i know if i shud give them or give to someone else?
2- zakat daitay waqt batana zaroori hay k ya zakat ki raqam hay ya zakat ki niyat ker laina is enough? |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7709 Age:
55
|
|
Posted on:23rd Jun 2014, 1:34pm |
|
|
zakat ki adaigi 1. g haaN zakaat ki raqam apnay on bahan bhaiyyouN ko bhi di jasakti hai, jinki kefaalat onkay waledain nahi kar rahay yaa nahi kar saktay yaa woh married houN lekin onki amdan say onkay akhraajaat zeyadah houN... yaani "mostahaq e zakaat" bahan bhaiyyouN yaa qareebi azeez o rishtah daar ko nah sirf yeh k zakaat di jasakti hai balkay onhaiN dena zeyadah azfzal aur double sawab ka baaes hai... aik zakaat dene ka doosray qareebi azeezouN ki support ka (mafhoom e hadith)
2. if u are confirmed k falaaN fard zakaat ka mostahaq hai to osay batlana zaroori nahi...just apki niyyat hi kaafi hai... bilkashoos qareebi azeezouN ko detay howay to zakaat ka zikr hu nahi kana chaahiyeh... gift, eidi etc k naam say dedaiN. insha Allah zakaat adaa hojayegi... lekin agar kissi ajnabi ko mostahaq jaan kar zakaat di jaa,ay to ehteyaatan batlaadena chaiyeh k yeh zakaat ki raqam hai...kia khabar k woh asal maiN zakaat ka mostahaq nah ho
wallaho aalam bissawab |
sabrina1
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2013 Topic: 40 Post: 117 Age:
30
|
|
Posted on:25th Jun 2014, 8:28pm |
|
|
sir myrizvi aap na kaha "jinki kefaalat onkay waledain nahi kar rahay yaa nahi kar saktay yaa woh married houN lekin onki amdan say onkay akhraajaat zeyadah houN"
Married hona is must or optional? Suppose i have unmarried sis, no father who have no money source or a poor source for full filling life needs except food need (food need is taken care )
And as in islam siblings are not my responsibility so How about giving few amount of zakat to unmarried needy sibling in this case?
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7709 Age:
55
|
|
Posted on:26th Jun 2014, 6:21am |
|
|
ok in such case u can give zakaat to ur unmarried siblings.
wallaho aalam bissawab |
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|