mild2me |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2007 Topic: 9 Post: 53 Age:
31
|
|
Posted on:10th Feb 2008, 1:58pm |
|
|
Women Dress: Why They Wear See Through Dresses?
pakistan aik muslim country hay.lykin iss ke bawajood hum dykhty hyn ke larkiyon ke libaas bohat tang hotay ja rhy hyn.aksar larkiyun ke kapray un ki body ko expose kar rhy hotay hyn.ghar myn kapray pehna aik taraf college/school girls ke kapray bhi intehayee exposing hotay hyn......
summer myn tu had hoti hay dresses.i mean kapra itna bareek hota hy ke nazar kapron ke peechay taq jati hy..... GIRLS AISA KIYUN KARTI HYN???????
inn sab bataon ke baad phir larkiyan kehti hyn ke hamyn larkay ghoortay kiyun hyn.? kiya aisay kapray pehnay hoe larkiyun ko larkay ghoorayn ge nahi tu oar kiya karyn ge. members plz comment on it. thanks
|
Hangama |
Group: Members Joined: 02nd Dec, 2007 Topic: 37 Post: 1261 Age:
37
|
|
Posted on:10th Feb 2008, 3:17pm |
|
|
Mild Bat apnai sahi kari hai. yah masla sirf pakistan mai nahi hai dusrai muslim countries mai bhi yah masla hai. Waisa yaha pai kuch bohot azaad khayal khawateen bhi hain shayad woh apko pagal kahaingi kai yah demaghi fatoor hai laikin aisa bilkul bhi nahi hai.
Tali aik hand sai nahi bachti. Larkiyon ki dressing dekh kai ab larkon ko sharam ajati hai. Hamai apni nazrain nechi karni parti hai khud sai. Media is the best way to create such type of situation. English movies, indian movies specially indian drama waghaira bohot kuch kharab kara hai pakistan mai.
I think koi larki yaha pai sahi sai comments nahi dai pai gi es sawal per. |
mild2me |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2007 Topic: 9 Post: 53 Age:
31
|
|
Posted on:11th Feb 2008, 6:57am |
|
|
for all girls on forum where are you girls.atleast iss question pe comments tu do |
pinky7861 |
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:11th Feb 2008, 10:08am |
|
|
mild 2 Yes, I totally agree with u. Waisay yah sab Indian movies aur saas bahu kay dramoun walay channels ka kamaal hay. Mujay samaj nahi aati kay akher aik hi jaisay drammay daikh daikh ker kia dil bher nahi jata logoun ka??? lakin yahan tu yah haal hay kay her libaas ko lerkiaan beray fakher say copy ker kay pahanti hain. Mujay yah samaj bhi nahi aati kay kapray jab aarram-daa na houn tu un ko loag pahen kaisay laitay hain, yani itna fit libaas kay saans bhi baher na niklay aur itnay moti taaray laggay houn kay jagga jagga kaam kertay houay phans jain. Mujay tu daikh ker ho uljan hona shuru ho jati hay per lerkiaan patta nahi kaisay pahen laiti hain. |
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7344 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:11th Feb 2008, 10:13am |
|
|
good reply totally agree with miss pinky jee. |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:11th Feb 2008, 11:37pm |
|
|
good pinky ..........continue sab baton ko choro ........mujhe sirf ek baat samajh nahi ati k larkiyan is type k libaas pehenay k baad ye kyun nahi soochti k unka sab kuch jhalak raha hai aur jism nazar araha hai ............... kyunkay jis shouk say pehenti hain utnay hi shook say apne app ko mirror main bhi dekhti hoongi ...............
is baat say ek hi jawaab milta hai k aesi larkiyoon main shayad sharam o haya khatam hojati hai jabhi wo ye baat nahi soochti ....................... likin ek aur sawaal bhi peda hota hai k phir dopatta orhnay ka kya faeeda ..............app kya kehtay hain dopattay k baray main.......
|
astarpk |
Group: Members Joined: 26th Nov, 2007 Topic: 3 Post: 35 Age:
32
|
|
Posted on:11th Feb 2008, 2:00pm |
|
|
'skin tight jeans' yaar aap iss sawal ka jawab khud hi andaza kar log iss say keh akhir larkay kyun 'skin tight jeans' pehntay hain jis main peechay buttocks saaf shape main pata chaltay hain aur bohat uncomfortable bhi hotay hain...
Still universities main tou inn ka bohat fashion hai.... Tou bus yeh fashion aur impress karnay ki game hai.... aik dosray ko impress karna aur apnay peechay baghanay ka maza laitay hain. |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4638 Age:
37
|
|
Posted on:11th Feb 2008, 3:42pm |
|
|
hmm i agreed to pinky...and Fashion islam ke daire me bhi reh kar kiya ja sakta hai...par us waqt koi ye sochta nahi,
astpark
apne bhi bilkul thik kaha,sab ek dusre ko empress karne ka game hai...warna agar ladki ne garmi me laun ka sut pehana hai to uske puri tarah se chadar le kar cover kiya ja sakta hai jisam,bahi r jate waqt...hum to yahan garmi ho ya sardi ho,kabhi kaut ke beghair bahir nahi nikle.....aur ye bhi nahi ke fashion nahi karte..agar insan chahe to donon ke sath (islam aur fashion) chal sakta hai |
mild2me |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2007 Topic: 9 Post: 53 Age:
31
|
|
Posted on:12th Feb 2008, 2:55am |
|
|
women dress
miss pinky,sunehri g,hitman,goodman,app sab ki post parh kar acha laga.
well meray khyal myn insaan woh libaas pehnta hay jo uss ke andar chuppay insaan ki akasi karta hay.That is why it is said k your dressing is your soul. Agar kuch larkiyan absurd kissam ke dresses pehnti hyn tu woh may be apni inner feelings show karti hyn.Kuch log fashion myn aa kar pta naye kya kya pehn lytay heyn.girls khud ko expose karti hyn oar aik frustrated culutre ko janam dyti hyn.miss pinky ne theek kaaha ye sab indian dramas ki ayjad hay.
astarpk
for you it is k why boys wear tight jeans,,i dont know.....kyun ke myn ne kabhi skin tight jeans nahi pehni hay....i dont knwo boys aisi jeans kyun pehntay hyn.but aik chees bata don k app kabhi bhi kissi mature bandy ko skin tight jeans pehnay howay nahi dykhyn gi.sirf college boys hi aisi jeans pehntay hyn,...
|
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:12th Feb 2008, 8:29am |
|
|
parents ka kasoor hai..... mera khayal hai k koi aisi larki nahi hogi jo ye chahay k koi dusra uska jism dekhay ya jaan bujh kar koi bareek libas pehnay ta k log uski body dekh sakain... mere khayal mai aisi females careless aur bewakoof hoti hain, unkay maa baap nay sahi tara say guide nahi kia hota, is liye aisi girls k dimagh mai shaed kabi ye baat aati hi nai k ham galat kar rahi hian ya sahi..... so in my opinion such type of girls need guidance...
dosri waja ye ho sakti hai k shaed un khavateen ko ziada garmi lagti hogi.. |
mild2me |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2007 Topic: 9 Post: 53 Age:
31
|
|
Posted on:13th Feb 2008, 7:31am |
|
|
everyone is right well i agree with josh or sab log theek keh rhay hyn.
but atleast girls ko avoid karna chahye aisi dressing se..... |
raazdaar |
Group: Members Joined: 18th Nov, 2007 Topic: 38 Post: 369 Age:
24
|
|
Posted on:13th Feb 2008, 11:59pm |
|
|
Insaan ki apni bi gahltiyaan hoti hain... SALLAM TO ALL FRIENDS
Baat darasal yai hai kai agar aik insaan ko ghalat rah ki taraf lanai ki kosish ki jayee.Or wo na ayee to dunya ki koyee taqat usai us taraf nahin lai ja sakti.Lakin baat mahool ki bi hai jo insaan jis mahool ka hoo wahi keh lata hai.Chahai wo teeq ho ya hoo.Rahi Dress ki baat to us insaan ko khud bi tora soochna chahiyai kai jo main kar rahan/rahi hoon.Wo teeq hai ya ghalat.
Maa baap ka kasoor bi kuch kam nahin.Lakin agar daika jayee to aik aadmi/aurat khabi kisi aisai jaga sai dosri jaga atain hain.Jis ka mahool alag hota hai.Yani agar koyee UK sai pakistan ayee to yahan mahool mukhtalif hai.So waisa chalna parta hai jaisa kai mahool hota hai.Yahan kasoor mahool ka bi hai.Kasoorwaar aik nahin ho sakta.
Behtar ajj kal yahi hai kai aik insaan apnai app ko teeq sai tolai.Aur phir daikai kai kya faraq hai us main.Q kai aik baat saaf zahir hai.Wo yai kai wo loog bohat ki kam hai khatam honai ko hai jo borayee sai aik insaan ko rokta hai.Insaan abb utna paband nahi raha ALLAH ka jaisa pehlai hua karta ta.Yai ham sab ALLAH kai sabar ka najaiz faida uta rahain hain.Jis ka sila hamain zaroor milai ga.
ALLAH hamain har borayee sai door rehnai ki tofeeq ata farmayee.Aur ha zameer ko apnai taraf mutawajah karain.Hamain borayee na karnai aur rooknai ki taqat dai.AMEEEEEN
NOTE:-sorry if my words hurt anyone.
TAKE CARE
ALLAH Hafiz |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:14th Feb 2008, 2:38am |
|
|
......... im agreed to all especially josh and pinky
wo jan boojh ker aisi ressing kerti hain,, jis ki waja fashion hai....aur ye fashion mostly media se hi ata hai aur girls us ko copy kerti hain...agar wo na keryen to wo apni friends, colleges or community k samney khud ki beizzati feel kerti hain....aur ye reality hain agar koi larki khulay aur dheeley dhalay kapray pehen ker bahar niklay to us ko girls ghoor ghoor k dekhti hain aur akarti hain....aur agar koi rastay mein frnd ya koi aur mil jaye to wo kehtey hain " KIA YAR ZARA FASHIONABLE BANO.....TIGHT DRESSES PEHNA KERO....ATTRACTIVE LAGO GI....AB IN KA FASHION NAHI HAI....etc etc"
ab bechari girls kia kereyn...unhen sub ko dikhanay k liye bi ye sub kerna perta hai aur phir un ki aadat per jati hai aur wo khulay dresses pasand hi nahi kertin.....
aur sub se bari bat is se wo larkon ko bhi to impress kerti hain na.......weran kon un k peechey peechey bhagay ga aur unhen kese khushi ho gi......... hehe
but is mein sirf girls ka kasoor nahi hai.....larkon ka bhi to hai na....
ap khud hi bataiye kon sa larka aisi girl k peechey jata hai jo fashion nai kerti, jis k kapray dheeley hon aur jo nikab mein ho....ziada tar larkay fashionable larkion k hi peec
peechey jatey hain......is sub ki reason bhi hamara muashra aur media hai....cable, net aur tv ne sub lakay aur larkion ka dimagh khrab ker diya hai
aur is k kasoor war parents bhi hain.......
anyways bat bht lambi chalay gi......i hope all of u understand what i wana say
kahan gaye ap sub log........
am i right or not
agar main ne kuch ghalat kaha to mujhey batiye plz |
ashy |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 51 Post: 384 Age:
32
|
|
Posted on:15th Feb 2008, 2:05am |
|
|
in my view
aoa
ji han zeb bhai aap nay bhi theek kaha hay .............
wesy mein bhi kuch apny alfaz mein edition karti chaloon k ye dar asal orat ki nature mein hay k wo apriciation chahti hay kisi zamany mein jab parda dar orat ko apriciate kia jata tha to ortein bari khushi khushi parda kia karti thi or iss baat pe fakhar bhi karti thi k unn ki awaz tak kisi ghair mard nay nhi suni......etc etc
lekin aaj ki orat ye samjhti hay k uss ko uss waqt tak apriciate nahi kia jai ga jab tak wo dosry specialy kisi marad ki attraction apni tarf na kar wa le
asal mein orat orat say nhi balke mard say apriciation chahti hay ye uss ki fitrat hay iss liy jab mard nay parda dar orat say impress hona chor dia to aik gharelo orat ko bhi khud ko 4 dewari say bahir lana para apna parda or apny jismani raaz kholnay pary iss sab mein sirf orat ka nahi balke mard ka bhi barabar ka kasoor hay
mera apna nazria ye hay k orat bareek kapray pehan sakti hay balke ussy pehnanny chahein lekin sirf apny shohar ko dikhany or impress karny k liy or ye mera emaan bhi hay k agar wo ye neek niyati say kary gi to ussko bareek kapray pehan kar or apny jisam k raaz khoolnay k bawajood sawab mily ga........
josh bhi theek kehtay hein k ye parents ka kasoor hay
lekin mein ye kehti hoon k ye aam mardka kasoor hay aam mard aisi behayai say impress hona chor de orat khud ba khud pardy mein aa jai gi inshaallah |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:15th Feb 2008, 2:25am |
|
|
:-) bht acha reply kia hai ashy ap ne...
jo baten meri reh gae thin ap sub ap ne keh din
very nice
ye bht taweel aur acha topic hai
is per jitni discussion ki jaye kum hai |
ashy |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 51 Post: 384 Age:
32
|
|
Posted on:15th Feb 2008, 2:27am |
|
|
........
thnx bhayya zeb |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:15th Feb 2008, 7:47am |
|
|
Invitation to Treat Transparent type k clothes issliyah kah Larkey impress ho jaein chun kah Larkyoun ne bardi mushkil se Figure maintain kiya howa hota... aur uss ki Dili khuwaish hotey hai kah koi Larka tareef kardey bas....
Yah eak Psychological Factor bhi hai ... Jiss k barey ma KaliZuban / Bewaqoof app ko detail ma reply kar k bataein gaey... Lets wait for their Reply !!! |
mirch |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 6 Post: 128 Age:
|
|
Posted on:15th Feb 2008, 11:58pm |
|
|
Khujli hoti hay. Aisee khawateen k zahan main aik kharish hoti hay apnay jism key numaish kee. Phir agar sarak pay koi josheela no jawan un key peechay lag jai to bura bhee lagta hay. Aray baba agar sarak par shahad ka piala rakh do gay to us par makhee nahi aiy gee kia ? |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:16th Feb 2008, 1:48am |
|
|
:-) wah wah wah
kia misaal di hai mirch ne
very nice |
mild2me |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2007 Topic: 9 Post: 53 Age:
31
|
|
Posted on:16th Feb 2008, 6:19am |
|
|
hhihihihihihahha ashy ,, ur answer was good, and it was up to mark,,, oar mirchi je kya misaal di aap ne,,,,,,,,well meray khiyal myn kasooor tailor ka bhi hay,,,,,,woh aisay kapray kiyun seeeta hay jo jism ki numaish kartay hyn,,,,,oar textile mills walon ka bhi woh kyun bareek kapray banatay hynnnnnnnnnn\
hihihihihi hehhehe hahahahah |
|