Mujhe yeh forum bohat pasand aaya kyun k yahan larkiyan aasani se apnay masail discuss kar sakti hain. Main lahore main rehti hun aur FSc ki student hun. Mainay jab se college jana shuru kia hai meri ammi ne meri dressing par bohat zaida twajja daini shuru kar di hai. Main ne bra 2 saal pehlay pehanna shuru kar dia tha. Panty main sirf mahwari ke dinon main pad rakhnay ke liay pehanti hun laikin aam dinon main nahi pehanti. Laikin kuch arsay se ammi ne demand shuru kar di hai ke main ghar se bahir jaatay huay kapron ke neechay se panty aur lambi shameez zaroor pahnoon. Mujhe itni zaida cheezain pehannay main tangi hoti hai laikin main unn ke israr par pehan laiti hun. Muhe panty aur shameez pehannay ki koi wajha bhi samajh main nahi aati. Meray poochnay par ammi koi khas wajha bhi nahi batateen bus kehti hain ke bahir jaatay huay pehan lia karo, ghar main beshak utar dia karo. Bra ki importance to samajh main aati hai, laikin panty aur shameez kyun zaruri hai? Kindly sirf female ya serious mard hazrat hi jawab dain.
aj kal halaat bht khrab hain. ap ki mama ap k baray main worry hoti hain is liye khti hain. aur dear aj kal girls k clothes bht he bareek hotay hain is liye ap ki mama panti pahn'nay ka israr krti hain.
Bra Breast ko Support dati hay or bra say Females apna roz-muraa ka kam asaani say kur sukti hen esky Elawa Breast apni Real Shape meah rehty hen, Chulty Pherty , Seriyaan Oturty Running kurty koi Problem nahi hota esky elawa Attractive bhe bunda Lugta hay or Dress bhe acha Lugta hay, Underwear agur koi kisi qissum kay vaginal discharges nahi tu underwear ni bhe pehni jay tu koi bat nahi lakin Underwear wear kurna achi bat hay, Protection dati hay esky elawa shulwar kameez meah agur underwear na pheni jay tu kumeez ka pulo some time othty beht-ty chulty hips kay under phunss jata hay or Shurmendgi ka bahess bunta hay, es Leyeh underwear phenni chayeh essy Dress kay nechy Comfortable or easy Fell kurti hen
women Bra breast kay leyh useful hoti hay or females es meah apny ap ko comfortable feel kurti hen or bra use kurny say onki Dressing meah bhe Nikhaar ata hay, ek Lurki jiska Breast size thora kum yaa wo khod thori weak bra use kurny say oski dressing meah kushish or khobsorti ajati hay, breast apni shape meah rehty hen, Bra kubi Bhe bot Ziyada tight nahi phenni Chayeh or ziyada long time bhe especially rat ko soty time Bilkol loose bra use ki jay yaa bilkol na ke jay, braa etni tight ni honi chayeh oska budun pay mark ni purna chayeh, Mutlab enti Tight braa use kurna Health kay Leyeh acha nai hota,
rahi baat long Shumeez ki jo Kumeez kay Neechy pheni jati hay wo tub phanty hen jub Baareek putlaa dress ho jiss meah say Body Nuzzur any kaa Khudsha ho bot putli kumeez ho tu long shumeez pheni jati hay, essy Nechy bra bhe chop jati hay pheni hoi nuzzur nahi ati or khoda na khuwaasta kumeez jo putli hoti hay phut jay tu nechy Shumeez tu hoti hay Shurmindgi ka bahess nahi bunti
abi Pnidi Islamabad Labour meah dakha giyaa hay women Shumeez nahi panti Gurmi kay Mosum meah oper say doputaa bhe nahi hota jo body ko Cover kurta hay or doputat or Shumeez na hony ki wajaa say wo Dress kay hoty howy bhe Nughi nuzur ati hen, some time tu onki bra or Underwear bhe dress meah nuzur arhi hoti hay esaa bilkol acha nahi hay Islam Meah esaa Dress phen-ny say Munaa keya ghiyaa hay jissy bay purdghi hoti ho.
lakin aj kul fashion or Dikhaaway ka Ruwaaj etna bur Choka hay kay womens en chezo ko zuraa khiyaal nahi kurti jo Bilkol achi baat nahi hay, etni Fittings meah dress pheny jatyenka dikhawaa suraay aam achi baat nahi hay Gonah hay.ap apni Mama ki bato pay amaul kurin jo wo Sumajti hen ap nahi Sumajti .
Generally hamarichoice of dressing ko kuch factors influence kartey haiN
1)Family traditions/parents choice (especially in childhood)
2)Religious ethics
3)Peers ya friends ya surrounding say mutasar houNa
4)personal Choice
Aur mostly yeh factors initial stages/years of life main issi sequence main matter kartey haiN jaisey ooper bataeeye gaey hain
1)childhood main jo dressing ki jati ha babies/infants /toddlers ya children ki ooska impact bhe bahoot zada hota ha dress ki choice aur comfort main latter life main. Hum log amooman daikhtey hain k parents babies ko female babies ko sleeveless , backless or tunics ya skirts pehnatey haiN keh iss age main to yeh pehan saktey haiN ya kitney cute dress haiN etc.
Jubkeh yeh approach bilkul galat ha . Agar start say oounko half naked clothes ki adat dali jaa.ay aur puberty kay baad aik dum full covered houNa expect keya jaa.ay to yeh qatai tor peh mumkin naheiN ha
Babies ko bhi ootna hee modestly dress up karna chahheye jaisey koi adult hota ha. Agar younger age main hee fully covered clothing aur with small stroll ya dupatta ki adapt dali jaa.ay to khud hee latterlife main half sleeves etc kay leye disliking develop ho jati ha
2)Agar hum proper andaaz main educate karain children ko keh religiously aur modesty wise kaisey dressing karni important ha aur kyuN tou buchey personal willingness say modest clothing karaiNgey.
Teenage main mostly peer influence zadah hota haaur common approach parents ki 'compulsion' for modest dressing hoti ha especially for daughters jisko compulsion say zadha 'by choice' banaya ja sakta ha by proper education.
Islam females aur males doono ko hee modestly dress up houney ka kehta ha magar females ko zadah ya more strict pardah iss leye ha keh islam females ko as 'treasure' treat karta ha. Aur treasured ko hum har harm say protect rakhna chhahtey haiN
"O Prophet! Say to your wives and daughters and the women of the believers, that they should cast upon themselves the outer garment (Jilbab). That will be more convenient for them not to be known (as such) and not be molested. And Allah is Forgiving and Merciful." (Surah al-Ahzab, 59)
3)Yeh bhi qatai tor peh mumkin ha keh Islamic dress code ko follow kartey huwey hum in vogue clothing kar sakein sirf apni personal choice aur liking ko Islamic bunaney ki zaroorat ha.
The Messenger of Allah (Allah bless him & give him peace) said:
"A woman is supposed to be concealed. When she emerges outside (without covering herself properly), Shaytan makes her adorned in front of men." (Sunan Tirmidhi)
Self-respect aur modesty ka takazah to yehe bunta ha keh muslim females itna modestly hee dress up houN keh who object of 'lust' nah houN aur gracefully dress up houN .
Zehra Shkh:
Apki sirf aik he problem ha aur who yeh ha keh chounke apko pehley say adat nahe ha undergarments ki aur yeh aik newly 'imposed' dressing ha ap par so apko mushkil lag raha ha.
Under garments (waist-coat ya lingeries) ka advantage yeh ha keh
1)mostly summer wear kay clothes (all types of fabric) stichted or unstitched see-through fabric hee hotey haiN aur kaprey pehan kay bhee nah pehannay kay equal hotey haiN so apko nudity say protection miley gi agar ap lingerie use karogii
2)agar winter wear ya koi bhi aur thick fabric ha tou jo clothes mostly wear keye jaatey haiN oonki stiching bahoot fitted nah bhe ho to bhi body shape aur curves prominent hotey hain jo keh undergarments(undershirts . waist coat etc) use karney say prominent nahe hotey. Its like you are putting a padding/shield or covering underneath clothes.
3)Aur mazeed yeh bhee kay accidentally tearing ho jaey clothes ki etc to atleast koi cover to hoga nah apki skin peh.
Sayyiduna Abu Hurayra (Allah be pleased with him) said: The Messenger of Allah (Allah bless him & give him peace) said:
"There are two types of the people of Hell whom I have not seen: People with whips like the tails of cattle, with which they beat the people, and women who are clothed yet naked, inciting men and their heads looking like the humps of camels, leaning to one side. They will not enter paradise and even smell it's fragrance, even though it's fragrance can be detected from such and such a distance." (Sahih Muslim, no. 2218)
Female Islamic dress code ki kuch basic cheezain yeh haiN keh
1)itna see through na ho keh pehana aur na pehnana kaprouN ka aik barabar ho
2)itna tight na hou keh female beauty prominent ho
3)opposite sex ki imitation na hoti ho
4)bahoot zadalavish nah ho keh aik dum say attention draw karey
5)Plus apka sittar poorah ho.
Jo log yeh kehtey haiN keh itni garmi ha keh itna kuch naheiN pehna jata oouN keh leye yehe ha keh
1)jo females sleevless shirts ya Capri main hoti haiN oounko bhe ootni hee garmi lag rahee hoti ha jitna keh aik gown/hijab mai covered female ko aur who maximum possible short dress main bhe garmi ki shiddat mehsoos kar rahi hoti haiN tou faidah iss tarha ki clothing ka nahe hota ulta nuqsan he hota ha
2)plus one should always remember the heat of hell fire.
Else yeh keh insaan ki fitrat/nature maiN adaptability bahoot zadah ha. Abhe start main apko undergarments regularly use karna mushkil lag raha ha magar phir apko itni adat ho jaa.ay gi keh ap inn kay bagair uncomfortable aur naked feel karoge . . just give this practice(of wearing undergarments) some time to get absorbed .
meri peshan goi hai keh aik waqt aaye ga jab Waterr bahut mahngi (costly) writer hongi, aur woh noorclinic forum per free reply yeh keh ker ker rahi hongi keh isi forum ne ose zameen se aasman per ponhchaya hai.
bahar haal Waterr noorclinic forum ko appreciate kare ya na kare, ham tu onhia appreciate ker rahe hai keh on ki writing style (quality and quantity) pehle se bahut achchi ho gayee hai
Dear Qadeer, Qasim and waterr, aap logon ke jawab dainay ka shukria. Aap logon ke jawab se main iss nateejay par pohanchi hoon ke
Panty pahanna iss liay zaruri hai ke kahen kameez hips ke darmiyan na phans jaay aur hips ke darmiyan ki lakeer numayan na ho. Lihaza na sirf mahwari ke dinon main balke aam dinon main bhi panty istimal karni chahiay.
Shameez pehanna iss liay zaruri hai ke garmiyon main bareek kapron ke neechay se jism nazar na aaey aur na hi bra nazar aaey. aur jaisa ke waterr ne kaha ke sardiyon main bhi agar kapray bareek ya fitting walay na bhi hon to bhi body shape aur curves numayan hoti hain, iss liay sardiyon main bhi shameez zaruri hai. Aur agar kameez phat bhi jaay to shameez neechay honay ki waja se sharmindagi nahi hogi.
Meray khayal main agar larkian yeh undergarments neechay se pehnain to un ko jilbab ya burqay ki zarurat bhi paish nahi aaey gi.
Aap logon ke jawab dainay ka aik bar phir shukria. Waterr ka jawab sub larkiyon ke liay available hona chahiay.
Itnay important topic ko pehlay kabhi discuss nahi kia gya. Aurat honay ke natay se kuch batain main bhi add karna chahun gi jo zaire behas nahi aaeen. Panty ka aik faida yeh bhi hai ke woh garmiyon main paseena jazab karti hai. Shameez bhi paseena jazab karti hai aur bahir ke kapray khushk rehtay hain.
Agar taiz hawa chal rahi ho to aksar kameez urh jati hai ya jism se chipak jaati hai, agar shameez neechay hogi to jism numayan nahi hoga. Jo larkiyan shameez nahi pehanteen, un ke kapray agar barish main bheeg jaeen to jism se chipak kar jism aur bra ko numayan kartay hain. Aisi larkiyan na sirf apnay liay balkay aas pass mojod bapardah larkiyon ke liay bhi sharmindagi ka baess banti hain. Aaj kal ameer aur upper middle class ki larkiyan aksar shameez nahi pehanteen.
Bareek kapray ki shalwar kameez pehan kar samajhti hain ke woh covered hain halanke un ke breasts aur hips ki curves saaf nazar aa rahi hoti hain. In gharanon ki 90 feesad larkiyan neem uryan rehti hain. Fashion ke naam par apnay aap ko nanga karti hain. In gharon ki larkiyon main fashion ke naam par yeh muqabla hota hai ke kon zaida nangi hogi.
In ke parents in ko roknay ke bajaey in ki hosla afzai kartay hain. Kehtay hain ke hamari betiyan modern hogai hain. Pyari behan Zehra aap ko shukar karna chahiay ke aap ki ammi aap ko bapardah rakhna chahti hain. Woh yeh nahi chahteen ke aap in larkiyon ke tarha behuda kapray pehnain. Yaad rakhain sharm o haya aurat ka zevar hai.
Toobasana ne to bohat detail se undergarments ke faiday bataay hain. Main kuch mazeed bhi jan'na chahun gi. Baqi larkiyon ki tarah mera bhi fashion karnay ko dil chahta hai. Main lambi kameez pehanti hun. Kameez ke chalk bhi oonchay nahi hotay. Kya main shalwar ki jaga trousers, pant ya jeans pehan sakti hoon?
Islam dressing pay koi khaas pabundi nahi lugata lakin kisi na mehram kay samny yaa sur-a-aaam bazaar meah road pay essy dress meah nikulna jis mah apky body nomayaa ho ya apki nuswaani khobsoorti ayaaan ho Achi bat nai esy fitna or fussaad ka khutra hay wo females jo esaa dress payin kay bazaar meah chulti hen onko uksur men or boys kay Fiqry sonny ko milty hen, or some time ye muzeed kisi moshkil ka bahess bhe bunta hay
ap Trouser, jeans pants pehnyin lakin Dikhaawy kay leyeh nahi , yani ap suraa aam bazaar meah logo ko apni dressing dikhany kay leyeh na pehnyin, Ghur meah ap Pahen sukti lakin ye sub batin ek environment ek khaas mahool meah achi lugti , ek khaas culture meah abi pakistan meah females jeans, pants, trousers bot kum panti hen yeh nahi kay nahi panti.
Gulf meah , saudia meah mostly females pant , jeans, skirt, panti hen lakin apny ghuro meah or jub baher ati hen tu abaya hota on pay, Es leye ap on females ki dekhaa dakhi esaa koi kam nai kurin jo islami taleemat kay monafi ho, trousers pants, jeans sub ap phen sukti hen agur wo loose hon, yani jissum say chipky howy na hon, ap essi jeans , trousers pants pehn sukti hen,
Lakin apko doctor waterr nay sub koch kafi details say with islamic refrence btaya hay apko apni dressing meah en bato ka khiyaal kurna cha yeh, orat ek Pearl ki manund hay jo or pearl Qeemti hota hay or Qeemit cheez ko nayaab cheez ko chopaa kay rukhaa jata hay es leye apna Hossun apni beauty ko non mehram logo pay zaher nahi kurin es meah apka fayda hay,
READ AGAIN what said doctor waterr in her post.
Female Islamic dress code ki kuch basic cheezain yeh haiN keh
1)itna see through na ho keh pehana aur na pehnana kaprouN ka aik barabar ho
2)itna tight na hou keh female beauty prominent ho
3)opposite sex ki imitation na hoti ho
4)bahoot zada lavish nah ho keh aik dum say attention draw karey
5)Plus apka sittar poorah ho.
Note: agur Trouser, Pant Saari, Shulwar- kumeez,Geans,shirt koi bhe dress above standards say match kurta hay tu wo ek Islamic dress hay lakin women ko apni zab-zeenut kisi naa mehram kay samny ayaaan kurna Gonah hay, fitna or fusaad kay bahess bunta hay , ek lurki jo bun sunwaar kur esaa drsss phen kay bazaar maeah osy boys or men fiqry bhe kussyin gay, osky aagy peechy bhe hongy, ossy ko zur or noksaan bhe ponchaa sukty hen, ku kay oska dress oski zab-zeenut onko attract kur rahi hay,
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.