Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Urdu Poetry: Apne Honton par Sajana Chahati Hun - II

Urdu   >>  Poetry
 
 
* Noor Clinic *
Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4723  Age:  31  
Posted on:19th Jun 2008, 6:39pm
 

Urdu Poetry: Apne Honton par Sajana Chahati Hun - II

Apne Honton pe...(Continued)

This thread is continued from:

Urdu Poetry: Apne Honton par Sajana Chahati Hun

sunehri76 Posted on : Sunday, 18th May 2008, 1:51pm

Apne Honton pe...

Apne Honton par sajaana chahati hun
aa tujhe mai Gungunana chahti hun

koi Aansoo tere Daaman par girra kar
bhoond ko motii banana chahti hun

thak gayi mai karte karte yaad tujh ko
ab tujhe mai yaad ana chahti hun

chaa raha hai sari bastii me Andhera
Roshni ho, ghar jalana chahti hun

aakhri hichkii tere zanon pe aa a
maut bhi mai sha-a-hana chahti hun




Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4962  Age:   
Posted on:19th Jun 2008, 10:06pm
 

Veer uncle

 Bohat khooob....ye forum ki shakal aap ne bigari hui thi ?
ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1873  Age:  40  
Posted on:20th Jun 2008, 9:25am
 

Red Chilli

very funny :)
ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1873  Age:  40  
Posted on:20th Jun 2008, 9:36am
 

LAGTA HAE

members juma ki nimaz ke liye gay howe hain,

hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:20th Jun 2008, 1:21pm
 

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Tere Hijr Me Hum Per Ik Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:20th Jun 2008, 1:25pm
 

hamzi

aap yahan bhi 4 moon lagana teri ahat boht achi hai:)
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:20th Jun 2008, 1:29pm
 

maryam

thanx sis
good tu c u commenting on my collection
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:20th Jun 2008, 1:30pm
 

my fav

Kal Raat Urr Rahey They Sitarey Hawa K Saath
Aur Main Udaas Betha Tha Apney Khuda K Saath
Ya Tau Qabooliat K Tareeqey Sikha Mujhey
Ya Mere Dil Ko Baandh De Apni Raza K Saath…!


Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:20th Jun 2008, 1:32pm
 

hamzi

achi cheez ko incourage karne se us mai mazeed behtari ati hai
u din mai preshan thi to aap ne mujhe console kiya thanx
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:20th Jun 2008, 1:33pm
 

maryam

sis pleasure once again
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:20th Jun 2008, 1:36pm
 

hamzi

thanx its my honour
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:20th Jun 2008, 1:39pm
 

maryam sis

u r making me feel proud now
so no tareef now
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:20th Jun 2008, 1:43pm
 

tumhari soochooN ka mehwar main nahi hon

 me tumhari pasand janta hon
tumhari kamzori se bhi waqif hon
is leay surakh gulaab ki adh kheeli beshumaar kalyaaN
me tumhary sarhanay chor jata hon
me tumhari wahshtooN ko samjta hon
is leay doobtey suraj aur
udaas shamooN ko canvas pe utar laata hon
me tumhari tanhaa'eooN se waqif hon
is leay har saal tumhari salgeera pe
suraj ki pahli kiran k sath
salgeera mubarak kahnay pohnch jata hon
magar tum ye nahi jantey k
jab me tumhari pasand, tumhari kamzorioN, tumhari udasiooN
aur tanhaa'eooN se waqif hon tu
main yeh janta hon jana k
tumhari soochooN ka mehwar main nahi hon
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:20th Jun 2008, 1:51pm
 

Sono Aye Ajnabi !......(my own)

Sono Aye Ajnabi !......
Apna Talluq Ab Badaltay MosmooN Per Gufatagoo Karnay
Se Kat Ker
Apnay Ander Karwatain Leti BaharoN
Yah KhizaooN Ke Taraf Rukh Ker Choka Hai
Hamara Rasta Barish Se Rukhta Hai
Na Andhi BaadBaan Main Chaihd Girty Hai
Falak Se Aag Girty Hai
Magar Hum Ko Paseena Bhe Nahi Aata
December Aa Raha Hai
Lakin Aa Ker Kia Karay Ga ?
Hamari Aatishain-e-Jazbaat Barfeeli Hawa Ke Baraf Pighlanay Ko Kafi Hain
Ager Hum Dhund Main ek Dosray Ko Daikh Saktay Hain To Gooya Apni Khawish Ke Hidoon
Tak Daikh Saktay Hain




Sonoo Aye Dost ! ….
Jab Hum Tum Millay Thay To Najany Kyun Ghari Ke Sooiyun K Waqt Se
Agay Janay ke Khawish Jaag Othy The
Sarak(Road) Gooyaa Sukar KEr Rah Gaye The
Safer Ek Dosray Ko Jan-nay k Wastay Kum tha Jo Hum Nay Guftagoo Aaghaaz Ke to
MosmooN, ShairooN,ParindooN Or Moseeqi K apus Main Talluq Se Guzar Ker
Aik An Daikhay Talluq Main Paroonay Lag Gaye Hum Ko
Safar Ek Dosray Ko Jan-Nay K Wastay Kum Tha
Jisay Mooqoof KArna He Zaroorat Tha
So Who Hum Nay Kia-----



Sonoo Aye Jaana !........
Tumhari Guftagoo Main Aanay Walay Aik Waqfay Main Meri AnkhooN Ne Daikha Hai
Hum Ek Doojay K Hamraahi Main Chaltay Bay-Khiyaali Main Jahan Tak Aa Gay Hain
Is Say Aagay Do He Rastay Hain





Sonoo Aye Dil !..............
Baherhaal
Aik Reh Janay Se Ek Ho Jana Bahter Hai……….

hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:21st Jun 2008, 1:37pm
 

Mein Kuch B Izhar Nahi Karta

Mein kuch bi izhar nahi kerta,
iska matlab yeh nahi k mein tujse payar nahi kerta,
Chahta hoo mein tujhe aaj bi per,
teri soch mein apna waqt beqar nahi kerta,
Tamasha na ban jaye kahin mohabbat meri,
isi liye apne dard ko namoodaar nahi kerta,
Jo kuch mila hai usi mein khush hoon mein,
tere liye khuda se taqrar nahi kerta,
Per kuch to baat hai teri fitrat mein zalim,
werna mein tujhe chahne ki khata baar baar nahi kerta
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:21st Jun 2008, 1:46pm
 

Majeed Amjad

Daikh aye Dil Kia Sama Hai Kia Bahaarain Shaam Hai
Waqt Ke Jhooli Main Jitnay Phool Hain Anmool Hain
Nehar Ke Patrri K Do Roiya Musalsal Door Tak
Bargadon Per Panchiyun K Ghool Machaatay Ghool Hain....

Daik Aye Dil Kitnay Aarmanoon Ka Rus Barsa Gain
Badliaan Jab In Pay Cheehtay Noor K Chun Ker Parray
Kitni Komal Kaamnoan Ke Kahani Keh Gaye
Peeplon K Peelay Peelay Paat Path Path Per Parray....

Daikh Aye Dil ! Us Raseeli Rut K Kitnay Roop Hain
Jhoomtay Jhoonkay Hain Jhukti Jhaarriyun K Jhund Main He
In Phaili Hoi Phulwaariyun K Darmiyaan ....
Ye Teri Tapti Hoi Tanhaaiyaan Or Aik MAIN........!!!
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:21st Jun 2008, 2:00pm
 

Mere Naseeb Nay Jab Mugh Se Inteqam Liya(shaz tamkenat)

Mere naseeb ne jab mujh se intaqaam liya
kahan kahan terii yaadon ne haath tham liya

faza ki aankh bhar aai hawa kaa rang uraa
sakuut-e-shaam ne chupake se teraa naam liya

woh main nahin thaa ek harf bhi na kah paya
woh bebasi thi ke jis ne teraa salaam liya

har ek Khushi ne tere gham ki abaru rakh li
har ek Khushi se tere gham ne intaqam liya
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:21st Jun 2008, 2:40pm
 

my fav

Wo Naam Thi Badal Gayi,
Mein Sham Tha Dhal Gaya

Wo Nazar Thi JHUK Gayi,
Mein Tehreer Tha Mit Gaya

Wo Shama Thi Pighal Gayi,
Mein Parwana Tha Jal Gaya

Wo Ashq Thi Beh Gayi,
Mein DArd Tha SEh Gaya

Wo Chand Thi Chup Gayi,
Mein Badal THa BARas GAYa

WoToofan Thi GuZar Gayi,
Mein GulShan Tha Ujar GAya
SOFI Group: Members  Joined: 09th Jun, 2008  Topic: 10  Post: 441  Age:  30  
Posted on:22nd Jun 2008, 8:30am
 

Jiss kaa ghar hay tum usay ghar main basaye rakhna

Jiss kaa ghar hay tum usay ghar main basaye rakhna
Khana e dil main naa mehmaan paraye rakhna

Mehfil e zeest haseen houtee chalee jaaye gee
Tum unhay bazm e tasawwur main sajaye rakhna

Ay Khuda ghair kaa bannay nahi dena ham kou
Tum Tou Apnay hou hamain Apna banaye rakhna

Khana e dil main naa mehmaan paraye rakhna
Apnee ankhoon say nazar aye gaa pasti main kamaal

Saamnay but hoon tou nazroon kou jhukaye rakhna
Yeh nahi hay koye khawhish hee naa ubhray dil main

Sirf itna hay kay khawhish kou dabaye rakhna
Jiss kaa ghar hay tum usay ghar main basaye rakhna

Khana e dil main naa mehmaan paraye rakhna

hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:22nd Jun 2008, 1:25pm
 

Farz Karo

fArZ kARo...!!!
tUm kUcH nA pAo, ApNA aAp lUtA kAR bHI!
fArZ kArO KoI mUKaR hI jAyE, sAccHi QaSam uThA KAr BhI!
Aur FaRz kARo,
yEH FaRz nAA hO,
sAcchI eIk HaQeeqAT Ho!
tErAy iSHQ kaY hAR RaAstAY pAR JaNaA aiK qAyaMaT Ho!
AuR sUnA hAI.....
yEh qAyaMaT KhooN jIGaR kA pEEtI hAI!
TuM Toh jAnA fArZ kARo gAy,
MujH pE yEh sAb BeeTi hAI!
For Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19  >>
 
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How To Fill Out A Job Application  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014