Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Urdu Poetry: Apne Honton par Sajana Chahati Hun - II

Urdu   >>  Poetry
 
 
* Noor Clinic *
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:22nd Jun 2008, 1:28pm
 

my fav

Bohat see kitaabain...

Bohat see Cd's....

Bohat see be-tuki appointments...

Doston se phone par lambi taweel guftugo

Ya phir uljhee rahoon par chaltay

Yunhi waqt betana

Be-seemat raston par be-wajah khaak urrana

Ya phir Net k uljhawaon main

Be-tarha khud ko uljhana

Baat be baat hunsnay k bhanay

Bohat hain khush

Duniya ko dekhanay ko

Kitney bahaney dhundta hai dil[


Faqat usay bholanay ko !!!
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  28  
Posted on:22nd Jun 2008, 1:31pm
 

kuch ankhien aise hoty hain

kuch ankhain aisi hoti hain...
jo apni apni lagti hain....
bheer main nazer ajayen too..
dunya ruk si jati hai....!
Waafa k sab jawab ik pal main samjhati hain...
jazbay kitnay sachay hain..?
khuwab kitnay achay hain..?
muhabbat kitni paak hai..?
judai kia azaab hai..?
phir isi bheer main kho jati hain...
aur yaad bun kar satati hain...
woh ankhain phir kahan say layen..?
jo muhabbat samjhati hain....!!
isi talash main rooh bhatakti hai...
pal pal phir tarapti hai.....
manzil say bhatka k hum ko....
intizar day jati hain....
Kuch ankhain aisi hoti hain...!!!!!!!!
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:23rd Jun 2008, 4:53pm
 

Mila Wo b nahi karte, Mila Hum b nahi karte

Mila Wo b nahi karte, Mila Hum b nahi karte
Wafa Wo b nahi karte, Wafa Hum b nahi karte
Unhein Ruswai ka Dukh, Hamein Tanhai ka Darr
Gila Wo b nahi karte, Shikwa Hum b nahi karte
Kisi Morr per Takrao ho jata hai aksar
Ruka Wo b nahi karte, Thera Hum b nahi karte
Jab b dekhte hain Unhein, Sochte hain kuch kahein unse
Suna Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte
Lekin! ye b Sach hai k Mohabbat Unhain b hai
Izhaar Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:23rd Jun 2008, 4:54pm
 

Os ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai,

Os ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai,
Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai,

Jis hasti ki yaad mein Aanso barstey hain,
Samne os ke kuch naa kehna acha lagta hai,

Mil kar os se Bichar naa jaaon darta rehta hon,
is liye bas door hi rehna acha lagta hai,

janta hon keh chahat mein bas Aanso milte hain,
Kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hai,

Je chahey sab khushiyan laa kar os ko de doon,
Os ke pyaar mein sab kuch khona acha lagta hai,

Os ka milna naa milna Qismat ki baat hai,
Pal Pal os ki yaad mein roona acha lagta hai,

Os ke bina sab khushiyan FIDA Ajeeb si lagti hain,
Roo Roo kar os ki yaad mein sona acha lagta hai ....
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:23rd Jun 2008, 4:58pm
 

Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan

Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Usay Jeenay Ki Too Duaa Na Day

Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day

Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day


Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:23rd Jun 2008, 6:41pm
 

Ankhain Bheeg Jati hain

samander mein utar ta hoon to ankhen bheeg jati hain.....
teri ankhon ko parta hoon to ankhen bheeg jati hain.

tumhara naam likhne ki ijazat chin gaye jab se......
koi bhi lafz likhta hoon to ankhen bheeg jati hain.

teri yaadoon ki khsuhboo khirkion mein raks karti hain......
tere ghum mein sulagta hoon to ankhen bheeg jati hain.

na jane hogaya hoon is kader hasaas kab se mein......
kisi se baat karta hoon to ankhen bheeg jati hain.

mein sara din buhat masroof rehta hoon magar juhin......
kadam chukhat per rakhta hoon to ankhen bheeg jati hain

 

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:23rd Jun 2008, 7:13pm
 

meray humsafar abi soch le

Mujhay yaad koi dua nahee meray humsafar abi soch le
Tu meri jabeen pe likha nahee maray humsafar abi soch le

Abi rasta bi hai dhool main abi faida bi hai bhool main
Abi mujh ko tujh se gila nahee meray humsafar abi soch le

Main janam janam se naraz hoon main janam janam se udaas hoon
Main kahbi bi khul ke hansa nahee meray humsafar abi soch le

Tu hai khawab khawab pukarta meri ankh main nahee ashk bi
Main muddaton se jia nahee meray humsafar abi soch le

Tujhay khushbowoon ki hai arzoo tujhay roshni ki hai justjo
Main hawa nahee dayya nahee meray humsafar abi soch le

Tujhay ansowoon ka pata nahee tujhay ratjagoon ka guman nahee
Tujhay is se agay pata nahee meray humsafar abi soch le

Kaheen chhoot sakta hai darmyaan na zameen milay gi na asmaan
Tujhay rastay ka pata nahee maray humsafar abi soch le

Mujhay doondta hi phiray ga tu na jiye ga roz na maray ga tu
Main kabi bi ghar pe mila nahee meray humsafar abi soch le

Kaho lautna hai kisay yahan meray dard sun meray meharban
Meray pass waqat zara nahee maray humsafar abi soch le

pinky7861 Group: Members  Joined: 06th Oct, 2007  Topic: 44  Post: 1348  Age:   
Posted on:23rd Jun 2008, 7:38pm
 

dukhi logoun kay liay!

mein sara din buhat masroof rehta hoon magar juhin......
kadam chukhat per rakhta hoon to ankhen bheeg jati hain

   Tu aisa kerain kay shaadi ker lain phir aap ki aankhain ya tu der kay maaray bheegain gi hi nahi auer ager bheeg hi gai tu baygum sahiba ACCHI tara say aap kay aansoo saaf ker dain gi..lolzzzzz

waisay shaadi shuda honay kay baad aap ko yah verse kuch youn nazer aay gi.

mein sara din buhat masroof rehta hoon magar juhin......
kadam chukhat per rakhta hoon to BACHHAY CHIPAK JATAY HAIN

( iss liay ronay dhonay ka time nahi milta)

 

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:23rd Jun 2008, 9:05pm
 

Zindagi k hain do jahan

Zindagi k hain do jahan
Aik yeh jahan aik woh jahan
In "do jahan" k hai darmiyan
Bus faasla ik saans ka
Jo chal raha to yeh jahan
Jo ruk gaya to woh jahan
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:23rd Jun 2008, 9:07pm
 

Na main paas us ko bula ska

Na main paas us ko bula ska
na he dil ki baat suna ska
wo hnsi hnsi main he chal dia
main hath tk na hila ska
mujy kya khbr k woh kya hua
mujy itna gehra khumaar tha
main khra tha us k hsaar main
mairy ird gird gubaar tha
yun hi sochta rha dair tk
mgr us ko kuch na bta ska
na main pas us ko bula ska
na he dil ki baat suna ska
na hy dushmni kisi din sy ab
na hy dosti kisi raat sy
hy bcha he kya jo woh ly gya
mujy cheen kr mairi zaat sy

yeh mukaam he tha ajeeb sa
k main khud ko b na bcha ska
na main pas us ko bula ska
na he dil ki baat suna ska
yeh b theek hy wo chala gya
mujy band rsty py choor k
wo juda b kaisy hua k main
koi rsm b na nibha ska
na main us ko pas bula ska
na he dil ki baat suna ska
woh hnsi hnsi main he chal dia
k main hath tk na hila ska ...!
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:23rd Jun 2008, 9:07pm
 

Kehnay ko us say mera koi waasta nahi

Kehnay ko us say mera koi waasta nahi
Amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahi

Darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jayey
Main jaag to raha hoon magar jaagta nahi

Aashaftagi say uski usay bay wafa naa jaan
Aadat ki baat aur hay dil ka bura nahi

Tanha udaas chaand ko samjho naa bay khabar
Har baat sun raha hay magar bolta nahi

Khamosh ratjagoun ka dhuwaan tha chahar soo
Nikla kub aaftaab mujhay to pata nahi

Amjad woh aankhain jheel see gehri to hain magar
Un main koi bhi aks meray naam ka nahi...........
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:23rd Jun 2008, 9:09pm
 

gungunaty hoy anchal ki hawa de muj ko

gungunaty hoy anchal ki hawa de muj ko
ungliaan pher k baloun main sula de muj ko
jis terha falto guldaan perdy rehty hain
apny gher k kisy kony se lga de muj ko
yad ker k mujy takleef hi hoti hogi
aik kisa houn purana sa bhula de muj ko
doobty doobty awaz teri sun jaoun
aakhri baar to sahil se sda de muj ko
main tery hijr main chup chaap na mer joun kahin
main houn skty main kbi aa k rula de muj ko
dekh main hogya houn bednaam kitaboun ki terha
meri tash'heer na ker ab to jla de muj ko
or kuch b nai mnga mery malik tujh se
us ki galiuon main perdi khaak bna de muj ko
yehi okaat hay meri tery jeevan main k main
koi kamzor sa lamha houn bhula de muj ko

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:24th Jun 2008, 8:57am
 

..............

aik muddat sey meri soch ka mehwer to hey

aik muddat sey meri zat key under to hey

may tarey piyar key sahil pa khara hoon tanha

meri ulfat meri chat ka samandar to hey

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:24th Jun 2008, 9:00am
 

.................

jo dard key sahra may akela bhi bhoot hey

iss key liya dewar ka saya bhi bhoot hey

dekha nahi kabhi tanhai may tum ney uss ko

bichrey howey logo keliya wo roya bhi bhoot hey

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:24th Jun 2008, 9:07am
 

......................

tofan kabhi sahil sey to piyara nahi hota

har dard key sagar ka koi kinara nahi hota

yoon chala ata hey merey pahloo maien aksar

wo dard jisey maien ney pukara nahi hota

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:24th Jun 2008, 11:02pm
 

Dua

دعا کی صورت میں اس کی خاطر

جو میرے ہونٹوں سے لفظ نکلے

جو میری آنکھوں سے اشک نکلے

انہی کے بدلے میں اے خدایا!

جب بھی اس کا نصیب لکھنا

عروج لکھنا

کمال لکھنا

کبھی نہ حرفِ زوال لکھنا

اور اس کی عمرِ دراز لکھنا

SOFI Group: Members  Joined: 09th Jun, 2008  Topic: 10  Post: 441  Age:  30  
Posted on:24th Jun 2008, 11:06pm
 

Yeh Naa Samajhnaa Bhatak Gaye Hain

Yeh Naa Samajhnaa Bhatak Gaye Hain
Gulshan Say Anjaanay Main
Deewanay kuch sooch samajh kar
Pohnchay hain weeranay main
Seray gulistaan kar kay dekhoo
Phool aur phal kiya paatay hou
Mana kuch taakheer tou hou gee
Anay main aur janay main
Deewanay kuch sooch samajh kar
Pohnchay hain weeranay main
A'zam gulistaan kee zeenat kaa
Ab maali kay dil main hay
Barsoon jiss nay jaan khapaye
Gulshan kay mehkaanay main
Deewanoon kou dekh kay keh doon
Yeh teray deewanay hain
Deewana pan itna tou hay
Mujh jaisay farzaanay main
Sau Matlab Poochay Gee Dunya
Farzanoon Say Batoon Kaa
Rahat Hee Rahat Hay Taib
Deewana Ban Jaanay Main
Yeh Naa Samajhna Bhatak Gaye Hain
Gulshan Say Anjaanay Main
Deewanay Kuch Sooch Samajh Kar
Pohnchay Hain Weeranay Main

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:24th Jun 2008, 8:23pm
 

wo jo khud pairvi-e-ehle wafa karta tha

wo jo khud pairvi-e-ehle wafa karta tha
mujh say milta tha to talkeen e wafa karta tha

us k daman main koi phol nahi mery liay
jo meri tang-i-e-daman ka gila karta tha

aaj jo us ko bulaya to wo gum sum he raha
dil dharhakny ki jo awaaz suna karta tha

aj jo meri har baat ka maainay poochay
jo meri soch ki tafseer likha karta tha

us ko ehsaas dilaya hai wo milta he nahi
ajnabi tha to mujhe roz mila kartaa tha

us ki dehleez say sadiyon say kharha hoon mohsin
mujh se milnay ko jo lamhaat gina karta thaa
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:24th Jun 2008, 8:38pm
 

usey apni firda ki fiker thi wo jo mera wakafey haal tha

usey apni firda ki fiker thi wo jo mera wakafey haal tha
wo jo uski subah-e-urooj thi wohi mera waqt-e-zawaal thaa
 
mera dard kese wo janta meri baat kese wo manta
wo to hud fanaa k safar ma tha usey rokna b muhal tha
 
kahan jao ge muje chor k ma ye poch poch k thak gaya
wo jawab muj ko na de saka wo to hud sirapa sawal tha
 
wo jo us k samney a gaya wohi roshni ma naha gaya
ajab uski habtey husan thi ajab uska rang-e-jamal tha
 
dam-e-wapsi usey kiya hua na wo roshni na wo tazgi
wo sitara kese bikher gaya wo to ap apni misaal tha
 
wo mila to sadiyon k baad b mere lab pe koi gila na tha
usey meri chup ne rula diya jisey guftago ma kamaal tha
 
mere sath lag k wo ro diya aur muje faqt itna wo keh saka
jisey janta tha ma zindgi wo to sirf wehmo khyaal tha...!!
pinky7861 Group: Members  Joined: 06th Oct, 2007  Topic: 44  Post: 1348  Age:   
Posted on:24th Jun 2008, 9:31pm
 

hahahhahahaaaa

gungunaty hoy anchal ki hawa de muj ko
Bijli tu band ho gai hay tu hi sula de muj ko

lolzzzz

with my appologies to the poet and UET! 

For Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19  >>
 
 
 
 
Pakistani in Italy  How To Get Visa For Japan  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014