uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
34
|
|
Posted on:15th Jul 2008, 7:46pm |
|
|
Pagal man hr khwab ny ankhon sy benai uchak li hai shafaf panion k peechy bhagty bhagty paon daldal ma door talak dhans chuky hain rangeen titlion ko pakertry pakerty badan kanton sy sil chuka ha phir b pagal mun ye kahta hai jao dhondho us ko jis ny tumahain chore dya ha!!! |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
34
|
|
Posted on:15th Jul 2008, 9:17pm |
|
|
Kia kabhi tum ne bhi mujey yaad kia hai? Kia kabhi tum ne bhi mujey yaad kia hai?
soney se zara pehley Khud ko aieney mai dekhetey hooiey siaah rang pehantey hooiey razaiee mai thathartey hooiey ik thandi aahh bhartey hooiey
Kia kabhi tum ne bhi mujey yaad kia hai?
JAAGNEY k zara baad dilrubaiee Qisey suntey hooiey kisi ke kaan mai gungunatey hooiey bewaja muskaratey hooiey bister per kerwatien badaltey hooiey
Kia kabhi tum ne bhi mujey yaad kia hai?
chaand ko taktey hooiey aansuon ko chupatey hooiey kisi se dill lagatey hooiey kisi ki sanson mai utartey hooiey kisi se iqraar kertey hooiey
Kia kabhi tum ne bhi mujey yaad kia hai?
kisi ka haath thamtey hooiey koi nazam pertey hooiey kisi ki wafaon ka suntey hooiey khirki se bahir dekhtey hooiey dua k liey haath uthatey hooiey sajdey mai jatey hooiey
Kia kabhi tum ne bhi mujey yaad kia hai?
mai ne in sab palon mai tujey yaad kia hai Kia kabhi tum ne bhi mujey yaad kia hai |
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4722 Age:
32
|
|
Posted on:16th Jul 2008, 9:40am |
|
|
All members ...........This Thread is closed now............
This thread is Start again: Apne Honton par Sajana Chahati Hun(Continued Again) |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
34
|
|
Posted on:16th Jul 2008, 1:17pm |
|
|
Abhi woh dard baqi hai... Abhi woh dard baqi hai... Agarche waqt marham hai... Magar kuch waqt lagta hai... Kisi ko bhool janey mein... Dobara dil basaney mein... Abhi kuch waqt lagna hai... Abhi woh dard baqi hai... Mein kaise naii ulfat mein... Apni zaat ko gum kar doon... Ke mere jism-o-jaan mein... Abhi woh fard baqi hai... Abhi us shakhs ki mujh per... Nigah-e-sard baqi hai... Abhi to ishq ke raston ki... Mujh per gard baqi hai... Abhi woh dard baqi hai..... Abhi Woh Dard Baqi Hay...... |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
34
|
|
Posted on:16th Jul 2008, 1:24pm |
|
|
Muje Tum Yaad Aate Ho Ae Hawa
Tuje Qasam Hai Chandni Raaton Ki
Ab Ki Baar
Jab Shehray Jana Se Guzar Ho Tu
Sargoshion Mein Usay Itna Kehna
" Muje Tum Yaad Aate Ho " |
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
36
|
|
Posted on:16th Jul 2008, 2:02pm |
|
|
saraa zamaanaa saraa zamana haseenoon ga divaana... phir kiyoon bura hai dil laganaa.. |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
34
|
|
Posted on:16th Jul 2008, 2:34pm |
|
|
tum BEWAFA nahi ho...... acha, chalo maan lete hain k tum BEWAFA nahi ho
maan lete hain hamare mukadar mein hi judai likh di gai hai maan lete hain door tak jati wafa ki rah guzar wahi pe khatam hoti hai jahan pe tumhein wapsi ka kheyal aya
chalo ye maan lete hain hamari mustakil dastak se ghabra k tum ne dar-e-dil waa kia or jaldi mein kawad khule chod k palat gye thye maan lete hain k hum bin bulaye mehmaan tumhari jaan ka aazaar hue hain tum bewafa nahi ho chalo maan lete hain |
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
36
|
|
Posted on:16th Jul 2008, 2:47pm |
|
|
hmmm itnay ronay dhonay walay aur udaas poetry na likha kerain ,main phir udaas ho jata hoon...)
|
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
34
|
|
Posted on:16th Jul 2008, 3:32pm |
|
|
nikal para tairee khoj mein Main girah mein bandh ke haadsat, nikal para tairee khoj mein Kahin tar kol ki thi sadak jahan aag bant-ti dhoop thi Kabhi kachi rah ki dhool mein jahan saans laina muhaal tha Sir-e-rizm-e-jaa'n kabhi dil k dard say haar ker Main to khanqaoo'n pay mangta phira man-natain Kabhi raat raat basar duaoo'n main ho gaee Kabhi qaaflay mairee aas k kisi dasht-e-yaas main kho gaey Mara pairhan tha phata howa kahi'n gard gard atta howa Main adhooray pan ke saraab main Tujhay dhondta phira dar badar Kisee ajnabi ke diyaar main Koi dukh mila kisee mor pay,koi gham mila kisi chok main Kisi rah guzar ke sakoot main koi dard aa ke dara giya Kabhi chal para, kabhi ruk giya, kisi kashmakash ke ghubar mein Mujhay kia mila tairay piyar mein Main girah main bandh k haadsat Kahi'n gum howa tairee khoj main!! |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
34
|
|
Posted on:16th Jul 2008, 4:18pm |
|
|
farz karo...!!! farz karo...!!! tum kuch na pao, apna aap luta kar bhi! farz karo koi mukar hi jaye, sacchi qasam utha kar bhi! aur farz karo, yeh farz naa ho, sacchi eik haqeeqat ho! teray ishq kay har raastay par janaa aik qayamat ho! aur suna hai..... yeh qayamat khoon jigar ka peeti hai! tum toh jana farz karo gay, mujh pe yeh sab beeti hai....! |
sweetie
|
Group: Members Joined: 13th Jun, 2008 Topic: 11 Post: 509 Age:
34
|
|
Posted on:16th Jul 2008, 4:49pm |
|
|
fatwa aor taqwa zara si cheent kapray par pari napak pani ki
to hazrat BU HANIFA ne usay dajlay pe ja dhoya
koi bola keh "fatwa ap ka kehta hai pak is ko"
to farmanay lagay hans kar "ye TAQWA hai, wo FATWA tha" |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
34
|
|
Posted on:16th Jul 2008, 4:52pm |
|
|
UsseY FursaT nahi Milti UsseY mein YaaD Aata hooN MaGaR . . . . FursaT k lamhoo'N mein . . . . auR . . . . Ye Bhi haqeeqaT hai' "UsseY FursaT nahi Milti ". . . .. |
pinky7861
|
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:16th Jul 2008, 5:11pm |
|
|
.........continued from...UsseY FursaT nahi Milti Aur yah bhi haqeeqat hay'
Kay fursat Mil nahi sakti''...
Zahir si baat hay...
mairay derjan bher bhanjoun kay sath.....
"WO" kahan farig hoti hay...
hahhahaha lolzz |
doctorpk
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 25 Post: 591 Age:
43
|
|
Posted on:16th Jul 2008, 5:22pm |
|
|
Follow Veer Instructions
Veer is a moderator of this forum. One of junior moderator has deleted the following Veer Announcement. I have restored this again.
Veer: All members
...........This Thread is closed now............
This thread is Start again: Apne Honton par Sajana Chahati Hun(Continued Again)
***************
All junior moderators and members who have facility of edit and delete are requested not to delete any moderator's (like Veer) post. and follow the instructions of all moderators including Veer.
|
pinky7861
|
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:16th Jul 2008, 5:29pm |
|
|
To doctor PK Sir,
Main nay bhi veer ki post kay foran baad aik post ki thi jis main likha tha kay yah thread ab chatting kay corner main shuru ker dain, tu uss ko bhi delete kia gaya hay.
uss ko bhi restore kerain, werna yahan loag ziadater, including veer, yah samajtay hain kay main moderator houn aur main veer ki ki gai posts delete kerti houn, jabkay mairay farishtay bhi nahi jantay kay yah sab kon ker raha hay. |
made4u
|
Group: Members Joined: 12th Aug, 2008 Topic: 12 Post: 443 Age:
|
|
Posted on:15th Aug 2008, 12:20pm |
|
|
pinky7861 ¨Khush Fehmi¨:)
Regards |
made4u
|
Group: Members Joined: 12th Aug, 2008 Topic: 12 Post: 443 Age:
|
|
Posted on:16th Aug 2008, 2:52pm |
|
|
Wish
Kabhi yun bhi aa meri aankh mein ke meri nazr ko kahabar na ho…
mujhe ek raat nawaz de magar uss ke baad sehar na ho…
Tujhe bhulne ki dua karon to, meri dua mein asar na ho…
Kabhi din ki dhoop mein jhoom ke, kabhi shub ke phuloon ko chum ke…
Yunhi sath chalein, sadaa kabhi khatam apna safar na ho..
Mere paas mere mehboob aa, Zara aur dil ke kareeb aa…. tujhe dharkano mein basa loon, tuj se bicharnay ka kabhi dar na ho…….
|
|
|
| |
|