samaira |
Group: Members Joined: 12th Mar, 2012 Topic: 15 Post: 81 Age:
22
|
|
Posted on:18th May 2012, 6:51am |
|
|
Tahajud prayer
Assalamalaikum....kya tahajud meh ki gayi dua zarur khubul hoti hai...koi mujhe batade k kya apne tahajud meh kuch apneliye badhi cheez maangi r apko woh mili hai?...mai ek ladhke se bht pyar krti hun kya mai apni shaadi k liye dua krskti hun k unke saath hojaye..plz suggest..kisiki isse related dua khubul hui ho toh plz bataye..
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 107 Post: 5690 Age:
53
|
|
Posted on:18th May 2012, 7:12am |
|
|
Walekum Assalam dua'aiN to sari qabool hoti haiN. Allah apnay banday ki koi dua rad nahi karta. dua ki qabooliyat k 3 tareeqay haiN
1. jo dua maangi, woh qabool hogayee 2. jo dua maangi, woh manzoor to hogayee, lekin Allah nay yeh monaasib jana k abhi qabool nah karaiN, baad main karaiN 3. jo dua maangi, Allah nay yeh jaana k yeh dua iskay haq maiN behtar nahi hai, lehaza iss dua k badlay kuch aur ataa kardia
iskay elawah dua ki qabooliyat k kuch moqaamaat haiN aur kuch timings... jaisay baitullah shareef maiN maangi jaani wali dua.......deger jaghouN par maangi janay wali dua say afzal hai... issi tarah jumah ko asar ta maghrib aur har raat ko fajir say pahlay...tahajjud k waqt maangi jani wali dua bhi jald qabool hoti haiN... tahajjud k waqt Allah khud kahta hai k koi hai jo mujh say maangay aur maiN ataa karouN.
lekin wazah rahay k tahajjud ki namaaz nafil hai... aur yeh nafil namaaz ossi waqt maani rakhti hai, jab iss say pahlay 5 times ki farz namazaiN ham paRhtay houN... punj waqtah namaazi ko tahajjud ki namaaz jab bhi moqah milay zaroor paRhay aur apnay liyeh, apnay ahlay khana k liyeh aur sab k liyeh dua karay. insha Allah dua qabool hogi.
dua ki qabooliat k liyeh yeh bhi zaroori hai k koshish aur mehnat karkay dua maangi jaa.ay...yani koi students studies to karay nahi ya kaam karay aur namaazouN maiN dua maangta rahay k achi position aa jaa.ay... Allah ki sunnat yeh hai k woh aisi dua qabool nahi kartaa... aap apni shadi k liyeh dua zaroor kijyeh aur saath saath koshi bhi kijyeh aur apnay parents, bahan bhaiyyouN aur azeez rishtah daar say bhi direcly aur indirectly iss qism ki koshihs karnay ko kahiyeh aur saath saath dua bhi karaiN. Allah yaqeenan behtar karega. apni shadi k liyeh direct ya indirect koshihs karna koi bori baat nahi...jaisaa k ham log bilkhasoos larkiyaaN samajhti haiN./
|
greeny |
Group: Members Joined: 29th Apr, 2012 Topic: 3 Post: 12 Age:
27
|
|
Posted on:18th May 2012, 1:14pm |
|
|
dua. Assalam o alaikum. well. me app ko suggest krun gi k ap apne liay achhay mustakbil aur mutmaen life ki dua mango. Shadi to app ki ussi k sath ho gi jis k sath Allah Kareem ne apke couple bna rakha hai. Allah ne sb ko jorun ki surat me paeda kia hai yani apka jorh dunia me hai to wo appko mil kr rhe ga. App bas happy life aur Allah ki raza manga kro. Mangne se sb milta hai. aur sukoon se bri dolat koi nae aur Allah ki raza se barha itmenan koi nae. khush rho.
|
theboy2000 |
Group: Members Joined: 26th Feb, 2009 Topic: 7 Post: 26 Age:
25
|
|
Posted on:18th May 2012, 4:45pm |
|
|
Agreed with myrizvi but.....! I agreed with myrizvi but just want to add few lines.... Dua krny ky baad ya phly... Hum sy, ya, ksi or sy, ya, apne ap sy ye na pochy ky Dua jo apny ki hy wo aayaa Qabool hogi bhe ya nahe.... Daikhy Insan ka Eemaann (Faith)yaha week hojata hy...Apky dil mein aisy sawalat kbhi bhe janam nahe ly gy, agr ap pury jazby ky sath dua kr rhe ho or us duniya ko totally bhul kr matlab apny surroundings ko ignore kr ky dua kr rhe ho tu... Dua ky baad kabhi bhe ap ye kabhi bhe na sochy ky dua qabool hogi ya nahe, kab hogi wagira wagira... Bs yahe dil mei baat ho ky Allah Pak sunne waly hy, Allah Pak Janny waly hy sb kch, wo meri (yani apki) dua zror qabool kry gy or jo bhe Allah Pak kry gy wo beshak Insan ki behtri ky liye he hota hy... Sis Apki bhe Inshallah jo bhe naik or Jaaiz duaien hy wo zror qabool hngi.. Bs apny Emaan ko kamzor hne na dy.
Allah Pak Hm sb ky Eeman ki Hifazat Ataa Farmaye...
|
fahad hussain khan |
Group: Members Joined: 26th Apr, 2012 Topic: 0 Post: 206 Age:
23
|
|
Posted on:18th May 2012, 8:50pm |
|
|
uper sum members ne bht ache reps diye hain samaira ji ap ne bilkul durust kaha waqai sub se afzal dua ka waqt tehjud ka waqt hai.ub sub se afzal bat kehta chalo k apne fasle ALLAH k suprid karde us p chor dein k ee ALLAH KAREM jis main humari bahlae ho humare liyr wohe fasle ata farma to INSHALLAH humein phr koi taqlef nh hoge age jake.
Ub ek our hawala deta chalo k .ALLAH farmata hai " jis ne mujh se dono jhan k bhalae mange( akhrt our dunyawe)to main ise dono jhano main kamyabian ata farmao ga magr jis ne mujh se sirf is jahn k (dunywe) k bhalae mainge main don ga use zarror don ga par akhrat main phr us k liye koi jaga nh hoge"
ub ap samj gae honge. Kiy k jo parwadigar humein 70 maon se bh ziada piyr karta hai to wo apne bunde ka bura kase chah sakta hai.har kam main ALLAH KREEM k bahale hote hai kiy k age k raz wohe janta hai our beshk wohe jan ny wala hai.agr ap k naseb main wo hua to ap ko lazaim mile ga agr nh mila to sakjh lena k age jake wo larka ap k liye sahe sabit nh hota .
Mujhy yaqeen hai k ap sub members k batein sajh gae honge. |
samaira |
Group: Members Joined: 12th Mar, 2012 Topic: 15 Post: 81 Age:
22
|
|
Posted on:19th May 2012, 3:58am |
|
|
JazakAllah 2 all...
mai apsabki baat samjhgayi hun..mai actually bht pareshan hun mai us ladhke k bina nahi jeesakriun..isiliye mai koi mauka nahi chodhna chahti jab mai dua karsakun jo jo khubuliat ka waqt hota hai mai dua krleti hun r al'lah saare namazo ki pabandi karrahi hun r ab jake maine tahajud ka irada krliya hai..yeh sahi hai k jo humari kismat ka jodha hai wahi milega jaise greeny ne kaha hai lekin Allah ne kaha hai hume mangne k liye..hum kya dua krnewale hai r uske kya changes krne hai woh b usne likhdiya hai..toh jab hum mangte hai toh humare dil ko sukoon hota hai k ab maine mangliya hai r woh ise pura krnewala hai lekin agar nahi manga toh doubt rhta hai k yeh hoga ya nahi insan pereshan hojata hai.. |
|