Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Paristaan,Kokaaf

Social Problem
 
 
 
Asim yaqoo Group: Members  Joined: 11th Sep, 2009  Topic: 32  Post: 57  Age:  28  
Posted on:19th May 2012, 4:57am
 

Paristaan,Kokaaf

Asala mualikum


Aaj kafi der key baad main noorclinic per aya hoon

aik sawal hai keh kia dunya main KoKaaf ya Paristan jesay kisi land ka koi wajood hai ya phir ye sirf kahaniyon main he hai?
is liye keh aise kise land ki mojoodgi key bare main hamarey muashrey main kafi kahaniyah mojood hain.
internet per is key mutaliq koi information mere samney se nahi guzre
ager aap ko koi informaion ho to batain.

Siyah Posh Group: Members  Joined: 08th Apr, 2012  Topic: 6  Post: 264  Age:  48  
Blocked
Posted on:19th May 2012, 8:19am
 

kohqaaf

kohqaaf k pahar russia main hain

peristan aik kahayali duniya hai

wesay yeh haqeeqat hai k jinnat ka ziyadah ter basera koh qaaf main hai aur periyan ager hain to waheen hain

ap ko kay zaruret per gai in ki

:):):)

fahad hussain khan Group: Members  Joined: 26th Apr, 2012  Topic: 4  Post: 862  Age:  24  
Posted on:19th May 2012, 1:50pm
 

agr zok rukhte ho kohe kaf ka to phr nafs ko sub se peh jhukana hoga parhezgar bunn na hoga khd k shrmgah k hifat karne hoge.our 5 waqt k nimaz ba jamit parhne hoge nek bun na hoga tb jake jannat k haqdar bunoge pariyan mile tb .

samjh gae na meri bat
psychdoc Group: Members  Joined: 04th Mar, 2011  Topic: 11  Post: 1228  Age:  33  
Posted on:19th May 2012, 11:03pm
 

Koh-e-Qaaf:


Agreed with Siyah Posh .

Koh-e -Qaaf ka pahari silsila Russia ( former Soviet Union) ke riyasat Kazakhstan say start ho kar arctic circle tak chalaa gaya hai.

Koh-e-Qaaf kaa modern naam Ural Mountains hai.

Yeh paharr Asia aur Europe kay border par hain. Yeh illaqa aaj bhee bohot kam abad hai, aur shayed issi wajah say human imagination nay iss illaqa kay baaray mein ajeeb ajeeb kahanion ko janam diya hai.

Jahan tak paristaan kee baat hai, paristaan......

Chalain chorain, jaanain dain!



glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 14  Post: 1080  Age:  26  
Posted on:19th May 2012, 11:28pm
 

paristan ko b discribe karain

psychodoc
as salam oalikum

ku chorain paristan ko ;p usay b discribe karain na .................mujhay b daikhna hai paristan hahaahahahaha

thanks

Siyah Posh Group: Members  Joined: 08th Apr, 2012  Topic: 6  Post: 264  Age:  48  
Blocked
Posted on:20th May 2012, 3:00am
 

Paristan

her aik merd k gher main aik PARI rehty hai ager woh apni biwi se piyar kerta hai to !

aur mera nhn khayal k pari ka koi wajood hai lekin ager ho bhi to shayed hum insan ab is qabil nhn k un pariyon ko handel ker sakain kiun k PARI ka jo consept hai woh bohat hi NAZUK makhlooq ka hai lekin aj kal k merd Allah bachaai jo kuch biwiyon se chahtay hain :-p ager PARIYON se chahain gay to 100 JUTAY mar ker chali jain gi

isi liyay psycho doc ne kaha k chorain PARIYON ko

:):):):)

Siyah Posh Group: Members  Joined: 08th Apr, 2012  Topic: 6  Post: 264  Age:  48  
Blocked
Posted on:20th May 2012, 3:02am
 

fahad hussain

asimyaqoo ne KOH E QAF aur PARIYON ka poocha hai

JANAT ya HOORON ka nhn jo ap ne unhain namazain gin adi hain

:):):)

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6482  Age:  54  
Posted on:20th May 2012, 6:25am
 

pariyouN ki haqeeqat

hamaiN maaloom hai lekin, dil k bahlaanay ko asim, yeh khayaal acha hai :)
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2116  Age:   
Posted on:20th May 2012, 6:30am
 

fahad hussain khan

Aap se request hai k apna reply Title box main nahi Message box main likha karen.
fahad hussain khan Group: Members  Joined: 26th Apr, 2012  Topic: 4  Post: 862  Age:  24  
Posted on:20th May 2012, 12:34pm
 

siya posh

kohe kaf ka us ne pocha bilkul pocha jis ka jawab use mil gaya jo k ap ne dia. Insan k dilchspi kiy barhti hai kise bh jga ko dekh kar zahir us jaga p koi to ase chez hote hai. Darmo main khako main parrio k shehr ko kehte kohe kaf our yea sirf taswuri batein hain hai. Tbi main ise wo rep dia tha. Yaha p sub khayli hai .asal to akhrat main hai ise liye maine use nek ya nimaz ka mashwara dia.
jabirarain Group: Members  Joined: 23rd May, 2012  Topic: 0  Post: 5  Age:  26  
Posted on:23rd May 2012, 9:30pm
 

pariyan and kohkaf

assalam o alaikum...
friends main aap ko batata hon kohkaf or pariyon k bare main pariyan hoti hain ye Deo ki Female hoti jinnat se zayada powerfull hote hain Deo or un main se jo bachiyan paida hoti hain wo pariyan hoti hain or larke Deo or Jinnato ki Duniya main hakumat Deo ki hoti hai jinnat ki nahi yon samaj lain k wo badshah hote hian jinnato main jamuriyat nahi chalti badshahat chalti hai or kohkaf asal main barfila Elaka hai jahan bohat se pahar hain wahan jinnato ki aksiriyat pai jati hai, or Deo k sir pe sing hote hain jaise bail k sir pe hote hain or pariyon k par hote hain jin se wo urr sakti hian....ye bani banai kahaniyan nahi hai it's True
jabirarain Group: Members  Joined: 23rd May, 2012  Topic: 0  Post: 5  Age:  26  
Posted on:23rd May 2012, 9:46pm
 

Fahad Bhai

Fahad bhai aap ki information k liye aap ko bata don aap phaly namaz parh lo phaly sara din Qaran shareef ki Tilawat krlo aap jinnat se nahi bach sakte main kafir jinnat ki baat kr raha hon un logon ne salon ki parhai parh k jama ki hoi hai aam insan musibat main kai parhta hai surat ul jin naas.falak muzammil baqra ayat ul kursi bhai jaan un logon ne itne parh k rekhi hoi hai k aap ki soch hai aap kitni baar parh loge 100 1000 10,000 agy se wo dabal parhai istemal karengy aisa nahi hai k aap ka parha howa kaam nahi dega lazmi dega lakin muakkil utna he kaam karta hai jitni aap usko parhai doge or jinnat apna defaah Quraan paak se or insan ko takleef jadu se dety hain or ye logon ki bhool hai k jinnat gobar khate hai jangal main rehty hain drakth pe sote hain bhai jaan jaise hamari duniya hai waise unki bhi hai bas wo lateef jisam k hain or hum kaseef k,or ye k 1 wo aag se bane hain 2 un main haddi nahi hoti,aag se matlab ye nahi k aag jal rahi hoti hai un ki body main jaise hum mitti se bane hai lekin mitti nazar thoti na ati hai or unko saans ka masla nahi hota hum agar pani main doob jain tu mar jain ge lekin wo zinda rehty hain balke wo pani main bhi saans le sakte hain bhai jaan pore pore mulk badshatain chal rahi hain samandar main jinnato ki in main aap ko har Qisam ka jinnat mely ka muslim hindo esai yahodi matlab jo zat pat hum main hai wo in main bhi hai jahan aap ki soch khatam hoti haina wahan inki shoro hoti hain umeed hai aap samaj gaye honge...
Siyah Posh Group: Members  Joined: 08th Apr, 2012  Topic: 6  Post: 264  Age:  48  
Blocked
Posted on:24th May 2012, 7:34am
 

jabirarain

lagta hai ap ne jinnati kahaniyan bohat perhi hain tabhi aap jinnat se meroob hain

ap ki baton main bohat jagah to khud hadees ki nafi hai

Hadees e Nabwi SAW hai k PATHER AUR KAOILAY se taharat hasil na kero kiun k yeh tumharay bhaiyon ki khorak hai

GOBER k baray bhi kahin perha hai

is k ilawa Allah ne ASHRAF UL MAKHLOOQAT insaan ko banaya hai jinnat ko nhn

lekin insaan ASHRAF UL MAKHLOOQAT tabhi hai jab Allah aur NAbi k rastay per chalay ga werna insan se ghatiya koi nhn

insan ko Allah ne jinnat aur deo sab per foqiyat di hai tabhi ap ne hamesha JINNAT aur deo ko hi MOAKAL dekha hai kabhi kisi insan ko kisi jin ya deo ka moakal nhn dekha

ap ki tamaam maloomat MAWRAAi kahniyon per mabni hain jab k quran is k baray kuch aur kehta hai

Nabi SAW ka ferman hai k jin tumharay sath isi zameen per rehtay hain aur tadaad main tum se kahin ziyadah hain itnay k tum soch nhn saktay

aur tumharay kapron ka phatna bhi un k jisam k ghisnay ki wajah se hai"

insan jab namaz aur quran ki pabandi kerta hai un per amal kerta hai to woh duniya ki her makhlooq se afzal hai werna woh sab se derta hai

jabirarain Group: Members  Joined: 23rd May, 2012  Topic: 0  Post: 5  Age:  26  
Posted on:24th May 2012, 7:46pm
 

Siyah posh

assalam o alaikum...
bhai jaan ye hadees he jhooti hai ek baat batao Allah rabbul izzat Surat ul Rehman main farmate hain k tm meri kon kon se nematon ko jhot lao ge tu bhai jaan jinnat Qayamat k din agar sawal kr lain k ya allah konsi nemat koila or gobar is k ilawa hum ne kahaya he kai hai o mere bhai hamari tarah wo bhi duniya ki har nimat use krte hian or rahi baat main ye sab Q janta hon tu bhai jaan mere walid sahab Alim or amil hain hamara kaam he yahi hai 24 hours larai hai hamari jinnato se or muakkil aap ne nahi dekha hoga lekin maine dekha hai or ek baat or muakkil kabhi apni shakal main nahi ata hai uska apna face tu aap dekh he nahi sakte itna jalali hota hai bhai jaan sara khel parhai pe hai Quraan paak ki har ayat ka ek muakkil hota hon jo us ayat k tabeh hota hai agar kise ko doraa para wa ho or aap us pe reham krne k mutalik koi ayat parh rahe hain tu wo kaise bhage ga us k liye aap ko maar dhaar wali ayat parni hogi jis se us ayat ka muakkil us pe wohi action lega jo us ayat ka matlab hoga or janab Allah k karam se pori jinnat or muakkil ki army jama kr k ye kaam kr rahy hain hum 34 saal ho gaye mere walid ko is field main or mujh ko 8 saal enki nas nas se wakif hon....
jabirarain Group: Members  Joined: 23rd May, 2012  Topic: 0  Post: 5  Age:  26  
Posted on:24th May 2012, 7:54pm
 

ASHRAF UL MAKHLOOQAT

jee mere bhai ye sara phadda esi baat ka tu hai k insaan ASHRAF UL MAKHLOOQAT hai es liye kafir jinnat insaan ko tang krte hain yaar ek baat batao aap unko dekh nahi sakte kuch kiya nahi aap ne tu wo Q hamari behan beti bachon jawano ko tang krte hain or darama ye krte hain k humara yahan ghar tha issne yahan pesaab kr diya ye kr diya wo kr diya ye sab inki darama bazi hoti hai or kuch nahi hum jinnat ko nahi dekh rahe lekin wo tu hame dekh sakta hai haina,agar aap ki nazar khuli hai agar aap ko jinnat nazar ate hain tu phir main dekha sakta hon aap ko Deo bhi pariyan bhi or kokaf bhi bhai jaan Bohat taqat hai Quraan paak main yahan pethy muakkil aap ko Amrica ghoma sakte hain kis duniya main ho aap.or jo technology jinnat use kr rahy haina medan e jang main aap ki soch hogi aap ek autom pe khush ho rahe ho inki tu ek goli bhi autom ki hoti hai or 10 10 tu in k narkhate hote hain 1 dil tu in k blood ko pump bhi nahi krta 4 4 dil hote hain 3 month main bacha paida hota hai or 3 saal main jawan hum se zayada nahi jante aap mere bhai...Daily ka wasta parta hai hamara hazaro mareez ate hain hamare pass...
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2431  Age:  48  
Posted on:26th May 2012, 6:50am
 

jibran arain

ap ka kya kiya jai kiun k na to ap ko quran ki samjh hai na Allah ki banaai hui makhlooq ki

is liyay ap se behas nhn ho sakti jo ap sahi hain au rhum ghalat hain

fahad hussain khan Group: Members  Joined: 26th Apr, 2012  Topic: 4  Post: 862  Age:  24  
Posted on:26th May 2012, 12:36pm
 

wehshe bhai

durust kaha ap ne bilkul pehly maine bh socha keh dalo khc par chore agla bh to khc sune na.
fahad hussain khan Group: Members  Joined: 26th Apr, 2012  Topic: 4  Post: 862  Age:  24  
Posted on:26th May 2012, 12:38pm
 

wehshe bhai

durust kaha ap ne bilkul pehly maine bh socha keh dalo khc par chore agla bh to khc sune na.
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012