Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Zia ul Haque: Pakistan President General Islamization and Death

Politics   >>  Political Leader
 
 
* Noor Clinic *
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:7th Aug 2009, 5:50am
 

Zia ul Haque: Pakistan President General Islamization and Death

General Zia ul Haque sahib jo keh president of Pakistan the, onho ne Zulfiqar Ali Bhutto ka takhta ulat ker iqtadar sanbhala tha, Pakistan mai Islami nizam raij kia, aur 17 August ko aik plane crash mai on ki death ho gaya tha. kai aap batai ge keh

  1. Gen Zia al Haq ne Zulfiqar Ali Bhutto ka takhta ulat ker sahi kia tha ya ghalat?
  2. President Ziaul Haque ka Islami nizam (zia islamization) kaisa tha?
  3. President of Pakistan Zia ul haq death by plane crash: kia yeh ittefaqi hadsa tha ya sazish thi?
  4. Gen Zia ul Haq ka daur ziadah achcha tha ya Gen Pervez Mushurraf ka daur?

Ziaul Haque Pakistan President General Islamization and Death

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:7th Aug 2009, 6:00am
 

rE:

"Gen Zia ul Haq ka daur ziadah achcha tha ya Gen Pervez Mushurraf ka daur?"

General Zia-Ul-Haq ka dour buhot acha tha.jahan tak maine suna hai....
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7703  Age:  55  
Posted on:7th Aug 2009, 9:13am
 

zia ul haque shaheed

1. bhutto marhoom k aahkri daur ki sooratay haal jannay k liyeh oss daur k akhbaraat ki files molaahizah karaiN....

a) zia k aanay say qabal khud bhutto nay karachi, lahore aur rawalpindi maiN marshal law lagaa kar khud dunyaa ka pahlaa marshal law admininistrator ban baiTha thaa... aur faujaiN awaam k saamnay khaRi hogayee theeN... hatta k aik jagah aurtouN k jaloos nay jaloos roknay walay faujiyouN ko chooRiyaaN pesh ki theeN

b) bhutto khud "elected hukmran" nahi thaa. oss election maiN mujeeb nay bhutto say dugni seats leeN thee... magar bhutto nay pakistan ko toR kar "west pakistan" ka hukmraan ban gayaa thaa.... agar bhutto jamhooriyat ka champion hota to mulk TooTnay k baad "baqya pakistan" maiN new election karwataa.

c) bhutto k 6 salaah daur maiN awaam par zulm o sitam dhaye gayee... mufti mahmood ki NWFP ki soobayee hakoomat toRi gayee, balochistan maiN fauj operation howaa, ANP k khilaaf baghawat ka moqadmah qaim howaa... hatta k ppp k ilawah tamam political parties nay anti-bhutto compain chalayee... PNA k naam say election laraa... jiss maiN sakht dhaandli howi... bhutto (pm) aur charouN CM k moqaablay main kissi ko paper submit karnay nahi dia gayaa aur yeh pachouN unuppose "ELECT" hogaye.

d) bhutto k khilaaf post election tahreek chali.... opposition allies PNA nay baqaidah fauj say modaakhelat ki apeal ki, zia ko khatoot likhay.... tab jaa kar zia nay marshal law lagayaa aur khud hakoomat aik "civil marsha law administrator" (bhutto) kay hathoun say cheen lia

e) bhutto pakistan ka wahid "declared sharbi hukmraan" thaa. oss nay bharay jalsay maiN openly etraaf kia k ... haaN woh sharaab peeta hai.... islam main sharaab peenay ka iqrar karnay waloun ko koray lagaa.ay jatay hain.... ya jo peeta howaa gawahouN k saath pakRa jaa.ay

f) bhutto pakistan ka woh pahlaa political leader thaa jiss nay apni hi party k leaders par sarkari tashad.dud karwayaa.... nawab Muhammad khan qasoor ko qatal karwayaa aur oski file par apnay haath say ossay khatam karnay ka "tahreeri order" dia. nawab Muhammad khan k qatal par bhutto k khilaaf FIR bhutto hi k daur main darj howi aur file sard khanay maiN paRi rahi... zia nay issi file ko open karwayaa.... nichli adalat say supreme court tak tamaam adaaltouN nay iss qatal k ilzaam maiN bhutto ko maut ki sazaa dee.... nusrat bhutto nay "sadar zia" ko iss saza ki maafi ki darkhaast bhi dee jissay sadar zia nay mustarad kardiaa.... tab yeh baat mash'hoor thee k k qabar aik hai aur laash do (bhutto aur zia)... kissi aik ko to qabar maiN janaa hi hai

yeh tamaam batain pakistani aur international press maiN mahfooz haiN agar kissi ko shak ho to library ki files main check karlay... being a journalist ...mujhay yaad hai sab zaraa zaraa, tumhaiN yaad ho k nah yaad ho....

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7703  Age:  55  
Posted on:7th Aug 2009, 9:32am
 

zia ki shahadat

3.plane crash aik saazish thee jiska master mind bhutto k beTa zulfiqar (Al-zulfiqaar) thaa jiss nay bbc aur deger nasharyaati adrouN ko interview maiN kahaa thaa k woh zia ko oraa degaa.... zia k saath iss crash maiN army k top journal bhi shaheed howay.... Al-zulfiqaar ki mo'aawnat usa samait kaii baironi quwwatouN nay ki.... zia plane crash ki tahqeeqaati reports published bhi maujood haiN

4. zia daur k baRay kaarnaamay:

a) pakistan nay atomic bomb project complete kia (iss project ka aaghaaz bhutto nay kia thaa...... tamaam takmeeli maraahil zia daur maiN howay ... aur nawaaz shareef nay atomic dhamakaa kia)

b) pakistan army ko mazboot kia ... bhutto nay pakistan army ko kamzore kia, east pakistan main fauj ki shikasht main aham role adaa kiaa aur 90,000 faujiyoun ko 'zabardasti' india ki qaid maiN bhejaa thaa.... pakistan toRnay k teen internation kirdaar... bhutto, mujeeb aur indra gaandhi... teenouN ka hashar dunyaa nay dekhaa teenouN ki family bhi 'tabaah" howi

c) ussr (russia) ko nah sirf yeh k afghanistan main rokaa (pakistan main daakhil nah honay dia) balkay ussr k TokRay Tokray karkay oskay qabzay say kai muslim reyaastouN ko azaad karwayaa.... agar ussr pakistan maiN enter hojata to iska hasher woh iraq aur afghanistan say boraa kartaa

d) pakistani qaum ko bhutto daur say nijaat dee.... bhutto daur maiN sharaab o shabaab ka dhandah orooj ki taraf gaamzan thaa... karachi main juwwa ka aalmi level ka aDDa (cassino) ki bunyad rakhi... sharaab ki dokaanaiN aam thee........... (aakhri daur main jab takht takhtah ban rahaa thaa takht /jaan bachanay k liyeh oss nay muslim awaam ko bewaqoof banaanay k liyeh jummay ki chutti ka elaan kia sharaab par pabandi lagayee etc etc)

e) pakistani ayeen ko mokammal islamic banwayaa... nizaamay salaat (namaaz) qaaim kia, zakaat ka adarah qaaim kia... mulk ka majmooyee rung islamic kia.... afsos k (so called) deeni /parties nay bhi zia ka saath nah diaa... secular /bay deen parties to thee hi oss k khelaaf.... woh pakistan ka pahlaa aur (taa haal) aakhri tahajjud guzaar namaazi hukmraan hai

f) zia nay 2 super powers k daur main aik qareebi super power ko shikasht dekar paksitan ko bachayaa... musharraf nay kosoun door walay wahid super power k aik telephone call par pakistan ko oski goad maiN Daal kar issay tabaah kia.......... aayeenay pakistan toraa.... pakistan k CJ ko giraftaar kia, adalyaa /media par zulm o sitam kia etc etc ... mush k mazalim ki fahrist abhi lambi hai

waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  32  
Posted on:7th Aug 2009, 12:27pm
 

General Zia ul Haque President of Pakistan Islamization and Death

rizvi bhai very very good reply thank you.

bewaqoof bhai jwab mulahiza frmayegaa.

01.100% sai kia tah.

02.zaber dast behtareen tah.

03.100% sajish thi.

04.ganeral pervez ka daur q k in k daur me bhut craption bhut kharabii hogy jab k marhoom k daur me halaat kafii ache the.

Azfar-K Group: Members  Joined: 01st Mar, 2009  Topic: 3  Post: 767  Age:   
Posted on:7th Aug 2009, 2:20pm
 

re:

Bohot acha reply kia apne myrizvi bahi.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:7th Aug 2009, 3:18pm
 

excellent myrizvi

mai myrizvi se agree karoo ya na karoo, lekin yeh zaroor kahoo ga keh myrizvi ki explanation and reasoning excellent hai.
Ahmad Lati Group: Members  Joined: 24th Mar, 2009  Topic: 13  Post: 73  Age:  23  
Posted on:7th Aug 2009, 7:29pm
 

very good

my rizvi bhai aap ko to syasut main hona chahye very good
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7703  Age:  55  
Posted on:8th Aug 2009, 2:10am
 

thanx all

Bewaqoof ... ap ko bhai kaisay kahoun? kaheeN log mujhay Bewaqoof ka bhai bewaqoof nah kahnay lagaiN :)

jab ap nay aik topic start kia hai to aanay walay jawaabat say yaa to agree karaiN yaa dis.agree....... agree karnay ki soorat maiN mazeed kuch kahnay ki zaroorat nahi hoti albattah dis.agree karnay ki soorat maiN baat daleel, shawaahid pesh karni paRti hai

myrizvi ki reply say agree aap karnaa nahi chaahtay, dis.agree ki soorat maiN ap k pass dalaail o shawaahid haiN nahi lehazaa yeh gol mol reply likh dia k ... agree karoo ya na karoo,..... ap ki issi harkat ki binaa par to nah sirf doosray balkay khud ap bhi apnay aap ko Bewaqoof ... kahalwatay haiN lol

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:8th Aug 2009, 8:47am
 

Nothing wrong in this world

Myrizvi: meri nazara mai har koi apni apni jagah sahi hota hai, ls tarah mai aap se agree kerta hoo keh aap apni jagah bilkul sahi hai. lekin agar koi doosra member reply kerta hai jo keh aap ke reply ke bilkul opposit ho tu mai os se bhi agree kerta hoo, kio keh meri nazar mai woh bhi apni jagah sahi hai.

mai jaanta hoo keh, meri baat aap ke oopar se guzar rahi hai, isi liye aap osi jaisa comments ker rahe hai, khair koi baat nahi, aap apni jagah bilkul sahi hai ...... Nothing wrong in this world.

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1177  Age:  38  
Posted on:8th Aug 2009, 10:52am
 

Waqat nay batea hai kon sahee kon galt....

Answer1-

 

General Zia Ul Haq nay ZA Butto ka takhta ulat ker intahahee galt kaam kia

Choonkeh Z.A Butto ki hakoomat aik awami hakomat thi agar wo sahee kam nahee bhee ker rahee thi tou next election mein awam oas ko reject ker daitay .Oas kay sahee oar galt kaam ka faisla kernay ka haq sirf   awam ko hai na keh Chief of Army Staff ko.

Duyea kay kissi bhee mohazab molk mein aisa naheen hota.Humaray haan democracy ko aagay barnay naheen dia gia. ZIA kay iss iqdam say jamhori kadray tabah hogahee ..Idaray sirf aik fard e wahid kay hokkam kay mohtaj hogahay

 

ZA Bhutto ki ajj bhee maqboliat ossi tarah qahim hai oas ki party kay omeedwar kamyab hotay hain oar oas ki barsi per her saal lakhoon loaq fateh khawani kertay hain

Yea aik tarikh ka sach hai keh Bhutto ajj bhee awam kay dilloon mein zinda hai.

 

Magar Jab hum daikhtay hain Zia Ul Haq ki janib tou ajj oan ki baqqiat bhee oan ko apna rehnma naheen manti…Khoud oan kay sahbzaday Ijaz Ul Haq kay lihay sirf aik nishist jeetna bhee moshkil hojata hai.Agar Awam Mr.Zia say mohabbat kertay ya on ko pasand kertay tou on ki baqiat faghar say on ko apna rehnma samjhti.

Mujjay tou oan ki barsi per bhee oan ka chahnay walah kohee nazar naheen aata.

 

Mein hairat ki ata gehrihoon mein doob gia jab mein nay aik post mein paraha keh ZA Bhotto kay jarahim mein aik yea bhee tha keh onhoon nay Sarhad mein Mufti Mehmood ki hakoomat ko khttam kernay ki koshishain ki tou kia iss joram mein app kissi ki hakoomat ko khattam ker k oas ko takhta daar per poncha saktay hain…..Yea jorram tou ZIA nay bhee kia jab onhoon nay ZA bhotto ki hakoomat khattam ki.

 

Ajj yea aik khuli haqeeqat ki tarah hai keh ZA Butto ki Phansi aik adalati murder tha….

Ajj kohee lawer is case ko as a reference use naheen ker sakta .

 

Zia nay ZA butto ka na sirf takta ulta balkeh oan ka qatal bhee kia….Dunyea ajj bhee Zia kay iss amal ko tareegh ka aik sia baab kay toar par janti hai…..oar Bhutto ko ajj bhee achay lafzoon say yad kerti hai

Yahee aik aamer oar awami admi mein farq hota hai......(jari hai)

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:8th Aug 2009, 12:50pm
 

zia ul haq

 i dont like him..wo ek zaalim insaan tha,

usko Parevez Musharaf ke sath compare karna ziadti hai,,,ab jisse mirchain lag rahi hain use lagti rahain.maine to bas apni raye di hai..

...usne jis tarah Bhutto sahib ko qatal kiya,wo ek zalim insaan hi kar sakta hai

mai nahi janti bhuuto ki hukumat kaisi thi,par itna janti hun ke unhe aj bhi ache words me yad kiya jata hai.that is enough for me.aur pehli bar mai kissi se zia ul haq ki tareef me sun rahi hun.warna maine uske bare me hamesha hi nagativ suna hai.

unki death .ke bare me meri ye raye hai.ke Allah ka insaaf...uski maut sazish hui ho ya hadsa..fact is ke uske jisam ka ek purza nahi milla..!!

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7703  Age:  55  
Posted on:9th Aug 2009, 2:38am
 

personal liking /disliking

aik alag cheez hai...... log to sharaab ko bhi like kartay haiN aur sharabi ko bhi lekin iss zati pasand say sharab aur sharabi kabhi bhi aur kissi bhi ikhlaaqi qanoon k tehat ACHAA nahi hosaktaa.

z.a.bhutto ki jinn khamiyoun ka maiN nay ooper zikar kia hai, kissi nay ossay ghalat qarar nahi dia woh aik tareekhi haqeeqat hai........ issi tarah zia ul haq ki khoobiyaan bhi aik tareekhi haqeeqat hai.... bhutto ko aik qatal k jurm maiN adalat say sazaa howi thee... yeh qatal bhutto k tahreeri hukm par howaa thaa aur iski FIR bhutto k daur main hi darj howi thee.... jabkat zia ul haq k jahaaz ko al-zulfiqar nay apnay pakistan dushman dostoun ki madad say orayaa thaa... yeh bhi open history hai

bhutto aur zia ka faraq tareekh ki kholi haqeeqat hai. issay maannay nah mannay say koi faraq nahi paRtaa.... agar mera koi bhai Dakoo ho, qaatil ho aur adalat say ossay phansi ki saza hojaa.ay.......... tab bhi zati haisyat mainagar maiN yaa meri family apnay bhai ko pasand kartay rahain aur ossay achaa kahtay rahaiN to kahaa karaiN.... oss say meray bhai k gunaah kam /khatam nahi hosaktay nah hi woh achaa ban sakta hai

waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  32  
Posted on:9th Aug 2009, 4:28am
 

yes yes yes agree100%

rizvi bhai bhut bhut khoob.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7703  Age:  55  
Posted on:9th Aug 2009, 5:54am
 

bhutto aik nazar maiN

1. ayyub khan, fauji aamir ko dady kahta thaa aur oski hakoomat maiN shamil tha... wow kaisa jamhoori champion tha

2. 1970 k election maiN jeetnay wali party awami league / mujeeb ki election main kaamyaabi ko tasleem nahi kia aur elaan kia k jo MNA dhaka assembly attend karnay jayega oski TaangaiN toR di jayengi... wow kia jamhooriyat ka champ tha

3. 1977 k election maiN zabardast dhaandliyaaN karwaa yeeN... 4 CM aur khud PM rahtay howay apnay moqaabil kissi ko paper daakhil nahi karnay dia aur 5chouN "bila moqaablah" jeet gaye... wow kia democratic champ tha

4. apni hi party k baani leaders kop apni hi hakoomat k FSF say piTwayaa

5. apnay dauray hakoomat maiN press par pabandi lagwayee

6. apnay mokhalif "molvi leaders" ko arrest kia, onkay  pass nangi tawaifaiN bhejee kar tasweer khichwayee

7. sharaab o shabaab ka rasyaa bhutto bharay jalsay maiN sharaab peenay ka elaan /etraaf kia... aur aik stage show maiN aik bengali female singer k saath stage par dance kia... singer oss say dar kar dacca "faraar hogayee"

8. jawani maiN aik irani club dancer ki dancer beti (nusrat bhutto) par lutto howaa aur oss say shadi ki to bhutto k bap nay ghar say nikaal diaa... nusrat bhutto ki dancer mother ki harkatouN say sharm.saar oskay irani profesor shauher nay karachi maiN khud.kashi karli thee.

9. bhutto sunni family say thaa... nusrat bhutto shia thee... bhutto ki aulaad including benazir imaam baargaah bhi jati thee aur masjid bhi.... yaani bhutto ko apnay kissi bhi mazhab say dilchaspi nah thee... pakka sunni hotaa to nah shia say shadi kartaa aur nah apnay bachouN ko majlisouN maiN janay detaa... agar shia mazhab say lagaa'o thaa to apnay bachouN ko sunni masaajid maiN nah jaanay detaa.... jiss fard ko apnay deen say dilchaspi nah ho oska character kia hosakta hai.... wazah rahay k aik "deen.daar" (khah woh sunni ho yaa shia) apnay mazhabi aqeeday par sakhti say qaaim rahta hai woh doosray maslak jaisee nah to ibadat karta hai aur nah onkay ibadat khanouN maiN jana pasand karta hai.... yeh double policy kaun karsakta hai???

10. bhutto ko aik qatal case maiN phansee ki sazaa, high court aur phir supreme court say milli.

11. seyasat.daan nah to jail say dartaa hai nah maut say.... magar phansi say qabal oss nay nusrat bhutto ko maafi naamaa day kar zia k pass bhejaa.... kaun saa bahadur seyasat.daan apni jaan bachanay k liyeh apnay mukhalif aur dushman k pass apni biwi ko maafi naamaa lay kar bhejtaa hai.... aj log ghalat kahtay hain k bhutto nay maafi nahi maangi... phansi say qabl k tamaam pakistani akhbaaraat ki files gawaah hain k nusrat bhutto nay bhutto k kahnay par maafi naamah lay kar zia k pass gayee thee.

12. bhutto nay pakistani fauj ko tabaah kia... zabardasti aur jaan boojh kar 90,000 fauji india ki qaid maiN karwayaa... mujeeb (west) pakistan ki qaid maiN thaa jab dacca fall howaa.... oss nay mujeeb ko choRnay say qabal sauday baazi nahi ki aur youN hi chor dia.

fahrist etni lambi hai maiN likhtay likhtay aur members paRhtay paRhtay thak jayengay. bhutto ki khamiyoun khatam nahi hongee.

waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  32  
Posted on:9th Aug 2009, 6:10am
 

arey zber dast rizvi bhai

laghta hy k ap k pas sare saboot baa hawala aakhbarat mojood hy iss ka mutlub k app kafi interest hy in syasi muammalon me(;
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7703  Age:  55  
Posted on:9th Aug 2009, 7:55am
 

waseem bhai

I'm student of journalism... student say ap school college wala student mat samajhyegaa lol. bhutto k pooray daur ka chashmay deed gawaah houN. meray zati library maiN to bhutto k moqadmah qatal tak ka poora record mahfooz raha hai... abhi to haath haulaa rakha hai... lekin agar zaroorat paRi to mihibbanay bhutto ko bhutto ka asal chehrah bhi dikhlaa saktaa houN :)

iss thoRay ko poora samjhyeh... kahaaN bhutto aur kahaaN zia-ulhaq???

waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  32  
Posted on:9th Aug 2009, 9:04am
 

great uncle g

bhutto k pooray daur ka chashmay deed gawaah houN

ab to apko bhai ny uncle khena paregaa(:

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:9th Aug 2009, 11:00pm
 

rizvi bhai

kya ap ye kehna chahte hain ke bhutto ke phansi lagne me zia ul haq ka koi hath nahi tha??

i have seen an interview..of a man who has followed the last 10 days of bhuttos life.

mujhe yad nahi hai shahid wo jailer the ,aur unhe zia ul haq ke kehne pe unhe bhutto ki hifazat ke lye rakha gaya tha.unhon ne tv pe ek interview me tafseel batai thi,aur ye bhi bataya ke bhutto ne bhook hartaal ki hui thi aur kayi dinon se khana nahi khaya tha (maby is lye take unki phansi rukwa di jaye, ya mazeed time barha diya jaye) aur unhon ne ye bhi kaha ke admi jiski phansi likh di gayi ho,aur wo phansi ke din ya pehle bemar ho jaye to use phansi nahi di ja sakti,phansi ke lye insan ka medical fit hona lazmi hai.,aur is sab ke bawajood bhutto ko phansi di gayi..is ke piche zaroor koi wajah thi...

Bhutto ko jis waqt phansi di gayi,wo khud apne paun pe chalne ke kabil nahi the,wo itne kamzor ho chuke the ke unhon do logon ke saharon se phansi ke takhte par le jaya gaya...aur unhe phansi di gayi..

ye sab Halaat is bat bat ka saboot hain,ke phansi dene wale log/ is ke piche kaun hai( i think zia ul haq)wo jald se jald bhutto ko phansi de dena chahte the.

aur is sari surat-ehal pe ek book bhi shaya hui hai,aur uska naam bhi kuch yehi hai,last 10 days of bhutto.is interview me ye bhi kaha gaya,kyoonke wo bhutto ke last 10 days unke sab se ziyada kareeb rahe the,islye unhe halaat ko mad-enazar rakh ke yaqeen tha ke Bhutto pe jhoota ilzaam tha.

 

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:9th Aug 2009, 1:10pm
 

re

arey bhai logo, boht mehnat se ek post likh dia.... lekin post karte waqt logout ho gaia tha... :(

khair ab es baat se kaam chala loonga, k myrizvi is hundred percent correct.....

mujhe pakistan k siasatdaanon ki hukoomat se aamri hokoomat pasand hai...... kam az kam jo kehte hain woh karte to hain, kisi se koi baat chupi to nahi hoti...... ..... i solute to Ayoub Khan, Ziaul Haq, and Musharaf.............

agar aaj Musharaf ko aaj ki democracy phaansi bhi deti hai, to main samjhoonga k un se mulk ki difaa k lie apni jaan di hai................ aur woh ek shaheed ki mout marega.... aur hamesha zinda dilon ki dilon main zinda rahega....... aaj k edit siasat daanon k lie bhala hi woh mar jaie... lekin us ka name pak logon k pak dilon main hamesha zinda rahega......



Moderator Note: Don’t use abusive language.


For Detail Click On Page No: 1 2 3 4  >>
 
 
 
 
Pakistani Singer In UK  How To Get Visa For China  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014