Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
  Start New Topic  My Profile
   

Zia ul Haque: Pakistan President General Islamization and Death

Politics   >>  Political Leader
   
  10 Paigham e Quran and Hadees
 
love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1177  Age:  38  
Posted on:19th Aug 2010, 8:55am
 

Qoum

ko youm e Nijjat Mobbarak ho....Oar Meri dua hy keh iss molk per kabhi bhee kissi dictator ka saeya bhee na parhay.....Dictators Ayub ho Yaha Khan ho Zia ho ya Mosharaf ho sab nay iss molk ko tabah karnay mein kohee kasar naheen choari
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:19th Aug 2010, 9:23am
 

ayoob khan

pakistan ki History meah or pakistan ki boniyaad meah or progress meah jetna kerdar Ayoob khan khaa hay kisi ka nai or jetny pakistan kay major progects hen wo b ayoob khan kay dor meah buny ayoob khan kay bahd koi major dam tuk ni buna pay abi tuk, pakistan meah Jumhooriyaat punap he nahi sukti especially nation kay leyeh or molk pay ek boj hay jumhooriyaat jesi k pakistan meah hoti hay, yeh wizaartin yeh thaat baath wuzeer musheer or nokuro or murahaat or khotiyaan bungly yeh sub pakistani nation pay ek boj hen, dictators achy nahi hoty lakin meah pakistan meah es parlamani nizaam ko acha nahi sumajta jaha jageer dar sumayaa daar khaan surdaar chodri khaan, he bathy hon,
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4259  Age:  29  
Posted on:19th Aug 2010, 11:33pm
 

rEp |~

Jis din jamhoriyat nay waaki mein awaam ka ban k dikha dia us din app dictatorship ko jo chahay bol dena. Filhaal jamhoriyat se behtar dictatorship hai, kam se kam awaam ko kuch tou khushi milti hai na k sari hi pareshaniyan......

Ab sab Musharraf ki hokomat ko yaad kar rahay hain, aur pukaar rahay hain, kahan ho tum kahan ho tum......tumhari kayadat hi behtar thi ajki aur pehle ki kayadaton se .......jaldi aoo aur hamain cheeni wapis se 27 rupee kilo do hamain fruit chaat banani hai ramzan k waastay.....warna in jamhoriyat k dawadaaron ki sugar mills nay cheeni 75 rupee kardia hai aur baat kartay hain jamhoriyat ki.......tandori roti 2 rupee ki kardi hai magar iski aar main coruption ki inteha hogae.....etc

Missing you Musharraf........Where Are You Baby.......Come Back..........


AppkaDost Group: Members  Joined: 18th Jul, 2009  Topic: 24  Post: 281  Age:  37  
Posted on:21st Aug 2010, 6:34am
 

Dr.Qasim oar Dictator ki Mohabbat

Rep:Pakistan ki History meah or pakistan ki boniyaad meah or progress meah jetna kerdar Ayoob khan khaa hay kisi ka nai

Yea jan ker aik afsoosnak hairat hohee keh Pakistan ki History oar iss ki bonyad mein jitna kardar Ayoob Khan ka hy kissi oar ka naheen yehni Ayoob khan ka Pakistan ki History mein oar iss ki bonyad mein jo kardar hy woo Liaqat Ali khan ,Abdul Rab Nishtar tou kia khoud Quaid e Azam ka bhee naheen  ....ina lillah e wa inha ale rajhoon ...

Rep:or molk pay ek boj hay jumhooriyaat jesi k pakistan meah hoti hay, yeh wizaartin yeh thaat baath wuzeer musheer or nokuro or murahaat or khotiyaan bungly yeh sub pakistani nation pay ek boj hen.

Tou kia Dictator kay doar mein wazir mashir murahat khotihan oar bunglay yea sab naheen hotay ,Ayub khan ,Zia ul Haq,Akhter Abdul Rehman  Oar Mushraf ki ja'hidad kay asasay kahan say kahan ponch gai ,Hakommat e Pakistan say pension lainay walay industries kay malik ban gai Gohar Ayoob Gandahara Industriess kay malik hain jahan motor cars tyyar hoti hain ,Akhter Abdul Rehman Pakistan Pepsi Industries kay sath kahee group of industries kay malik hain yea tamam loaq her Election ka kharcha effort bhee karta hain yea arb pati kaisay ban gai????

Re:lakin meah pakistan meah es parlamani nizaam ko acha nahi sumajta jaha jageer dar sumayaa daar khaan surdaar chodri khaan, he bathy hon,

Kia dictator ki qahim shuda parliment mein jagirdar sarmyadar naheen hotay agar Ayoob +Zia+ Moshraf ki parliment ko daikhain tou in mein Z.A Bhutto , Ghulam Mustafa Jatoi ,Ghulam Mustafa Ghar,Nawaz Sharif,Yousaf Raza Gailani Amin Fahim samait kounsa wadaira oar sarmya dar aisa tha jo parliment mein naheen poncha .

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:21st Aug 2010, 5:51pm
 

re

 Kia dictator ki qahim shuda parliment mein jagirdar sarmyadar naheen hotay agar Ayoob +Zia+ Moshraf ki parliment ko daikhain tou in mein Z.A Bhutto , Ghulam Mustafa Jatoi ,Ghulam Mustafa Ghar,Nawaz Sharif,Yousaf Raza Gailani Amin Fahim samait kounsa wadaira oar sarmya dar aisa tha jo parliment mein naheen poncha .

agreed Allah he Pakistan or pakistani nation pay apna kuram kury hudayt day

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:21st Aug 2010, 7:12pm
 

Golden Period of Pakistan

ayoob khan ka Period pakistan ka Sonehri dor thaa lakin jub zulfiqar ali bhoto nay ayoob khan say ghudari ki tu pher molk meah fusaad purpaa keya ghiyaa, student organizations kay zuryeeh molk kay halat khurab keyah gay , khoon khuraba keya ghiyaa , colleges or universities ka aman os tiem say tubaah hona shoro howa , taleemi edaro meah siyasat ka raaj or potli tumasha os time shoroa howa lakin ayoob khan ka dor jo tha wo pakistan ka behtureen dor raha hay or esko sub tusleem kurty hen,ayoob khan nay pher resign kur deya,  



H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:21st Aug 2010, 7:24pm
 

BHOTO DOSHMAUN

  zulfiqaar ali bhoto pakistan history meah discuss hota ray gaha or osky achy kamo ki tareef or gult kamo pay tunkeed hoti ray gahi koi essi mohaan shiksiyaat nahi kay hum Quseeday he purty rayin, wo ek talented personality thi lakin jesy hur leader apni zatiyaat meah gult fasly kur kay apny paon pay kolhari marta hay ono nay bhe mari 
husayn Group: Members  Joined: 21st Aug, 2010  Topic: 0  Post: 17  Age:  31  
Posted on:22nd Aug 2010, 1:55pm
 

Qaid ka pakistan zia tak tha

zia k baad zia k pakistan hai jis mein awam ka  zinda bach niklna bhi mushkil nazar aa rha hai.   zia k dor mein pakistan main konsi taraqi huwi mulahiza ho

bomb phatnay lagay
sunni shia ko aur shia sunni ko katnay lagay
mulla ko khush aur liberal awam ko sare bazaar koray maray janay lagay
lisaniyat aur mazhab firqa k naam pe mulk ko takseem kar diya gaya
bhutto ko shaheed aur ghari khuda bux bhutto shaheed k mazaar ki waja se aj jagmaga raha hai . aur ye zia capital mein dafan hai phir b iska mazaar veeran kion????socho zara
mukhtasir ye k ek ki misal yazeed ki hai aur dosra ..hussainyat ka alambardar

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1177  Age:  38  
Posted on:25th Aug 2010, 4:22pm
 

Aik saal pehlay

mein nay bhee kuch aisi post ki thi jaisay husyn ki ...I agree with you

meri post mein othai hohay sawalat Zia lovers kay reply kay abhi bhi montazir hain oan mohterm fazil dostooN ki yad dahani kay lihai aik baar phir......

Zia k lovers oar Mr.Bhutto kay shadeed mokhalif bhee ye mantay hain oar kehtay hain jaisay Mr.Rizvi nay kaha" yahaaN par ap nay yeh durust likha hai k ab log zia ko bhool gaye haiN aur bhutto ab bhi logouN k dilouN maiN "zindah" hai."

Mr.Bhutto Mr.Zia say 11 sall pehlay foat hohay thay asoolan qoum ko  Mr.Bhutto ko pehlay hee bhoal jana chehay tha Magar woo ajj bhee awam kay dillon mein zinda hain oar oan kay chahnay walay on say pehlay say bhee zeada mohabbat kertay hain .

Abhi tou Mr.Zia ko foat hohay sirf 20 bars hohay hain....Iss hissab say 50 sall baad Mr.Zia ko yaad rukhnay wala shahid hee kohee  hoo magar shawahid batatay hain hain keh 500 sall baad bhee loaq Mr.Bhutto say aisay hee mohabbat kertay rahain gay .

Sochnay ki Baat hai keh aisa q hai......Meray khial mein aisa iss lihay hai keh Pakistan ki awam janti hai keh.......Mr.Bhutto awam ka Mehboob leader tha...........Oar Mr.Zia awam ka qatil tha...

For Detail Click On Page No: 1 2 3>>
 
 8 Pakistani Matrimonial Website
 
 
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How to find job in Dubai  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us
Last Updated: 26th Aug 2014