Rooh kia hai
1. Location of Rooh: Roh ki location jism k kisi khas hisa mai nahi hai is ki location pure jism mai hai q k rooh ka structure same waisa hai jaisa jisam ka hai mai pysically baat kr raha ho mean jism ki banawat us ka madi jism is se mura out look hai agar rooh aik jaga pe nahi 2 Composition of Rooh; Rooh kisi matter mean madi cheez se nahi bani rooh ko ALLAH ne noor se paida kia hai q k roohon ALLAH TALAH ne sab se pehle paida kia means us waqat abi jism nahi bnaya gia tha. Quran mai ap daikh sakte hai ALLAH TALAH farmayte hai maine tamam roohon ko Alam Arwah mai jama kia aur kaha kia mai tumhara RAB nahi ho sab ne kaha tou hi humara RAB hai, yani us waqat abi jism nahi banaya gia tha,
noor nazar nahi ata is liye rooh b nazar nahi ati, aur na hi rooh ko cut kr k pieces mai la sakte ho, q k jo cheez nazar hi nahi ati us ko cut kaise kr ge, rahi baat rooh ki tou rooh ko preserve nahi kia ja sakta agar aisa ho jaye tou insan is ko preserve kr k kabi b marne kii na soche is pe kisi b bande Ikhtiar nahi hai q k insan kisi aur ka shahkar hai insan apna hi khud ka create krta nahi hai is liye insan ko apne opper total iktiar b nahi hai,
aik dafa Hazrat Imam Hussain R.A se kisi ne poucha insan kitna ikhtiar rkhta hai tou AP ne farmaya apni aik leg ooper uthao us admi apni aik leg ooper uthayee phir kaha doosri uthaoo us admi ne kaha yeh mere ikhtiar mai nahi hai is per AP ne farmaya bas itna hi insan ikhtiar rkhta hai q k ALLAH janta hai insan k bare mai, is ki example ap le lai agar ap aik machine banate ho. ap ko pta hota hai k is ne kitini dair tak chlna hai q k ap ne jo material use kia hota hai us k mutabiq ap bta sakte ho laiken us machine ko ikhtiar hasil nahi hai k wo khud decide kr sake, is tarah se insan b ALLAH ki banayee hoi machine hai is pe insan ko kuch had tak ikhtiar hai total nahi q k Quran mai hai k her jandar chhez ne maut ka zaiqa chakhna hai agar aisa ho jaye tou phir Insan ki death hi na ho so rooh ko preserve b nahi kia ja sakta, aur yeh b baat mumkin nahi k rooh thora nikal jaye aur thora jism rehe is tarah se tou Rooh pieces mai chala jaye ga halanka rooh k pieces nahi ho sakte aur is ka structure same physically insan ki tarah ka hi hai i m not talking internal structure of insan, is tarah se rooh poori ki poori jisam se nikalti hai 3. Rout of Entrance and Route of exit: ALLAH TALAH ko right way ziada pasand hai, q k Hazrat Muhammad SAW ne b farmaya hai k jab tum koi libas ya phir shoes wagaira pehno tou right side se shoro kro aur utaro tou left side se shoro kro even k khana peena b kaha gia hai k ap right hand se khayo ap Salam krte ho tou right hand se krte ho is mai b ligic hai, is tarah se rooh insan k right foot se enter hoti hai aur jaha tak niklne ka talauq hai yeh head pe ja kr finish hoti hai is k liye mai
ap ko aik 100% sacha waqia btata ho jo humare apne hi village mai hova tha maine tou nahi daikh laiken mere parents ne daikha tha mere abu k relatives mai se kisi khatoon ki death ho gayee madically b prove ho gia k is ki death ho gayee hai even k us ki grave b tiayar kr li thi laiken abi us ko dafan anhi kia tha tou achanak us ka right foot hila aur thori dair k baad wo khud uth kr baith gayee,
is se prove hota hai k insan ki rooh ki entrance right foot se ho sakti hai kuch cheeze aisi hoti hai jinhe science prove nahi kr sakti q k pehle mai ne zikar kaiya hai k insan ALLAH ka banaya hova hai kuch cheeze tak wo rasayee hasal nahi kr sakta
ALLAH ne us ki aqal ko aik had tal limited rakh diya hai jaise maine example di thi machine ki ap ki banayee hoi machine ap ki aqal ka andaza laga sakti hai jaise ap robot ko le lai kia woh insan ki jaga le sakta hai nahi her jagah nahi le sakta q k wo aik machine hai, 4 Exchange of Rooh: possible nahi hai kabi b ap rooh ko exchange nahi kr sakte yeh insan k bas ki baat nahi hai jo rooh ap k liye paida hoi hai wo sirf aur sirf ap k liye hi rahe gi ap kisi ki rooh nahi le sakte aur na hi ap kisi ko apni rooh de sakte ho k, rooh exchange hona shoro ho jaye tou insan sari zindgi bure kaam krai aur kisi naik insan ki rooh apne jism mai daal lai how is it possible
5 Rooh ki Education; insan ki rooh hamaisha aik jasi hi ALLAH TALAH us k jisam me dalta hai, is k baad insan chahe is ko acha bna le ya phir bura, ab daikhe insan ki kisam tou aik hai na baad mai hum usy us k kaamo ki waja se distribute krte hai agar wo ache kaam krta hai tou acha insan agar bure kaam krta hai tou bura insan yaha hum ne insan ko us k kaamo k sath jora hai q k ALLAH khud farmata hai k mai her bache ko ko aik hi fitrat pe paida krta ho baad mai us k waldain usy jis marzi religion mai le jaye tou sabta hota hai k insan aik jaisa paida hota hai aur istarah us k andar rooh b aik jaisi hoti hai, ajaha tak buri rooh ka talauq hai wo apne aamal se banata hai ALLAH TALAL Quran mai surah Imran mai farmata hai k in dilo mai muhre sabt ho chuki hai yeh kafroo k bare mai tha yeh haqaaqat hai jab insan pehle pehal koi gunnah krta hai tou us ka zameer usy malamat krta hai
us waqat us dil mai roohani toor pe siah daba per jata hai baad mai agar wo habitual ho jaye tou usy phir wo gunah gunah nahi lgta aur na hi us zameer usy malamat krta hai isis tarah se insan agar bure kaam krta rehe tou us ki rooh buri ho gi aur agar wo ache kaam kre tou us ki rooh achi ho gi jaha tal talaq rooh ko educate krna ka hai ji rooh ko educate kia jata hai ap jitne b Wali jo Pakistan mai aye hai un ki history par le ap ko pta chal jaye ga q k hum log tou muslman sirf unhi ki waja hove hai unho ne apni roohani education k liye ache logo ko prefer kia aur unki roohe b ache hai agar ap kisi jadoogar k paas jate ho tou wo ap ko bura kaam sikhaye ga jis se ab ki rooh b buri ho jaye gi
rooh ko educate kia jata hai ji kharab rroh ko educate kia ja sakta hai history mai kitne waqiat hai Hazrat Muhammad SAW ne un logo ko b insan bna dia jo bohat gir chuke the yeh un ki taleem thi unho buri rooho ko educate kr k un ko achi rooho mai conert kia 6 Roohaniat : roohaniya basically ap apne rooh ko us darja kamal tak pohchana jaha per insan ko Frishto per b bartri hasil jo jati hai jaha per insan ko sirf aur sirf aik hi zaat nazar ati hai wo hai ALLAH us k Rasool ki zaat, is ka matlab hai insan her wo kaam krta hai jis ka hukam ALLAH ki zaat ne diaya hai yaha tak apki rooh mai safayee ati hai is k baad jab ap haqeeqi Ishq mai chale jato ho
phir ap ko rohaniya ka uncha darja milta hai q k is mai categories hai koi roohani tour pe bohay agy hot hai aur koi thora peeche ap aisy hi daikh le jab exam hote hai jo students achi prep krta hai us k marks zida hote hai aur jo buri krta hai us k marks bure hote hai same yehi silsila roohaniat mai b hai, ji roohani shakhs her koi hota hai laiken koi ache kaamo mai aur koi bure kaamo mai laiken islam mai roohaniyat se murad ache kaam kr ke rooh ke us darja kamal ko hasil krna hai jise se waqi noor nazar aye q k rooh noor hai, kisi b masla ka roohani hal se murad ap apni rooh ki islah krna chahte ho means islamic pint of view se us problem ko solve krna ab ap kahe ge her koi banda islamic books study kr k is masla ka hal nikal sakta hai sure laiken jitna acha aur easy way wo shaks ap ko batye ga koi aur nahi bta sakta q k agar aisa hona shoro ho jaye tou dunia mai teachers na ho sare students books khareed kr jo parna cahate hai pr kr khud hi clinic khol le agr us ne medical ko para hai phir kia surity hai k wo mareez ko sahi tareeqa ilaj btaye ga nahi bta sakta q k kisi ne us ko test hi nahi kia kia pta usy kuch ata hai k nahi q k na hi us ne teacher se study kia aur na hi us ne exam diye let se agar wo teacher se study nahi krta sirf exam deta hai kia wo utne ache marks le sakta hai kia wo pass ho sakta hai without taking any guidence no tou phir ap kaise us masla ka sahi hal nikal sakte hai tou ap ko teacher ki zaroorat parti hai yaha per b jo ap ko sahi guide kr sake
|