|
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:14th Sep 2007, 8:41pm |
|
|
Rooh Kia Hai? mera sawal rooh ke baare mai hai. jis ke bare mai sab jante hai keh zinda insan ke andar rooh hota hai aur jab yeh jism se nikal jata hai tu insan dead ho jata hai. sawal yeh hai keh:
1. Location of Rooh: Rooh jism ke kis hissa mai hota hai? kia poore jism mai hota hai ya jisim ke kisi makhsoos hissa mai? agar jisim ke kisi makhsoos hissa mai hota hai tu batai keh jisim mai rooh ki asal location kia hai?
2. Composition of Rooh: Kia hawa, pani, khoon ki tarah rooh bhi koi maddi shai (matter) hai? agar maddi shai nahi hai tu iss ki composition kia hai? kia maddi ashia ki tarah iss ke division ya pieces ho sakte hai? kia yeh mumkin hai keh jism se thora sa rooh nikal jai aur baqi rah jai. kia ham rooh ko kisi jagah preserve kar sakte hai?
3. Rout of Enterence and Exit of Rooh: jab insan paida hota hai tu os ke jism mai rooh dakhil hota hai. yeh rooh jism mai kis raste se dakhil hota hai. isi tarah inteqal ke waqt rooh jism se nikal jata hai. tu kia koi bata sakta hai keh rooh jism ke kis raste se nikalta hai?
4. Exchange of Rooh: kia yeh mumkin hai keh ham kisi aur se rooh ki lain dain kar sake. maslan kisi ka rooh apne jism mai dal de ya kis ke jism mai apna ya kisi aur ka rooh dakhil kar dai?
5. Education of Rooh: achchi rooh aur kharab rooh se kia murad hai? kia rooh ki education ho sakti hai? kia ham kharab rooh ko educate kar ke achchi rooh mai tabdeel kar sakte hai?
6. Roohaniat: roohaniat se kia murad hai? roohani shakhs kis ko kahte hai? kisi masail ka roohani hal se kia murad hai? roohani masail se kia murad hai? |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:14th Sep 2007, 10:06pm |
|
|
Rooh jisam ke pure Hisse me mojood hoti
Bewakoof bhai apne bohat hi acha aur sesetive topic start kiya hai lekin mera khayal hai yahan rooh ke mutalik bohat se logon ke khayalat mukhtalif honge,aur apke sare sawalon ka jawab dene ke lye mujhe koshish karni hogi ke kuch religions book nikalun aur is topic ko study karun. par filhal apke kuch jawab deti hun,jo mera khayal hai aur jo maine suna hua hai 1,mera khayal hai ke Rooh jisam ke pure Hisse me mojood hoti hai.balke khayal nahi,mera yakeen hai. 2)is par bhi mujhe yaqeen hai ke rooh koi maadi shah nahi hai,aur aisa nahi ho sakta ke adhi rooh nikal jaye aur adhi insan ke andar reh jaye 3)ye zara difficult ,is bare me maine suna hai ke rooh jab nikalti hai to iska akhri hissa,ya akhir paun pe chodti hai..but ye sirf sunni hui bat hai islye yakeen se nahi keh sakti, 4)nahi aisa mumkin nahi hia,jab khuda humare jisam se rooh nikalta hai to wo khuda ke pas hi rehti hai.han ye zaroor suna hai ke rooh ,ek insan ke marne ke bad kuch time tak us jaga ati rehti hai jahan wo insaan rehta tha. 5)achi aur buri rooh ka maine bhi suna hai ke hoti hain,but i think humara rooh pe koi ikhteyar nahi hai ke hum buri rooh ko educate kar sakain,agar hai to yehi ho sakta hai ke ,ache naik insan ki rooh achi rooh kehlayegi aur bure insaan ki rooh naik,aur educate isi tarah ho sakti hai ke ek bure insan ko achahi ki taraf laya ja sake 6)rohaniyat means,naik paak saf,allah ke ehkamat pure karne wala bewakoof ,i will search about it aur phhir koshish karungi apko inke jawabat apne ilam kemutabik dun.
|
ashy
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 50 Post: 383 Age:
33
|
|
Posted on:14th Sep 2007, 10:25pm |
|
|
Rooh is a matter of faith aaqalmand(bewaqoof) The dictionaries of classical Arabic give various meanings of the word 'Rooh', including: Breath of life; soul; spirit; the vital principle. inspiration; Revelation; essence; the Quran; joy and happiness; Mercy; Life-giving words of Allah; Prophet's Divine Message (because of its life giving qualities); Angel; angel Gabriel. In the Holy Quran, the word Rooh has also been used in different meanings. i think Rooh is a matter of faith. Physically there is no evidense to show its existance. But almost all Ibrahamic/non-Ibrahamic religions believe in it. Some say rooh is "energy" in the human being, which when leaves the body causes "death". rooh k bare mein quraan ye evidence deta hy AAP FARMA DIJIYE KE ROOH MEREY RAB KE KHUKKAM SE BANI HAI AUR TUM KO IS BAREY MAIN BOHAT THORA ILM DIYA GAYA HAI. Para: 15, Subhan Allahzi Surrah: Bani Israel Rukoo: 10 SO JIS WAQT ROOH HALLAK TAK AA POHANCHTI HAI TO TUM US WAQT TIKAA KARTEY HO AUR HUM US SHAHS KE TUM SE BHI ZIYADA NAZDEED HOTEY HAIN LAKIN TUM SAMAJTEY NAHIN HO. Para: 27, Kaal Fama Surrah: Wakia Rukoo:3 its existence may be proven with logics but not in laboratory. Perhaps this was the reason that we are advised not to delve deep into it, more we deep we go, more confused we get. Rooh is Amr-e-Rabbi & just like its Rabb, its existence can be observed with signs but not physical. It does'nt mean that any one is refuting the presence of Rooh but what my other brothers are failing to understand is that once you mean exist it means physical existence related to this physical world. We should rather say that it exists but beyond the confines of this physical world like all the religious beliefs. ab mein aap logon say ye pochna chahoon gi k kia rooh or nafs mein koi farq hay
|
ashy
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 50 Post: 383 Age:
33
|
|
Posted on:14th Sep 2007, 10:30pm |
|
|
Rooh
wesy bewaqoof aap kehny ki hadd tak bewaqoof ho magar aap k question nay to dimag ki cholen tak hilla kr rakh di hein aik baat or wo ye k jinnat hewanaat garz k har jaan dar chez ki rooh hoti hay
|
safeena
|
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
34
|
|
Posted on:14th Sep 2007, 11:37pm |
|
|
ROOH KIA HAY
In order to know man -- Jism (body, physique), Nafs (personality, character), and Rooh (soul, spirit).
Namely, in one of the philosophical outlooks of Islam, man is composed of three parts; Jism, the physique which is of material substance and we deal with it in physiology and biology. Thus our bodies are known to various systems and as far as these scientific areas are concerned Islam has no disagreement with anyone. Nafs: Nafs in man is the totality of sentiments, tendencies, desires, wishes, experiences, and our heredity characteristics; in short, it is man's personality. What creates a difference between one man and another is Nafs rather than Rooh. It is man's Rooh which transform and evolves. Rooh: Based upon the Qur'anic verse; "They ask thee concerning the spirit (of inspiration). Say The spirit cometh by command of my Lord: of Knowledge it is only a little that is communicated to you,
(O men!)." (Holy Qur'an 17:85) This verse teaches us that the spirit is an 'Amr' i.e. the work of Allah. In other words, it is a created thing, not self-existent. The Holy Qur'an does not go beyond telling us that.
It does not tell us the nature of the spirit. However, just like our ignorance of the nature of electricity or magnetism does not prevent us from taking full advantage of these wonders of creation, we can advance ourselves spiritually by taking full advantage of the functions of the spirit. Rooh is something which descends to man from God and we interpret it as our 'inside Prophet' namely, it is a representative from the Lord inside Insan. And this what is interpreted as 'Gabriel' in the case of the Prophet as was the Holy Spirit in Jesus (pbuh). It is the relationship of God with man that appears under various names in different Prophets. This spirit is clean and innocent and it cannot err. Rooh never appears in plural form in the -- What distinguishes one man from another is Nafs which contains our personalities. And in our opinion the part of us which is responsible in front of the Lord in the final day is the Nafs of each of us. And it is Nafs which errs not the Rooh. The body is not that important since it is in constant process of change and transformation. However, what we believe to be the essence of man was placed in the Nafs, and it is Nafs which will be interrogated in the last day. In order to talk about the shaping of one's self we must concentrate upon the analysis and examination of Nafs. Once we reach this stage we come right across the sacred Islamic school and we are proud that Islam has conducted in-depth and extensive analysis in this area unparalleled in any other school or system. In the Holy Qur'an and in the vernacular of our theosophists seven stages have been predicted for Nafs. Namely, from the onset of its evolutionary journey to becoming God-like, Nafs must pass through seven different stages. The seven levels (Nafs) are as follows:
|
kim84
|
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 113 Post: 786 Age:
30
|
|
Posted on:15th Sep 2007, 6:08am |
|
|
What is Rooh
1. Location of Rooh: Rooh jism k hr hissay my moojod hi my apko aisy smjhna pasand kronga k agr jism sy rooh nikal jaye to koi ik part bhi kam nhi krta hence proved tht...............Rooh jism k hr hissay my mojood hi....
2. Composition of Rooh: Roohi is not matter bcoz u cant c Rooh........ap is ko hawa bhi nhi keh sakty bcoz hawa ko ap mehsoos kr sakty ho bt rooh ko mehsoos nhi kr sakty......rooh bilkul ap ki SOCH-FIKR-KHUWAB jesa hi jo hi to sahi bt na dkhai deta hi...na feel hota hi.....ap ye khyngy k yee to hamari body my hi ham feel kr sakty hi to tht is wrong ap apny parts ko move krty dekh sakty hi, apny ap ko injured kr k blood dekh sakty hi magr rooh ko kesy feel ya dekh paoo gy....
3. Rout of Enterence and Exit of Rooh: Entrance ka rout is ka mouth hi bcoz according to my knowledge jab Allah ny insan ka jism banay to first time us my mouth k zaryee rooh phonki.............Exit point is ka foot hi.....
4. Exchange of Rooh: Yar yee bataoo yee body hi k NOKIA N95 ka set k bluetooth ko activate kr k...rooh send n recv kr paoo gy..............hehhehehe kidding..........No its not possible.......................Yes in rear cases kisi admi my ik rooh mojood hoty howy JINAT ka saya a sakta hi..........tht is some different case.
5. Education of Rooh: Mery Mutabiq rooh ki education ho sakti hi......bcoz jab admi apni ISLAH krta hi.......like ik admi gunah krta hi fir TOUBA niklata hi aur 5 time nimaz k sath Astaghfar k sath apni rooh ko educate krta hi k Allah sy taluq ban jayee bcoz......Rooh bhi apki ZAAT ka ik hissa hi....Jesy Naafs hi......Or else i can say yee ROOH & NAFS same same hi......dono nazar nhi aty magr ihsas dilaty hi k i m here...........
6. Roohaniat: Jb ap ka taluq Allah sy ban jayee to apki rooh ka taulaq bhi automaticallay Allah sy lag jata hi....wo quality apki roohaniyat khilati hi..... Roohaniyat do kism ki hoti hi
Acchi & Bori.........Jo loog Allah k zyada kareeb hoty hi un ki roohaniyat achi hoti hi.......un sy milkr dilkhush hota hi....un sy batein krny ko unki batein sunay ko dil krta hi.....un k bataoo my Allah ny ik mithas daali hoti hi......................Aur bori roohaniyat ya i can say bori Shaksiyat wo hi jin ka Allah sy taluk na ho.......... I think above will b clear to you.............Mery mutabiq ap ky swaloo sy aisa mehsoos hota hi k ap ko in sb k answers pata hi bt sirf hamary opinion jany k liyee ap ny yee post ki.......good idea............ Note: All the above comments is my own nothing is 100% according to Islamic books ayat aur ahadis.... Rgds KIM
|
Snowflakes
|
Group: Members Joined: 01st Aug, 2007 Topic: 7 Post: 109 Age:
30
|
|
Posted on:15th Sep 2007, 7:37am |
|
|
Research on Rooh
Aslam o alikum!! Hmm. Interesting, thought provoking but difficult topic.:) Mein ne sirf bewaqoof bro ki post read ki hai. baqi replies read nahi kar ski time kam honay ki waja se. Meri iss baray mein ziada maloomat nahi hein is liyay mein ziada kuch kah nahi sakoogi about Ruh. Sirf itna kahongi k kuch cheezon ka ilm Allah taala ne apnay paas hi rakha hai. I think Ruh bi un mein se aik hai. Wesay to har cheez ki asal haqeeqat ka Allah taala ko hi ilm hai, insan apni aqal apni research se andazay lagata hai laikin kisi cheez per research issi surat mein ho skta hai jab wo cheez maadi (material) ho. Ruh is not a material thing. Iss liyay is per research nahi ho skta. Agar Ruh koi maadi cheez hoti to ab tak research k bohat se results samnay aa chukay hotay. Laikin yeh haqeeqat hai k aaj tak apni tamam tar aqal use karnay k bawajood insan Ruh ki haqeeqat ko nahi pa saka. Yeh mera point of view tha, Baqi abhi to discussion chal rahi hai dekheen aur members is baray mein kia point of view rakhtay hein. Bewaqoof bro ap Ruh k baray mein apna nazriya bhi batayay ga zaroor. Regards.
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:15th Sep 2007, 7:53am |
|
|
Rooh k bary ma suna hai.
meri ek Friend ne mujhe ek bar bataya tha,ke usne tv par ek programm dekha tha jisme log rooh ke mutalik search kar rahe the,aur kyunke rooh koi maadi cheez nahi hai jo unke Hath me a sake,unhon ne ek marne wale insan ko(doctors ne,ek insan ko jo marne wala tha) ek sheeshe ke ghar me band kar diya,ye dekhne ke lye ke rooh kaisi hoti hai aur rooh nazar ati hai ya nahi..and and after that unhon ne bataya,ke unko sirf ek Dhuan sa nazar aya,aur sheeshe me darrar pad gai thi. and jaise ke humain khuda ki taraf se hi Rooh ke mutalik bohat kam jankari hai,.
|
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:15th Sep 2007, 10:10am |
|
|
Rooh Ki Batain!
mai bi kuchh share kar deta hon, jo merey zehan mai hai...
tamam arvah (rohain) musalmaan hain, ab koi rooh, muslim jism mai chalti jati hai, koi rooh non muslim k jism mai,, jab insan acha kam karta hai to rooh khush hoti hai roohani khushi hasil hoti hai, insan bura kam karta hai to rooh bi dukhi ho jati hai, or insan ko ehsas dilati hai k ye tumnay acha nai kia.
1. Location of Rooh: aksar log kehtay hain... dil ko dil say rah hoti hai. dil kharab ho raha hai. dil nai manta. dil lag gaya hai. faisee bi kabi kabar kehta hai "dil ki ajeeb halat ho gaee". ziada hansnay say dil murda ho jata hai. Buraee par chalnay walon k dil par Allah mohar(stamp) laga deta hai.. to muje lagta hai k rooh insan k dil mai hoti hai... puri duniya ka center point (markaz) khana kaba hai or insan ka markaz DIL hai...
2. Composition of Rooh: jaisay sunlight, tube light ya bulb hai, bulb ko touch kar saktay hain lekin light ko nai,, aisay hi rooh or jisam hai, merey khayal say rooh Allah ka noor hai, na isey dekha ja sakta hai , na hi touch kia ja sakta hai or na hi murday ko sheeshay mai band kar denay ki waja say rooh ko sheesha toR kar bahir nikalnay ki zaroorat hai. Rooh ko koi insan rok nai sakta na hi kisi bottle mai Qaid kar sakta hai.
3. Rout of Enterence and Exit of Rooh: Enter dil mai hoti hai or Marnay k time Paon (Foot) say bahir nikal jati hai.
4. Exchange of Rooh: Exchange of rooh sirf movies mai hi ho sakti hai.
5. Education of Rooh: tamam Arvah naik hi hoti hain, lekin insan agar buray kam karta rahay to rooh bi dukhi ho jati hai, or ye rooh tab khush hoti hai jab ham Quran majeeb ki talavat kartay hain, namaz parhain Allah k bataye huey rastay par chalain, yehi samajh lain k Allah k bataye huey rastay par chaltay rahain to rooh ki education ya yaad-dehani hoti rehti hai... ya phir jab Allah pak insan k ziada buray kam karnay ki waja say iskay dil par mohar laga deta hai to tab rooh ko education ki zaroorat hoti hai or wo education Rohani log kar saktay hain. wo roohani log apkay ma bap bi ho skatay hain, jo Allah ka kalam parh kar ap par dam kartay hain.
6. Roohaniat: Roohani shakhs wo insan jo Allah k kalaam say ya achi baton karay or iski baton say dosro ko faida ho or uski batain sun-nay walay k dil par asar karain or us insan ki rooh khush ho jaey or insan ki shakhsiat par bohat acha asar paray or wo kisi buraee say baz aa jaey... (ajkal jo ziada tar ishtehari ruhani peer bhaari muavzay k ivaz roohani ilaj taveez dhagon say kartay hain, unsay kuch faida nai hota).......
ab in sari baton mai masla ye hai k ajkal to heart transplant bi ho jata hai, phir rooh kahan jati hai, iska pata nai,, lekin mai yehi samajhta hon k rooh dil mai hi hoti hai... doctors bi rooh ki kahani sunaey, ham sab wait kar rahay hain.
(agar mujsay koi galat bat ho gae ho to Allah tala muje maaf kar dain)
|
FahdAmin
|
Group: Members Joined: 14th Sep, 2007 Topic: 2 Post: 9 Age:
28
|
|
Posted on:15th Sep 2007, 10:49am |
|
|
Rooh kia hai
Salam to all members! Dont run Before useless knowledge I want to ask you people what r you trying to explore? knowlegde the has some effect on our life is considerable for learning . i will say this disscussion merely the wast of time.Some knowlegdes are not given to men by God and that can not be known even the whole world put his effort to know that.
just like scinence have not proved the existance of angles and goasts but this is reality that cant be achived.
So right now see the verse in AYATAL KURCEE.VA LA YOHETOONA BESHAE -E-M MIN ILMIHE,ILLA BEMA SHAA..Matlab yeh k ap kuch nahe jantay magar us k k ALLAH ap ko mallom kara dain.
okkk.if you see on your topic it is spiritual . and spiritual education has reached it climax after HOLY PROPHET (PBUH).HE(SAW) has not told about the composition of soul. you cant ever explore this fact only make suggestions or supposition. OUR KNOWLEDE IS TO LIMIT THAT IT COULD NOT TELL US THAT WHERE THE 6 LITRE OF BLOOD GOES WHEN A PERSON DIES! BEST RAGARDS!!
|
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
29
|
|
Posted on:16th Sep 2007, 8:00pm |
|
|
Rooh jism ke har hissa mai hota hai
1. Location of Rooh: Rooh jism ke har hissa mai hota hai. agar ap jism kai kayee pieces kar de tu yeh tamam pieces mai mojood hota hai. isi nazaria ke tehat kidney, liver, eye waghaira transplant hota hai. kio keh kindeny nikalne ke baad nikla hua kidney aur aadmi dono zinda hote hai. yani dono ke andar rooh mojood hoti hai. 2. Composition of Rooh: Rooh energy jaisi cheez hai. filhal yeh madda nahi hai. agar yeh waqai energy hi hai tu phir formula E = mc2 ke tehat madda mai tabdeel ho sakta hai. Rooh ke piece ki zaroorat nahi. kio keh rooh ki taadad aik nahi balke trillion ki tadad mai hota hai. yeh jism ke har cell mai infradi tor par mojood hota hai. lehaza yeh jism ke jis cell se nikalta hai ya khatam hota hai; death sirf osi cell ki hoti hai. jis jis cell mai rooh mojood rahta hai woh cell zinda rahta hai. lehaza ham kah sakte hai keh jism se thora sa rooh nikal gia hai (death cell) aur abhi mazeed rooh baqi hai (alive cell) ham rooh ko preserve kar sakte hai. egyptian mummies ke cells dead nahi hai. kio keh os ke cells slept hai. slept cell ko zindah cell kahte hai. zinda cells ke DNA active hote hai. active DNA mai further division ki salahiat hoti hai. isi nazaria ke tehat Jurasik Park film banai gai hai. 3. Rout of Enterence and Exit of Rooh: insan ki paidaish bap ke sperm aur maa ke ova ke milap se hota hai. sperm aur ova dono cell hai. dono ke milap se aik common cell wajood mai aata hai. zinda cell ke andar rooh hoti hai. lehaza ma aur bap ke rooh se bachcha ke pahla cell banta hai. phir is pahle cell ki division hoti hai. yeh 2 ho jata hai, phir 4, phir 8, phir 16 isi tarah 9 month ke baad jo bachcha paida hota hai woh billion cells par mushtamil hota hai. tamam cells ke andar rooh hota hai jo keh woh doosre cell se hasil karta hai. death ki soorat mai pahle inferadi cells ki death hoti hai. brain aur spinal cord ke makhsoos cells jo keh respiration aur heart beat ko control karte hai. jab in ki death hoti hai tu heart beat aur respiration band ho jata hai. jis par log kahte hai keh insan ka inteqal ho gia. yani jism se rooh nikal gai. halakeh aisi baat nahi hai. is waqt bhi jism ka beshumar hissa zinda hota hai. aur os zinda hissa mai rooh mojood hoti hai. agar os hissa (maslan eye, liver, kidney waghaira) ko foran nikal kar preserve kar dia jai tu doosre insan mai transplant kia ja sakta hai. is ka matlab yeh hua keh marne ke baad jism se rooh nikalne ke silsila ko roka ja sakta hai. 4. Exchange of Rooh: rooh cells ke andar hota hai. zinda cells ki len dain ka matlab rooh ki len dain hai. isi lia organ transplant (kidney, eye, liver waghaira) ko ham kah sakte hai keh aik aadmi ke jism ki rooh doosre aadmi ke jism mai dal di gai hai. kio keh transplant organ ke cell mai jo DNA ho ga woh doosre ma bap ka hoga. jab keh bachch ki paidaish mai insan ko jo DNA milta hai wo os ki original ma bap ka hota hai. 5. Education of Rooh: oopar di gai misalo se sabit hota hai keh rooh ka education se koi taluq nahi. ham kisi rooh ko qabil ya jahil nahi kah sakte. isi tarah kharab rooh aur achchi rooh ka bhi concept nahi banta hai. 6. Roohaniat: ghair maddiat, ghair scientific aur illogical soch ko roohaniat kahte hai. roohani shakhs aise fard ko kahte hai jo kisi bhi mamla ko ghair scientific nazro se dekhta hai. yeh log har mamla ko mazhabi aqeeda ki roshni mai dekhte hai. aise log dunia ke tamam mazahib mai hote hai. masail ka roohani hal ka bhi yahi matlab hai. bimari ke lia doctor ki bajai dua taweez karna, dushman ko zer karne ke lia baba ke pas jana. kuch log khas kar taleem yafta log scientific aur logical hal ke sath sath roohani hal bhi dhoondte hai. matlab yeh keh doctor se ilaj bhi kara rahe hai aur allah se dua bhi kar rahe hai (yeh sahi tareeqa hai). aise masail jo hal hote nazar na aaye ose roohani masail kahte hai. maslan aisi bimaria jis ke bare mai khial ho keh is bimari ko doctor hazrat theek nahi kar sakte roohani bimari samjhi jati hai. amooman nafsiati bimari ko log roohani masail samajhte huye psychiatrist ke pas jane ki bajai baba ke pas jate hai.
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:17th Sep 2007, 7:59am |
|
|
ruh
kali zuban I dont agrre to you with the point 3 because ye sach hai insan ki death ke bad 48 houers insan ka kuch organs kaam karte hain,like ek murda sun sakta hai dekh bhi sakta hai. but apki ye bat ghalat hai ke jisam ke hisson se ruh nikalna ka silsila roka ja sakta hai.
Bewaqoof sunehri aap ne kaha keh aap kali zuban ke point number 3 se agree nahi karti hai. iss ka matlab yeh hua keh 3 ke ilawa baqia point number 1, 2, 4, 5 aur 6
se agree kar tee hai. agar aap baqi five pint se agree karti hai tu iss
ka matlab hai keh aap point 3 se bhi agree karti hai. kio keh point 3
dar asal point 1, 2, aur 4 ki tashreeh hai.
|
kim84
|
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 113 Post: 786 Age:
30
|
|
Posted on:17th Sep 2007, 8:44am |
|
|
Rooh ki theek thaak education ho sakti hi
Mery Mutabiq Objection on No. 5 Rooh ki theek thaak education ho sakti hi. Kisi bhi insan or musalman ko sedhay rastay pr lanay k liyee us ki rooh+dil o demagh pr mehnat ki jati hi us ka taluq Allah sy banaya jata hi. My rozana apni rooh ki education krta ho....kbi mra mind mri rooh ko educate krta hi k falana kam theek kiya tum ny falana kam ghalata kiya. aisa krna chayee tha aisa nhi ye apni zaat ki education hi.....chahee ap khud apny ap ko educate kry ya koi aur education to ap ki zaat ko hi mil rahi hi na aur Rooh wo cheez hi jis k bagher ap ki zaat na-mukamil hi.. Hope the above will be clear. Rgds KIM
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:17th Sep 2007, 9:41am |
|
|
Rooh
bewakoof maine kali zuban ki post thik se parhi nahi,jo point mere zehan se
guzra uspar comments de dia,i will read it again.aaj hi karungi replay see u laterthanks apne mujhe tawajja dilai,ap sahi keh rahe the 1,ye sahi hai ke rooh jisam ke har hisse me mojood hai,but mai is bare me zayada nahi janti ke organs me bhi rooh hai ya nahi...hogi par agar kisi ki kidney nikali jaye to wo kidniy kaam to karegi but i dont think ke ye kaha ja sakta hai ke ab us me bhi rooh mojood hai, 2,ye bhi ghalat hai kyunke kabhi kabhi jab kisi ka accident hota hai aur uki tang ya bazu kam nahi karta to iska matlab ye nahi hai ke uske jisam se rooh nikal gai hai,ya uske is jisam ke hisse se rooh nikal gai hai aur kali zuban jo films banti hain rooh ke mutalik i dont beleave in that..wo sab fake hoti hain hum rooh ko har girz preserve nahi kar sakte.ye sab fake hai organ transfer karne ka matlab nahi hai ke usme rooh zinda hai 3 ke bare me mai bata chuki hun 4 ka answer bhi de s´´chuki hun ke argan ka tranfer karna ,rooh ka transfer hona nahi hai,ye do mukhtalif cheezan hain mai nahi janti ye bat sahi hai ya nahi ke rooh har cells me mojood hai.par ye bat ghalat hai ke organs nikalne se ye kaha jaye ke usme rooh mojood hai 5,i agree kim, 6 rohani masail ke bare me zyada nahi janti,
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:17th Sep 2007, 11:03pm |
|
|
rooh
Faisee ne is sawal ka boycott kia hua hai Faisee; jo na sirf aik se aik question creat karta hai balkeh taqreeban har sawal ka jawab deta hai.
khasoosan aise sawal ka jaha par mazhabi aqeeda aur science ka takrao hota hai. lekin iss post par faisee ne koi jawab dene sa saaf inkar kar dia hai. dar asal faisee ne iss sawal ka boycott kia hua hai. os ne aisa kio kia woh mujhe maloom hai. lekin mera khial hai keh faisee ko ab boycott khatam kardeni chahia. kio keh faisee ke zehan mai jo confusion tha woh door kar di gayee hai.
|
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2285 Age:
37
|
|
Posted on:17th Sep 2007, 11:41pm |
|
|
Rooh ya Gas?
Kali zuban ki batain to zehan mai aati hain, or bohat hi scientific batain hain, or ye bi bohat important bat hai k marnay k baad bi insan k organs zinda hotay hain..like eyes. lekin kuch batain bas upar say hi guzar gaeein hain.. like kidnay transfer ki soorat mai rooh transfer hona or rooh ka nikal jana , or rooh ka maday mai tabdeel ho sakna,,
ye sab samajh say bahir hain.. it means k kisi nay blood donate kia to blood k sath uski thori si rooh bi transfer ho gaee... agar aisa hota to badmash or badkar logo ko kisi achi insan ka thora sa blood laga dia jata ta k wo naik ho jaey or thori si naik rooh us mai chali jaey...
agar naik rooh chali gaee to wo us admi ki asal rooh say laray gi ? waisay bohat funny bat zehan ma aa rahi hai,, rooh na ho gaee Gas ho gaee k thori si nikal gaee...
|
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
29
|
|
Posted on:18th Sep 2007, 9:35am |
|
|
Zinda kidney mai rooh hoti hai
1. kidney do qisim ka hota hai zinda aur murda. agar kidney murda hoga tu transplant nahi hoga. zinda ka matlab hai keh rooh ki mojoodgi. zinda kidney mai rooh hoti hai. sirf zinda kidney transplant hota hai.
2. Blood mai bhi cells hote hai. Blood nikalne ke baad 20 din ke andar andar blood transfuse kar lena chahia. warna blood cells dead ho jai ga. sirf zinda cells wala blood transfuse kia jata hai. zinda cells ose kahte hai jis ke andar rooh hoti hai. 3. Blood ka kirdar se koi taluq nahi. albatta blood ka bimari se taluq hai. isi lia blood transfuse se qabal check kia jata hai keh blood mai koi bimari tu nahi. lehaza transfusion ke lia bimar aadmi ka blood nahi lia jata hai. 4. Blood transfusion ki wajah se rooh ki koi larai nahi hoti. lekin agar blood bimar aadmi ka ho ya mismatch ho tu reaction kar jata hai. jis se insan ki death bhi ho sakti hai.
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:18th Sep 2007, 9:41am |
|
|
Rooh ka har cell me hona
kali zuban 1)apki bat thik hai ke sahi kidney kam ati hai aur kharab nahi,lekin phir bhi ye bat man.ne wali nahi hai ke kaha jaye ke us kidney me rooh mojood hai,jo ke kisi aur ko di ja rahi hai, is tarah se rooh ka har cell me hona hi ghalat banta hai. #4) to is bat ka rooh se kya taluk hai? aisa nahi ho sakta ke kisi ke blood dene se hum kahain ,maine apni thodi si rooh us khoon me dunate kar di hai..ye sab fasool batain hain,. jab khuda hi ne humain is bare me kamilam dia hai to humain is kisam ke guess nahi lagane chahye. ke falan ki aankh marne ke bad uskodi gayi to us me us insan ki eys ki rooh zinda hai.. ye sirf logon ki apni create ki hui batain hain
|
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
29
|
|
Posted on:18th Sep 2007, 9:53am |
|
|
rooh ke beghair zindagi ka koi tasawar nahi 1. cell do qisim ka hota hai. zinda cell aur murda cell. zinda sirf aur sirf ose kahte hai jis ke andar rooh hoti hai. agar zinda tree mai se bhi rooh nikal jai tu tree murda ho jata hai. rooh ke beghair koi cell zinda nahi rah sakta.
jis tara kisi bhi matter ka buniadi zarra atom hota hai. isi tarah har jandar shai ka buniadi unit cell hota hai. insan ya tree cells ke collection ka name hai. insan ke sare cells mil kar collectively kam karte hai.
2. science aur aqeeda mai bahut farq hai. oopar jo bhi batai batai gai hai woh scientific hai. scientific batai guess nahi hoti. scientific batai sirf aur sirf wahi hoti hai jo keh prooved hoti hai. blood ke cells zinda hote hai jo keh kuch dino ke baad murda ho jate hai. lehaza blood ko, cell ke murda hone se qabal transfuse kia jata hai. yeh koi guess nahi haqeeqat hai. zinda cell sirf aur sirf ose kahte hai jis mai rooh hoti hai. rooh ke beghair koi cell zinda nahi rah sakta. rooh ke beghair zindagi ka koi tasawar nahi.
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:18th Sep 2007, 9:57am |
|
|
rooh
ab agar ek insan ka falij hua,aur ye kaha jaye ab is ka dimagh..bazu,..ya kuch bhi kam nahi karega,that means ke wahan mojooda cell mar chuke hain,but ap ye nahi keh sakte ke ab bazu se rooh nikal chuki hai,balke us organ ka hi zikar hota,balke rooh phir bhi mojood hoti hai,
|
|
|
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 >> |
|