Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Zia ul Haque: Pakistan President General Islamization and Death

Politics   >>  Political Leader
 
 
 
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:13th Aug 2009, 11:15pm
 

Rizvi Bhai

Aap aik dictator ki sari badd amaaliyun ko bhool kar sirf iss wajah se uski hamayet nahin kar skte ke woh namaz parrhta tha. Yeh koi logic nahin bnti. Aik bnde ki policies ki wajah se laakhun janain zaya ho gaieeen. Iqtidaar ki hawas ki wajah se apne mulak main jagah jagah aag lag gai aur aap kehte hain ke sirf iss wajah se ussay acha kahain ke Woh Janab bht barray namazi thay.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 113  Post: 6694  Age:  54  
Posted on:13th Aug 2009, 11:57pm
 

Bhimji bro

badaam shadaam khaa'o... ap ki yaad.daasht lagta hai bilkil kaam nahi kar rahi...... dictator zia k kaar.haai nomayaaN issi post maiN likh likh kar meri ungliyaan thak gayee aur ap kahtay ho k.... zara dobarah parho, chashmah lagaa k (anti-zia wala chashma nahi:) doabrah paRho...

namaaz wali baat to maqtay main kahi gayee thee k 2 dictator zia n mush ka mawaaznah agar deen.daari k hissab say kia jaa.ay to pata lagta hai k zia ki daily routine namaaz rozay say qareeb tar jabkay mush dictator ki daily life sharab-music-shabab k gird ghoomti rahi hai... lehaza being a muslim hamain islamic aqdaar par amal pairaa fard ko prefer karnaa chaahiyeh...

baqi mawaznah aap nay read hi nahi to kia baat karain....sewaa.ay haaaaa haaaa karnay k ap bhi karo haaaaaa haaaaaaa

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4214  Age:   
Posted on:13th Aug 2009, 1:57pm
 

hahahaha

hahahahaha

hhahahhaa

hahahahahaah

hahahaahaha

well said system brother...................... lekin yaar pakistan main kuch aur tarha ka siasat chalta hai............... agar koi apni ghalti accept kare to unhe to aur bhi ziada nishana banata hai, aur munazira main baat baat par us ki taraf ungli uthaie jaati hai k flaan ne to khud hi apni ghalti accept kar li hai........ aur agar us ne hazzzzzzzzzzzzzzzar kaam theek kie hon lekin us ko sirf us ek ghalti par hi arsh se farsh par gira dete hain..................

esi waja se main politician ko had darje es ziada nafrat karta hoon, aur us dictator ki himayat karta hoon, k jo woh kehta tha woh karta bhi tha........ yeh nahi k dil main kuch aur chehre aur zuban par kuch aur.......................

aur election ka taqaaza bhi yahi hai, k pichle record ko dekh kar un ki calculation kar k awam k saamney laya jaie, kis k dour main kia khoya gaia, kia paya gaia... sab ko calculate kar k phir compare kar k hi koi kisi ko elect kar sakta hai....

lekin yahan par to kuch aur hi khel khela jata hai, jis party ne kuch acha kia hota hai us ko 2 se multiply kar k har jalse aur jaloos mian zor zor se yaad kia jata hai, aur jo aur jo khaamian hoti hai us ko zero se mutiply kia jata hai, yeh kon si siasat hai, yeh kahan ka insaaf hai????????????????? i hate these bloody politicians....................

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 113  Post: 6694  Age:  54  
Posted on:14th Aug 2009, 4:33am
 

sunny dear

ap politicians ko hate kartay ho, onhaiN gaaliyaaN detay ho........ to doosri taraf onkay mohibban onsay iss qadar mohabbat kartay haiN k onki har ghalat baat ko apna "imaan" banaa letay hain aur onkay naam par apni jaan /imaan bhi qurbaan kardetay haiN.

yeh sab shadeed mohabbat aur shadeed nafrat ki "intehaa" hai aur aisay log "intehaa-parast" kahlaatay hain... mohabbat aur nafrat dounouN ko aik hi "jazbay" k 2 rukh kahaa jata hai .... jaisay ojalaa aur andheraa dounouN aik hi "cheez" k 2 rokh haiN.... aur in dounoun ka "origin" light hai... light ki maujoodgi maiN ojalaa hota hai aur adam maujoodgi maiN andheraa...

mohabbat ki intehaa ishq hai. ishq ki zidd shadeed nafrat hai....aur... kahtay hain jisko ishqq (yaa shadeed nafrat), "khalal" hai dimaagh kai...... yeh "abnormal" log hotay hain jo shadeed mohabbat /shadeed nafrat kartay hain.... mohabbat main "mahboob" ki khaamiyaaN ojhal hojati haiN aur nafrat main "jiss say nafrat ho" oski khoobiyaaN ojhal hojati haiN.

ap ki yeh baat khasi had tak 'dursut' hai k pakistani politicians main yaa kam az kam iqtedaar ki jang maiN qaabilay zikar votes k haamil politicians ka koi achaa kirdaar nazar nahi aataa... inki khaamiyaaN iss qadar zeyadah haiN k inki khoobi, agar koi ho to nazrouN say ojhal hi hojati hain..... magar......

"maslah" yeh hai k hamaiN inhi politicians k saath guzaara akarna hai... alternate hum "bahar" say nahi mangwasaktay...... aik achay ghair mulki politicaian ki ghulaami say apnay "bortay" hi behtar hain......... hum sirf yeh dekh saktay hain k dastyaab politicians main jo sab say kam boraa ho /sab say kam biora nazar aataa ho, mulk o qaum ko ghair mulkiyouN k agay nah bechay... mulk k baray baray mafaadaat ko nah bech day... onko 'select' karain aur zeyadah boray ko reject karaiN......... iss k sath saath new aur achay politician 'paida" karnay ki koshish jari rakhaiN....

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4214  Age:   
Posted on:14th Aug 2009, 12:38pm
 

myrizvi

aap ne baja farmaya......

lekin problem yeh hai, koi yahan ka system un politicians and agencies k hath main hai jin ka pakistan ki khair khwahi ka door door se koi rishta hi nahi hai.... agar koi acha politician ban'na bhi chahe to yeh inhe ban'ne nahi dete...... to aise main kia kise kam bure ya ziada bure politician ko elect kia ja sakta hai.........

kisi film main, main ne ek dialague suni thi, k politician k lie kisi bhi qualification ki zaroorat nahi hoti, bas shaatir dimaagh aur zuban ki chalaki ki zaroorat hoti hai, aur es ka saboot aap har din har waqt live dekh sakte hian pakistan main..... bilkul real main.........................................

main ne kisi se suna tha k shaied parhne wala samajh jaie k kis ki baat kar raha hoon.............. us ne batya k aaj k elected politicians jese bhi hain woh awam ko jawabdeh hai.............. bilkul sach kaha us ne, main in sab politician k jawab sune hain.......... loadshedding ka 3 din main khaatme ka jawab suna hai main ne, jab kisi ne aitraaz kia k 3 din main khaatma kese kia ja sakta hai, itna bara jhoot q???? to jawab milta hai k main apna kaam bohot achi tarha se jaanta hoon mujhe samjhane ki zaroorat nahi........ ha ha ha waht a joke....

kia yahi hota hai jawab............ its rubbish...... aise baatein hamare politicians karenge to un ki bari si bari khoobi bhi kisi ko nazar nahi aaiegi..................

 

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 113  Post: 6694  Age:  54  
Posted on:15th Aug 2009, 4:09am
 

sunny dear

ap ki sab bataiN durust aur talkh zameeni haqaaiq haiN....... hamain inhi haqaaiq ki maujoodgi maiN behtar ki janib ka raastah talaash karna hogaa... wazah rahay k hum aur ap sirf aur sirf durust siamat main koshish kartay rahnay k "zimmah.daar" haiN... nateejha nikalna yaa nah nikalnaa.. yeh sab kuch hamaari apki "zimmah" daari nahi.

doosri baat deger non-muslim aqwaam ki tarah.... hamaraa "end" hamari "maut" par khatam nahi hotaa.... "onkay" nazdeeq yeh 70/80 salah zindagi hi "sab kuch" hai lehaza woh issay hi "behtareen" banaa kar samajhtay hain k "sab kuch" achieve" karlia... hum muslim aisa nahi samajhtay... hum agar sari zindagi "right simat" maiN jiddo johada kartay howay poori zindagi kuch bhi "hasil" nah kar sakain... tab bhi "kaamyaab" hosaktay haiN, okharwi zindagi maiN......... hamara "vision" zaraa baRa hai... iss liyeh hamaiN non-muslim taraqqi yaaftah momaalik k "kaamyaab logouN"  ko apna model nahio banana chhaiyeh

aur aakhri baat yeh k qaumoun ki zindagi maiN 60/70 saal kuch nahi hotaa... pakistan 50 saal ki 'kamsini ki age maiN atomic power ban kar ungliyoun par ginay janay walay momaalik ki list maiN hai...... aap yeh bhi dekhaiN k iss "omer" maiN usa, france, uk kia halatay zaar thee....... aj sirf usa ki "omar" 400 saal say zeyadah hai....... qaumouN ki zindagi barsouN maiN nahi balkay sadyoun maiN badalti hai......

sab say aham baat yeh k pakistan maiN iss waqt "sab kuch" hai.. tallent bhi qudrati wasaail bhi aik islami muttafeqah aayeen bhi, dault bhi (jo pakistaniyouN k naam par bairooni accounts maiN haiN :) agar kabhi aur kissi waqt pakistan maiN election 1973 k ayeen k motaabiq fair hogaye aur MNAs/MPAs ki ahliyat maujoodah aayeen maiN darj "ahliat" hi k motabiq hogayee to to pakistan ko aik saaf suthree qeyaadat /system mil jayegaa...... paksitan maiN sirf aur sirf aik saaf suthree qeyadat /system ki zaroorat hai ... insha Allah aik sadee ki omer ko pahonchnay say qabal qabal pakistan yeh sab kuch bhi hasil karlegaa... tab tak hamara hona yaa nah honaa koi maani nahi rakhtaa...

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:17th Aug 2009, 10:30am
 

Aamriyat

Choon-ke Aamr elected nahin hota iss liay woh apne iqtidaar ko tool dene ke liay mulak main jagah jagah aag laga deta hai. Larrao aur Hakoomat karo hi uska motto hota hai.

Jab General Zia iqtidaar main aaya tou Bhutto ko phansi de kar Sindh ke awaam par charrhai kar di takeh Peoples party ko kamzor kia jaaey. PPP ko dabaanay ke liay aik doosri lsaani jamaat ko chhoot de di ke jo chahay krti phiray. Karachi main Bandd booriyun se lashain milne ki rasam ka aghaz hua. Aesi aesi lashain b mili jin ki aankhun main drill se soorakh kiay gye hotay. Bomb blast aur killing routine ka kaam bn gya. Haalat itne kharab ho gye ke unhain control krne ke liay baud main aanay wali hakoomtun ko Sindh main operations krna parray. Iss saaray amal main hazaroon laakhun qeemti janain zaya hueen aur aaj tak ho rahi hain. Iss saray amal ke policy makers yehi mohtram thay iss liay saray nuqsaan ki zimma daari b inhi par aayed hoti hai.

Mohtram ne isi par iktifaa nahin kia balkeh aik columnist ke baqol Pakhtoonun ko b apni hawas-e-iqtidaar ka nishana bna dala. Inn bechaarun ko CIA ke imaah par shuru ki gai Jehaadi tehreek main shamil kar ke 2 super powers ki jang ka indhan bna dala. Hamaray pakhtoon bhai bechaare aaj tak khoon main naha rahe hain aur Zia ke Mujaahideen (jo ke uzbik, tajik aur chechnia ke jarayem pesha loag thay aur unki jailoon se CIA le kar aiee thi) ki Pakistan ke ilaqoon FATA, WaZeerstan etc. main aabad kaari shuru ho gai. Inn logoon ne hamaray bhaaiyun ko b gumraah krna shuru kar dia aur iski inhain mukammal chhoot di gai. Aaj nateeja sab ke saamne hai. Inn logoon ke teyyar krda Khud Kush hamla awars hamaray shehroon ke nihattay aur be gunaah aurtoon , bachun, jawanun aur boorhun ke chithray urra rahe hain. Zia Sahib yaqeenan oper baith kar apne mujaahideen ko sarahtay hon ge aur yaqeenan CIA aur Zia inn Khud Kush mujaahideen ko jannat main pohanchaanay ke liay intezamaat krte hon ge. Iss sari ghalati ka beej Zia ne hi boya tha jo aaj Swat aur Wazeerastaan main fauji operation kar ke katna parr raha hai.

Firqa waariyat, Asleha culture, Munashiyaat jesi laanat b tab hi aam hui jab hum Afghanistan main involve huay aur american asleha Pakistan aaya. Yeh sab cheezain b Zia Dorr ki pedawar hain. Zia ki sirf inn 2-3 policies se hone wali amwaat ka raugh sa estimate lagayen tou b laakhun main ho ga. 3-4 kardar hi uss waqt policies maker thay. Zia, Gen Akhtar Abdul Rehman, Hameed gul aur Aslam Baig etc. Mujhe samajh nahin aati agar CIA ki zer-e-nagraani hone wali jehaad bht hi acha tha tou inke apne bachay kyun nahin gye wahan. Inkay bachay tou aaj Group of companies k Owners aur transport companies ke maalik hain halan ke yeh loag grade-22 ke officers thay bas aur marne ke liay inhain ghareebun ke bachay hi milte hain. 

Film Star Shabnam rape case main mosoof ka jo krdar raha aur jese apne Islami asoolun par chalte huay mosooof ne Shabnam ko insaf fraham kia uss se dil brdashta ho kar Shabnam ne pakistan hi chor dia.   

Iss shakahas se tou Muhammad Khan Junejo jesa shareef aadmi bardasht nahin ho ska jo taqwa aur Muhib-ul-watni main iss se badrjhaa behtar tha.

Inn dictators ne aaj tak mulak ko dia hi kya hai jo hum loag inki maddah sarrai karain. Pakistan torr dia, Balochistaan, Sindh aur Sarhad main aag laga di aur teenun soobun ke haalat sab ke saamne hain aur ab tou janoobi punjab main b shola kisi b time bharknay wala hai. Kya Inn logoon ka mulak ke liay koi aesa karnaama hai kia jis par hum fakhar kar skain??

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4330  Age:  38  
Posted on:17th Aug 2009, 12:23pm
 

yom-e-intaqal ya yoe-e-shahadat

aaj Gen Zia ka plane crash hua tha.

aap ke khayal mai aaj ziaul haque ki yom-e-inteqal hai ya yom-e-shahadat? kia ham zia ul haque ko shaheed keh sakte hai?

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  39  
Posted on:17th Aug 2009, 12:36pm
 

Bhimji

bohat khoob likha aap ne , in dictators ne Pakistan ka jo hashar kiya woh sub k samnay hae aor in ki curruption kisi se dhaki chupi nahi, General Zia aor general Akhtar Abdul Rehman ki olad k pas itna paisa kahan se aa gaya ??? General Musharraf bhi eik sarkari afsar he to tha aaj us ki dolat ka koi hisab nahi, kon sa karobar tha jis se ye paisa hasil howa hae??? kal tak Benazir aor Nawaz Sharif ko mulk se bhag janay ka taana denay wala aaj khud Pakistan se bhag gaya hae aor London chup k baitha howa hae.

In ko shaheed kehna to door ki baat in sub dictators pe ghaddari k cases chalnay chahye aor is main un political leraders ka ihtesab bhi hona chahye jinho ne apnay mafad ki khatir in ka sath diya.

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:17th Aug 2009, 1:00pm
 

100 % Agree

with Bhimji and Ch.Babur Sb

Bewakoof"

Iss Din Youam e Shahadat ya youme Intaqal k bajahay Youm e Nijjat mana chaehay

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:17th Aug 2009, 2:04pm
 

Well said Babar bhai and Love bird

Main iss baat ka qayel hun ke badd tareen jamhooriyat b aamriyat se behtar hoti hai chahay woh aamriyat Islam ke labaaday main kyun na lipti hui ho. Pakistani politicians kabhi b mere ideal nahin rahe. Albattah 2-4 politicians apni shakhasi khoobiyun ki wajah se ache lagte hn. Ab hamaray mojooda hukmraanoon ko koi jo marzi kahe, jo b ilzaam lagaey inn par lkn yeh haqeeqat apni jagah mojood hai ke aakhir yeh loag awam ko jawab deh hain. Musharraf ke baud Zardari Sb. ka President ban-na b 100 jootay khanay ke baud 100 pyaaz khanay ke mutraadif hai lkn ab Zardari ne jese b judge bahaal kiay, by hook ya by crook ,lkn inhain awami dabao par bahaal karnay parray. Hum aaj fakhar se keh sakte hain ke hamari judiciary ab itni aazad hai jitni pehle kabhi b na thi. Inki jagah koi aamar hota tou kabhi na krta aisa. Isi tarah jab Pakistan ne atomic bomb ka tajurba krna tha tab Chief of Army Staff ke mana krne ke bawjood awami dabao par Nawaz Sharif ko Atomi dhamaakay krna parray. Jahan tak baat hai seyasat daanun main syaasi balooghat ke fuqdaan ki iski zimmedaari b dictators par aayed hoti hai. Agar tou Ayub Khan Marshall law laga kar aik burri rasm ki ibtidaa na krta kitna behtar hota. Mohtarma Fatima Jinnah aa jaatieen. Political process chalta rehta. Burray loag reject hote jaate aur ache saamne aatay. Idaaray mazboot hotay. Adliaa ko uska kaam krne dia jata aur army apna kaam krti. Magar badd qismati se aisa nahin kia gya aur aamriyat ne maqbool qyadat ko awam se door rakhne k liay hamesha bonay logoon ka sahara lia jinhain koi janta nahin tha aur jin ki roots logoon main mojood hi nahin hoti theen. Fatima Jinnah, Hussain Shaheed Sehrwardi, Zulfiqar Ali Bhutto, Akbar Bhugti, Nawaz Sharif aur Benazir ko syaasi torr par khatam krne ke liay aamriyat ki jaanib se jo qyadat saamne laai gai unn ke qadd kaath se sabhi waqif hain. Iss liay detail main jaane ki zaroorat nahin. Mukhtasaran yeh ke agar syaasi adaroon ko phalne phoolne dia jaaey tou hi leaders main syaasi balooghat aayegi. Unhain 2-2 saal iqtidaar de kar ghar bhej dia jata hai ya jila watan kar dia jata hai aur khud aa kar 11-11 saal awam ko jonk ki tarah chimat kar unka khoon chooste rehte hain aur phr kehte hain humain koi poochne wala b na ho. Yeh kahan ka insaaf hai aur aesi soorat main democracy kese strong ho gi. Democracy strong krne ke liay humain b apni soch badalni ho gi. Hum loag syaasat daanun ko tou 2 saal brdasht nahin krte jab ke unn se b pst soch rakhne walay dictators ko 10-10 saal brdasht kr laite hain aur uff tak nahin krte. Jab yehi dictators mulak ko tootne ke qareeb pohancha kar chaltay bnain tou syaaasat daanun se expect krte hain ke woh aa kar chutki bjayen ge aur sab theek ho jayega.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 113  Post: 6694  Age:  54  
Posted on:18th Aug 2009, 4:09am
 

aik hadees k motaabiq

1. jo mosalmaan halatay imaan main aag main jal kar wafaat paa jaa.ay woh "shaheed" kahlata hai. zia-ul-haq agar mosalmaan thaa aur halatay imaan maiN onki wafaat howi to woh shaheed thay.

2. bhutto ko aik qatal k jurm maiN adalat say phansi ki saza howi. onki maut aik "sazaa yaaftah qaatil" k taur par howi...... iskay bawajood jeyaalay onhaiN "shaheed" kahtay haiN...... halaaNkay agar koi "jurmay begonaahi" main maaraa jaa.ay ... jaisay dahshat dardi waghairah maiN to ossay shaheed kaha jata hai... jaisay bhutto k betay zulfiqaar ki dahshat gardi k nateejay main zia ka tayyarah crash howa aur woh shaheed howay.

3. bhutto k janazay main ... yaa oskay ghaibanah namazay janazay main darjan bhar afraad bhi shareek nahi howay....... zia k janazay main record 25 lakh logoun nay shirkat ki jiss main ulemaa.e.kaaraam.... taqreeban tamaam muslim momaalik k sarbarahaan aur world class k islamic schola s /ulemaa nay shirkat ki....... namaazay janazaah dar asal Allah say maghferat ki duaa hoti hai........ yeh Allah ki shaan hai k osnay zia k liyeh 25 lakh say zayad muslims say duaa.e.maghferat 'karwaa'yee" aur bhuttoo k liyeh ...

 

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:18th Aug 2009, 8:53am
 

Aor Bhutoo k lihay..........

Rizvi

yeh Allah ki shaan hai k osnay zia k liyeh 25 lakh say zayad muslims say duaa.e.maghferat 'karwaa'yee" aur bhuttoo k liyeh ........

Bhutto k lihay har sall lakhoon loaq dua e maghfarat kertay hain her sal on ki barsi per lakhoon loaq fateh khawani kertay hain,.....Oar Zia ki barsi per kitnay loaq hotay hain.....darjan bhar loaq bhe nahee....balkeh abb tou shahid barsi ki taqreeb bhee naheen hoti...barsi chand sall hoti rahee ...oar abb khoud oan kay sahibzaday bhee shahid iss dar say naheen kertay keh oan ki barsi per koun aahay ga..............????????

Iss baat per tou shahid hee kissi ko aitraaz ho keh Mr.Bhutto kay chahnay waloon ki tadaad pori dunea mein karooron mein hai.....Oan ka chahnay walay her sall bohat aitmam say kertay hain ......yae aik haqeeqat hai.

 

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 113  Post: 6694  Age:  54  
Posted on:18th Aug 2009, 9:53am
 

love bird

yahaaN par ap nay yeh durust likha hai k ab log zia ko bhool gaye haiN aur bhutto ab bhi logouN k dilouN maiN "zindah" hai. bhutto ki barsee bhi har saal hoti hai jabkay zia ki barsi ... har chand k kaheeN hai, nahi hai wali baat hai.... ap ki baat durust hai lekin iska yeh matlab nahi k meri above baat ghalat hai.:)))))
love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:18th Aug 2009, 11:43pm
 

SOCHNAY KI BAAT HAI ...AISA Q HAI

Zia k lovers oar Mr.Bhutto kay shadeed mokhalif bhee ye mantay hain oar kehtay hain jaisay Mr.Rizvi nay kaha" yahaaN par ap nay yeh durust likha hai k ab log zia ko bhool gaye haiN aur bhutto ab bhi logouN k dilouN maiN "zindah" hai."

Mr.Bhutto Mr.Zia say 11 sall pehlay foat hohay thay asoolan Mr.Bhutto ko pehlay hee bhoal jana chehay tha Magar woo ajj bhee awam kay dillon mein zinda hain oar oan kay chahnay walay on say pehlay say bhee zeada mohabbat kertay hain .

Abhi tou Mr.Zia ko foat hohay sirf 20 bars hohay hain....Iss hissab say 50 sall baad Mr.Zia ko yaad rukhnay wala shahid hee kohee  hoo magar shawahid batatay hain hain keh 500 sall baad bhee loaq Mr.Bhutto say aisay hee mohabbat kertay rahain gay .

Sochnay ki Baat hai keh aisa q hai......Meray khial mein aisa iss lihay hai keh Pakistan ki awam janti hai keh.......Mr.Bhutto awam ka Mehboob leader tha...........Oar Mr.Zia awam ka qatil tha...

Soach ka darwaza sab k lihay khulla hai.....Waqat Bata daita hai k kiss leader ki policies sahee theen oar kiss ki awam dushman...jiss leader nay bhee awam k lihay kaam kia loaq ussay yaad rukhtay hain .woo inn kay dillon mein zinda rehta hai...oar jiss na apnay mafadat k lihay na sirf awam kay mehboob leader ko soli per charaeha balkeh lakhoun loaqoon ka qatal bhee kia ussay tareegh kissi harf e ghalt ki tarah mitta daiti hai.........

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:24th Aug 2009, 7:15pm
 

ZIA KA ISLAMI NIZAM

Islam humhain kehta hai keh Eman mein poray poray dakhil hojahoo magar jab hum Mr.Zia kay islami nizam ko daikhtay tou saf laqta hai keh Mr.Zia nay Islam  k nam per apna aik khoudsakhta nizam rahij kernay ki koshish ki...jaisay iss nizam mein soad ( Interest) apni tamam tar qabahotoon k sath mojooad tha....Soad (Interest) jiss ki islami nizam mein kohee gonjahish naheen thi...Mr.Zia k nizam mein sirf bankoon mein interest ka naam badal ker profit rukh ker islam ka mazaq urea gia..bala soad binkari per kohee kaam naheen kia gia IMF oar world banks say bhari interest per qarzay laitay waqat bhee islam yaad naheen aaea.

Mr.Zia kay islami nizam jiss ka yea credit laitay naheen thaktay woo "Zakat" ka nizam....jiss mein yea anokhi shiq bhee thi keh agar kohee shaks yakam ramzan say sirf aik din pehlay apny raqam bank mein deposit karay tou bhee oas per poray sal ki zakat laqa di jahay...jo shahid pori dunyea mein kaheen naheen hota .

Zakat jo her sahib maall per farz thi magar Mr.Zia kay islami nizam mein agar kohee shaks yea certificate provide ker daita keh wo shia muslim hai tou zakat maaf ker di jaati....Zakat ko maaf kernay ka ikhtiar jo khoud hazoor oar phir Hazrat Abubakar raz allho tahala nay istamal naheen kia Magar Zia Sb ko yea kamal hasil tha keh wo jiss ko chahain zakat say mostasnah karar dain iss ko islam ka mazaq naheen kehtay tou oar kia kehtay hain.

Issi islami nizam mein pehli baar bachoon ko matric mein Sunni islamiyat oar Shia Islamyat parahee gahee jiss say mazhabi monafart paily oar shia sunny fsadat mein hazroon looaq loqma ajal ban gahay.

Mujjay yea kehnay mein kohee harj naheen keh mujjay Deen k ilm per meri pori girift naheen hai,Mujjay apni kumilmi ka ihsaas hai, magar Allah tahala ka shokkar hai keh mein nay Deen ko samjhnay waloon ki mehfil mein baitha zaroor hoon.

Mein nay Bravelvi maslak ka qahid Shah Ahmed Norrani oar Molana Abdul Sattar Niazi kay jalsay sunnay hain mein in dono ko Zia oar Zia kay Nizam kay sakhat khilaf paea.

Mein nay Ail Hadees maslak k molana Ihsan Ilahee Zaheer marhoom ki taqareer bhee agli safoon mein bait ker sunni hain ,mein nay oan ko bhee Mr.Zia oar Mr.Zia kay dihay hohay nizam kay khilaf boltay sunna hai balkeh oan ki shahdat bhee aik jalsay mein hohee jiss ka ilzam bhee oas waqat ki agencihoon per laqia gia .

Mein Ail e Tashe kay Allama Sajid Naqvi ki speeches bhee sunni hai oar on ko bhee Mr.Zia oar oan kay khoudsakhta nizam k ghilaf boltay daikha.

Meri zati rai ko app beshak ahmiat na dain magar yea loaq jinhoon nay nizam e mustafa ki tehreek chalahee thi....oar jin k ilm ko aik dunyea manti thi jin kay chahnay walay lakhoon naheen karooroon thay yea sab loaq zia oar oar zia kay oas nizam kay khilaf thay....haan albatah aik jamhat thi jiss nay Zia ka sath dia oar woo thi Jamat Islami....magar oas ki wajah bhee shahid yea thi keh iss ki qiadat Mian Tofail jaisay loaqoon k  pass thi...Aaj bhee jammat apnay oas waqat k faisaloon ko defend kernay mein nakam rehti hai

AppkaDost Group: Members  Joined: 18th Jul, 2009  Topic: 24  Post: 281  Age:  36  
Posted on:26th Aug 2009, 12:43pm
 

Zia ya zaeha

love bird App nay sahee kaha hai oas kay islami nizam per kohee bhee ail e ilm motafiq naheen tha,Meri nazar mein Zia aik khoni aamir tha woo kia islm nafiz kerta oas ka apna kardar daikh lain 90 din k election ka wada awam say ker k baad mein mokkar gia oas k hokkam say oas kay hazaroon makhalfoon k qatal kia gia molk mein kaheen zuban per lasani ghondoon ko khuli chuti di tou kabhi janooni mollahoon k hath mein talwar day dee keh jiss ka gi chahay oas ki gardan uttar day jo jo oan kay nazriat ka mokhalif hai.yahee wajaha hai keh ajj Zia ko pasand kernay wala kohee nahee,sunna hai apni misal wo federal kastro oar mamer qazafi say daita tha oar niji mehfaloon kehta tha keh mera iqtadar bhee 40 sall say bhee zahid ka hoga agar hum awam ko aisay he islam k nam per bewakoof banatay rahay magar allah ki lathi beawaz hoti hai iss qoam ki duhain rang laheen oar oaski moat k sath oas kay iqtadar ka soraj doab gia
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:28th Aug 2009, 2:08am
 

RE:

Is taweel behas k baad yeh to sab k samnay hai k konsay leader mein kya buraiyan or kya achahiyan thi... lekin aik baat tay hai k constitution ki roo se woh hukmaran acha hai jo awaam k vote le kar parliment mein aaya or woh ghalat hai jo jeep mein beth kar awaam k kandhon per sawaar ho gaya....

Ayub Khan, Yahya Khan, Zia ul Haq or Musharaf apni zaat mein jitnay bhi achay hoon lekin woh dictators thay or Pakistan k Aayin ki roo se un ki saza mout hai... Jo zinda nahin, un ki hadiyan nikaal kar alamti phansi di jani chahiye or jo zinda hein unhein Pakar kar Shahra e Dastoor per phansi de jani chahiye......

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:28th Aug 2009, 9:23am
 

100%

with Seemi.inki yahee saza honi chaehay
Dr.Qasim Group: Members  Joined: 15th Aug, 2010  Topic: 0  Post: 61  Age:  35  
Posted on:17th Aug 2010, 4:09pm
 

ziya ka Islami nizam

Islami Nizaam tub he nafiz ho sukta hay jub islamic culture bhe mojood ho , jub islamic culture or islami taleemat ki practice hogi tu khod ba khod islam or islami nizaam logo ki practice meah ajay gah, or agur hukomat a wakt bhe esko nafuz kurny meah apna role adaa kury tu asaani ho sukti hy, 

abi ek women jo Doputta tuk nahi kurti , osy ap Borka pannay pay force os wakat tuk nahi kur sukty jub tuk apka ek system mojood nahi hay, Islami nizaam tub he apna rung dikha sukta hay jub islam humari life meah hum meah bhe mojood ho, 

serf ek nizaam buna kay nafiz kur dany say islam nahi ajata, Agur hukomat a wakt saudia ki tura serf Prayers time system jesy KSa meah mojood hay yeh he kur day tu bot buri bat hay, yaha Azaan kay sath he shops close ho jati hen, bazaar bund ho jata hy, or numaz kay bahd again shops open ho jati hen, raat kay 12 am tuk open rukhny ki permission hay, 

Murhoom zia jisko aj humari Siyaaasi Qiyadat or siyaasi adakaar galiyaan daty hen , lakin murhoom aj kul kay siyaasi leaders say kayin acha tah, Hokumraan suzaa paty hen zuleel hoty hen serf apni Mistakes say , jub tuk wo nation ki awaaz hoty hen wo leaders rehty hen or jesy he wo personal advantages kay leyeh koi kam kurty hen wo awaam meah puzeer rahi kho daty hen , 

yeh mistakes sary leaders or Foji hokamrano nay ki hen jin meah Murhoom zia ul huq bhe hen, aj onki bursi hay Allah onki mughfirat kury ameen , 

1 2 3 4  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013