Mard kay sperm do qism kay hotey hain ek qism ko Y kaha jata hai aur doosri ko X. X barey magar sust raftaar lekin qadrey sukht jaan hotey hain iss kay muqabiley main Y chotey magar taez raftaar lekin naazuk hotey hain sperm ki ta'adaad (sperm count) zyada ho to Y zyada hotey hain aur beta paeda honey kay imkaanaat zyada hotey hain agar sperm ki majmooee ta'adaad kam ho to X ki ta'adaad zyada hogi aur beti paeda honay kay imkaanaat zyada hongey. Isi liye 2 ya 3 crore sperm per amooman betiyan paeda hoti hain. Aam haalaat mein 2 crore sey kam sperm hun to aulaad paeda nahin hoti albatta test tube ki surat mein 50 hazar sperm hun to bhi aulaad paeda ho jati hai magar kaamyaabi ki sharah 25% kay lug bhug hoti hai lekin yeh amooman larkiyan hoti hain. Beta paeda karney ka inhisaar mard kay sperm Y per hota hai jab kay aurat kay paas sirf XX hi hotey hain albatta aisa bhi hota hai kay aurat ki faraj ki taezabiyat ki wajah sey nazuk Y jald mar jatey hain.
Bachey leney kay liye mubashrat baeza rezi kay qareeb ho hamal kay liye missionary tariqa zyada munasib hai yani aurat neechey ho, uski kamar kay neechey takya ho aur mard ooper ho aur dakhool gehra ho, iss kay liye biwi ki taangein khawand kay kandhon per hun inzal kay ba'ad khawand zakar ko foran baher na nikal ley warna mani ka bohut sa hissa faraj sey baher aa jaey ga aur sperm ki miqdaar kam ho jaey gi aur hamal ka imkaan kam ho jaey ga. Behter hai kay zakar khud hi sukarr kar baher aaey inzal kay ba'ad agar aurat isi haal mein ek ghanta leti rahey to hamal kay imkaanaat barh jatey hain.
Baeza raezi jan'ney kay ka'ee tariqey hain ak bohut acha tariqa lu'aab-e-rahem ka tariqa hai. Lu'aab e rahem anda banney sey kuch din pehley shuru ho jata hai.
|