Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

   
Home | Sex Education in Urdu for Women | Pregnancy - Hamal 2  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4
Read Health Articles

Total views since 15 October 2009:
101214
 
Pregnancy - Hamal

 Bohut sey sperm raastey mein hi mar jatey hain. Jo aagey jatey hain unn mein sey aadhey ghalat tube mein chaley jatey hain kyun kay anda ek tube mein hota hai kis tube mein hai sperm ko iska ilm nahin hota iss tarah 30, 40 crore sperms mein sey sirf 2 hazar kay lug bhug sperm andey tak pohonchtey hain aur inn mein sey ek andey ko baar aawar karta hai.

    Aurat ki faraj kay khatmey per bacha daani (uterus) hoti hai jis mein bachey ki nashonuma hoti hai bachey daani ka munh faraj mein khulta hai bachey daani  kay donon taraf daaei'n baae'in 2 naaliyan hoti hain inko qazif naaliyan (fallopian tubes) kaha jata hai. Yeh naaliyan ek taraf bacha daani sey mili hoti hain aur doosrey sirey per do baeza daaniyon sey mili hoti hain baeza daaniyon mein laakhon ki ta'adaad mein baezey (andey) hotey hain har maah sirf ek hi andey ki nashonuma hoti hai, yeh baeza kisi ek baeza daani mein tayyar hota hai qudrati tor per har maah bari bari sey baeza daaniyon mein sey kisi ek mein sey baeza nikalta hai baeza rezi kay waqt anda kisi ek baeza daani sey nikal kar muta'alliqa qazif naali mein aa jata hai, doosri taraf sey mard ka nutfa aata hai donon kay milaap sey hamal theherta hai ju'nhi baeza aur sperm miltey hain to phir yeh bacha daani mein aa jatey hain jahan bachey ki parwarish hoti hai.

    Nutfa faraj mein 6 ghantey zinda reh sakta hai aur jab yeh bachey daani mein daakhil hota hai wahan 3 ta 5 din bul kay zyada bhi zinda reh sakta hai doosri taraf agar baeza raezi kay qareeb mubashrat hogi to hamal kay imkaanaat barh jatey hain. Waisey agar baqa'eda mubashrat ho to ek maah mein aurat kay hamla honey kay imkaanaat 60% hain (yani ek din chor ker ya rozana mubashrat ki jaey taa'hum ek din chor kar zyada mufeed hai)

 

 
Pregnancy - Hamal
 
<< Next       Prev >>
134135136137138139140141142143144
 
Tell a Friend
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012