Aurat kay haamla honay kay liye mandarja zael shara'et ka poora hona zaroori hai.
- Mani faraj kay ander daakhil ho.
- Mani mein kam az kaz 2 crore sehat mund nutfey mojood hun.
- Nutfo'n (sperms) kay liye faraj ka mahol aisa ho jis mein woh zinda reh sakein agar aurat ki faraj mein taezaabiyat zyada hogi to nutfey marr jatey hain aur bachey paeda nahin ho saktey.
- Sperms bacha daani khusoosan muta'alliqa qazif naali mein pohonch jaein.
- Sperm baaraawari kay liye baeza paa lein.
- Baar aawari kay ba'ad baeza bacha daani (uterus) mein aa jaey.
Jab mian biwi mubashrat kartey hain to khawand kay inzal honay sey amooman 3.5 milliliter mani (seminal fluid) biwi ki faraj mein jati hai jis mein ausatan 30, 40 crore sperm mojood hotey hain inn mein kuch sehatmand hotey hain aur kuch ghaer sehatmand yeh sperms faraj mein sey hotey huey bacha daani aur phir qazif naaliyon (fallopian tubes) mein jatey hain jahan hamal theherta hai. Agarcha hamal kay liye sirf ek sehatmund sperm ki zaroorat hoti hai magar ek sperm ka andey ko baaraawar karney kay liye mard ki mani mein kam az kam 2 crore kay lug bhug sehatmand sperm mojood hun. Iss surat mein amooman larki paeda hoti hai hota yeh hai kay mard kay inzal kay ba'ad kuch mani faraj sey baher beh jati hai faraj mein sey hotey huey sperm bacha daani mein jatey hain bohut sey sperms faraj ki taezabiyat ki wajah sey mar jatey hain.
|