Shuru mein lua'ab miqdaar mein kam, garha, kam laes daar (mawad ko ungli aur angoothey sey taar bananey ki koshish karein to taar na baney gi) rung creamy, peela aur gadla sa za'eqa badbuudaar aur namkeen sa hota hai ju'n ju'n baezey key ikhraj ka din qareeb aaey ga yeh mawad miqdaar mein zyada, patla, laes daar, taardaar, shaffaf aur bey rung hota jaey ga hutta kay ikhraj baeza sey ek din pehley aur ikhraj waley din mawad miqdaar mein zyada, bohut patla, kachey andey ki tarah shaffaf, bey rung, laes daar aur taardaar hoga. Mawad ko ungli aur angoothey mein ley kar taar banaein to taar baghaer tootey duur tak chali jaegi iss mein halki si mithaas ki buu hoti hai magar ba'az auqaat baeza rezi waley din yeh bey rung honey ki bajaey doodhiya cream rung ka hota hai. Ba'ad az'an yeh lua'ab ek dum garha, gadla aur khushk ho jata hai aur miqdaar bhi kam ho jati hai ba'az aurton ka yeh mawad zyada hota hai aur ba'az ka kam.
Lua'ab-e-rehem hasil karney aur check karney ka tareeqa yeh hai kay maahwaari khatam honey kay ba'ad har peeshaab kay ba'ad istanja karney sey pehley check kya jaey iss kay liye aap peeshab kay liye bathroom jatey waqt tissue paper sath ley jaein aur peeshaab kay ba'ad faraj kay mu'nh ko tissue sey saaf karein to mawad tissue per lag jaey ga. Aap isey check karein ba'az khawateen mein yeh mawad peeshab kay ba'ad nahin bul kay pakhaney kay ba'ad zahir hota hai iss surat mein pakhaney kay ba'ad istanja karney sey pehley tissue sey faraj ko saaf karein aur lua'ab ko check karlein amooman maahwaari khatam honey kay foarn ba'ad yeh zahir nahin hota bul kay ek haftey kay ba'ed zahir hona shuru hota hai lekin yeh zaroori nahin.
|