Khusoosan sukoon aawar adviyat istemaal ki jati hain jin kay burey asraat bachon tak pohonchtey hain.
Labor pains (labor ka dard) to taqreeban har aurat mehsoos karti hai koi kam aur koi zyada yeh dard har aurat ko bardaasht karna hi parta hai iss dard ko control karney kay liye amooman adviyat kay istaemaal sey guraez kya jata hai kyun kay iss surat mein adviyat ka istaemal nuqsandeh ho sakta hai. Isi tarah paeda'esh kay aakhri marhaley main maa'n ko bohut takleef hoti hai iss aakhri dard ko control karney kay liye amooman bey hiss karney wali adviyat istaemaal ki jati hain jo ba'az auqaat bohut nuqsan deh sabit hoti hain aaj kal iss dard ko control karney kay liye kamar mein teeka lagaya jata hai jis ka apna dard hai.
Hypnotherapy ki madad sey 95% sey zyada khawateen apni tension, khauf aur khadshaat ko control kar sakti hain iss ki madad sey khawateen apney aap ko pursukoon aur relax karsakti hain jiski wajah sey blood pressure, depression, tashweesh kay masail amooman paeda hi nahin hotey taa'hum agar yeh masail paeda bhi ho jaein to hypnotherapy ki madad sey in ko aasani sey control kya ja sakta hai. Matli, ultiya'n, seeney ki jalan haamla khawateen kay ahem masail hain 75% khawateen hypnotherapy ki madad sey inko aasaani sey control karsakti hain qabz aur bey khwabi kay masail ko bhi aasani sey hal kya ja sakta hai iss tarah khawateen aur unn kay bachey adviyat kay burey asraat sey mehfooz rehtey hain.
Zichgi ka ahem marhala labor pain ka hai jo ghanton jari rehta hai hypnotherapy ki madad sey labor pain kay waqt mein 4 ghanty tak kami ki ja sakti hai iss marhaley main haamla 'shakhsi hypnotism' ki madad sey apney dard ko bohut kam karleti hai.
|